Acha tumhare shehr ka dastoor ho gaya
.
Jis ko gale laga liya woh door ho gaya
.
Kaghaz mein dab key mar gaye keerey kitab ke
.
Deewana be parhe likhe mashoor ho gaya
.
Mehlon mein ham ne kitne sitaare saja diye
.
Lekin zamin se chand bahut door ho gaya
.
Tanhaiyon ne tor di ham donon ki ana
.
Aina baat karne pe majbor ho gaya
.
Subhe wisaal punch rahi hai ajab sawaal
.
Woh paas aagaya ke bahut door ho gaya
.
Kuch phal zaroor ayen ge roti key per mein
.
Jis din mera matalba manzor ho gaya
No comments:
Post a Comment