Gar khatawar hain hum tere bata do hum ko
.
Yunhi be'wajah to na koi saja do hum ko
.
Hum se ulfat hai to phir khouf sa kiun hai dil main
.
Samne sab ke zara apna bana do hum ko
.
Gham ki taqsem se gham halka sa ho jata hai
.
Apne dukh dard mere yaar suna do hum ko
.
Teri awaz pe aa jayen ge har mushkil main
.
Bus mere yaar zara dil se sada do hum ko
.
Aise logon se hi drna hai to phir yun hai shakil
.
Haath seene pe rakho or bhula do hum ko
No comments:
Post a Comment