Monday, 28 July 2014

Eid Ghazal

Kuch der to dil ko chain mily Kuch roz to man k phool khilen
.
Kehty hain k EID ki aamad hai hum log bhi kuch taaeed karen
.
Tum se ik ye guzarish hai ye apny dil ki khwahish hai
.
Ik bar milo Ik bar milo har bar ye hi taakeed karen
.
Maana k hum deewany hain sab baaton se anjany hain
.
Jab apny bhi begany hain kiya ghairon se umed krain
.
Tum aao to hum bhi Eid karen

Irshad Ahmed

Aik sumandar ki deed ho jay or piyasay ki eid ho jay
.
Chand ki bi yahe khuwaish hai us gali mein shaheed ho jay
.
Haa main ukta gaya purane se es baras ghum jadeed ho jay
.
Har sitara yaqen se chamkay chand teri naveed ho jay
.
Aab k pighle na tot he paay tera wada hadeed ho jay
.
Aik lamhay mein bech do khud ko gar to meri khareed ho jay
.
Kis liye us ko daikh k irshaad dard dil bhe shadeed ho jay

Hafiz Khuram

Eid k roz na mile ham apne yaar0n se
.
Kar rahe the wo tazkarie hamare pyar0n k
.
Dekha jo eid k roz un ko machal sa gaya maan mera
.
Lag rahe the wo chaand sitaron se
.
Samjhte the nadan hum bohat us ko
.
Eid k roz maar he gay ham un k isharon se
.
Pas-e-wafa mein us ne kiye kai sawal
.
Dhondh'tay rahay hum jawab kai saalon se
.
Chor gaya es ada se eid k roz Khuram
.
Ho gay ham be'saharon se
.
Tanha rah gay ham eid k roz bhi
.
Bad'naseb dil-e-judai mein ja mile bas dewaron se

Alvira Yasmeen Ali

Kab neklay ga chand kab meri ho gi meri eid
.
Kab is tarsi howi nigaah ko milay gi un ki deed
.
Ab mariz hijar ka koi chaara karo saaiye
.
Dil mein itne taab nahe hai or dard shadeed
.
Deed-o-lab se jhartay rahay izhar k moti jab
.
Phir mein kaise karte un ki chaht ki tar'deed
.
Waqat kitaab mein likha jata hai har paal ka haall
.
Ishq kitab mein kya bandhay ham mushkil ki tam'heed
.
Waqat k dariya ne uglay hain kaise kaise raaz
.
Un ki har aik dard-e-sada ne mujh ko liya kahreed

Shahbaz Nayyar

Jaan jaan kaho gay naa, ashk ponch lo gay naa, eid par milo gay naa
.
En udaas aankh0 mein rang bhi bahro gay naa eid par milo gay naa
.
Waqt kis tarha guzra chand kis tarha utra furkaton k mosam mein
.
En sabhe sawal0n k tum jawab do gay naa, eid par milo gaye naa
.
Fasle jo aaye hain kitne ghum uthay hain ghair muskuray hain
.
Hath tham kar meray sab geelay suno gay naa, eid par milo gay naa
.
Tum to jante ho naa lufton ko rahte hai ehd-e-taza ki khuwaish
.
Phir yaqeen dilao tum mery he raho gay naa eid par milo gay naa
.
Tanha chand se mujh ko be'panah muhabbat hai haa milam ki hasrat hai
.
Chand raat ko Nayyar chand tum bano gay naa eid par milo gay naa

Shahbaz Nayyar

Khushiy0n k talab'gaar tujhe eid mubarik
.
Go ham hain be'qarar tujhe eid mubarik
.
Mans0b hain tujh se meri khushiya mera jeewan
.
Rothe howe dil'daar tujhe eid mubarik
.
Yeh card yeh tohfe nahe be'waja meri jaan
.
Hai to bhe samjh'daar tujhe eid mubarik
.
Har shairse ate hai tery pyar ki khusboo
.
Aye bas-e-ashaar tujhe eid mubarik
.
Be'kaif hai din eid ka Nayyar tery bin
.
Aa jao mery yaar tujhe eid mubarik

Sada Hussain Sada

Laut kar chaad raat aai hai
.
Dher khushian bhe sath laai hai
.
Us pe varo0n ye eid ki khushian
.
Jis ne dunia meri sajaai hai
.
Laut aao to eid hum bhi karen
.
Mere dil ki yahi duhaai hai
.
Barh kay seene sada lagaao bhi
.
Eid milne mein kya buraai hai

Rasid Malik

Meri taraf se yaar0n ko ho eid mubarik
.
Chote baaray sab payaar0n ko ho eid mubarik
.
Jo ilm-o-adab k liye kosha rahay har paal
.
In sare qalam karoo ko ho eid mubarik
.
Is baar bhe jo aa na sake eid pe ghar ko
.
Haalaat k un maaron ko ho eid mubarik
.
Parha mujhe be'loos muhabbat se nawaza
.
In mery talaab gaaron ko ho eid mubairk
.
Jo paas hain yah do0r hain is eid pe rashid
.
Dil kehta hai un saaron ko ho eid mubarik

Gulnazir Khan

Aya hai chand eid ka gohn'gehat nekal k
.
Qurbaan jayen us k husan-o-jamal k
.
Chamka dulhan ki maanid wo tasht-e-asman par
.
Kuch naaz or he thay ab k hallaal k
.
Ham bhe thay muntazir jis ki nigaah k
.
Us ne diya saalm aankhon mein daal k
.
Bachay hain khush paa kar baraon se wo eidiyan
.
Bosay laiye hain pyaar se aamaa ne gaal k
.
Tum bhe khelay ho aaj chaman k gaalon k sath
.
Kya kya khelaye eid ne gull bhe kamal k

Asim Nadeem

Abhe to no0r baqi hai, jafa talab nigaah mein
.
Abhe to laho0 rona hai mujh ko be'libas lasho pe
.
Abhe to mery baap ka kata howa sar nahe mika mujhe
.
Abhe to mery sar pe in barastay golo ka saya hai
.
Abhe to meri maa k gaalay pe rasiyon k nishaan taza hain
.
Abhe to meri behan ki wo guriya bhe nahe mile usay
.
Jo kho gai the jang mein abhe to gar'yaa karta
.
Aik jahan mery sar pe hai abhe to shehr sang mein
.
Laho ka dariya bahata hai abhe nahe hai eid karne

Farwa Rajputt

Mujhe khabar hai kal eid ka din hai or yeh phir tum bin guzar jay gi
.
Tum apne pyaron apne yaar0n mein boht khush ho gay
.
Yeh tumhara haq bhe hai lekin kaash
.
Tum ko meri tanhai ka ehsas ho jaay
.
Or agr ho sakte to fakht aik baar he
.
Mushkurtay howe mujhe dil mein eid mubarik kah dena
.
Ha agr dil maane to eid ka sms kar daina
.
Main aamar ho jao gi oh meri jaan
.
Agr meri thori se bhi yaad sitaane lagay
.
To jaldi jaldi call kar lena main umar bhar
.
Makroz raho gi kal eid ka din hai
.
Khusiy0n ka din hai muhabbaton ka din hai
.
Main meenat karte hon mujh ko
.
Meri khushiya meri muhabbat lauta do kesy bhi ho
.
Jaise bhe ho jahan bhe ho laut aao
.
Kal eid ka din hai jaan kal eid ka din hai

Hamid Yazdani

Mehktay aancha mein saal bhar ki shokhiyan
.
Chaton chaton chatak rahe hai
.
Khuwaisho ki chandni
.
Dua ko uth rahay hain wo hina-e-hath
.
Jaise khil rahay hon sahil0n pe bad'baan
.
Aasman pe khinche gi ho aik kamaan
.
Chand ban gi ho aankh ki chamak
.
K shaam k jalo mein yaad ki khanak
.
Gulaab choriya dhank hina-e-hath
.
Dodhiya hateliy0n pe saji rahe hai kaenaat
.
Jaib mein dhark rahe hai chand raat
.
Pars mein mehk rahe hai eid
.
Hont pe larz larz k rah gai mubarken
.
Dabi dabi mubarken dhowa dhowa mubarken

Alvira Yasmeen Ali

Meray dil mein ghar kar lo jewan yahen basar kar lo
.
Main aik shaam h0n lekin tum pyar se mujhe sehair kar lo
.
Main r0shan ho sakte h0n tum jo idhar nazar kar lo
.
Sab pathar haat jaye gay manzil mera naagaar kar lo
.
Be'taaser se alvira Mo0m karo pathar kar lo

Sallma Khan

Wo maasom bachii, jo kuch ro0z pehlay
.
K eid aa rahe hai, jisay eid k kapray
.
Lanay thay lekin zara daikh lejiye
.
K aab laash us ki, falasten k parcham mein lipte pari hai

Rehana Qamar

Har ghum se guzarne k liye phir eid aai hai
.
Purane gaho bahrnay k liye phir eid aai hai
.
Kanar-e-chasm rehtay aik mudat ho gai ham ko
.
Kisi dil mein utarnay k liye phir eid aai hai
.
Hina k phol khelna chahtay hain phir hataliy0n par
.
Wafa mein rang bahrnay k liye phir eid aai hai
.
Haalale eid ne pigham behja hai qamar ham ko
.
K us ko yaad karne k liye phir eid aai hai

Shahzad Qais

J0 bosa haath ka bhi eid per ata na kare
Kisi ka aesa sanam ho kbhi khuda na kare
Mere azezo Ye sar goshi chaand raat ki ha
Ke aaj shab k0i dushman ko bhi khafa na kare
Bhalay se krna bhalai koi kamal nhi
Bhala to w0h hai bure se bhi j0 bura na kre
Hilaal e eid Bta kya kbhi ye daikha hai
Ke hussn rakhta ho k0i magr jafa na kre
Na'jane chaandni mien kaun kaun daikhe usay
K0i to roko ke yu'n chaand ko taka na kre
Sharer bhai bhi ho skta hai sahaili ka
So apna aks sahaili k0 bhi diya na kare
Usay kaho ke ka'yi m0rr gh0rr krte hen
Naqab aurrh k bhi shehr mien chala na kare
Kamar mien m0ch na aa jaye naaz parwar ki
Hina lagi ho to paani bhi khud pabaa na kare
Ye aurrtain na karen zikr apne mard0n se
Hijaab utaar k eid un se bhi mila na kare
Usay kaho inhin bach0n ko chomte hen bare
So bosay eid pe bach0n k bhi liya na kare
Kisi k haath hamain QaiS Kal payam mila
Ham us k kuch nhi so mashwaray diya na kare

Friday, 25 July 2014

Mehndi Lagon Gi Mein Chaad Raat

Mehndi Lagon Gi Mein Chand Raat Mein
.
Tera Naam Sajon Gi Mein Apne Hath Mein
.
Saja K Kanoo Mein Bali Haton Mein Chorriyan
.
Hal-Chal Machaon Gi Mein Tere Khayalat Mein
.
Jab Jaon Gi Sakhiyo K Pas Mein Ek Ada Se
.
Zikar Mein Karon Gi Pher Tera Har Baat Mein
.
Har Koi Muje Se Mere Dil Ka Haal Puche Ga
.
Kitna Maza Aaye Ga Pher Sawalaat Mein
.
Mein Sharma Kar Nazren Niche Karon Gi
.
Pher Sub khoo jain Ge Mere Dilkash jawabat Mein
.
Mein Sapno Mein Khoo Jaon Gi eid pe aaon Gi
.
Mein Pher Eid Manon Gi Tere Saat Mein

Eid Eik Ibadat Hai

Eid Aik Aibaadat Hai Eid Hum Manayen Ge
.
Yeh Khuda Ki Rahmat Hai Eid Hum Manayen Ge
.
Nekiyon Ko Apnana Aur Gunaah Se Bachna
.
Eid Ki Haqeeqat Hai Eid Hum Manayen Ge
.
Maa Ki Khidmatein Karna Baap Ko Khushi Dena
.
Aakhirat Ki Daulat Hai Eid Hum Manayen Ge
.
Bhool Kar Gile Shikwe Bhai Ke Gale Lagna
.
Anbiyaan Ki Seerat Hai Eid Hum Manayen Ge
.
Sirf Maal'daaron Ki Eid Yeh Nahi
.
Sab Ki Yeh Amaanat Hai Eid Hum Manayen Ge

M. Ramzan Najmi

Aray aa eid jao dil muzataar bohat gam'geen lagta hai
.
Kisi ki yaad mein pagal bohat rota balaktaa hai
.
Suna hai jab to ate hai To bichray mil he jate hai
.
Sun0 aab aa he jao tum meri yeh mushkelay asaan kar do tum
.
Tujhay shayad khabr na ho bina apn0n k jena to
.
Bohat dush'waar hota chalo choro yeh ziid apni
.
Chali aao chali aao aye eid aa jao ab

Rehana Qamar

Har ghum se guzarne k liye phir eid aai hai
.
Purane gaho bahrnay k liye phir eid aai hai
.
Kanar-e-chasm rehtay aik mudat ho gai ham ko
.
Kisi dil mein utarnay k liye phir eid aai hai
.
Hina k phol khelna chahtay hain phir hataliy0n par
.
Wafa mein rang bahrnay k liye phir eid aai hai
.
Haalale eid ne pigham behja hai qamar ham ko
.
K us ko yaad karne k liye phir eid aai hai

Abdul Hameed Adam

Yun justujo-e-yaar mein aankhon ke bal gaye
.
Hum koaye yaar se bhi kuch aa'gay nikal gaye
.
Waqif thay teri chashm-e-taghaful pasand se
.
Woh rang jo bahar ke sanche mein dhal gaye
.
Aye shama un patangon ki tujh ko kahan khabar
.
Jo apni istiyaaq ke germi se jal gaye
.
Wo bhi to zindagi ke iradon mein thay shareek
.
Jo haad'saat teri murawat mein taal gaye
.
Jab bhi wo muskura ke milay hum se aye adam
.
Donoan jahan fert-e-raqabat se jal gaye

Thursday, 24 July 2014

Basheer Badr

Ibadaton Ki Tarah Mein Ye Kama Karta Hon
Mera Asool Hain Pahle Salam Karta Hon.

Mukhaalfat Se Meri Shakhsiyat Sanwarti Hai Mein Dushmanon Ka Bara Ehtraam Karta Hon.

Mein Jeb Mein Apna Pata Nahin Rakhta Safar Mein Sirf Yahi Ehtamaam Karta Hon.

Mein Dar Gaya Hon Apne Se Daar Pehro Se
Zara Si Dhoop Bicha Kar Qayam Karta Hon.

Mujhe Khuda Ne Ghazal Ka Darya Bakhsha Hai Ye Saltanat Mein Muhbat Ke Naam Karta Hun.....!

Book Name
AasS.

Basheer Badr

Ibadaton Ki Tarah Mein Ye Kama Karta Hon
Mera Asool Hain Pahle Salam Karta Hon.

Mukhaalfat Se Meri Shakhsiyat Sanwarti Hai Mein Dushmanon Ka Bara Ehtraam Karta Hon.

Mein Jeb Mein Apna Pata Nahin Rakhta Safar Mein Sirf Yahi Ehtamaam Karta Hon.

Mein Dar Gaya Hon Apne Se Daar Pehro Se
Zara Si Dhoop Bicha Kar Qayam Karta Hon.

Mujhe Khuda Ne Ghazal Ka Darya Bakhsha Hai Ye Saltanat Mein Muhbat Ke Naam Karta Hun.....!

Book Name
AasS.

Basheer Badr

Betaab Hai Rangat Ke Liye Pyar Ki Khushbu Kab Sar Ke Qareeb Ayegi Talwar Ki Khushbu.

Mat'laa Mein Damak Uthta Hai Is Mathe Ka Mutti'la Rukhsar Mein Aa Jati Hai Rukhsar Ki Khushbu.

Kahti Hai Ke Aangan Ki Chambeli Thay Kabi Ham To Thay Par Tarapti Gul Bazar Ki Khushbu.

Darkaar Hai Aaraish-E-Nik'hat Ke Liye Rang Wo Nik'hat-E-Gesu Hai Ke Rukhsar Ki Khushbo.

Ab Agle Baras Ye Dar-O-Deewar Na Honge Ik Sar Ka Lahu Mange Hai Deewar Ki Khoshbu.....!

Book Name.
Aass.

Purnam Allabadi

Rakhte Hai
Dushmani Bhi
Jatate Hai Pyar
Bhi,
Hai Kaise
Ghumgusar Mere Ghumgusar Bhi
.
Afsurdagi Bhi Rukh
Pay Hai UnK Nikhar
Bhi
Hai Aaj Gulistan
May Khizaan Bhi
Bahaar Bhi
.
Peeta Hun Main
Sharab E Muhabt
To Kya Hoa
Peeta Hai Ye
Sharab Parwardigar
Bhi
.
Milne Ki Hai Khushi
To Bicharne Ka
Malaal Hai
Dil Mutma'in Bhi
Ap Say Hai Bay
Karar Bhi
.
Aa Kar Wo Meri
Laash Pay Ye
Kah Kar Ro Diay,
Tum Say Hoa Na
Aaj Mera Intezar
Bhi
.
Aay Dost Bad E
Marg Bhi Main
Hun Shikista
Haal
Dil Ki Tarha Say
Tota Hoa Hai
Mazar Bhi
.
"Purnum" Ye Sab
Karam Hai "Qamar"
Ka Jo Aaj Kal,
Hota Hai Ahl E Fun
Main Tumhara
Shumaar Bhi


Book
Phool Daikhay Na
Gaye

Purnam Allabadi

Gaisu Rukh Roshan
Say Wo Talnay
Nahi Daite
Din Hotay Hoay
Dhoop Nikalne
Nahi Daite
.
Anchal Main Chupa
Laite Hai Shamma
Rukh Roshan,
Parwane To Jal
Jayain Wo Jalne
Nahi Daite
.
Bhikra Di Wohin
Zulf Zara Rukh Say
Jo Sarki
Kya Raat Dhalay
Raat Wo Dhalnay
Nahi Daite
.
Kis Darja Hai Bay
Dard Tere Hijar K
Sadmay
Dil Ko Teri Yaado
Say Behelne Nahi
Daite
.
Daikha Hai Jisay
Bhi Wo Giratay
Hai Nazar Say
Chahe Bhi To
Sambhalna To
Sambhalnay
Nahi Daite
.
Gulshan Pay Udasi
Ki Fiza Daikh Raha
Hun
Wo Dard K Mosam
Ko Badalne Nahi
Daite
.
Bay Rah Q Kar Hun
Bhala Reh Roo
Manzil
Jab Rah Numa Rah
Pay Chalne Nahi
Daite
.
Wo Samne Hote
Hai To Hota Hai
Ye Alam
Arman Machalte
Hai Machalnay
Nahi Daite
.
Badnaam Wo Ho
Jayainge Ye Soch
K "Purnum"
Mahfil Main Hum
Ansoo Nikalne
Nahi Daite

Poet Bashir Badr

Me Samandar Ka Mizaj Hn Abi Is Nadi Ko Pata Nahi Sabi Nadiya Mujhse Milen Mgr Me Kisi Se Mila Nahi.

Mere Dil Ki Simat Na Dekho To Kisi Aur Ka Ye Maqam Hai Yahan Uski Yaden Muqeem Hai Ye Kisi Ko Mene Dya Nahi.

Mujhe Dekh K Na Jhuka Nazar Na Koaar Dil Ke To Band Kr Tere Ghar Me Aaonga Kis Tarah K Me Admi Hn Hawa Nahi.

Mere Dil Ki Khushu Se Bhar Gaya Wo Qareeb Se Yun Guzar Gaya Meri Nazar Me To Phool Hai Ise Kya Laga Mujhe Pata Nahi.

Meri Umar Bhar Ki Thakawaten To Palak Chipakte Utar Gayi Mujhe Itne Pyar Se Aj Tak Kisi Dosre Ne Chua Nahi.

Ye Muqadar Ki Likhawaten Jo Chamak Gayi Wo Parhi Gayi Jo Mere Qalam Se Likha Gaya Usay Kyun Kisi Ne Parha Nahi.

Ye Badar Bi Sawal Hai Ke Berukhi Hai K Pyar Hai Kabi Pas Us K Gaya Nahi Kabi Door Us Se Raha Nahi

Book Name
Aass

Poet Faisal Nadeem

Chalo Ik Kaam Karte Hai
.
Muhabt Aam Karte Hai
.
Sabhi Khushiyan Tumhain Day Kar
.
Gham Apne Naam Karte Hai
.
Na Jane Q Jahan Wale
.
Hamain Badnaam Karte Hai
.
Teri Aagosh Main Jaa'na
.
Zara Aaraam Karte Hai
.
Zamane Ki Har Ik Sazish
.
Chalo Nakaam Karte Hai
.
Tumhare Naam "Faisal" Jee
.
Ye Bheegi Shaam Karte Hai
Book
Gumnaam Muhabbat

Wednesday, 23 July 2014

Kabhi Zaraz Na Hona

Gilay chahe bohat karna,


Rulana aur bohat larna !


Suno naraz mat hona,


Kabhi aisa jo ho jai,


Keh teri yaad se ghafil,


Kisi lamhay jo ho jaon,


Bina dekhe teri surat,


Kisi sham mein jo so jaon,


To sapno main chaly aana,


Mujhey ehsas dila jana,


SUNO NARAZ MAT HONA,


Kabhi aisa jo ho jaey,


Jinhe kehna zaroori ho,


Wo mujh se lafz kho jaen,


Anaa ko beech mat lana,


Meri awaz ban jana,


KABHI NARAZ MAT HONA

To Yousaf Sa Haseen To Nahi

Main Ne Mana K Too Yousaf Sa Haseen Hai Lakin

Ye Mera Dil Hai Koi Missar Ka Bazar Nahi

Apni In Shokh Adaon Ko La Kar To Dekh

JAN De Den Gay Monh Se Hi Iqraar Nahi

Hum Ne To RooH Tumhari Se Mohabbat Ki Hai

Hum Ko Is Banne Sanwarne Se Sarokar Nahi

Pyar Karte Ho Kabhi Pooch Jo Baithe Un Se

Pkar K Hath Kaha Dil Lagi Hai Pyar Nahi

Tuesday, 22 July 2014

Poet Iqbal

Shikwa-E-Ashk Nahi Jurat-E-Guftar Nahi,

Mere Hathon Mein Koi Jabar Ki Talwar Nahi,

Ibn-E-Aadam Hon Husain Se Mohabbat Ki Hai,

Aag Ka Chand Ka Pathar Ka Paristar Nahi,

Mujh Ko Ibadat K Ivaz Meri Mohabbat De De,

Main Teri Kisi Janat Ka Khareedaar Nahi,

Jis Ne Husain Se Mohabbat Hi Na Ki Ho IQBAL

Dar Haqeeqat Wo Khuda Ka Bhi Talab Gaar Nahi.

Poet Arshad Slaam Butt

Wafa k badlay jafa mile mujh ko
.
Dil laganay ki yeh saza mile mujh ko
.
Us ka pigham he diya us ne
.
Sar'raah jab bhe saba mile mujh ko
.
Husan bhe bewafa raha mujh se
.
0or qismat bhe bewafa mile mujh ko
.
Ishq ne kal bhe kahan paaii
.
Bekale bhe' saawa mile mujh ko
.
Wo meray wastay aik aata thahri
.
Ishq se jo bhi jaaza mile mujh ko
.
Arshad koi aise shab tu bata
.
Ghum-e-zindagi k sawa mile mujh ko

Book Poch Lo Sitaro0 Se

Poet Sadaf Ghori

Teri chahat sumandar hai, meri naawo safar par hai
.
Tumhary bin yeh mera dil, koi viran sa ghar hai
.
Tumhara naam he har paal, meri nok-e-zubaan par hai
.
Tum ho davta is k, jo mandar dil k andar hai
.
Bahala do kis tarha tujh ko, mein saaya h0n to paikar hai
.
Chali h0n tujh main milne ko, main nadi to sumandar hai
.
Tumhary sath jo guzray, wo paal sadiy0n se behtar hai
.
Sadaf aik aaina ban kar, wo ab mery barabar hai


Book Manzar Chunte Aankhein

Monday, 21 July 2014

Poet Basheer Badar

bader do aankhain bohat dhoond rahi hain tum ko
chand ki chaudhween raat hai, uper dekho

raat soi hui raa'naiyon ney mujh se kaha
hum tumhari hi ghazal hain kabhi hum ko bhi kaho

chandni raat main keh jati hai aahat jaisay
hum bohat paas hain aawaz na do, hum ko suno

jis sey umeed-e-wafa hogi wohi dukh dai ga
beywafa jaan kay chaho jisay ab kay chaho

us ki qudrat main nahi ruk kay koi baat sunay
waqt aawaz hai aawaz ko aawaz na do

muntazir kab sey hain auraaq-e-kitab-e-hasti
dil ka kuch rang kero nok-e-qalam ko chumo

aik aawaz bohat kafi hai sotay k liye
log samjhain gay baney laitay ho ab jaag pero

aaj kamrey main nahi bethnay wala mausam
berf girnay ki khabar garm hai ab jaag pero

Eid Ghazal

Taante Bandhe Hain Masjid-E-Jama Ki Raah Main
Gulshan Se Khil Rahe Hain Har Aik Kaj Kalah Main
Ab Bhi Aa Jaye Ke Tere Daman Par
Ashq Barsa Ke Kar Len Hum Bhi Eid
Baroz-E-Eid Udasi Hai Mere Dil Main Kyun
Gale Jo Milte The Har Eid Par Woh Ab Hai Kaha
Nayi Khushi Thi Falak Ki Siyah Chadar Par
Hilal Eid Sar Shaam Jab Nazar Aaya
Main Ne Chaha Tha Tujhe Eid Pe Kuch Nazar Karun
Jis Main Ehsaas Ke Sab Rang Hon Roshan Roshan Jaan
Khuda Ka Shukar Roz-E-Eid Roz-E-Deed Aa Pahuncha
Wagarna Kaun Tha Apna Shareek Bazam Tanhai

Eid Ghazal

Eid Aik Aibaadat Hai Eid Hum Manayenge
Yeh Khuda Ki Rahmat Hai Eid Hum Manayenge
Nekiyon Ko Apnana Aur Gunaah Se Bachna
Eid Ki Haqeeqat Hai Eid Hum Manayenge
Maa Ki Khidmatein Karna Baap Ko Khushi Dena
Aakhirat Ki Daulat Hai Eid Hum Manayenge
Bhool Kar Gile Shikwe Bhai Ke Gale Lagna
Anbiyaan Ki Seerat Hai Eid Hum Manayenge
Sirf Maaldaaron Ki Eid Yeh Nahi
Sab Ki Yeh Amaanat Hai Eid Hum Manayenge

Poet Ali Gee

Chaand raat ki satyon main wo saath nahay hey Hey pass buhat phiar bhi magar pass nahi hi
Tera zulam janaa kub tak mere sabar ko azmay ga
Tu jo shook aada ka maskan hey
Umre rafta key saath dhal jay ga
Phiar kon ho ga tujh ko dekhnay wala
Raat ki rani ki tarhan kon tera vajud ko makhey ga
Kon de ga tere akhon Ko kajal
Kon tere honton ke lali chore ga
Chand raat kO khega kon
suno gift kiya lo ge
Kam khyab sey saja jora kon phenye ga
Kon khe ga
atni mode kuy ho
Kon bhar kar tere sir ko sheLay ga
Kon chome ga tery ruksaron ko
Kon bhar kar galye lagye ga
Beet na jaye aye lamhay jana Subha ko apni muhabbat ka pegaam dey do
Bhar kar milo dhere sey jana
Ali ko jenay ka saman dey do Bool do aaj tum sey pyar hey
Eid ka aye kush rangi pegaam hey

Poet Farhat Zahid

Jazb0n ki har aik kaale andhi nikle
.
Or muhabbat us se bhi pighle nikle
.
Main bi tor na paye yeh jhoti rasmein
.
Main bhi ik mamole larki nikle
.
Tum mujh se nafraat kesy kar paao gay
.
Main to apne jhot mein bi sachi nikle
.
Wo ghar jo ujala ujala sa lagta tha
.
Jahro pocha to kitne mitti nikle
.
Socha tha is se har baat chupaon gi
.
Main bi waaday ki kitni kache nikle
.
Jo apne hath0n se phaar k phanki the
.
Dil mein ik tasver wohi rakhi nikle

Book Larkian Adhori Hain

Poet Shahzad Nayyar

Geer jaye zamen par to sanbhalay nahe jatay
.
Bazar mein dukh dard uchalay nahe jatay
.
Jate nahe sahra0n ko ham ishq garift
.
Jab tak dil majn0 ki dua'aye lay nahe jatay
.
Ab mujh se en aankhon ki hifazat nahe hote
.
Ab mujh se teray khuwab sanbahalay nahe jatay
.
Aankhon se nikaltay ho magar dehyaan mein rakhna
.
Tum aise kabhe dil se nekalay nahe jatay
.
Aisa bhe nahe chor k jatay nahe khuwa'baan
.
Jatay hain magar loutnay walay nahe jatay
.
Jangal k yeh podeay hain inhin chor de nayyar
.
Ghum aap jawan hotay hain palaay nahe jatay

Book Chak Se Utray Waj0od

Poet Muslim Saleem

Qalam'kaari mein maahir ho gaye hai
.
Ghazal parveen shakir ho gaye hai
.
Nihan thay ham se jo aurat ke jazbe
.
Wo khud un ki musavir ho gaye hai
.
Qad itna barh gaya hai shaira ka
.
Ke hamdosh-e-akaabir ho ho gaye hai
.
Nahen gai ab wo mardon ka khil0na
.
Siyasat main bhi maahir ho gaye hai
.
Hamare daur main aurat bhi muslim
.
Mudabir aur mufakir ho gaye hai

Sunday, 20 July 2014

Poet Washma Khan Washma

Guzri howi hawaon mein ja kar wo so gaya
.
Dariya mein maira naam baha kar wo so gaya
.
Pal pal pighalte raat mein jo muntazir raha
.
Phir sare khuwaab meray jaala k wo so gaya
.
Sahil pe aik bana k gharonda sa rait ka
.
Har aik gham ko dil se laga kar wo so gaya
.
Apne badan ki khirchiya samit0n to kis tarha
.
Mera to sab wajod hilaa kar wo so gaya
.
Kaise howa ab yaqeen k wo lout aye ga
.
Wadon k khuwaab mujh ko daikha kar wo so gaya

Book Jan-E-Mohsin

Poet Shahzad Qais

Eid is baar jo pardais mein ai ho gi
.
Yaar ne hickiyan le le k manaiye ho gi
.
Chand bhi baam pe matam-e-kanan aya ho ga
.
Bazm-e-ghum qutbi sitare ne sajaiye ho gi
.
Rang to mera pasnd'deedha he pehna ho ga
.
Naam ki mehndi bhi galti se lagaiye ho gi
.
Sabqa eid ka manzar koi yaad ate hi
.
Laaj k maare nazar us ne jhukaiye ho gi
.
Ghar meri marzi k rang0n se sajaya ho ga
.
Meri maan chahye gaza dil se banaiye ho gi
.
Phir gazl khol k tawiz parhe ho gi meri
.
Chekhey hasrat se kalejaye mein dabaiye ho gi
.
Apne paalo se meri yaad ko poancha ho ga
.
Jhoty ghaze ki hansi rukh pe sajaiye ho gi
.
Pehle to us ne gine hon gay kai so taare
.
Phir dawa nend ki uth kar koi kahaiye ho gi
.
Aqal bole k nahe eid sanam k aise
.
Dil bazd hai k nahe aise he aiye ho gi
.
Yah to ehsas-e-nadamat ne rolaya ho ga
.
Yah Ghazal qais ki shohar ne sunaiye ho gi


Book Eid

Poet Shahzad Qais

Zakhm apnana kitna mushkil hota hai
.
Taaish dafnana kitna mushkil hota hai
.
Kitne aasan hai sabar ki tallqeen
.
Sabaar aa jaanaa kitna mushkil hota hai
.
Eid k din mujhe howa maalo0m
.
Khush nazaar aana kitna mushkil hota hai
.
Jo nibahate hain un se poche koi
.
Hath pakraana kitna mushkil hota hai
.
Kitni aasan the faisle ki gahri
.
Aah! pachtaana kitna mushkil hota hai
.
Aap ne bhi kabhi kiya mehso0s
.
Baat paltana kitna mushkil hota hai
.
Soli par jagna hai mout talak
.
Dil ko behlana kitna mushkil hota hai
.
Mujh pe bite hai mujh se pocho janaib
.
Laash ghar laanaa kitna mushkil hota hai
.
Kash samjhne wala bi samjhaey
.
Khud ko samjhana kitna mushkil hota hai
.
Aah dole nu'maa janaze par
.
Phol barsanaa kitna mushkil hota hai
.
Qais ban'ne k baad jana qais
.
Qais ban jaana kitna mushkil hota hai


Book Eid

Poet Wajeed Ameer

HEraton ka jahaN hai logo.

Dil lahoo ki cHataan hai logo.

Sari makhloq jis ki hai mahmaan.

Wo bhi kiya mezbaan hai logo.

Khak ny Ek din bikharna hai.

Admi be-E-Shan hai logo.

Us tarf hai zamen ki gardish.

Jis tarf asman hai logo.

B-E-Samr khAwAHishay ugata hai.

Dil bhi andha kisaan hai logo.

Kitni tHalkhi chopaay bEatha hai.

Jis ki mithi zubaan hai logo.

Sab nishany isi ki janib haiN.

Jis ki onchI Uraan hai logo.

Sari duniya mai sirf wajid he.

Bus mera raazdaan hai logo.


Book Phool Phool Khusboo

Titliyan Baith Gai Hathon Par

Kitna Dukh Chupaye Tha Wo Mehfil Me Gany Wala,
Dil Me Ro Raha Tha Zahir Me Hansany Wala.

Din Eid Ka Aur Youn Chupaye Huye Gham,
Din Eid K Muskra Raha Tha Aansoo-E-Khoon Bahany Wala.

Yuam-E-Eid Qayamt Sa Tha Us K Liye,
Qarz-E-Wafa Luta Raha Tha Anjany Dais Sy Aany Wala.

Titliya Beth Gayi Banaye Thy Jo Hathon Py Phool,
Kitna Wo Ma'Hir Tha Mehndi Lagany Wala.

Keh Raha Tha Yun Wo Dastan Apni,
Main Nahi Apni Wafa Ko Jatlany Wala

Poet Muslim Saleem

Khabar bhi hai ke muhabbat gulaab hoti hai
.
Laho0 ke rang se ulfat gulaab hoti hai
.
Hazaar us ko chupao magar mahakti hai
.
Dilon ki kyari mein chahat gulaab hoti hai
.
Yeh seh na payen ge baad-e-sam0m nafrat ki
.
Taluqaat ki fitrat gulaab hoti hai
.
Khyal ban ke meri khar'zaar hasti mein
.
Tum aate ho to tabe'at gulaab hoti hai
.
Yeh aarzo koi muslim pe hi nahen mauqof
.
Har aik shakhs ki hasrat gulaab hoti hai

Poet Muslim Saleem

Mahabbat main ana kya, naam kya hai
.
Aana hai to wafaa ka kaam kya hai
.
Sazaon par saza'en day raha hai
.
Bataye to sahi ilzaam kya hai
.
Bichar kar us say phir hum nay na jaana
.
Sukon kya chez hai aaram kya hai
.
Aagar dekho shikast-e-dil ko dekho
.
Na yeh dekho shikast-e-jaan kya hai
.
Kisi ki yaad dafnane chale hain
.
Jahan-e-dil mein yeh kohraam kya hai

Poet Muslim Saleem

Dosron ke liye dharakta dil
.
De mujhay dil agar to aisaa dil
.
Laakh jalwa hain aur tanhaa dil
.
Tab hi rehta hai khoya khoya dil
.
Dekh kar us ko aise machlaa dil
.
Kya kahen kis tarah sanbhala dil
.
Yaar ki bazm main sanbhal kar ja
.
Kar na baithay koi tamashaa dil
.
Aab to muslim yeh baat maan hi le
.
Jism arzaan hai aur sastaa dil

Poet Muslim Saleem

Taqreer say baaten kabhi tahreer say baaten
.
Hoti hi rahen us but-e-bay peer say baaten
.
Aab chup h0n magar pas main jab tu nahen h0ta
.
Karta hon main ghanton teri tasweer say baaten
.
Yaadon ke jazeere say nikalne nahen deten
.
Rakhti hain mujhay bandh ke zanjeer say baaten
.
Khushbo0 kay khazanay hain tera zikaar tera naam
.
Mehki hain yeh muslim isi taseer say baaten

Poet Muslim Saleem

Na tha wo jis ke sab khogaar bahot thay
.
Wagarna khush'numa manzar bahot thay
.
Murawat haq parasti saaf goi
.
Meray dushman meray andaar bahot thay
.
Baha basti main phir is baat par khon
.
Madad thori se thi aur ghar bahot thay
.
Bahot tha meray lab par naam tera
.
Jahan ke hath main pathar bahot thay
.
Wahi jeeta ke jis k sath rab tha
.
Tha muslim ek aur azar bahot thay

Poet Muslim Saleem

Bemar-e-hawas hai tera arman zada dil
.
Eman ko kya paye ga shaitan zada dil
.
Abro se jigar zakhmi to mizgaan zada dil
.
Dekha jo usay ho gaya tofan zada dil
.
Chalni hai fareb0n se rafeqon ki daghaa say
.
Main le ke kahan jaon yeh insan zada dil
.
Ky0n pyas bujhata hai tu apn0n ke laho say
.
Kehta hai muslman say muslman zada dil
.
Duniya ki muhabbat bhi ajab rog hai muslim
.
Jis dil ko bhi ab dekho hai sartaan zada dil

Poet Muslim Saleem

Us ka har dam khyaal hai sahib
.
Jis ko paana muhaal hai sahib
.
Husan kya hai? kamaal hai sahib
.
Ishq kya hai' wabaal hai sahib
.
Ham sarapaa jawab ban baithay
.
Sab k laab par sawaal hai sahib
.
Lag gaya aap ko bhi ishq ka roog
.
Kahiye ab kaisa haal hai sahib
.
Ishq or is hasaan-e-sholay se
.
Kab hamari majaal hai sahib

Poet Muslim Saleem

Samjhotay ka qaail h0n reh reh ke lachakta h0n
.
Itna nah jhuka mujh ko mein tot bhi sakta h0n
.
Jab ounchay pahar0n se takra ke palat'ta h0n
.
Maidan hi neecha hai maidan pay barasta h0n
.
Khaye hain fraib itnay insan se darta h0n
.
Wehshat mein khud apne hi saaye se bharakta h0n
.
Yakh basta mulakaatein rishte bhi hain bar'felay
.
Yeh aag bhi kaisi hai mein jis mein sulagta h0n
.
Kuch or sitam us ne ijaad kiye h0n ge
.
Zalim ke tabasum ko mein khub samjhta h0n

Poet Muslim Saleem

Umar ka dushman shore machata rehta hai
.
Dil mein bachpan shore machata rehta hai
.
Lakh kare wo khosish juram chupanay ki
.
Us ka daman shor machta rehta hai
.
Hai takhleeq se aari naqid jane do
.
Khaali bartaan shore machta rehta hai
.
Dekh ke yaaron ko aksar yeh nadaan dil
.
Dushman dushman shore machata rehta hai
.
Pichay palto ghuri par bhi ghaur karo
.
Dil ka balban shor machata rehta hai
.
Muslim kaisay dekhen runaqe bahar ki
.
Ghar ka bandhan shore machata rehta hai

Poet Basheer Badar

Sun le jo khuda ne wo dua tum to nahe ho
.
Darwaze pe dastak ke sada tum to nahe ho
.
Samaite howe sharmae howe raat ke rani
.
Soye howe qaliy0n ke haya tum to nahe ho
.
Mehsos kiya tum ko to gele howe palke
.
Bhegay howe musam ki ada tum to nahe ho
.
In ajnabi rahon mein nahe koi bhe mera
.
Kis ne mujhe yuh apna kaha tum to nahe ho

Book Aahat

Poet Aitbar Sajid

Aisa Nahi K Tere Bad Ahl-E-Karam Nahi Mile, Log To Kam Nahin Mile, Logon Se Ham Nahin Mile
Ek Tere Firaaq Ki Bat Aur Hai Jin Ko Na Saah Sake Ye Dil, Aise To Gham Nahin Mile,
Qissa Tark Rasm-O-Raah Ke Siwa Hai Aur Kya Mil Na Sake Tabiyatein, Apne Qadam Nahin Mile
Ye To Hawa Ke Ishq Mein Naam Buhat Kamaya Khud Ko Buhat Ganwaya, Daam-O-Daram Nahin Mile
Aisa Dayar Hijar Ne Ham Ko Aseer Kar Liya Aur Kisi Ka Zikar Kya Khud Ko Bhi Ham Nahin Mile
Naam Wirdo Ke Shehar Mein Naam Buhta Mile Magar Ham Se Garaaz Dil Ahl-E-Kalam Nahin Mile.

Book Wohi Aik Zakhm Gulab Sa

Poet Muzafar Warsi

Aansuon Ko Bharkati Hai Badal Ki Aag
Barsatein Bhi Lagti Hain Jangal Ki Aag
Husn Ke Aatish Kady Mein Nach Raha Hai Koi
Chum Chum Ki Awaz Hai Ya Payal Ki Aag
Mein Bhi Jal Kar Kundan Banna Chahta Hon
Mere Hathon Pe Rakh Do Ek Ek Pal Ki Aag
Rakh Ka Dhair Bana Deti Hai Insan Ko Ishq Ka Asli Naam Hai Ek Pagal Ki Aag
Shabnam Hai Ya Bijli Ham Par Girti Hai, Sard Hawayen Hain Ya Us Anchal Ki Aag
Haal Ke Sholy Mustaqbil Ki Phulwari, Aaj Ke Seene Mein Jalti Hai Kal Ki Aag
Meri Sha Raag Ka Qabza Har Khanjar Par Mere Khoon Se Roshan Kar Maqtal Ki Aag
Ma'y Se Bharh Kar Masti Ma'y Ki Hoti Hai, Jis Ki Aag Se Kumtar Hai Botal Ki Aag
Ham Jaise Dil Jale Muzaffar Jante Hain,
Posheeda Hai Kook Mein Hai Koyal Ki Aag...!


Book
Rakh Ke Dhair Main Phool

Poet Saghar Sadiqiui

Manzil-E-Gham Ki Fizaon Se Lipat Kar Ro Lon Tere Daaman Ki Hawaon Se Lipat Kar Ro Lon

Jaam-E-Ma'y Peene Se Pahle Mera Ji Chahta Hai Bikhri Zulfon Ki Ghaaton Se Lipat Ke Ro Lon

Zard Guncho Ki Nigaahon Mein Nigaahein Dalo
Surkh Phoolon Ki Kaabaon Se Lipat Kar Ro Lon

Aane Wale Tere Raste Mein Bichaon Aankein
Jaane Wale Tere Paon Se Lipat Kar Ro Lon

Apne Majboor Taqadus Ke Sahaare Saghar
Dar-O-Kaaba Ke Khuda Se Lipat Kar Ro Lon

Book
Muhbat Mustaqil Ghum Hai

Poet Farwa RajPutt

(Eid Aane Se Pehle Aa Jana)

Surkh rangon se hai lagao tum ko
.
Surkh kapre bhi salwa rakhe hain
.
Mehndi hathon pe bhi lagi hai
.
Tum ko nakhray bhe ache lagte hain
.
Choriyan bhi to cherha rakhe hain
.
Aapni zulfen bhe suljha rakhe hain
.
Sadgi he hai pasand tum ko
.
Khud ko ab sadagi mein he rakha hai
.
Aaye mery yaar ! aaye mery hamdam
.
Sach kaho gi bura maanao gaey
.
Jis ki khatir mujhe to ne chora
.
Meray paavo k wo barabar hai
.
Mujh ko thokrane wale sun le to
.
Mujh ko tum se bohat muhabbat hai
.
Teri khatir sanwar rahe h0n
.
Mein akhri baar ab manane ko
.
Eid ane se pehle aa jana eid ane se pehle aa jana

Poet Wasi Shah

Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain
.
Zinda lagte hain magar asal mein mar jate hain
.
Jab kabhi bolta hai hai hanss ke kisi aur se tu
.
Kitne khanjar mere seeney mein utar jate hain
.
Teri yaadon ki agar batiyan jal uthte hi
.
Hum tere dard ki khushbuon se bhar jate hain
.
Hum se awaara phira karte hain galiyon mein kahin
.
Shaam hote hi Wasi log to ghar jaate hain


Book Wo Shakhas Hamara Ho Ga.

Poet Khalid Shareef

Tanhai se baatein karte shaam guzari hai
.
Lamha lamha jeete marte shaam guzari hai
.
Us ki be'mahre mein bhe kuch dosh hamara hai
.
Tohmaat apni zaat pe dahrte shaam guzari hai
.
Wo jane kis ghar angan ki ronak ban baitha
.
Jis ki yaad mein aahe bahrte shaam guzari hai
.
Dobta suraj daikh k dil bhe dobne lagta hai
.
Hum ne apne jaan se guzarte shaam guzari hai
.
Pehir aye gi raat wohe dukh jaag uthe ga pehir
.
Khalid hum ne darte darte shaam guzari hai


Book Bicharne Se Zara Perle

Poet Wasi Shah

Tabeeb ban kar jo aa gaye ho mein neem'jaan tha to tum kahan thay?
.
Tumhari ulfat ki be'hisi pay mein na'khawan tha to tum kahan thay?
.
Har ek gul tha khizaan raseeda, k aag har su lagi huyi thi
.
Bahaar ayi to aa gaye ho yahan dhuwaan tha to tum kahan thay?
.
lahoo se diye jalaaye to phir kahin se ye sehar bhi aayi
.
Andhaira jab tak taveel raaton ka hukmaran tha to tum kahan thay?
.
Shaoor-e-guftaar aa gaya hay, na mere lehjay mein zehr gholo
.
Mujhe ab apni zubaan mili hay, mein be'zubaan tha to tum kahan thay?


Book Chain Aye Mujhe

Poet Fakhra Batool

Udaas rut mein Lahoo ki bondon mein
.
Bas udaasi hi jagti hai
.
Kahen parha tha Keh phir suna tha
.
To yun bhi hota hai yeh udaasi
.
Tamam yadon ki narm-o-nazuk si konplon ko
.
Kabhi achanak hi noch leti hai
.
Bey dhiyani mein bey khudi mein
.
Suno yeh dharka laga hai man ko
.
Kahen na esa ho esi rut mein
hamein bhula do
.
Yahe to tum se kaha tha janan
.
Wohi hua na
bhulaa dia na
bhula dia na


Book Bhula Dia Na

Poet Arslan Ahsan

Udaas shaam hai aao kahe py chaltay hein
.
Ghamo ko sath liye ghar say ab nikaltay hein
.
Jalay thay jo kabi kuch diaye wafa k sanam
.
Aa dekh vaise he ab tak sanam vo jaltay hein
.
Yah kesy soch lia to nay k ham bhula den gay
.
Han chaha ho jinhen dil sy vo kab nikaltay hein
.
Nahe ha tishnige ham ko kisi bi sawan ke
.
K teri yad may ansu jo ab nikaltay hein
.
Hamein to janay kyo ab bhe yaken aay na
.
K musomo ke tarah log bhe badaltay hein
.
Kamal husn hai "Ahsan" k aasman py ab
.
Chand taray pouch kar usy nikaltay hein

Poet Jhon Elia

Aik Saya Mera Maseeha Tha
.
Kon Janey Wo Kon Tha, Kya Tha
.
Wo Faqat Sehen Tak Hi Aati Thi
.
Mein Bhi Hujrey Sey Kam Nikalta Tha
.
Tujh Ko Bhoola Nhi Wo Shakhs K Jo
.
Teri Banhon Mein Bhi Akela Tha
.
Jaan Leva Thi Khwahishein Warna
.
Wasl Sey Intzar Acha Tha
.
Baat To Dil Shikan Ki Hai Per Yaaro
.
Aqal Sachi Thi Ishq Jhoota Tha
.
Apney Myar Tak Na Pohancha Mein
.
Mujh Ko Khud Per Bara Bharosa Tha


Book Shaayaad

Poet Shahzad Qais

Ramzaan ja raha hai or eid aa rahe hai
.
Ya rab sanam juda hai or eid aa rahe hai
.
Gurbat ka maara k0i patri pe eid wale
.
Saar rakh k ro raha hai or eid aa rahe hai
.
Kaisa chairagha sahib! aab ki to barish0n se
.
Ghar totne laga hai or eid aa rahe hai
.
Yeh zulam hai sara'sar pehle he dil hamara
.
Maar maar k chup howa hai or eid aa rahe hai
.
Dil ghum ka aabala ho to rone ki bajaye
.
Hasna kari saza hai or eid aa rahe hai
.
Pinjare ko zakhmi kar k umed ka kabotar
.
Dam sadah k khara hai or eid aa rahe hai
.
Hairaat se dam ba'khod h0n is baar kiya howa k
.
Khat tak nahe mila hai or eid aa rahe hai
.
Wahshat ne yuh parha hai tanhai ka safaa
.
Dil sakht bahar gaya hai or eid aa rahe hai
.
Bah0n mein eid ho gi jis ne kiya tha wada
.
Bahon mein ja chuka hai or eid aa rahe hai
.
Jaanam is eid par ham chalte hain qais k ghar
.
Dushman ne yeh kaha hai or eid aa rahe hai


Book Eid

Poet Sadaf Ghori

Baharo k din wo baharo ki raatein
.
Mujhe ache lagti hain sapn0 ki baatein
.
Sada de rahe hain wo raah raah k tum ko
.
Wo kamra, wo jugn0, daricha wo ghatein
.
Chalo faisla aaj don0 kare ham
.
Na rahna alag na khane hai maatein
.
Muhabbat hai aisa be'los jazba
.
Na poche yeh mazhab na dekhay yeh zaatein
.
Sadaf ki muhabbat hai pariy0n ka dairaa
.
Talismi se qisse haqeqat se baatein

Book Muhabbat Aankh Mein Gum Hai

Poet Muslim Saleem

Yaad hai saara jahan' bhol gaye hain khud ko
.
Sochtay hain ke kahan bhol gaye hain khud ko
.
Jeet le ga hamain dushman bari aasani say
.
Ho gaya sab pay ayaan bhol gaye hain khud ko
.
Apnay aslaf say kat jaana tha muqsan-e-azeem
.
Sab say barh kar yeh ziyaan bhol gaye hain khud ko
.
Pochta hai koi naam-o-nishan hans hans kar
.
Khul nahen pati zabaan bhol gaye hain khud ko
.
Yaad muslim ko dilaao koi beeti baatein
.
Aaj kal to yeh miyan bhol gaye hain khud ko

Roza Bi Na Tota Iftare Bi Ho Gai

Usne Din-Raat Mujh Ko Sataya Itna,
Ki Nafrat Bhi Ho Gayi Aur Mohabbat Bhi Ho Gayi...
Usne Is Nazakat Se Mere Hotho Ko Chooma,
Ki Roza Bhi Na Toota Aur Aftari Bhi Ho Gayi....
Usne Is Ehtraam Se Mujh Se Mohabbat Ki K....
Gunaah Bhi Na Hua Aur Ibaadat Bhi Ho Gayi....
Mat Puch Uske Pyar Karne Ka Andaz Kaisa Tha...
Usne Is Shiddat Se Seene Se Lagaya Ki
Maut Bhi Na Hui Aur Jannat Bhi Mil Gayi....!!

Usne Is Nazakat Se Mere Hotho Ko Chooma,
Ki Roza Bhi Na Toota Aur Aftari Bhi Ho Gayi

Friday, 18 July 2014

Poet Shahzad Qais

Mahak wafa ki k0i phol se juda na kare
.
Karo main eid tery bin khuda na kare
.
Dua ka qasa banaiye mil k ik ik hath
.
Koi bi apne do hath0n se ab dua na kare
.
Jo chand daikhe to honto k char0 chand mile
.
Siwaye shukar k palk0n se kuch gira na kare
.
Gaale lagaye to kaiye sadiy0n tak sak0t rahe
.
Roke yuh gardishen darhkan talk chala na kare
.
Nigahe baat nigah0n ki yuh samjhte h0n
.
Labon se koi kabhe aarze madaa na kare
.
Khuda kare k jafa umar bhar main kar na sako
.
Agar karo to meri zindagi wafa na kare
.
Wo bazo kya jo simatiye na umar bhar tujh ko
.
Wo sar he kya teray zaan0 pe jo raha na kare

Labo se yuh chun0 palk0n se tery ghum rezay
.
Naseeb naam se bi ghum k aashna na kare
.
Wisl-e-hijar to mola ki deen wo jane
.
Namaz pyar ki dharkan kabhe qaza na kare
.
Judai ho to meri umar tujh ko lag jaye
.
Wo qais kiya jo hiyat-e-ishq mein fana na kare

Boook Eid

Poet Purnaam Allabadi

Un Say Meri Jhoti
Sachi Ki Jo Burai
Logon Nay
.
Akhir Mujh Say
Roth Gaye Wo
Aisi Lagai Logon
Nay

Sath Dia Jhotay
Logon Ka Ronaa
To Is Baat Ka Hai
.
Sachay Thay Jo Un Logon Say Ki Na Bhalaai Logon Nay
.
Sab Say Hoay Wo
Seena Ba Seena
Hum Say Milayaa
Khali Haath
.
Eid K Din Jo Sach
Pocho To Eid Manai Logon Nay
.
Karne Lage Bahki
Taqreerain Waaiz
Mahfil Main
.
Paani Main Thori
C Mila Kar Kal Jo
Pilaai Logon Nay
.
Deewana Deewana Keh Kar Dunya Main Badnaam Kia
.
Mere Jaanon Ki
Baat Na Thi Kuch
Baat Barhaai Logon Nay
.
Marte Dum Tak Raha Jo Purnum" Us Kaa Aisaa Salook
.
Jaldi Say Kafnaa
Dafnaa Kar Jaaan
Churai Logon Nay

Book Phool Daikhay Na
Gaye

Poet Yasmeen Habeeb

Aik dil mein tha aik samne darya use kahna
.
Mumkin tha kahan paar utarna use kahna
.
Hijraan k sumandar mein heewall tha kise ka
.
Aamkan k bhanwar se koi ubahra use kahna
.
Aik haraf ke kheriche kahe seenay mein chubhe the
.
Pehron tha koi tot k roya use kahna
.
Mudat howe khursed gaahn se nahe nekla
.
Aisa kahe taara koi tota use kahna
.
Jate the koi raah akale kise janib
.
Tanha tha safar mein koi saya use kahna
.
Har zakham mein darkan ke sada gonjh rahe the
.
Aik hashar ka tha shor sharaba use kahna

Book Tinkoan Ka Dupata

Poet Zaib Butt

Sab apne apne gharon ko saja rahy hain
.
Sab log khusiya maana rahy hain
.
Dil kahta hai, tum nahe aa rahe ho
.
Magr log kahte hain maa eid aa rahe hain
.
Main namaz parh k jab louton ga
.
Kon mujhe pyar se gale lagaey ga
.
Kon mujhe apne hath0n se
.
Mithe saviya kehlaey ga
.
Kon kahe ga aj mera beta bohat acha lag raha hai
.
Sufaid rang ka jora tum par bohat saj raha hai
.
Kon mujhe hazaar0n duaein de ga
.
Kon hath utha k raab se yeh kahey ga
.
Khudaiya! meray bachaye ko har dukh se bacha k rakhna
.
Us ki raah0n ko phol0n se saja k rakhna
.
Dil kahta hai tum nahe aa rahe ho magar
.
Log kahte hain maa eid aa rahe hai

Poet Shahzad Qais

Ghum k raale mein dahle dil ki dua eid ka chand
Chasme pur'naam ko hai rim'jhim ki saza eid ka chand
Pehle awezan raha gohar-e-misgaan pe hilal
Sabr ki dor kate chan se gira eid ka chand
Ghash mein daikha sar-e-dahlez koi zakhmi sar
Rang ki ooth mein badal ki chupa eid ka chand
Chand lamhe nazr ata hai chala jata hai
Kuch to hai jis pe hai ham sab se khafa eid ka chand
Eid hai tafle tasale mery khush khush bacho
Bachpane mein humaien bahta tha bara eid ka chand
Siskiyan hijar gazedon ki sawa hote gai
Jane kis dard ki hota hai dawa eid ka chand
Chand ko daikh k aik chand bohat yaad aya
Aab k aankho mein nahe dil mein chubha eid ka chand
Geele lakri sa sulagtay thay magar zindha thy
Neem-o-jaan dil ki jalata hai cheta eid ka chand
Daikh k mujh ko hansa main ne kuch aise daikha
Saal bhar sath mery rota raha eid ka chand
Neem bismil hain isi shehr me aise bi Qais
Jin k maar jane ki karta hai dua eid ka chand

Book Eid

Meri Bhi Eid Ho Jaye

Chunri meri zartar bara saja sanwra haar singhaar
.
Labon pe laali kaan mein baali
.
Ankh mein kajaal paoun mein payal
.
Hath mein kangan tum bin magar mere sajan
.
Na chunri mein damak na choori mein khanak
.
Pheeki labon ki laali khali aankh ki piyali
.
Payal meri soyee soyee dil ki dunia khoyee khoyee
.
Ye rang roop mera ye mera haar singhaar
.
Sajan tum bin sab bekaar tum jo chale aou
.
Nazar bhar ke dekh jaou damakne lage chunri meri
.
Chanak uthe kangan mehak uthe tan'man
.
Thirakne lage payal meri sulag uthe labon ki laali
.
Bhar jaye ankh ki changal khali
.
Tumahre jo eik jhalak paa jaoun
.
Khatm ho raat aamaavas walee
.
Chand nikal ayae meri bhi Eid ho jayae

Poet Fida Batalvi

Jaise meri Eid ho gayi


Tujhe takeya toh laga mujhe aise
.
K jaise meri Eid ho gayi ek pal mein hazaron hajj ho gaye
.
Jab teri deed ho gayi ghara kacha tha
.
Yaken par paka tha ishq sohni mahiwal wala sacha tha
.
Gale maut ke mile woh jab hans ke
.
Toh zindagi kareeb ho gayi tujhe takeya toh laga mujhe aise
.
K jaise meri Eid ho gayi tera naam le k jab main pukarta
.
Jag chandra hai mujhe taahne maarta
.
Main yaari tere sang jab se lagayi
.
Yeh duniya rakeeb ho gayi tujhe takeya toh laga mujhe aise
.
K jaise meri Eid ho gayi tere ishq wali takri mein tulna
.
Sooli char k vi tenu nahio bhulna
.
Toh jene ki umeed ho gayi tujhe takeya toh laga mujhe aise
.
K jaise meri Eid ho gayi meri eid ho gayi

Poet Baqi Ahmed Puri

Aasmaan kuch nahe mery bhai
.
Yeh dhuwa kuch nahe mery bhai
.
La'makan mein bhi koi rehta hai
.
La'makan kuch nahe mery bhai
.
Aik jahan or hai bara is mein
.
Yeh jahan kuch nahe mery bhai
.
Is taraf wo hai, us taraf wo hai
.
Darmiyaan kuch nahe mery bhai
.
Koi ho to nishaan bhi hota
.
Be'nishaan kuch nahe mery bhai
.
Ishq silaab hai qayamat hai
.
Oor imaan kuch nahe mery bhai
.
Aab yahan kis liye tum aao gay
.
Aab yahan kuch nahe mery bhai
.
Ban k mitaata hai mitt k baanta hai
.
Rah'gaan kuch nahe mery bhai

Book Hamara Kya Hai

Mujh Se Door Gaon Ki Larki

Mujh Say Door
Ho Kar Ik Gaaon
Ki Larki
.
Is Bar Eid Par Apne Hont Lahu Say Laal Kare Gi
.
Shab E Firag Main
Wo Pagli Tanha Roi Hai
.
Gar Is Eid Pay Na
Mila To Sakht Malal Kare Gi
.
Apni Zulf E Paraishan Ko Sanwaray Gi Wo Meri Khatir
.
Eid K Din Wo
Singhar Bhi Kamaal Kare Gi
.
Kahe Gi Pagli Is
Eid Par To Wada
Tha Milne Ka
.
Phr Q Nahi Aaye
Bar Bar Yehi
Sawal Kare Gi
.
Wo Mere Baghair
Eid Ki Khushiyan
Kaise Manaye Gi
.
Wo To Khushiyon
Ki Jaga Ghamo Ka Istaqbaal Kare Gi
.
Log Khushiyan Manayain Gay Eid
K Din
.
Wo Pagli Ro Ro
K Apna Bura Haal
Kare Gi
.
Hum Pay Majboriyon
Ki Chader Charhi Hai "Jiger"
.
Gar Na Gaye Eid Par Wo Apni Hasraton
Ka Intiqaal Kare Gi...'

Poet Sarfarz Ahmed

Thursday, 17 July 2014

Eid Ghazal

Lo Ek Aur Eid B Guzer Gai Aisey
Sadiyon Se Chali Aa Rehi Hai Jesey
.
Wo Udasi, Wohi Yadein, Wohi Tanhai
.
Mili Hi Kab Thi Hamein In Se Rehai
.
Mehboob B Hai Naraz Sa Rootha Hua
.
Her Rishta B Hai Aisey Hi Utha Hua
.
Bohat Khush They Loag Chand Daikh Ker
.
Hum Udas Us Mein Mehboob Daikh Ker
.
Maan Liya Mehboob Se Ziadti Hum Ne Ki
.
Per Ganwa Liya Her Rishta Dey Ker Jan B
.
Kuch Anjan Rishtey Chaha Tha Barh Ker Jan Se
.
Han Chor Gaey Wo B Be-Wafa Maan K
.
Isi Sadmey Mein Her Khushi Guzer Jati Hai
.
Kiya Cheez Hai Muj Mein Jo Mujey Hi Rulati Hai

Poet Syed Ayaz Mustafa

Usay Kahna Ke Lot Aao Suna Hai Eid Aayi Hai

Ek Bar To Aa Ke Mil Jao Suna Hai Eid Aayi Hai

Usay Kahna Ke Bin Tere Buhat Eidein Guzari Hain

Is Bar To Milo Na Aa Jao Suna Hai Eid Aai Hai

Usay Kahna Judai Se Muhbat Kam Nahin Hoti

Ye Dunya Ko Batla Jao Ke Suna Hai Eid Aayi Hai

Usay Kahna Ke Chahat Ka Bharam Na Totne Dena

Tum Pal Do Pal Hi Aa Jao Suna Hai Eid Aayi Hai

Usay Kahna Ke Tanha Hai Koi Eid Ke Din

Ye Tanhai Mita Jao Suna Hai Eid Aayi Hai.

Poet Babar Ali Shani

Ye Jo Eid Aa Rahi Hai Kaho Kab Lot Ao Ge

Hamari Pyasi Nigahon Ko Kab Eid Karwao Ge

Ro Ro Ke Ankhon Ne Rim Jhim Ka Mosam Bana Rakha Hai

Aur Kab Tak Is Eid Pe Barsat Karwao Ge

Agar Is Eid Pe Bhi Nahin Aaye To Hum Mar Hi Jayen Ge

Hamari Zindagi Ki Batao Kitna Khayal Karo Ge

Khushyon Se Har Koi Mile Ga Apni Mehboob Se Gale

Tum Bhi Kisi Se Bari Khushi Se Eid Mana Ke Gale Milo Ge

Bas Bhi Karo Ab Us Ka Intizar Karna Shani

Bewafa Ko Kab Tak Ro Ro Ke Yad Karo Ge...!

Poet Mehmood Hassan

Kah De Wo Muhbat Se Agar Eid Mubarak

Mil Jaye Muradon Ka Sammar Eid Mubarak

Mumkin Hi Nahi Gham Se Mufar Eid Mubarak

Halat Mukhalif Hain Magar Eid Mubarak

Ay Kash Hamain Eid Ho Aisi Koi Haasil

Kahte Rahe Ham Sham O Saher Eid Mubarak

Ho Jaayen Sabhi Shikwe Gile Door Dilon Se

Wo Kah De Gale Mil Ke Eid Mubarak

Jab Ap Hamain Apna Samjhte Hain To Kahiye

Hanste Huwe Be Khof O Khatar Eid Mubarak

Mehmood Wo Hote Hain Buhat Qabil E Izat

Kahte Hain Jinhein Ehl E Nazar Eid Mubarak..

Poet Saghar Siddiqui

Chak Daman Ko Jo Dekha To Mila Eid Ka Chand

Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya Eid Ka Chand

In Ke Aabrooye Khameda Ki Tarah Teekha Hai

Apni Ankhon Mein Bari Dair Chupa Eid Ka Chand

Door Weeran Basere Mein Diya Ho Jaise

Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand

Le K Halat Ke Sahraon Mein Aa Jata Hai

Aaj Bhi Khild Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand

Chasham To Wasiyat Aflak Mein Khoi Saghar

Dil Ne Ek Aur Jaga Dhond Liya Eid Ka Chand...!

Eid Ghazal

Jane Kon Si Eid Ka Kaha Tha

Ab To Kai Baras Beet Gaye

Shayad Sadiyan Hai Lekin

Mein Us Ke Intizar Mein Is Tarah Khari Hon

Ankhen Raah Dekhte Dekhte Pathar Ki Ho Gayi Hain

Har Aazu Kaan Bana Hai Us Ki Aahat K Liye

Hath Mein Pakre Gulaab Badal Gaye

Ab Ginon Mein Sab Bhool Gaya Hai

Bas Itna Yad Hai Ke Kaha Tha Us Ne

Eid Pe Aaon Ga Jane Kon Si Eid Ka Kaha Tha...!

Poet Fakhra Batool

Hai Wahi Asman Zameen Wahi

Mah O Anjum Usi Tarah Roshan

Kahkashan Ab Bhi Muskurati Hai

Phool Kalyan Mahak Rahi Hain Yun Hi

Baad Muddat Ke Sare Pardesi

Apne Apne Gharon Jo Aaye Hain

Har Taraf Rang O Boo Ka Mela Hai

Aur Tanha Mein Apne Kamre Mein

Kab Se Bethi Hon Aur Sochti Hon

Jane Kiya Baat Hai Ke Ghar Mein Mere

Jo Guzashta Baras Thi Ronaq Ab

Wo Kahin Bhi Nazar Nahin Aati

Hai Fiza Mein Ajeeb Sanata

Ha'n Faqat Ek Tere Jane Se

Aisa Mehsoos Ho Raha Hai Mujhe

Rut Khushi Ki To Har Taraf Aayi

Sirf Chote Se Mere Aangan Mein

Eid Ab Ke Baras Nahin Aayi...!

Poet Babar Ali Shani

Pardes Rahne Wale Lot Aa Ke Eid Aayi Hai

Ab Itna Bhi Na Sata Eid Ke Aayi Hai

Rah Liye Tum Buhat Door Mujh Se

Ab Aa Ke Gale Se Laga Ke Eid Aayi Hai

Meri Muntazir Hain Ankhein Lab Pe Hain Duaen

Meri Muhbat Ki Laaj Rakh Le Ke Eid Aayi Hai

Ankhein Bhi Ab To Meri Raah Tak Tak Ke Thak Gayi

Ab Aur Bhi Itna Na Tarpa Ke Eid Aayi Hai

Meri Sadyon Se Hai Yahi Hasrat Shani

Aa Ke Mujhe Seene Se Laga Le Ke Eid Aayi Hai...!

Eid Ghazal

Is Eid Pe Us Ki Aamad Hai Ham Jis Se Barson
Mil Na Paye

Us Ki Aamad Ka Sun Kar Ham Phoolon Ki Tarah

Khil Uthe Hain

Us Ne Ham Se Milna Hai Ham Sajte Sanwarte
Rahte Hain

Us Ki Bateni Us Ki Ankhein Wo Kaise Bolta Ho Ga

Kiya Ab Bhi Baton Se Phool Jharte Hon Ge

Us Ki Baton Ki Khushbu Us Ka Chalna Us Ka Muskurana

Us Ka Har Bat Pe
Ham Ab Bhi
Mahsoos Karte Hain

Ye Eid Nahin Lagti Ham Ko
Ye Tehwar Koi
Aur Hi Hai

Aoron Ke Liye Ye
Eid Ho Shayad

Ham Is Ko Qiyamat Kahte Hain...!

Poet Babar Ali

Kar Ke Tanha Eid Meri Kyun Door Gaye Mujhe Chor Ke Jana

Kis Ke Sath Ab Hanste Ho Kis Ke Sath Ab Rote Ho Jana

Meri Eid Ki Khushyan Kar Weeran Gaye

Ab Kis Ke Sath Ye Eid Manao Ge Jana

Na Tum Milte Mujhe Dunya Mein

Na Ham Tum Se Dli Lagate

Eid Ki Ye Khushyan Mujhe Ab Roz Rulati Hain Jana

Mein Tanha Kaise Eid Karon Mein Kis Ke Sath Ab Eid Karon

Bas Itna Mujhe Batla Jao Kyun Tanha Akhir Chor Gaye Jana

Ab Meri Zaat Ki Har Zare Mein Tanhai Hi Rahti Hai

Khushyan Mujhe Ab Raas Nahin

Ye Gham Hi Mera Asasa Hain Jana

Ab Ham Bhi Tanha Jena Sekh Gaye Shani

Ab Tum Bhi Tanha Eid Manana Sekh Lo Jana...!

Eid Ghazal

Ye Eid To Phir Se Lout Aayi.

Jo Bichar Gaye Kab Wo Loutein Ge.

Wo Kaise Ham Se Bichar Gaye

Ye Baith Ke Ham Tum Sochein Ge

Wo Jin Se Ghar Ki Ronaq Thi

Wo Kaise Ham Se Door Huwe

Wo Chand Sa Jin Ka Chahra Tha

Wo Ankhon Se Ab Door Huwe

Jab Yad Hamein Wo Aate Hain

Jab Yad Hamein Wo Aaein Ge

Ham Kaise Ansu Rokein Ge

Ye Eid To Phir Se Lout Aayi

Jo Bichar Ge Kab Lotein Ge Kab Lotein Ge

Kab Loutein Ge...!

Poet kanwal hussain

Ab ky Phir Eid Ka Din Aa Puhncha hai
Neelay Akash Pe nikla hai abhi eid ka chand
Bakhat Waloon ke Liye Eid Ka Sandes Liye
bhujti ankhoon ke liye deed ka sandes liye
Saray chehroon se thakan door hoi jati hai
hijer waloon ki chuban door hoi jati hai
chand nikla hai shab-e-wasl ka sandes liye
kehkashan bakhat musafir ke paltnay ki naveed
her Kiran hath main thamay ayee
Chand nikla hai…
mager hasrat se…
Chand ki simat meri ankhien taki jati hain
chand akash se takta hai mager…Ankh chura laita hai
meri ankhoon ki nami aur sawaloon ki chuban
us se dekhi nahi jati shayad
meri go-yaee maira sath nahi de pati
ke main us se teri babat pochoon
Us se pochoon ke bata mairay muqadar ke najoom
Kin andheeroon main hoye toot ke reeza reeza
Chand Ankhoon Ko chura Ker mujhe se
Janne kion tall raha hai yeah sawal
kia mairay bakhat main ab ke bhi nahi
Eid Ka Lamha…Wasaal
Kiya Palat ker nahi aye ga wo jannay wala
Kia Meri Eid Faqat Ab ke bhi
ik Aur naya din ho gi
din bhi aisa jo Qayamat Sa ghuzarta hai sada
Durd ke rang meri ankhoon main jo bharta hai Sada
ba-kali, durd, jalan, aur sulagti Yadien
Durd ko aur jaga detien hain
Karab ko aur bharha detien hain
Meri be-rang hatheeli pe Dua ki titli
Akhri Saans ki hud per puhnchi
Meri umeed ke saray jugnu
bhujti ankhoon main bhujhay jatay hain
Hont hansnay ke huner se Aari
Dil dharknay ki Riwayat Se Juda
Ankh se khawab alag
mar gaye harf-e-dua
toti sansoon ke hontoon per
Faqat Sard See …Aaah
Dobtay dil se bikherti See Sada Ati hai
Kash…. Aye Kash Ke yeah eid Ka Chand
apnay hathoon yeah sandes deta
mujh se kehta ke huwa hijer tamam
Aye mairay chand teri Eid ki shab mairay naam
Ab Faqat mairay naam
kash yeah sandes millay
Kash
neelay Akash Pe nikla hai abhi Eid ka chand
Dil ke Akash Pe dobay ga abhi eid ka chand
dil ke akash se totay ga abhi Eid ka chand

Tuesday, 15 July 2014

Mustafa Zahid Begins

Ye dil tanha kyun rahe,
Kyun hum tukdo mein jeeyein
Ye dil tanha kyun rahe,
Kyun hum tukdo mein jeeyein
Kyun rooh, meri, ye sahe
Main adhoora jee raha hoon
Har-dum ye keh raha hoon
Mujhe teri zaroorat hai

Ye dil tanha kyun rahe,
Kyun hum tukdo mein jeeyein
Ye dil tanha kyun rahe,
Kyun hum tukdo mein jeeyein
Kyun rooh, meri, ye sahe
Main adhoora jee raha hoon
Har-dum ye keh raha hoon
Mujhe teri zaroorat hai

Andheron se tha mera rishta bada
Tune hi ujaalon se waaqif kiya
Ab lauta main hoon, in andheron mein phir
Toh paaya hai khud-ko begaana yahaan
Tanhayi bhi mujhse khaafa ho gayi
Banjaro ne bhi thukra diya
Main adhoora jee raha hoon
Khud par hi ek saza hoon
Mujhe teri zaroorat hai

Hmm teri jism ki woh khushbooyein
Ab bhi in saanson mein zinda hai
Mujhe ho rahi inse ghootan
Mere gale ka yeh phanda hai
(Haan..)
Ho teri chudiyon ki woh khanak
Yaadon ke kamre mein goonje hain
Sunkar ise aata hai yaad
Haathon mein mere zanjeerein hain
Tu hi aake inko nikaal zara
Kar mujhe yahaan se riha
Main adhoora jee raha hoon
Yeh sadaayein de raha hoon
Mujhe teri zarorat hai

Tum Se Bohat Kuch Kehna

Tum se Bohat Kuch
Kehna Hai Magar !!
Kabhi Tum Nahi Milte
Kabhi Alfaz Nahi Milte !!
Ye Doriyan Tu Mita Doon Mein
Ek Pal Mein Magar !!
Kabhi Kadam Nahi Chalte
Tu Kabhi Raste Nahi Milte !!
Tumhen Pana Chahti Hoon
Umar Bhar Ke Liye Magar !!
Kabhi Halat Nahi Milte
Tu Kabhi Jazbat Nahi Milte

Monday, 14 July 2014

Mere Wajood Mein

Wajoood Main Wafa ki Roshni utaaar day,
Phir PYaaaR Itna de kay Mujh ko Chaahton main MAR dy,
Bahot UDaaaS the So Teri Mehfil main Aaa Betthy,
Kuch Aisi Baat ker jo DIL ko Chain-o-QARaaaaR day,
Suna hay Teri aik Nazzr Sanwaarti hai Zindagi,
Jo ho Ske to Aaaj Meri Zindgi SANWAAR de,
A Mehtab Too kabhi jo Mera CHaaaND Dekh lay,
Qasam KHUDA ki Tu b Apnaa sub Kch Us pay WaaaR day,
Mera Asasa-E-Hayaaat Chheen giyaa ha…
…DoStOn….
Koi hay jo mujhe do chaaar Din ki Zindagi UDHaaaR de.

Poet Hafiz Khuram

Ho Mubarak Tujhe Shadi Ki Pehli Yeh Raat
Dua Karo K Hum B Bhool Jain Teri Har Baat

Be Panah Hai Tum Se Hum Ko Pyar
Woh Kehta Tha Yeh Bar Bar

Ujaarh Gaya Woh Meri Zindagi
Woh Karte Karte Yehi Bat

Dil Nahin Lagta Ab Kahin Mera
Be Qabu Ho Gaye Hain Mere Jazbaat

Jab Se Gaye Ho Tum Ab To Din B Lagte Hain Raat
Tum Ne Chora Mera Hath

Moun Main Hi Reh Gai Meri Har Baat
Kyun Thama Tha Mera Hath

Jb Chor Ke Chalay Hi Jana Tha Mera Sath
Jate Jate Woh Bs Itna Hi Keh Gaya

Shayd Hamari Qismat Main Hi Nhe Hamara Sath
Suno Khuram Dua Kro K Hum B Bhool Jain Teri Har Baat

Ja Sanam Mubarak Ho Tujhe
Teri Shadi Ki Pehli Yeh Raat

Eid K Din

KuCh APnE BoHaT YaAd AyEn GaY EiD K DiN
huM AnSoo Bhi BaHaIeN GaY EiD K DiN

SaJa KAr DiL MeiN Un Ki TaSveeR
ApNe Ap Se ShArnAien GaY EiD K DiN

ShYeD Ho Us Ki AaMaD Es BaHaNe
HuM GhAr ApNa SaJaEn GaY EiD K DiN

ShAyeD De AYe PaiGhAm HuMaRa Us Ko
HuM HoWa Ko AaZmAeN GaY EiD K DiN

TuM B MeRe PaAs Na Ho eId K DiN
Tu KaIsE EiD MaNa PaYeN GaY EiD K DiN

Habib Jalib

Aur sab bhuul gaye harf-e-sadaaqat likhanaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhanaa

laakh kahate rahe.n zulmat ko na zulmat likhanaa
ham ne siikhaa hii nahii.n pyaare baa_ijaazat likhanaa

na sile kii na sitaa_ish kii tamannaa ham ko
haq me.n logo.n ke hamaarii to hai aadat likhanaa

ham ne jo bhuul ke bhii shaah kaa qasiidaa na likhaa
shaayad aayaa isii Khuubii kii badaulat likhanaa

us se ba.Dh kar merii tahasiin bhalaa kyaa hogii
pa.Dh ke naaKhush hai.n meraa saahab-e-sarvat likhanaa

dahar ke Gam se huaa rabt to ham bhuul gaye
sarv qaamat kii javaanii ko qayaamat likhanaa

kuchh bhii kahate hai.n kahe.n shaah ke masaahib 'Jalib'
rang rakhanaa yahii apanaa isii suurat likhanaa

Azmat Ali Shag

Bhar gaye nasih se maikhane tere
ab kahan jayein ge deewane tere
sheikh kou inkar ki jurrat na ho
dekhe jou aankhon ke paimane tere
sha-i-ri karti hai tujh par chandni
aur saba ke lab pe afsane tere
phi mere qasa hai aur teri nazar
hain irade kia khuda jane tere
sheikh-o-zahid bhi hain tere ham nasheen
aue saqi se bhi yarane tere

Azmat Ali Shah

Ajeeb rang ka mausam chala hai kutch din se
nazar pe boujh hai aur dil khafa hai kutch din se
wou aur tha jise too janta tha barson se
mein aur hoon jise too mil raha hai kutch din se
Ada hai,shokhi hai,jadoo hai ya faraib koi
najane unki nigahon mein kya hai kutch din se
azal se tera ta-aruf raha hai husn-o-jamal
magar ye dil mein jou mehshar bapa hai kutch din se
shehr ka shehr chala aata hai kashkol badast
suna hai deed ta dar waa howa hai kutch din se

Azmat Ali Shah

Aa gayee manzil-e-dushwar bhi chalte chalte
thak gaya ab tou dil-e-zaar bhi chalte chalte
dil mein ab aur nayee tarz ke gham palte hain
peeche chor aaye tera pyar bhi chalte chalte
zikr kis ka ye howa bazm mein touba touba
tham gayee waqt ki raftar bhi chalte chalte
uski galyon ke chalo rasm-e-wafa ki khatir
choom aate dar-o-deewar hi chalta chalte
zad-e-rah ke liye kafi hai teri yaad mujhe
hota jaawe tera deedar bhi chalte chalte
zeezt ik pal ke sahare hi guzar jati magar
too ne dekha nahi ik bar bhi chalte chalte

Aamir Jamil

Bahrey Ulfat

Kam bhi nahin tu hoor sey gar hoor nahin hai
bey zaraf hai dunya mager majboor nahin hai.

Fasley mititey huey kab dair lagti hai
aaya karo milney mera gar door nahin hai.

ab kia karon jaon kahan dill kis ko dikhaon
nazroon ki khata hai mera kasoor nahin hai.

Ruktey huey juktey huey hum chal tu rahey hein
Ager tu saath mil jao to sahil door nahin hai.

Hum muntazir nazroon sey tujey dound rahey hein
samander abhi ulfat kia uboor nahin hai.

Poet Aamir Jamil

Aarzoo

Kabhi arzoaon mein dal gaey kabhi dashtey dil mein uter gaey
takra k louti jo roshni uddas chahrey nikher gaey.

Merey samney ik faseel thi ik khuab ki takmeel thi
apnoon hi sey jab moun phira merey sarey khuab mkher gaey.

Phoulon ki mahfil sey pyar tha ik sakoon jakgey ki talash thi
khamoosh vadi mein chal diyeh hum ider gaey kal uder gaey.

Hum sub azizoon mein pyar tha aur zindgi bhi jamil thi
apna tu khud ko pata nahin merey dil nawaz kider gaey.

Jo asal thi us ney perhi nahin who is ghazal ki daleel thi
na hi khoush thi na khaber mili bigrey halaat biger gaey.

Sunday, 13 July 2014

Poet Iftikaar Arif

Tuj say bichar k zinda hain, jaan b0ht sharminda hein
.
Tapti dopahri me, teri ahat dil me ati thi
.
Barish se ek dil ke andar, rimjim rag sunati thi
.
Ab ham or tapti dopahri, beech me yade zinda hai
.
Jaan bohat sarminda hai, jaan bohat sarminda hai
.
Shaam ko aksar chat pe aa kar, dubta suraj takti thi
.
To uski lali janam, hath ki mehandi lagti thi
.
Mehandi tu naraz na h0na, ham tujh se sarminda hai
.
Jaan bahut sarminda hai, jaan bohat sarminda hai
.
Ham rahte the tujh se lipat kar, to kitna sach lagta tha
.
Sard andheri raat me janam, ek diya sa jalta tha
.
Aab teri virah ki rate, nisle ki re tabinda hai
.
Jaan bahut sarminda hai, jaan bohat sarminda hai
.
Tuj say bichar k zinda hain, jaan b0ht sharminda hein

Poet Washma Khan Washma

(Eid Guzar Jaye Gi)


Kiya pata kab teri aamd ki khabair aye gi
.
Eid aye gi to zahir hai guzar jaye gi
.
Intazaar aankh0n mein dekho chamakta hai bohat
.
Meri hasrat ko qarar aye ga ab kesay bahala
.
Eid aye gi to zahir hai guzar jaye gi
.
Meri aankhon mein teri yaad k aanso0 le kar
.
Eid is saal manaon gi mein tanhai k sath


Book Sargosiyaa

Poet Qamer Jalavi

Ye Raaz Bahaar-E-Gulshan Hai Is Raaz Ko Kia Samjhe Koi,

Shabnam Ko Rulaya Phoolon Ne Ya Raat Ko Shabnam Khud Roi,

Hum Tang Hain Apne Jeene Se Karta Nahi Koi Dil-Joi,

Aise Mein Wo Barhum Bethe Hain Talwaar Utha Lana Koi,

Barson Guzre Rote Rote Ek Mudat Mein Neend Aai,

Wo Khawab Mein Milne Aaye Thay Mein Jag Utha Qismat Soi,

Mehshar Mein Saboot-E-Qatil Pe Ab Sharmane Se Kia Hota Hai,

Jab Khon K Chhinte Baqi Thay Talwaar Na Tum Ne Kion Dhoi,

Sub Moh Dekhe Ki Ulfat Thi Ye Haal Kula Marne Pe QAMER.

Jab Dafan Howe Turbat Par Do Phool Nahi Lata Koi..

Poet Saghar Hina

{Eid Mubarak}

Tumhari khamoshi ka sabab Janta hoon main
.
Rothe hoey ho tum Manta hoon main
.
Per hisaar-e-anna main qaid
Ab ki bar bhi
.
Meri yeh khuwaush hai
Ke har bar ki tarah
.
Tum mujhe manao Per yunhi dino ka shumaar karte karte
.
Tumhara intezaar karte karte
.
Calender ki taraf dekha Tu khayal aaya
.
Ab ki bar main Apni anna ko tor don ga
.
Muhubat ki kahani ko Naya aik mor do ga
.
Shayad isi tor ho jaey Meri sari kutaiyon ka tadraak
.
Lo aaj main tumhain kehta hoon
.
Jaan-e-jaan
Eid Mubarak

Poet Alvira Yasmin Ali

Ban jaye dil ka dard dawaa, pakne de lawaa or zaaraa
.
Tery pehlo k saaye tale, bara khon baha aarman0 ka
.
Mujhe ab bhii gumaan sa lagta hai, wo aik lamha jo mehshaar tha
.
Saah sakti nahe haii zarbe sitam, kache konpal ho rahm ata
.
Aab noha kunan is basti mein, kuch bhe nahe tery ghum k siwa

Book Aarzoo Ka Mosam

Poet Amjad Mir

Baaton baaton mey,, mein koi baat nekal ate hai
.
Or phir aankh0n se barsaat nekal ate hai
.
Khud se bahir bhi agr neklo kisi helaey se
.
Meri tanhai mery sath nekal ate hai
.
Dore masrof mein aye dost ghane'maat samjho
.
Ham mein baham koi mulakaat nekal ate hai
.
Shab-e-mehtab mein nekle hain ye anso jaise
.
Jugnuoon ki koi baraat nekal ate hai
.
Hai tamasha shab-o-roz musalsal jaari
.
Din guzarta hai to phir raat nekal ate hai

Poet Lubna Aks

Tere behty huey ashk0n ki sifarish thi bohat
.
Haan meri jaan-e-ghazal raat yeh barish thi bohat
.
Dafatan tujh ko yahi soch k chora hum ney
.
Tere andaz mein lehjey ki guzarish thi bohat
.
Kiy0n chaly aaey ho ik bheer ko hum'raah liay
.
Mery pyare tare neno0 ki nigarish thi bohat


Book Aks Drr Aks

Poet Lubna Aks

Kon thay wo jo daam mein aaey
.
Zindagi ki lagam mein aaey
.
Hum rahy hein unhi nigahon mein
.
Hum hi har baar jaam mein aaey
.
Mera ihundam unhy laga majno0
.
Sare pathar hi kaam mein aaey
.
Mein tu lekhti rahi thi khon se magar
.
Sungrezy inaam mein aaey
.
Jin ko aana tha subh ko mehfil mein
.
Wo bhi aaey tu shaam mein aaey
.
Hazrat-e-khizr ki dila dey yaad
.
Koi aisa awaam mein aaey
.
Aks mera hy aaina un ka
.
Is leay ehteram mein aaey

Book Aks Drr Aks

Poet Jamil Qamat

Be'nawa ko dhondhte ho,, kis wafa ko dhondhte ho
.
Ib'tada ki khair mango,, inteha ko dhondhte ho
.
Nekiyan kuve mein dalo,, ku jaza ko dhondhte ho
.
Musam khaza mein yaaro,, kis saba ko dhondhte ho
.
Is dee'yaar-e-be'rukhi mein,, par'saa ko dhondhte ho
.
Yahan pe admi nahi hain,, tum khuda ko dhondhte ho

Poet Syed Basharat Shah

Chahton ki maar bahrti ja rahe hai
.
Zulam ki divar bahrti ja rahe hai
.
Char (4) din ki zindagi ab kaha
.
Waqat ki raftar bahrti ja rahe hai
.
Ja'ba'ja hain ashiq0n ki muflasi
.
Husan ki jhankar bahrti ja rahe hai
.
Kahmoshi ne bhe aziyat di mujhe
.
Or ab takrar bahrti ja rahe hai
.
Ab khud ka faisla bhe aye ga
.
Zalim ki lal'kaar bahrti ja rahi hai

Poet Asif Shahzad

Roshni pyar ki,, meray dil'dar ki
.
Hai bahare aafren,, lale rukhsar ki
.
Ham to bas thek hain,, to suna paar ki
.
Aik jhalk na mile,, teray dil'dar ki
.
Bhol paye na ham,, baat iqrar ki
.
Chand bhi mange hai,, dil'kashi yaar ki
.
Ronaqaye ab kaha,, teray bazar ki
.
Khinchti hai kashish,, aik tery pyar ki
.
Waah kya shaan hai,, teray dar'baar ki

Book Tumhara Maan Raah Jaye

Mere Naam Ki Mehndi

(Mery Naam Ki Mehndi)

Wo kehta hai mohabbat me sada milna nahi
hota
.
Main kehti hun mere hotey hoye bicharney ka nahi socho
.
Wo kehta hai jo tum mango to apni jan dey dun ga
.
Main kehti hun mujhey fil hal apna naam dey do na
.
Wo kehta hai harey or peley rang ki choriyan
pehno
.
Main kehti hun kay pehno gi agar qismat me likha to
.
Wo kehta hai kay mere naam ki mehndi lagao
tum
.
Main kehti hun lagaon gi agar tum ley kay aye to

Eid Ka Din Hai Gale Mil

Eid Ka Din HaiGale Aaj To Mil Lay Zalim

Rasme Duniya Bhi Hai Moka Bhi Hai Dastor Bhi Hai


Ishq Is Tarah Ke Gustakh Takaze Na Kare

Husn Mazdor Bhi Majbor Bhi Magroor Bhi Hai

Guror E Husn K Sadke Mohabt Yun Nahi Karte

Bhari Mahfil Main Zahir Dil Ki Wahshat Yun Nahi Karte

Yah Mana Tum Haseen Ho Tumhain Haq Hai Shararat Ka

Kisi Ki Jan Pe Ban Jaye Shararat Yun Nahi Karte

Jise Tum Husn Kahte Ho Wo Kaaba Hai Nigahon Ka

Adab Lazim Hai Kaabe Ki Ziyaraat Yun Nahi Karte

Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Hum Fakiron Ko

Kisi Sahil Ko Apne Dar Say Rukhsat Yun Nahi Karte

Haya Or Sharam Ko Hum Husn Ka Zewar Samajhte Hai

Ya Zewar Lota Ke Day Jaaye Sakhawat Yun Nahi Karte

Tumhari Ik Nazar Par Faisla Hai Zindagani Ka

Masiha Hok Bimaron Say Gaflat Yun Nahi Karte

Masiha Ho Tum In Kufr Ki Baton Say Baaz Aao

Khuda Chor Kar Buutt Ki Ibadat Yun Nahi Karte

Ap nay Jo Kaha Wohi Theek Sahi
.
Mera Kahna Bhi Kuch Bura To Nahi
.
Ke Eid Ka Din Hai Gale Aj To Mil Le Zalim
.
Rasme Dunya Bhi Hai Moka Bhi Hai Dastor Bhi Hai


Mahndi Hasan

Poet Huma Shah

Tumhari raah guzar pe aik sitara chor aai hon
.
Samjh lena tumhari h0n ishara chor aai hon
.
Tumhare baad geli rait ka mein kya banate ghar
.
Hamisha ko sumandar ka kinara chor aai hon
.
Bahala dala hai yaksar mein ne apne talkhi mazi ko
.
Hasen yaadon ko bhi mein be'shara chor aai hon
.
Mana'ne khud gai the mein k wo shayad sudhar jaye
.
Magar afsos hai us ko dobara chor aai hon
.
Bacha kuch bi nahe hai pas is kare muhabbat mein
.
Ahsas mein huma sare ka sara chor aai hon

Yaar Ko Ham Ne Jaa Bajaa

Yaar ko humne ja-ba-ja dekha
.
Kahin zahir kahin chupa dekha
.
Kahin mumkin hoa kahin wajib
.
Kahin fani kahin baqa dekha
.
Yaar ko humne ja-ba-ja dekha
.
Kahin zahir kahin chupa dekha
.
Kahien wo baadshaah-e-takht nasheen
.
Kahin kaasa liye gadaa dekha
.
Yaar ko humne ja-ba-ja dekha
.
Kahin zahir kahin chupa dekha
.
Kahin wo der libaas-e-mashokan
.
Bar-sare naaz aur aada dekha
.
Kahin zahir jahin chupa dekha
.
Yaar ko hum ne ja-ba-ja dekha
.
Kahin aashiq niyaz ki soorat
.
Seena Girya-o-dil jala dekha
.
Yaar ko humne ja-ba-ja dekha
.
Kahin zahir kahin chupa dekha

Poet Hazrat Shah Niaz

Poet Asif Anjum

Sab dar chup kham0sh udas
.
Aab ghar chup kham0sh udas
.
Dar dewaar aseeb zaad
.
Mat dar chup kham0sh udas
.
Aankhein sab kuch bolte hain
.
Har lab chup kham0sh udas
.
Kab talak dil ki baat sunuo
.
Jaa maar chup kham0sh udas
.
Aandar sh0r hai chiriy0n ka
.
Bahair chup kham0sh udas
.
Anjum is k koche mein
.
Jaa par chup kham0sh udas

Poet Rahat Sarhadi

Itna kehna zarori hai sahib
.
Yeh jahan fatoor hai sahib
.
Juram mein ku nahe sharek howa
.
Bas mera yeh qasor hai sahib
.
Qaida ghum ka ho gaya azbar
.
Aab mukamal abvar hai sahib
.
Muflasi bhok, nang marg waba
.
Kis ka akhir qasor hai sahib
.
Maal taza hai dam bi kam hain
.
Aik se aik hoor hai sahib
.
Rasta bhi hai khar'dar zara
.
Oor manzil bhi dor hai sahib
.
Meray jalne ka raat bhar rahat
.
Kuch to maqsad zaror hai sahib

Saturday, 12 July 2014

Poet Hafiz Khuram

Eid Ghazal


Khusiyan sab manao eid k din
.
Tabiibo ko bolao eid k din
.
Raah bohat bohat ashan ho jaye gi
.
Kuch bolo kuch pilaoo eid k din
.
Un k aane ki khusi mein
.
Phol0n se ghar sajao eid k din
.
Intazar-e-lutaf bhi raha bohat
.
Subha se howi shaam eid k din
.
Aik roshni se uthe hai
.
Be'nikaab aye hain eid k din
.
Jaan par apni ban aai
.
Baithy jab samne eid k din
.
Khamoshi rahe bohat dair tak khuram
.
Guzri raat, yaad nahe eid k din

Yah Yaar De Hah Maar De

Uska Pyaar Nahi To Mujhe Kaza De De
.
Khuda Tu Meri Zindagi Ko Parda De De
.
Me Bas Nahi Paya Jis ke Dil Me
.
Us Saksh Ko Mere Dil Me Jagha De De
.
Gar Us ko Chahna Khata Hai Meri
.
Phir Shouk Se Tu Mujh ko Saza De De
.
Ya To Me Jee Saku Us ke Bagair
.
Ya Mujhe Chahne Ki Use Wajha De De
.
Gar Ho Sake To Mujhe Kaafir Kar De
.
Nahi To Mujh ko Tu Mera Khuda De De
.
Apni Surat Me Us ka Chehra Nazar Aaye
.
Ya Khuda Mujh ko Tu Aisa Aaina De De
.
Ya Bhuja De Chirag Meri Raaho Ke
.
Ya Mujhe Meri Manzil Ka Pata De De
.
Jaane Kyu Dam Nahi Nikalta Mera
.
Ay ishq tuje khuda ka wasta ya yaar de de ya maar de

Kuch Waady Qasmein

Kuch Wady Qasmein, Yaadein Thein,

Kuch Qehqahy Thay,Faryadein thein,

Kuch Aansoo Thay, Jo Bahaye Thay,

Kuch Dhoky Thay, Jo Khaye Thay,

Kuch Lehjon Ki Parchhaiyan Thein,

Kuch DiL Ko ROG Lagaye Thay,

Ab Paas Hamary Kuch B Nhi,

Ab Aas K Maary Kuch B Nhi,

Bs...

Yaadon ki Zanjeerain

Hein,

Kuch Rang Urri Tasveerain Hain,

Kuch Lafz Miti Tehreerain hein,

Ek DiL Jo Deed Ka Pyasa Hy,

Bs Yehi "MERA ASASA" Hy

Friday, 11 July 2014

Zahid Mehmood

AfLaak-0-Zameen Wal0 Eid Mubark,

AazuRda?

Makeen-0-Makaan Walo Eid Mubark,

ZuLam Seh Seh Kar Zamany Ky?

R0z-E-EID MuSkrany Walo Eid Mubark,

Chaman Mein Lagai Hai J0 AaG
Apn0n Ny Ghair Bin Kar,

Un K0 Seeny Sy Lagane Wal0
Eid MubaRk,

Dil Hai Zakhm0n Sy Raiza Raiza Jin Ka Yaaro.?

Zakham-E-DIL ChuPaNe Wal0
Eid MubaRk,

Thak Gaye LaaShain Utha Kar Apny Piyar0n Ki J0,

Eid Py Sub Gham Bhool Jane Wal0 Eid MubaRk,

Shikwa Karain W0 KiS Sy Ab Jaan,

Jahaan Mein KhuShi BaaNtne Walo
Eid MubaRk,

Eid New Ghazal

Yeh hath rukh se hatao k eid aai hai

Nazar nazar se milo k eid aai hai

Sahilyon k kharidari k aziz0n k

Kisi bahne se aao k eid aai hai

Kisi ko daikh k be'ikhtiyar main ne kaha

Chairag ghar k jalo k eid aai hai

Gham0n ki jabr-e-mashkat mein intakhab kahan

Khusi to dil se manaon k eid aai hai

Do lab mile gay muhabbat ka lafz jo bhi kahe

Sanam labon ko melao k eid aai hai

Main sheirt bandh chuka hon hilal-e-eid k sath

Zara nakaab hataoo k eid aai hai

Qarib aao k koi baat chaire musam ki

Chalo hina he dekho k eid aai hai

Wo bole aap hain mery bazurg main ne kaha

To phir yeh paair dobao k eid aai hai

Bohat si baato ko tala tha eid par sahib

Hisab apna chukao k eid aai hai

Purane sare bahane hain qais ko azbar

Naye bahane banao k eid aai hai

Poet Shahzad Qais


Book Eid

Laakh Dori Sahe Ehaad Nibahte

Laakh doori ho magar ahed niubhate rehna
Jab bhi barish ho mera sog manate rehnaa

Tum gaye ho to sare shaam yeh adat theri
Bas kinaare pe khade haath hilaate rehnaa

Jaane is dil ko yeh adaab kahaan se aaye
Uski raahoN mai nigaahon ki bichhate rehna

Aik muddat se yeh mamool hua hai ab to
Aap hi roothna aur aap manate rehnaa

Tum ko maloom hai farhat ke yeh pagalpan hai
Door jaate huye logoN ko bulaate rehna

Apni Aankho K Sumandar

Apni aankhon ke samandar main utar jaane de,

Tera mujrim hu mujhe doob ke mar jaane de
Apni aankhon ke samandar main utar jaane de!!

Aey!! naye dost main samjhoonga tujhe bhi apna,
Aey!! naye dost main samjhoonga tujhe bhi apna,
Pahle maazi ka koi zakm to bhar jaane de

Apni aankhon ke samandar main utar jaane de!!
Tera mujrim hu mujhe doob ke mar jaane de
Apni aankhon ke samandar main utar jaane de!!

Aag duniya ki laagai hui bujh jaayegi,
Aag duniya ki laagai hui bujh jaayegi,
Koi aansoo mere daman pe bikhar jaane de

Apni aankhon ke samandar main utar jaane de!!

Zakm kitne teri chaahat se mile hain mujhko,
Zakm kitne teri chaahat se mile hain mujhko,
Sochta hu ki kahun tujhse,magar jaane de

Apni aankhon ke samandar main utar jaane de!!

Tera mujrim hu mujhe doob ke mar jaane de.
Apni aankhon ke samandar main utar jaane de

Poet Hafiz Khuram

=>Aankhon se behte hai anso0 aise jise badal se barasta hai pani

Rog ishq lagya yeh the humari na aqal dani

Kam zarf ho k pehirte hai un k piche

Yeh ada humari kab hai un k dil ko bahni

Aapni simat ke'hanchti hai mushkurahat un ki

Yehi baat hai hum ne un ko bata'ni

Sun k baat kho se gay hai wo

Dekho ab baat agay bahray gi k yahe hai kat jani

Mile na kai roz tak wo hum se

Khtam kar di hum ne apne zind'gani

Sun k khabr mout ki aye hai sab dor dor se

Aaya na wo janze me yah the bewafai ki nishani

Bad mudat k aya wo qabar par fathiya parhne

Bah rahay hai un ki ankhon se ase anso0

Jesy Khuram badal se barasta hai pani

Thursday, 10 July 2014

Main Or Meri Awargi

Phirte Hain Kab Se Dar-ba-dar
Ab Is Nagar Ab Us Nagar
Ek Doosre Ke Humsafar
Main Aur Meri Awaargi -4
Na Aashna Har Rehguzar
Na Meherbaan Har Ek Nazar
Jaayein To Ab Jaane Kidhar
Main Aur Meri Awaargi -4
Hum Bhi Kabhi Aabaad The
Aese Kahaan Barbaad The
Hum Bhi Kabhi Aabaad The
Aese Kahaan Barbaad The
Befikr The Aazaad The -2
Masroor The Dilshaad The -2
Wo Chaal Aesi Chal Gayaa
Hum Bujh Gaye Dil Jal Gayaa
Nikle Jalaa Kar Apanaa Ghar
Main Aur Meri Awaargi -4
Wo Maah-e-vash Wo Maah-e-rooh
Wo Maah-e-kaamil Hu-ba-hu
Wo Maah-e-vash Wo Maah-e-rooh
Wo Maah-e-kaamil Hu-ba-hu
Theen Jis Ki Baatein Ku-ba-ku -2
Us Se Ajab Thi Guftaguu -2
Phir Yoon Huwa Wo Kho Gayi
Aur Mujh Ko Zid Si Ho Ga_ii
Laayeinge Us Ko Dhoond Kar
Main Aur Meri Awaargi -4
(sargam .....pa Ma Ga Re ....)
Ye Dil Hi Tha Jo Seh Gayaa
Wo Baat Aesi Keh Gayaa
Ye Dil Hi Tha Jo Seh Gayaa
Wo Baat Aesi Keh Gayaa
Kehne Ko Phir Kya Reh Gayaa -2
Ashkon Ka Dariyaa Beh Gayaa -2
Jab Keh Ke Vo Dilbar Gayaa
Tere Liye Main Mar Gayaa
Rote Hain Us Ko Raat Bhar
Main Aur Meri Awaargi -4
Ab Gham Uthaayein Kis Liye
Aansu Bahaayein Kis Liye
Ab Gham Uthaayein Kis Liye
Aansu Bahaayein Kis Liye
Ye Dil Jalaayein Kis Liye -2
Yoon Jaan Gawaayein Kis Liye -2
Peshaa Na Ho Jis Kaa Sifan
Dhoondeinge Ab Aesa Sanam
Honge Kahin To Kaar-gar
Main Aur Meri Awaargi -4
(sargam .....pa Ma Ga Re ....)
Aasaar Hain Sab Khot Ke
Imkaan Hain Sab Chont Ke
Aasaar Hain Sab Khot Ke
Imkaan Hain Sab Chont Ke
Ghar Band Hain Sab Koth Ke -2
Ab Khatm Hai Sab Totke -2
Qismat Kaa Sab Ye Pher Hai
Andher Hai Andher Hai
Aese Hue Hain Be-asar
Main Aur Meri Awaargi -4
Jab Humdam-o-humraaz Tha
Tab Aur Hi Andaaz Tha
Jab Humdam-o-humraaz Tha
Tab Aur Hi Andaaz Tha
Ab Soz Hai Tab Saaz Tha -2
Ab Sharm Hai Tab Naaz Tha -2
Ab Mujh Se Ho To Ho Bhi Kya
Hai Saath Wo To Wo Bhi Kya
Ek Behunar Ek Besabar
Main Aur Meri Awaargi -4
Phirte Hain Kab Se Dar-ba-dar
Ab Is Nagar Ab Us Nagar
Ek Doosre Ke Humsafar
Main Aur Meri Awaargi

Kabhi Is Nagar Kabhi Us Nagar

Kabhi iss nagar tujhe dekhna,kabhi uss nagar tujhe dhooNdhna
kabhi raat bhar tujhe sochna,kabhi raat bhar tujhe dhooNdhna
mujhe jabaja teri justuju, tujhe dhooNdhta
hooN maiN ku-ba-ku
kahaN khul saka tere rubaru,mera iss qadar
tujhe dhooNdhna
mera khavaab tha ke khayaal thaa, woh urooj tha ke zawaal tha
kabhi farsh per tujhe dekhna ,kabhi arsh per tujhe dhooNdhna
teri yaad ayee tou rau diye, jo tu mil gaya tu
tujhe kho diya
mere silsilay bhi kuch ajeeb haiN, tujhe choRh ke tujhe dhooNdhna
meri nazar ka kamaal hai, ke meri nazar ka jamaal hai
tujhe shair shair maiN sochna, saray-baam-o-dar tujhe dhooNdhna.

Tuesday, 8 July 2014

Poet Hafiz Khuram

Duniya gol hai

Us k dil mai bhi lag raha hai koi orh hai
.
Tazkara chal raha tha sab mai eid ka
.
Baithe par ku wo itne kahm0sh hai
.
Baagh0n mai urr rahe the kitne he titliyan
.
Hath jo lagay unh0n ne to rangat he orh hai
.
Gun'guna k jala raha tha hum ko es qadar
.
Humarien ghar mai bhi nachta aik moor hai
.
Shairi sunate sunate raat se din ho gaya
.
Kahte machate sab yuh he ku shor hai
.
Izhar-e-jigar kiya biyan khuram un se jo hum ne
.
Hans k kehta wo to nahe koi orh hai
.
Ro raha h0n mai eid k roz bhi yaron
.
Sach he kaha tha kisi ne duniya gol hai

Ahmed Faraz

na tera qrb hai na bada hai kia kya jaaye
phr aaj dukh bhi zyada hai kia kya jaye
hamey bhi arz-e-tamanna ka dhub nahi ata
mizaj-e-yaar bhi saada hai kia kya jaye
kuch apney dost bhi Tarkash badosh phirtey hain
kuch apna dil bhi Kushaada hai kia kya jaye
vo meherban hai magar dil ki hiras bhi kum ho
talb,karam se zyada hai kia kya jaye
na us se trk-e-talluk ki baat kar payen
na hamdami ka erada hai kia kya jaye
saluk-e-yaar se dil doobney laga hai Faraz
magar ye mehfi-e-aada hai kai kya jaye
Ahmed Faraz


Ghazal Bahana Karoon....Page # 33

Ahmed Faraz

terii yaadoN kaa vo aalaam nahiiN hai
magar dil kii udaasii kam nahiiN hai

hameN bhii yaad hai vo marg-e-tamannaa
magar ab fursat-e-maatam nahiiN hai

havaa-e-qarb-e-manzil kaa buraa ho
firaaq-e-hamsafar kaa Gham nahiiN hai

junuun-e-paarsaai bhii to naaseh
merii deevaangii se kam nahiiN hai

ye kyaa gulshan hai, jis gulshan meN logoN
bahaaroN kaa koi mausam nahiiN hai

qayaamat hai ke har mai-Khwaar pyaasaa
magar koi hariif-e-jam nahiiN hai

saliiboN pe khiiNche jaate haiN lekin
kisii ke haath meN parcham nahiiN hai

Faraz is qaht-zaar-e-raushnii meN
chiraaghoN ka dhuuaaN bhii kam nahiiN hai

Ahmed Faraz


Janaan Janaan Page 66

Ahmed Faraz

kyuuN tabiiat kahiiN Thahartii nahiiN
dostii to udaas kartii nahiiN

ham hameshaa ke sair-chashm sahii
tujh ko dekheN to aaNkh bhartii nahiiN

shab-e-hijraaN bhii roz-e-bad kii taraH
kaT to jaatii hai par guzartii nahiiN

ye mohabbat hai, sun, zamaane, sun!
itnii aasaaniyoN se martii nahiiN

jis taraH tum guzaarte ho Faraaz
zindagii us taraH guzartii nahiiN

Ahmed Faraz


Ghazal Bahana Karoon....Page # 56

Ahmed Faraz

Kuch na kisii se bolenge
tanhaaii men ro lenge

ham berahabaron kaa kyaa
saath kisii ke ho lenge

Khud to hue rusavaa lekin
tere bhed na kholenge

jiivan zahar bharaa saaGar
kab tak amrit gholenge

hijr ki shab sonay walay
hashr ko aankhain kho lenge

phr koi aandi utthay gi
panchi jab per tolenge

niind to kyaa aayegii 'Faraz'
maut aai to so lenge

Tanha Tanha page # 122

Ahmed Faraz

dil bahaltaa hai kahaaN anjum-o-maahtaab se bhii
ab to ham log gaye deedaa-e-bekhwaab se bhii

ro paRaa huN to koii baat hii aisii hogii
maiN ke waaqif thaa tere hijr ke aadaab se bhii

kuch to us aaNkh kaa shaivaa hai KHafaa ho jaanaa
aur kuch bhuul huii hai dil-e-betaab se bhii

ai samandar kii havaa teraa karam bhii maaluum
pyaas saahil kii to bujhtii nahiiN sailaab se bhii

kuch to us husn ko jaane hai zamanaa saara
aur kuch baat chalii hai mere ehbaab se bhii

dil kabhi gham k samndr ka shanawar tha Faraz
ab to khauf aata hai ik mouja e payaab se bhii


Ahmed Faraz


Dard Aashoob Page 40

Ahmed Faraz

dil bahaltaa hai kahaaN anjum-o-maahtaab se bhii
ab to ham log gaye deedaa-e-bekhwaab se bhii

ro paRaa huN to koii baat hii aisii hogii
maiN ke waaqif thaa tere hijr ke aadaab se bhii

kuch to us aaNkh kaa shaivaa hai KHafaa ho jaanaa
aur kuch bhuul huii hai dil-e-betaab se bhii

ai samandar kii havaa teraa karam bhii maaluum
pyaas saahil kii to bujhtii nahiiN sailaab se bhii

kuch to us husn ko jaane hai zamanaa saara
aur kuch baat chalii hai mere ehbaab se bhii

dil kabhi gham k samndr ka shanawar tha Faraz
ab to khauf aata hai ik mouja e payaab se bhii


Ahmed Faraz


Dard Aashoob Page 40

Ahmed Faraz

KHUD KUSHI

vo paimaaN bhii TuuTe jinko
ham samjhe the paabindaa

vo shammen Bhii daaGh haiN jinko
barsoN rakhaa taabindaa

donoN vafaa kar ke naKhush haiN
donoN kiye par sharmindaa

pyaar se pyaaraa jiwan pyaare
kyaa maazii kyaa aaindaa

ham donoN apne qaatil haiN
ham donoN ab tak zindaa

Ahmed Faraz


Dard Aashoob Page 37

Faraz Faraz

jo bhii dukh yaad na tha yaad aayaa
aaj kyaa jaaniye kyaa yaad aayaa

phir koi haath hai dil par jaise
phir teraa ahd-e-vafaa yaad aayaa

jis tarah dhuNdh meN lipTe hue phuul
aik ek naqsh teraa yaad aayaa

aisii majboorii ke aalam meN koii
yaad aayaa bhi to kyaa yaad aayaa

ai rafiiq sar-e-manzil jaakar
kyaa koii aablaapaa yaad aayaa

yaad aayaa thaa bichaRnaa teraa
phir nahiiN yaad ke kyaa yaad aayaa

jab koii zakhm bharaa daaGh banaa
jab koi bhuul gayaa yaad aayaa

ye muhabbat bhii hai kyaa rog Faraz
jis ko bhuule vo sadaa yaad aayaa

Ahmed Faraz

Dard Aashoob Page 57

Ahmed Faraz

is qadar musalsal theen shiddaten judai ki
aaj pahali baar main ne us bewafai ki

warna ab talak yun tha Khwahishon ki barish men
ya to toot kar roya ya ghazal sarai ki

taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat men
aaj un se majaburan tazaa aashanai ki

ho chala tha jab mujh ko ikhtilaaf apane se
tu ne kis ghari zaalim meri hamnawai ki

tark kar cukay qasid koo e namuradaa ko
kon ab kabhr laway sher e aashnai ki

tanz-o-taana-o-tohamat sab hunar hain naseh ke
aap se koi pooche ham ne kya buraii ki

phir qafas men shor utha qaidiyon ka aur sayyad
dekhana ura dega phir khabar rihai ki

dukh huwa jab us dar per kal "Faraz" ko dekha
lakh eayeb thay us main khoo na thi gadai ki

Nabeena Shehr main aaina page 48

Ahmed Faraz

Jo ghair thay wo isi baat per hamaray huway
k hum se doost bohat bekhabr hamaray huway

kisay kabhr wo mohabbat thi ya raqabat thi
bohat se log tujhe dekh kr hamaray huway

ab ik hajoom e shiksta dilaan hai sath apnay
jinhain koi na mila humsafr hamaray huway

kisi ne gham to kis ne mizaj e gham bakhsha
sab apni apni jagah charagar hamaray huway

bujha k taaq ki shamain na dekh taroon ko
isi junoon main to barbaad ghar hamaray huway

wo eitamad kahan se Faraz lain gay
kisi ko chor k wo ab ager hamaray huway


Nabeena Shehr main aaina page 57

Ahmed Faraz

us ka apna hi karishma hai fasoon hai yun hai
yun to kehne ko sabhi kehtay hain yun hai yun hai

jaisay koi dar e dil per ho stadah kab se,
aik saya na daroon hai na baroon hai yun hai

tum ne dekhi hi nahin dast e wafa ki tasvir
nook e her khaar pe ik qathrah e khoon hai yun hai

tum mohabbat main kahan sood o zyaan le aaye
ishq ka naam khirad hai na junoon hai yun hai

ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne
ab to darya main talatum na sukoon hai yun hai

naseha tujh ko khaber kya k mohabbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai

shairy tazah zamanoon ki hai maimaar FARAZ!
ye bhi ik silsilay e kun fa yakoon hai yun hai.


Aaye Ishq e Junoon Paisha page 32

Ahmed Faraz

ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye
vo but hai yaa Khudaa dekhaa na jaaye

ye kin nazaro.n se tu ne aaj dekhaa
ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye

hameshaa ke liye mujh se bichha.D jaa
ye manzar baarahaa dekhaa na jaaye

Galat hai jo sunaa par aazamaa kar
tujhe ai baavafaa dekhaa na jaaye

ye maharuumii nahii.n paas-e-vafaa hai
ko_ii tere sivaa dekhaa na jaaye

yahii to aashnaa banate hai.n aaKhir
ko_ii naa_aashnaa dekhaa na jaaye

'Faraz' apane sivaa hai kaun teraa
tujhe tujh se judaa dekhaa na jaaye


_Dard Aashob Page # 11

Ahmed Faraz

Na shouq e visl na ranj e firaq rakhtay hain
mager ye log tera ishtiyaq rakthay hain

ye hum jo tujh pe hain naazaan to is sabab se k hum
zamanay waloon se behter mazaq rakhtay hain

ham ehl e dil se koi kyun milay k ham se faqir
ne etr o ood na saz o yaraaq rakhtay hain

jamal e yaar faqat chashm o lab ki baat nahin
so ham khayal e syaq o sabaq rakhtay hain

misal e shieesha e khali kitab e aql ko bhi
ham ehl e maikadah bala e taaq rakhtay hain

shayookh e shehr se kya bahs k jo girah main faqt
do harf e eqd o seh harf e talaq rakhtay hain

Faraz khosh ho k tujh se khafa hain fatwa faroosh
bhalay se ye bhi kahain ittefaq rakhtay hain.

Ref Aaye Ishq e Junoon Paisha Page 74

Faraz Ahmed

Abr o baraan hi na thay behr ki yorish main shareek
dukh to ye hai k hai mallah bhi sazish main shareek

ta hamain tark e taaluq ka bohat ranj na ho
aao tum ko bhi karain ham isi koshish main shareek

ik to wo jism tilismaat ka ghar lagta hai
us pe hai neeiyat e khaayat bhi poshish main shareek

sari khalqat chali aati hai ussay daikhne ko
kya karay dil bhi k duniya hai sifarish main shareek

itna sharmindah na kar apnay gunahgaroon ko
aaye khuda tu bhi raha hai meri khwahish main shareek

lafz ko phool banana to karishma hai Faraz!
ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek

Ref Aaye Ishq e Junoon Paisha Page 170

Harf-e-Ranjish Pe koi Baat Bhi ho Sakti hai
Ain Mumkin hai Mulaqaat Bhi ho Sakti hai
Zindagi Phool hai Khushbu hai Magar Yaad Rahe
Zindagi Gardash-e-Halaat Bhi ho Sakti hai
Hum Ne ye Soch Ke Rakha Tha Qadam Gulshan Mein
Lala-o-Gul mein Teri Zaat Bhi ho Sakti hai
Chaal Chalte huwe Shtranj ki Baazi ke Usool
Bhool Jao ge tou Phir Maat Bhi ho Sakti hai
Aik tou Chhat ke Bina Ghar hai Hamhara Mohsin
Us pe Ye Khauf Ke Barsaat Bhi ho Sakti hai.

Monday, 7 July 2014

Eid Nazam

(Tujhe Badal Do Ga)

Poet Naeem Fazi

Book Sham Hone Do

Ab ke baar jo eid aye ge sang khusho k rang laye ge
.
Un se main kuch rang chura kar teray daman mein bhar do ga
.
Tujh ko bhe rangen kar do ga jisam tera neyab kar do ga
.
Chehra bhe meh'tab kar do ga hatho mein pehna kar gajra
.
Teray ghum ko qatal karo ga mujhe yaqeen hai k main tujhe badal do ga

Sunday, 6 July 2014

Poet Bakhteya Aalam Ansari

Aankhein

Neel gagan se neele aankhein ho gai kaise peele aankhein
.
Jane kis ko dhondh rahe hain khoi khoi geele aankhein
.
Duniya ka dukh dard samaite kya bole sharmeele aankhein
.
Qatra qatra tapak rahe hain be'musam barfeele aankhein
.
Aaine k samne rakh kai chup hain aj nasheele aankhein
.
Ho gai ku kham0sh nawaz bolte wo albaale aankhein

Poet Irshad Niyazi:;:;););::);):

Kal jo dastor-e-muhabaat tha yahan aaj nahe
.
Kya tery shahr mein ulfaat ka koi raaj nahe
.
Mujh ko marna hai magar apni he marzi se kahen
.
Maira kardarar kahani ka to muhtaaj nahe
.
Tu pukare ga to aao ga kaha tha mein ne
.
Phir bhe aye yaar mery aaj nahe aaj nahe
.
Kya sar-e-heshar tera naam bhi lena ho ga
.
Kya teri paak muhabbat ki koi laaj nahe
.
Kal muhabbat ko yeh pegham diya hai irshad
.
Chal nekal aaj mery dil pe tera raaj nahe

Poet Safi Hasan Naqvi:;:;:;:;:;);););

Kare gaye kya mujhe rushan yahan bujhe howe log
.
Yeh apne aap ki khatir bane tahne howe log
.
Jo sar pe aya howa hai azab dashat ka
.
To kesay rok sake gaye aise dare howe log
.
Jo sans letay the wo mardan0 se badtar the
.
To shahr walo ne zindha kiye maare howe log
.
Tumhein yaqen hai bacha ley gay andhiy0n se tumhein
.
Yeh khak hoty howe raakh ho chuke howe log
.
Har aik k bas mein nahe hai laho laho hona
.
Yeh kaam karte hain dil se geny chuny howe log
.
Na dastakiye de kahen par na hath pehlayein
.
Jeey-e-waqar se pehir bhe lute'phute howe log
.
Jo de sakho inhein barh kar safi sahara do
.
Pukarte hain tumhein ab bache koche howe log

Poet Jahan Zeb Khan:;:;:;:;:;);):):):):):)

Tum apne jhot ko mana boht hawa de ga
.
Mera sakot teiray andar se doba de ga
.
Yeh tera shak tujhy andar se khokhla kar k
.
Taira wajod tairi soch ko mita de ga
.
Mein shakh-e-sabaz wo mujh par gulab ki manind
.
Bikhar wo jaye ga mujh ko agar saza de ga
.
Yun baat kar kay nazar aaey kuch saleqa bhi
.
Sunay ga jo bhi nigah sy tujhe gira de ga
.
Jo zabt us ko ata hy kahan naseb mujhe
.
Wo muskura ky mairi aankh ko rula de ga
.
Yeh kis muqam pe ly aai meri khush'fehmi
.
Guman yaqen ki had tak hy wo sada de ga
.
Wo bad nasibi ka aalam hy zeb kya kijiay
.
Bujha chragh bhi lagta hy ghar jala de ga

Poet Saleem Figar:;:;:;:;););

Ham par yeh ahsan utarta rehta hai
.
Hijraat ka saman utarta rehta hai
.
Har aik sans se is ki khushbo ate hai
.
Dil mein wo heraan utarta rehta hai
.
Jane kesi khush fahmi mein dahrti par
.
Falak se be'insan utarta rehta hai
.
Ham he toleay jate hain me'yaar0n par
.
Ham par he me'zaan utarta rehta hai
.
Suna hai mein ne dil ho yah ho khali ghar
.
Es mein phir sehtaan utarta rehta hai
.
Dil ki khaar mein roshni rehti hai jab se
.
Es mein tera dehyaan utarta rehta hai
.
Rag rag mein umedein behti rehti hain
.
Jenay ka imkaan utarta rehta hai
.
Lafz bi kesy bechaye gay phir taghyani se
.
Dil mein jab tofan utarta rehta hai
.
Car hunar bhi sochne ka khmeza hai
.
Jewan bhar tawaan utarta rehta hai

Poet Zahid Shamsi:;:

Meray ghar raat karna chahtay hain
.
Sitaare baat karna chahtay hain
.
Mein apne sath wo sab kar raha h0n
.
K jo halaat karna chahtay hain
.
Tumhare sath izhare muhabbat
.
Meray jazbaat karna chahtay hain
.
Sar sehraa tumhare ghum k musam
.
Mujhe barsaat karna chahtay hain
.
Mein kab ma'soor hona chahta h0n
.
Teray naghmaat karna chahtay hain
.
K meray sath meray dost zahid
.
Yaqenan hath karna chahtay hain

Poet Ibn-e-Mufti:

Khuwab bhi daikh magar suraat-e-tabeer mein aa
.
Waqat k poche sawaalaat ki zanjeer mein aa
.
Bin dawa-e-ajiz ki dhalte howe taseer mein aa
.
Ishq k nor mein lipti howi tasveer mein aa
.
Aye ghazl ban k siyah-e-khyalaat meri
.
Fikar ki dobe howi tahreer mein aa
.
Ojh to tujh ko suraiya pe bhi le jaye agar
.
Butt girate howe naaraa-e- takber mein aa
.
Aie insan k hathon mein to dozakh thare
.
Surkh janat hawa gar dekhni, kashmir mein aa
.
Tujh pe maar maar k mujhe khud ko amar karna hai
.
Roj-e-la'faane ki surat dhale akseer mein aa
.
Dard insan se khali ko hedayaat na milay
.
Parh k quran ahdees ki tafseer mein aa
.
To jo jalawat liye aye kabhi khalawat mein meri
.
Hijar abaad ki pehle howi jageer mein aa

Poet Muslim Saleem

....

Pari ka iskay aandar se nikalna
.
Jahan-e-khwab bistar se nikalna
.
Dahakti rait par phir main ney dekha
.
Sumandar meri thokar se nikalna
.
Jo mumkin ho bujha de piyas meri
.
Baja hai aap gaohar se nikalna
.
Na jane kis jagah mil jaye dasht
.
Duaien parh k sab ghar se nikalna
.
Bahre ga paikar e tasveer mein khoon
.
Muhabbat ka to mazar se nikalna
.
Jo mumkin ho to phir duniya hai janat
.
Nadamt n0k-e-khanjar se nikalna
.
Ajab ashair muslim ne kahen hain
.
K jaise aab pathar se nikalna

Eid Aai Hai

Suna Hai Eid Aai Hai


Poet: Syed Ayyaz Mustafa

Usey Kehna K Lout Aao Suna Hai Eid Aai Hai
.
Ek Baar To Aa K Mil Jaao Suna Hai Eid Aai Hai
.
Usey Kehana K Bin Tere Bohat Eiden Guzari Hai
.
Is Baar To Milne Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai
.
Usey Kehana Judai Se Mohabbat Kam Nahi Hoti
.
Ye Dunya Ko Batla Jaao K Suna Hai Eid Aai Hai
.
Usey Kehana K Chahat Ka Bharam Na Totne Dena
.
Tum Pal Do Pal Hi Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai
.
Usey Kehana K Tanha Hai Koi Eid K Din Bi
.
Ye Tanhai Mita Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Eid Ghazl

Pehle to us ne ginne h0n gy ka'e so taaray...

Phr dawa neend ki uth kr k0i khaai hogi...

Saabqa eid ka manzar k0i yaad aate he...

Laaj k maare nazar us ne jhukaai h0gi...

Rung to mera pasandiidah he pehnna hoga...

Naam ki mehndi bhi ghalti se lgai h0gi...

Yaa to ahsaas e nidaamat ne rulaaya h0ga...

Ya ghazl Qais ki shohar ne sunaai hogi...:-(

(Shahzad Qais)

Eid Ghazal

Lo Ek Aur Eid B Guzer Gai Aisey
Sadiyon Se Chali Aa Rehi Hai Jesey...*
.
Wo Udasi, Wohi Yadein, Wohi Tanhai...*
.
Mili Hi Kab Thi Hamein In Se Rehai...*
.
Mehboob B Hai Naraz Sa Rootha Hua...*
.
Her Rishta B Hai Aisey Hi Utha Hua...*
.
Bohat Khush They Loag Chand Daikh Ker...*
.
Hum Udas Us Mein Mehboob Daikh Ker...*
.
Maan Liya Mehboob Se Ziadti Hum Ne Ki...*
.
Per Ganwa Liya Her Rishta Dey Ker Jan B...*
.
Kuch Anjan Rishtey Chaha Tha Barh Ker Jan Se...*
.
Han Chor Gaey Wo B Be-Wafa Maan K...*
.
Isi Sadmey Mein Her Khushi Guzer Jati Hai...*
.
Kiya Cheez Hai Muj Mein Jo Mujey Hi Rulati Hai...*

Eid Ghazl

=>Is Eid pe Lot k Aa Jana Kuch Yadain Taza Karni hain...*
.
Kuch Lamhay Mor k Lanay hain...*
.
Kuch Taray Torr k Lanay hain...*
.
Wo Masti or Wo Madhoshi Wo Bachpan Mor k Lana hai...*
.
Is Eid pe Lot k Aa Jana Ab DiL ko DiL ki dharkan se...*
.
Phir Eid Mubarak Kehna hay...*
.
Ab Sath boht din Rehna hay Is Eid pe Lot k Aa Jana...*

Eid K Roz

Eid k Roz Bhi Majboor The Taqdeer Se Hum...*
.
Ro paray Mil k Gale Aap ki Tasveer Se Hum...*
.
Mera Jo Kuch Hai Tera Hai Tere liye Hi To Hai...*
.
Tu Agr Jaan Bhi Mangay To Tujhe dete Hum...*
.
Hum Ne Kia kia na kiya Pyar me 0 Mere Sanam...*
.
Phir b Mehroom Rahe Teri Wafaon se Hum...*
.
Teri yaadon Ne Shama Ban k jalaya Hai Mujhe...*
.
Parwano ki Tarha is Aag me jalte Rahe Hum...*
.
Tum Ne kaha Tha loat Aaon Ga Eid py...*
.
Eid ka Din Hai Loat Aao Warna Mar jayen Ge Hum...*

Mere Naam Ki Mendi Lago To

Wo kehta hai mohabbat me sada milna nahi
hota,

Main kehti hun mere hotey hoye bicharney ka
nahi socho,

Wo kehta hai jo tum mango to apni jan dey
dun ga,

Main kehti hun mujhey fil hal apna naam dey
do na,

Wo kehta hai harey or peley rang ki choriyan
pehno,

Main kehti hun kay pehno gi agar qismat me
likha to,

Wo kehta hai kay mere naam ki mehndi lagao
tum,

Main kehti hun lagaon gi agar tum ley kay aye
to.

Friday, 4 July 2014

Apne Mathe Par Saja Lo

Hosh waloon se kahan tarz-e-ada paao gay,
Ishq ka jaam piyo, hosh mein kiya paao gay

Kuch tou Barh jaaye gy ye Be-khudi qatra qatra
Jism mein khon ki har Boond sy wafa paao gay

Apni hasti ko mitaanay ki tamanna tou karo
Kabhi har shay mein kabhi khud mein Khuda paao gay

Apne maathay pe saja lo har ek pathar ki zarb
Ishq kar bethay ho, lazim he saza paao gay

Us se har saans ki waabastagi rakh lo "$AGAR"
Saans ruknay ka Bhi kuch or maza paao gay.

Eid Par Yaad Kerna

Eid par yaad kerna...........

Poet Hafiz Khuram

Ab ki baar eid par mehndi lago to mujhe yaad kerna...*
.
Jo milne jao sahilyon se apne to mujhe yaad kerna...*
.
Jala k aik charg eid par apni choket par rakh jana...*
.
Bujh gaya agr hawa se to mujhe yaad kerna...*
.
Khol k rashmi balon ko eid k roz jab bitho gi sab k bich...*
.
Saware ga nai koi baal tab mujhe yaad kerna...*
.
Likhna naam mehndi se apne hathon par mera...*
.
Jab mite ga nahi tab mujhe yaad kerna...*
.
Bhol bithe ho tum duniya dari me khuram sab kuch arse se...*
.
Lo a gai hai pehir eid ab tum mujhe yaad kerna...*

Thursday, 3 July 2014

Hoor Duniya Mein Dekhi Thi

Woh to titli ro rahi thi par meri mane ga kon

Hoor duniya mein mili thi par meri mane ga kon
Jannat apne ghar mein hi thi par meri mane ga kon
Ghunche urte phir rahe the roshni mein abar ki
Chandni khushbu bhari thi par meri mane ga kon
Khush'numa qos e qaza thi jugnou,n k jism par
Titliyon mein roshni thi par meri mane ga kon
Raat ki barkha mein dhul k khil uthe lab k gulab
Barishon mein tishnagi thi par meri mane ga kon
Shehar-e- khamoshan mein nisf e shab ki sui'yan milte hi
Zindgi hi zindgi thi par meri mane ga kon
Aankhon deakha waqiya hai ik zidi dil'ruba
Is ghazal par mar miti thi par meri mane ga kon
Mulk mein woh aman tha k badshah k hukm par
Jurm ki ghanti baji thi par meri mane ga kon
Aaeine se jab zara sa door hat k ro para
Aks se bechari kali pe shabnami qatre na the
Woh to titli ro rahi thi par meri mane ga kon
Shak parast ehbab ko main Qais go yeh keh to doon
Yeh ghazal kuch aam thi par meri mane ga kon

Ghazal

Main Ne Dekha Tha

Poet Mohsin Naqvi


Main ne dekha tha un dino mien usse

jab wo khiltay gulab jesa tha
uski palkoon se neend chanti thi
us ka lehja sharab jesa tha
us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
us ka rukh mahtaab jesa tha
log parhtay thay khal o khad us ke
wo adab ki kitab jesa tha
bolta tha zuban khushbu ki
log suntay thay dharkanooon mien usse

Main ne dekha tha un dino mien usse

sari ankhien thein aainay uske
saray chahroon mien intekhab tha wo
ye khawab hai ke wo haqeqat tha
ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo
sab se ghul mil ker ajnabi rahna
ek darya numa sarab tha wo
apni neendien usi ki nazr hoein
meine paya tha ratjagoon mein usse

Main ne dekha tha un dino mien usse

jab wo hans hans ke baat karta tha
dil ke khemay mein raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon mien usse

Main ne dekha tha un dino mien usse

ye magar daer ki kahani hai
ye magar door ka fasana hai
us ke mere milaap mein haail
ab to sadiyon bhara zamana hai
ab to yeh ke haal apna bhi
dasht e hijran ki shaam jesa hai
kia khabar in dino wo kesa hai??

Main ne dekha tha un dino mein usse !

Tuesday, 1 July 2014

Yeh eid tere shehar

Poet: Waqas Bhutt

Yeh Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi...*
.
Baray Naz Say Tu Nay Manai Ho Gi...*
.
Haseen Hath Pe Maehndi Bhi Lagai Ho Gi...*
.
Nazuk Labon Ko Gulab Kia Hoga...*
.
Narm Si Kalai Chorion Se Sajai Ho gi...*
.
Sitare Bhi Tanke Hon Ge Tum Ne Mang Mein Apni...*
.
Marmry Paon Mein Pazeeb Pehni Ho gi...*
.
Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Ho ga...*
.
Rukhsaron Lali Bhi Bikhri Ho gi...*
.
Ajab Si Khushi Se Dil Dharka Ho ga...*
.
Koi Chahne Wala Jab Eid Mila Ho ga...*