Tuesday, 28 October 2014

Basheer Badr

Aas ho gi na aasra ho ga
.
Ane wale dinon mein kya ho ga
.
Main tujhe bhul jaun ga ek din
.
Waqt sab kuch badal chuka ho ga
.
Naam ham ne likha tha ankhon mein
.
Ansuon ne mita diya ho ga
.
Aasman bhar gaya parindon se
.
Per koi hara gira ho ga
.
Kitna dushwaar tha safar us ka
.
Wo sare'shaam so gaya ho ga

No comments:

Post a Comment