Aansuon key saath sab kuch bah gaya
.
Dil mein sanata sa baqi rah gaya
.
Chor aaya hun zameen-o-aasman
.
Fasila ab aur kitna rah gaya
.
Rafta rafta bujh gaye saare chiragh
.
Eik chehra jhilmilata rah gaya
.
Bastiyan dhundla gayin phir kho gayin
.
Roshni ka shehr pechey rah gaya
No comments:
Post a Comment