Dil se teri nigah jigar tak utar gai
.
Donon ko ik ada men raza'mand kar gai
.
Shaq ho gaya hai sina Khusha lazat-e-faraG
.
Taklef-e-parda'dari-e-zaKhm-e-jigar gai
.
Wo bada-e-shabana ki sarama'stiyan kahan
.
UThiye bas ab ke lazat-e-Khvaab-e-sahar gai
.
Urati phire hai Khak merii ku-e-yaar men
.
Bare ab ai hava havas-e-baal-o-par gai
.
Dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
.
Mauj-e-Khiram-e-yaar bhi kya gul katar gai
.
Har bulahavas ne husn parasti shiaar ki
.
Ab abaru-e-sheva-e-ahal-e- nazar gai
.
Nazare ne bhi kaam kiya waan naqaab ka
.
Masti se har nigah tere ruKh par bikhar gai
.
Farda-o-din ka tafaruqa yak baar miT gaya
.
Kal tum gae ke ham pe qayamat guzar gai
.
Mara zamane ne Asad tumhen
.
Wo walawale kahan wo javani kidhar gai
No comments:
Post a Comment