Dard ko dil mein chupaa rakhaa hai
.
Sholaa-e-raakh mein dubaa rakhaa hai
.
Dekhna tu jhaalk na jaaye kahein
.
Jaam aankhon ne uthaa rakhaa hai
.
Guzri sadiyon k hijjar mein teray
.
Yaad ka aik deep jaalaa rakhaa hai
.
Kon chahe ga tumhein meri tarha
.
Tujh ko he dil mein basaa rakhaa hai
.
Aab to aa jaa k tery raste mein
.
Musam-e-gull main ne sajaa rakhaa hai
.
Mery ghai ki man'dheron pe dekho
.
Naheed aik nanaa sa diyaa rakhaa hai
No comments:
Post a Comment