Bujh gaya jalta chirag ahl-e-sukhn ka na'gahan
.
Gohar nayaab aise ab zamane mein kaha
.
Haaye sada afsos ik lamhe mein kya se kya howa
.
Yuh kaf'afsos milta rah gaya sara jahan
.
Kab chaman mein roz khilte hain bahala aise gulaab
.
Jis ki khusbo se mehk uthey zamen-o-asmaan
.
Takhti ilm-o-hunar par naam jo likhwa gay
.
Rehte duniya tak rahey gay un ki yaadon k nishaan
.
Mudato sehra sulagte hain falak ki aag mein
.
Tab kahen ja kar khuda hota hai en par mehrban
.
Mehfilon ki ronqaye sab khaak ho kar rah gi
.
Fikr-o-fan ka ghum ki barish ne badal dala samaa
.
Aah wo lafzo k bazi'gar adam ko chal diye
.
Jo banate the sitaron se anokhi keh'kashan
No comments:
Post a Comment