Tuesday, 28 October 2014

Mehmood Ahmad

Main ne kaha naseeb mera jag'maga k rakh
.
Us ne kaha k aankhon mein aanso saja k rakh
.
Main ne kaha dekhay tujhe muddatien howien
.
Us ne kaha k honsle dil mein baalaa k rakh
.
Main ne kaha k mery liye koh khaas baat
.
Us ne kaha k harf ki hurmaat bacha k rakh
.
Main ne kaha akyla hon dushman hain be'shumaar
.
Us ne kaha k sir ko hamesha utha k rakh
.
Main ne kaha k aik he ghar mein cheragh hai
.
Us ne kaha k samane jaa kar hawa k rakh
.
Main ne kaha k kholte nahi mujh pe aasmaan
.
Us ne kaha k farsh pe bistaar bichaa k rakh
.
Main ne kaha k visel ka amraat pilaa mujhe
.
Us ne kaha sharaab mein aanso mil k rakh
.
Main ne kaha k aik mulaaqaat chahiye
.
Us ne kaha zubaan pe taalaay laga k rakh
.
Main ne kaha k mashwara mahmood k liye
.
Us ne kaha k dard ko sab se chupa k rakh

No comments:

Post a Comment