Sunday, 12 October 2014

Najma Shaheen

Wo halal-e-eid ko dekh kar bhi udaas hai
.
Use yaad hai kisi eid par kahein chahaton ki naveed par
.
Koi kah gaya tha use kabhi k main chand hon teri eid ka
.
Mery bin manana na eid tu k main aao ga teray pas jab
.
Kisi ik wisel k saal mein kisi khuwab mein k khyal mein
.
Kabhi jis ghari meri deed ho wohi ik pal teri eid ho
.
Wohi ik lamha naved ho use yaad hai wo jo ik lamha tha eid ka
.
Wohi ik lamha naved ka kisi deed ka
.
Wohi lamha is ka hisar hai wohi lamha ab tak udhar hai
.
Wo jo helal-e-eid ko dekh kar jo udas hai
.
Use bas miln ki he aas hai use ab kisi se gila nahi
.
Wo jo ik lamha udhar tha wo mila nahi
.
Magr us ko ab bi yaqen hai k jo chand hai kisi baam par
.
Wo mile ga ik din use kahein kisi m0r kisi gaam par
.
Wo jo kah gaya tha use kabhi k main chand hon teri eid ka

No comments:

Post a Comment