Bahala kab tak yeh gham-e-qirtaas par apne sajaon main
.
Hai gum'gasht meri hasti yeh kesy bhol jaon main
.
Main apne ap ko dhondhon to ab dhondhon bhala kesy
.
Main kya the or kasi the kisay han'han bataon main
.
Meri qismat ki rekha mein na manzil hai na rasta hai
.
Mera ghar gum gaya mujh se pata ab kya likhwaon main
.
Mera dil moj-e-ghum se ashna aisa sumandr hai
.
Kinara he nahi jis ka tu kya naqsha dikhaon main
.
Tilash-e-hasti-o-jaan kab meri anjaam paa gai
.
Koi to daar mile aisa jahan aanso bahaon main
.
Kahan khud ko chupaaon main kidhar ko lout jaaon main
.
Muqadr ka likha apna bahala kesy mitaaon main
No comments:
Post a Comment