Tuesday, 30 September 2014

Ahmad Raza Raja

Dherkan k zeer-o-baam ko sanwara tha or bas
.
Kaghaz pe dil ka bohj utara tha or bas
.
Bas itna janta hon k awaz us ki thi
.
Itna pata hai us ne pukara tha or bas
.
Kar-e-jan0n mein faeeda tha ishq ka magr
.
Kar-e-jahan mein sirf khasara tha or bas
.
Duniya ki fikar the na zamane ka khof tha
.
Ham ko fakat khyal tumhara tha or bas
.
Logo ne us ko meri muhabbat samjh liya
.
Ahmad wo mujh ko jaan se pyara tha or bas

Erum Zehra

Jaha eid k kapr0n ki jaga kafan kharide gaey
.
0r eid ki jagaha bach0n k janaze pe
.
Khon k anso bahaye gay ais be'basi
.
Ki fiza k dil cheir jaey or ro0h tarapne lage
.
Aise alam mein jahan eid bhi sogowar ho
.
Or ahl-e-khaza ko paras dene ai ho
.
To aisi eid ki khushi main kesy manaaon

Shafiq ull Rehman Shafaaq

Jo log kal talak thay bari aan baan mein
.
Dekha inhein ko karey imteehan mein
.
Khush ho k tu ne sharh-e-kariya barha to di
.
Baithe hain log bichne khud ko dukaan mein
.
Taqk-e-taluq pe wo bhi hai zakhm zakhm
.
Yeh baat bhi na the mery wehm0 gumaan mein
.
Dewar-0-daar chamkte rahe agahi k sath
.
Yuh din guzra zeest k roshan makaan mein
.
Kam to nahi yeh baat shafaaq mojzaat se
.
Us ne ghazal kahe bhi to meri zubaan mein

Book Rang-E-Shafaaq

Dr Kamran Khaan

Meri arz-e-tamana aasman tak na p0hnchi
.
Main bulbul hon jo gulistaan tak na p0hnchi
.
Meri dastaan-e-ghum se hai har ik aankh naaam
.
Afsos k meri aah mery raaz'daan tak na p0hnchi
.
Ahl-e-hawas ne ch0s liya akhri qatra kh0n bhi
.
Kya gareeb ki koi faryad yaazdaan tak na p0hnchi
.
Teri haqeqat ko kar0n man'kashaaf to kun'kar
.
Teri zaat kabhi mery wajdaan tak na p0hnchi
.
Main ne kisi ko awaz na di irfan haq ki khatir
.
Kya khaan ki ik pukaar bhi waha tak na p0hnchi

Book Khuwab sab sehraab

Meer Taqi Meer

Dil-e-pur'Khun ki ik gulaabi se
.
Umr bhar ham rahe sharaabi se
.
Dil dahal jaaye hai sahar se aah
.
Raat guzar gi kis Kharaabi se
.
Khilana kam kam kali ne sikha hai
.
Us ki aankhon ki nim'Khwabi se
.
Kaam the ishq men bahut se 'Meer'
.
Ham hi faarig hue shitaabi se

Wasi Shah

Be sabab to nahin teri yaaden
.
Teri yaadon se kya nahi sekha
.
Zabt ka husla barha lena ansuon ko kahin chupa lena
.
Kanpti dolti sadaon ko chipki chadar se dhanp kar rakhna
.
Jab bhi ho baat koi takhi ki mozu-e-guftagu badal dena
.
Besabab to nahi teri yaden teri yadon se kya nahin sekha

Book Aankhy Bheeg Jati Hai

Aatif Saeed

Badal gai hai yeh zindgi ab sabhi nazaray badal gay hai
.
Kahe mojay badal gai hai kahe kinaray badal gay hai
.
Badal gaya hai ab es ka lahja ab us ki aankh badal gai hai
.
Wo chand chahra hai ab bhi waisa meray sitaray badal gay hai
.
Kahe pe badla hai kahnay wala kahe pe sama badal gay hai
.
Kahe pe aankh badal gai hai kahe nazaray badal gay hai
.
Kuch es liye bhi main sar jhoka kar phir us ki nagri say chal para hon
.
K jin par muj ko tha naaz atif, wo sab saharay badal gay hai

Book Tumhay Khonay Se Derta Hoon

Vikas Nehru

Bhigi bhigi, shaam Dhaley tanha tanha, chand taley
.
Door kahin kuch saayon sey dhundhlaye si rahon sey
.
Aati hai ek aawaaz kabhi kuch jaani hui kuch ajnabi
.
Sun kar jisey na jaanein kyun hota hai kuch ehsaas yun
.
Koi kahin aisa bhi hai karta mujhe jo yaad hai

Khyal Lukhnawi

Badaltay mausam ke saath badaltay huay dekha
.
Diwanon ko bhi soch mein dobtay huay dekha
.
Manzoor hothi thi jinhay yaar ki har baat
.
Un yaaron ke bhi sar uthatay huay dekha
.
Dawa tha jin ka keh tofanon sey takra jayen gay
.
Unhay bhi uljhanon mein ulajhtay huay dekha
.
Hua karta tha kabhi qasr-e-zubaan jahaan
.
Lafzon ko bhi wahaan bikhartay huay dekha
.
Bedaam hua karta tha jo afsaana khyaal
.
Us dard-e-jigar ko bhi nelaam hotay huay dekha

Munawar Rana

Har Ik Aawaaz Urdu Ko Fariyadi Batati Hai

Ye Pagli Phir Bhi Ab Tak Khud Ko Shehzaadi Batati Hai

kaii Baate Mohabbat Sabko Buniyadi Batati Hai

Jo Pardaadi Batati Thi Wahi Daadi Batati Hai

Jahan Pichle Kaii Barson Say Kaale Naag Rehte Hain

Wahan Ik Ghosla Chirrhiyon Ka Tha Daadi Batati Hai

Abhi Tak Ye Ilaka Hai Rawadari Ke Qabze Main

Abhi Firka Parasti Kam Hai Aabaadi Batati Hai

Yahan Veraniyon Ki Ik Muddat Say Hukumat Hai

Yahan Say Nafrate Guzri Hain Barbaadi Batati Hai

Lahoo Kese Bahaya Jaye Ye Leader Batate Hain

Lahoo Ka zaika Kaisa Hai Ye Khaadi Batati Hai

Gulami Ne Abhi Tak Mulk Ka Pecha Nahi Chorra

Hame Phir Qaid Hona Hai Ye Aazaadi Batati Hai

Gareebi Kiun Hamare Shaher Say Bahar Nahi Jati

Amer-E-Shaher Ke Ghar Ki Har Ik Shaadi Batati Hai

Main Un Aankhon Ke Maikhane Main Thorri Der Betha Tha

Mujhe Duniya Nashe Ka Aaj Tak Aadi Batati Hai

Lubna Salman

Mujh ko yeh iqrar hai jaana mujh ko tum se pyar hai jaana
.
Tum bi mujh ko tot k chaho mera yeh israar hai jaana
.
Dukh sukh tery sath sahon gi har dam tery sath rahon gi
.
Haq se mera hath to mango mujh ko kab inkaar hai jaana
.
Tera mera rishta aise janat k do sathi jaise
.
Jab ham ko hai sang he rehna q phir yeh takraar hai jaana
.
Dunia ham ko dor kare gi dil ko yuh ranjhor kare gi
.
Dunia ki sunte he q ho in ka karobaar hai jaana

Khushbir Singh Shaad

Bas apni kahani mein zinda raho
.
Isi khush'gumani mein zinda raho
.
Agr tashnagi ki yahi shart hai
.
To ik gho0nt pani mein zinda raho
.
Jahaan bolney ki saza maut ho
.
Wahan be'zabani mein zinda raho
.
Gham0n ka tasalsul hai ye zindagi
.
Gham0n ki rawaani mein zinda raho
.
Inhin wusaton mein maro umr bhar
.
Isi be'karani mein zinda raho
.
Yaqeenan faram0sh hona hai shaad
.
Kisi bhi kahaani mein zinda raho

Yousaf Misali

Main hireen bahriy0n ki zid mein hon
.
Aaj phir doston ki zid mein hon
.
Kitne atish-e-fishan hain sine mein
.
Har ghari zalzalon ki zid mein hon
.
Khud ko markaz bana liya main ne
.
0r ab dairon ki zid mein hon
.
Main hamesha juda raha khud se
.
Jab se mein aain0n ki zid mein hon
.
Mujh ko yousaf banaya qudrat ne
.
Or main bahiy0n ki zid mein hon

Amjad Meraj

Is liye to tery gaaown tak nahi aye
.
K faslay he mery paaon tak nahi aye
.
Har ik darkht mery liye muqadas hai
.
So le k dho0p ko hum chaon tak nahi aye
.
Hamre qaflay mein koi qais tha he nahi
.
Tab hi to shehr se sehraon tak nahi aye
.
Hamari piyas bhi jaise koi sumandr the
.
K pani mangnay dariy0n tak nahi aye
.
To kya zamen ka koi qasor hai amjad
.
Palat k betay agr maaon tak nahi aye

Amin Shad Ghulam Rasool

Tum se pehle main is tarha to na tha
.
Yuh bhi ho ga mujhe pata to na tha
.
Le uray tum he mera sara shabaab
.
Warna aisa main bad'numa to na tha
.
Tum ne mujh ko mila diya mujh se
.
Main jo khud se kabhi mila to na tha
.
Wo jo ik jaan'nishar tha tera
.
Main he tha koi dosra to na tha
.
Roth jane ka aik bahana tha
.
Wo tera uzr-e-barmila to na tha
.
Tum kisi ko bhi chahte haq tha
.
Mera tum se koi gila to na tha
.
Waqt ka tha kiya dhara sara
.
Shaad aisa bhi bewafa to na tha

Irfan Sitar

Jagte hain teri yaad mein raat bhar
.
Aik sun'san ghar chandni or main
.
Bolta koi kuch bhi nahi hai magar
.
Aik sun'san ghar chandni or main
.
Is ko pane ki aab justajo bhi nahi
.
Justajo kya kare arzo bhi nahi
.
Shoq-e-awargi bol jaye kidhar
.
Ho gay dar'badar zindagi or main

Ahmed Shehryar

To mujh ko sharik-e-kaar karta
.
Main jabaar he ikhtiyaar karta
.
Khanjar na utarta jo dil mein
.
Titli k paron par waar karta
.
Jab tha he nahi baha'jiz to hum
.
Marta jo na itbaar karta
.
Bas aik wajod or aik adam par
.
Kab tak koi inshaar karta
.
Kirn0n ki tarha bikhar gaya hon
.
Main baraf ko abshaar karta
.
Le tujh ko guzarta h0n aye umer
.
Aaloda n0r-o-naaz karta

Monday, 29 September 2014

Amir Elahi Amer Malik

Kisay sunaon gham-e zeest kaa fasana main
.
Keh razdan to koi aj tak mila hi nahin
.
Karon main raah ki dushwari ka gila kis say
.
Main wo musaafir-e kam- kosh keh chala hi nahin
.
Kabhi milo to main sab kuch hi tum sey keh daaloon
.
Keh roz roz to milnay ka silsila hi nahin
.
Tera suraagh nahin phir bhi dhoond loon ga tujhay
.
Bajuz Khuda kay mera ki aasra hi nahin
.
Hazar baataen hain jo mujh peh log kartay hain
.
Magar yeh dil haiy keh pathar kabhi jala hi nahin
.
Aa phir aj aaina hi daikh amar
.
Keh sach to aaj tak tu nay kabhi suna hi nahin

Ali Sardar Jafri

Kaam ab koi na aye ga bas ik dil ke siva
.
Raste band hain sab kucha-e-qaatil ke siva
.
Bais-e-rashq hai tanharavi-e-rahrau-e-shauq
.
Hamsafar koi nahin duri-e-manzil ke siva
.
Ham ne duniya ki har ik shai se uThaya dil ko
.
Lekin ik shoKh ke hangama-e-mahafil ke siva
.
TeG munsif ho jahaN dar-o-rasan hon shahid
.
Be'gunah kaun hai us shahar mein qaatil ke siva
.
Jane kis rang se aai hai gul'shan mein bahar
.
Koi naGma hi nahin shor-e-silasil ke siva

Fasil Khan

Jisay dekh kar labon per hansi bikhar jati thi
.
Usi mohini surat ka intezar mujhay aaj bhi hai
.
Akhri lamha mujhay aaj bhi yaad hai hijr ki raat ka
.
Usi lamhay ka karb us waqt bhi tha aaj bhi hai
.
Himat na rahi wasal ki dastaan raqam karnay ki
.
Himat tooti the jis lamha, wohi lamha aaj bhi hai
.
Jatay samay jo bikhra tha meri mohabbat ka bharam
.
Bay'karan wajood us waqt bhi la hasil tha aaj bhi hai

Rajeev

Jis chiragh ko apney dam sey jalaya hai
.
Usi chiragh ney mera ashiyan jalaya hai
.
Bachaya tha jis ko hawa key aik jhonkey sey bhi
.
Usi ney aj mujhey tufan mein phansaya hai
.
Daron kyon nan ab chiraghon sey main keh
.
Ik jala tha merey ghar ab raqeb key ghar ujala hai
.
Jism par jalney keh nishan aur daman par kaley dagh kaie
.
Chiraghon ki sohbat mein bas mainey yahi paya hai

Aamir Jamil

Is Terhan Jhoom k kiun zindgi mein aatey ho
.
Gahrey badil ki terhan sanso dil peh chatey ho
.
Kiun bataon k waja kia hai roth janey ki
.
Khudi likhtey ho saza khud hi tum mitatey ho
.
Saza jo ho tumhein maqsood saza do hum'dum
.
Diyey jala k phir aandi ko kiun bulatey ho
.
Merey kanon mein her ghari hi gonjti hai hansi
.
Dostoon mein jo kabhi mil k muskuratey ho
.
Ager yaqeen hai meri jaan k tout jaey ga
.
Tu phir sahil peh kiun matti k ghar banatey ho

Ahmad Nadeem Qasmi

Itna dushwar nahi maut ko taley rakhna
.
Sar jo kat jaye to dastar sambhaley rakhna
.
Chot khana, magar is tarah ke lodhey uthey
.
Zulmat gham isi tarey se ujahely rakhna
.
Apne ehbaab ko seney se lagaye phira
.
Aik khanjar bhi jaib mein daley rakhna
.
Meri pehchan mere peer-e-hin zakhm se hai
.
Ab bhi aezaaz sahi shaal do shaley rakhna
.
Dasht ehsaas ki hidat bhi Qayamat hai nadeem
.
Kuch zarori to nahi paon mein chaley rakhna

Ghalib Ayaz

Ek sokha sa shajar yaad aaya
.
Aaj bhula hua ghar yaad aaya
.
Manzilen jab na muyasar aayen
.
Khush gumani ka safar yaad aaya
.
Ghar banane ki thakan yaad aayi
.
Aur phir raqs-e-sharar yaad aaya
.
Us ke hathon men kharashen dekhen
.
Tab hamen apna bhi sar yaad aaya
.
Geet gaate hue logo tum ko
.
Kya koi chaak jigar yaad aaya

Farhat Shehzad

Ek bas tu hi nahin mujh se Khafa ho baitha
.
Main ne jo sang tarasha vo Khuda ho baitha
.
Uth ke manzil hi agar aye to shaayad kuch ho
.
Shauq-e-manzil men mera abalapa ho baitha
.
Masalahat chin gai quwat-e-guftar magar
.
Kuch na kahana hi mera meri sada ho baitha
.
Shukriya ae mere qaatil ae masiha mere
.
Zahar jo tu ne diya tha vo dava ho baitha
.
Jaane Shehzaad ko minjumla-e-ada pa kar
.
Huk vo uthi ke ji tan se juda ho baitha

Kunwar Narayan

Ek saaf-suthare chau'kaur kagaz ki tarah
.
Utha kar zindagi ko pyar se sochta hoon
.
Is par kuch likhun phir use koi mor de kar
.
Kai tahon mein baant kar ek naav banata hoon
.
Aur behtay paani par chup chaap chor kar
.
Us sey alag ho jaata hoon bahaav main
.
Wah kagaz nahin ek bache ki khushi hai

Adeem Hashmi

Dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
.
Itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin
.
Dabati jati hain miti main badan ki kashtiyan
.
Dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin
.
Jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
.
Per par phal bhi nahin angan main pathar bhi nahin
.
Khushk tahani par parinda hai ki pata hai Adeem
.
Ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin
.
Jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain Adeem
.
Itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin

Ahmad Faraz

Dlat-e-Dard Ko Duniya Se Chupa Kar Rakhna
.
Aankh Me Boond Na Ho Dil Me Samandar Rakhna
.
Kal Gaye Guzre Zamano Ka Khayal Aye Ga
.
Aaj Itna Bhi Na Raaton Ko Munawar Rakhna
.
Apni Aashifta Mizaji Pe Hansi Aati Hai
.
Dushmani Sang Se Or Kaanch Ka Pekar Rakhna
.
Zikr Us ka He Sahi Bazm Me Bethe Ho Faraz
.
Dard Kesa He Uthe Hath Na Dil Par Rakhna

Book Chand Or Mein

Gabesh Buhari Tarz

Beniyaz-e-sahar ho gai sham-e-Gam moatabar ho gai
.
Ik nazar kya idhar ho gai ajanabi har nazar ho gai
.
Zindagi kya hai aur maut kya shab hui aur sahar ho gai
.
Un ki aaNkhon men ashk a gaye dastan muKhtasar ho gai
.
Chaar tinake hi rakh paye the bijaliyon ko Khabar ho gai
.
Chir gai kis ki daman ki baat
Khud'ba'Khud aaNkh tar ho gai
.
Un ki mahafil se uTh kar chale
raushani ham'safar ho gai
.
Tarz jab se chuTa karavaN zist gard-e-safar ho gai

Aamir Jamil

Bhari dunya mein hum jaisey diwaney kam hi miltey hein
.
Bouhat miltey hein hum jaisey giraney kam hi miltey hein
.
Dobara daikhna tum us jaga haseen vadi mein
.
Wahan aabad gulshan mein weeraney kam hi miltey hein
.
Jaga dondo na tum apney ghamoon mein khud hi kho jao
.
Yahan sagher mein peeney key maiKhaney kam hi miltey hein
.
Bouhat hi taggo do kertey hein hum lakin zara sun lo
.
Humein ulfat sey milney k bahaney kam hi miltey hein
.
Kiri kitaab ki her ghazal mein mahboob shamil ho
.
Yahan aisi muhabat k taraney kam hi miltey hein
.
Bouhat arsey sey hum ney sub sey rishta toor dala tha
.
Bouhat apney hoon miltey hein baiganey kam hi miltey hein

Bida Fazli

Badala na apane ap ko jo the vahi rahe
.
Milate rahe sabhi se magar ajanabi rahe
.
Duniya na jit pao to haro na Khud ko tum
.
Thori bahut to zahan men narazagi rahe
.
Aapani tarah sabhi ko kisi ki talaash thi
.
Ham jis ke bhi qarib rahe dur hi rahe
.
Guzaro jo baag se to duaa mangate chalo
.
Jis men khile hain phul vo Daali hari rahe

Jigar Mordabadi

Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale
.
Ye Naale Nahin Beasar Jaane Wale
.
Mohabbat Main Ham To Jiye Hain Jiyen ge
.
Wo Hon ge Koi Aur Mar Jaane Wale
.
Mere Dil Ki Be'tabiyaan Bhi Liye Ja
.
Dabe Paaon Munh Pher Ke Jaane Wale
.
Nahin Jaante Kuch Ki Jaana Kahaan Hai
.
Chale Ja Rahe Hain Magar Jaane Wale
.
Tere Ik Ishaare Pe Saakit Khare Hain
.
Nahin Kah Ke Sab Se Guzar Jaane Wale

Sunday, 28 September 2014

Moona Sehar

Agr hum rasam to hum bhi gila nahi kartay
.
Hassain log kisi sy wafa nahi kartay
.
0o janay walay Inhay bhi samait kar lay jay
.
Bikhar k phool dubara khila nahi kartay
.
Meray tabeeb howay muj sy kis qadar mayoos
.
Dua to kartay hain lekin dawa nahi kartay
.
Yeh muj sy kahtay hain mahfil mai jal k parwanay
.
Jo ishaq kartay hain wo jiya nahi kartay

Noshi Gilani

Band kitabon mein urti hoi titliyaan daal den
.
Kis ne rasmon ki jalti hoi aag mein larkiyan daal den
.
Khouf kese hai yeh naam us ka zer-e-lab bhi nahin
.
Jis ne hath0n mein mery kanch ki ch0riyan daal den
.
Hont piyasy rahay hoslay thak gaye umar sehra hoi
.
Hum ne pani ke dhokay mein phir rait par kashtiyan daal den
.
Mausam hijar ki kesi saat hai yeh dil bhi heeran hai
.
Mery kan0n mein kis ne teri yaad ki baliyan daal den

Waqar Husain

Dukh ne kitne zehr bahray hain jewan k afsany mai
.
Ab k musam fark nahi hai gulshan aur werane mai
.
Jewan jis bin suna suna pana us ka mushkil hai
.
Kis manzel pe a puhanchay hain hum pagal anjane mai
.
Pehka pani pena to hum rindon ne sikha he nahi
.
Kuch to apna bhi raas gholo chal'kay howe pemane mai
.
Rukhsat hote waqt meri jaan ab thora sa hans do tum
.
Khushiy0n ka kuch rang to ho ga dard bharay afsane mai
.
Dil ka saaz bajao to tum parem nagar mai ao to
.
Koi lutf ajeb sa hai yeh nagmey pyar k gane mai

Rukhshanda Naveed

Ao husan yaar ki baataien karey
.
Zulf ki rukhsar ki baataien karey
.
Zulf gabr baar k qise sunaien
.
Tarh tarar ki baataien karey
.
Phol barsey bastey aysh par
.
Roz wesle yar ki baataien karey
.
Naqdo' jan le kar chaley us bazm mai
.
Misar k bazar ki baataien karey
.
Un k koche mai jo guzari hai kahe
.
Zulf siyah dar ki baataien keran

Ara dehrkha rukhshand' ochanba to nahi
.
Shakh par panchi bhi un ko phar'pharay dekh kar

Basher Badr

Subah hoti hai chupa lo ham ko
.
Raat bhar chahne walo ham ko
.
Ham haqeeqat hain nazar aate hain
.
Dastanon mein chupal lo ham ko
.
Dil na paa jaye kahin shab ka raaz
.
Subh se pahle utha lo ham ko
.
Ham zamane key sataaye hain bahut
.
Apne seene se laga lo ham ko
.
Waqt key hont hamein chu len ge
.
Ankahe bol hain ga lo ham ko
.
Kal kharedaron key pahre hon ge
.
Aaj ki raat chura lo ham ko

Basher Badr

Nikal aaye idhar janaab kahan
.
Raat key waqt aftaab kahan
.
Meri aankhen kisi key ansu hein
.
Warna in patharon mein aab kahan
.
Sab khile he in kisi key ariz par
.
Is baras baagh mein gulab kahan
.
Mere honton pe teri khushboo hai
.
Choo sake gi inhen sharaab kahan

Shahzad Qais

Shair parhte ho abhe tanha, shair likho gay tum kabhe tanha
.
Khalq hijar manzel0n ka, shurkh ho gay hum safar sabhe tanha
.
Aik shama bujhe or aise bujhe, bazm ki bazm ho gai tanha
.
Saay bardasht se bulan howe, na kare aik paal ko bhe tanha
.
Zaat k hawiye mein garm rahay, baraf ehsas par jami tanha
.
Aye farishton falak se ho aao, mujh ko rahne do 2 ghari tanha
.
Don0n mil jull kar ku nahe rahte, maarg tanha hai zindagi tanha
.
Ap k shahr mein koi na koi, karne wala hai khud'kushi tanha
.
Sath duniya k chal sake na qais, kar gai hum ko sadgi tanha

Basher Badr

Sun le jo khuda ne wo dua tum to nahe ho
.
Darwaze pe dastak ke sada tum to nahe ho
.
Samaite howe sharmae howe raat ke rani
.
Soye howe qaliy0n ke haya tum to nahe ho
.
Mehsos kiya tum ko to gele howe palke
.
Bhegay howe musam ki ada tum to nahe ho
.
In ajnabi rahon mein nahe koi bhe mera
.
Kis ne mujhe yuh apna kaha tum to nahe ho

Book Aahat

Ali Hasan Sherazi

Jisam se rooh yuh kahfa jaise
.
Koi ho jay bewafa jaise
.
To mujhe es tarha mak'dam hai
.
Admi k liye khuda jaise
.
Mujh ko lagta hai yeh wajod mera
.
Teray qadm0 mein kho gya jaise
.
Ap ko daikh k guman howa
.
Mel gaye hai hamain shafa jaise
.
Yuh faram0sh kar diya us ne
.
Bhol jay koi dua jaise
.
Zindagi aise sharm'saar howe
.
Maa'jaben koi be'reda jaise
.
Aye husan hum chairagh-e-shab hain magar
.
Pehir se chalne lage hawa jaise

Book Khumare Bandagi

Wasi Shah

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain
.
Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain
.
Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain
.
Yun karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain
.
Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain
.
Je mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain

Book Chain Aye Mujhe

Basher Badr

Jab raat ke tanhai dil ban k dahrakte hai
.
Yaad0n k darech0n mein chelmeen se sarakte hai
.
Lobaan mein chengare jaise k0i rakh jaye
.
Yuh yaad teri shab bhar seene mein sulagte hai
.
Yuh pyar nahe chupata palk0n k jhukne se
.
Aankh0n k lafaf0n mein tahrer chamakte hai
.
Khus rang parind0n k lout ane k din aye
.
Bichre howe milte hain jab baraf peghalte hai
.
Shohrat ke bulandi bhe paal bhar ka tamasha hai
.
Jis daal pe baithe ho wo tot bhe sakte hai

Book Aahat

Wasi Shah

Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain
.
Zinda lagte hain magar asal mein mar jate hain
.
Jab kabhi bolta hai hai hanss ke kisi aur se tu
.
Kitne khanjar mere seeney mein utar jate hain
.
Teri yaadon ki agar batiyan jal uthte hi
.
Hum tere dard ki khushbuon se bhar jate hain
.
Hum se awaara phira karte hain galiyon mein kahin
.
Shaam hote hi Wasi log to ghar jaate hain

Book Wo Shakhas Hamara Ho Ga

Wasif Ali Wasif

Har insan yahe kahta hai dekho to ab kya hota hai
.
Raste mein deewar khari hai itna to sab ko dekhta hai
.
Char0n simat andhera pehla aise mein kya rasta sojhe
.
Purbat sar par tot rahe hain panw mein darya behta hai
.
Meri sundarta k gahne chen k wo kahta hai mujh se
.
Wo insan bohat acha hai jo har haal mein rahta hai
.
Aik chahre se pyar karon mein aik se khof lage hai mujh ko
.
Aik chahra aik aaina hai aik chahra pathr lagta hai
.
Mein taqder zamane bhar ke har insan muqadr tera
.
Juram kisi ka chalte chalte meray he saar aparta hai
.
Kitne jalwon se guzra hon kitne manzar dekhe main ne
.
Ab bhe ankh ojhal hai wo jo meray dil mein rahta hai
.
Dhop or cho0n se banta hai hasti ka afsana wasif
.
Bahr jate hain waham k saye aazam ka suraj jab dahlta hai

Book Shabe Chiragh

Basher Badr

Hamare hath mein aik shakal chand jaise the
.
Tumhein yeh kesay baataien wo raat kesi the
.
Mehak rahy thay meray hont us ke khusbo0 se
.
Ajaib aag the bel'kul gulaab jaise the
.
Es mein sab the meri maa, behn bhe biwe bhe
.
Samjh raha tha jise mein wo aise waise the
.
Tumahare ghar k sabhe rast0n ko kaat gai
.
Hamare hath mein koi lakeer aise the

Book Aasmaan

M.Younas Hasrat

Gham0n ka bojh liye waqaf intazar h0n mein
.
Qarar jis ko na aye wo be'qarar h0n mein
.
Chairage sham tajas hun raah'guzar0n par
.
Sanbhal gaya ho jo gaar k wo shah'sawaar h0n mein
.
Mujh ko dasht-o-beya'baan mein gull khulna hai
.
Chaman ka rasta bhole howe bahaar h0n mein
.
Mujhe na chair meray dard ko duaiye de
.
Kisi ki bikhre howe maang ka nekhar h0n mein
.
Dekhaye zakhm bohat dil k pehir bhe aye yaaro
.
Kise khabar hai k ku shaam-e-da'gadar h0n mein
.
Kabhe jo bhole se aye the mery h0nton par
.
Esi hansi k liye aaj ashk'baar h0n mein
.
Meray safar ki kahani hai mukhtasar hasrat
.
Hawa k dosh pe urta howa gubaar h0n mein

Book Hasrat Parwaz

Iftakhar Naseem

Es tarha soi hain ankhay jagtay sapn0n k sath
.
Khuwaishay lipti ho jesy band darwaz0n k sath
.
Raat bhar hota raha hai us k ane ka guman
.
Esy takrati rahe thandhi hawa pard0n k sath
.
Aik lamhay ka taluq umar bhar ka ro0g hai
.
Dortay phirtay raho gay bhagtay lamh0n k sath
.
Mai use awaz de kar bhi bula sakhta nahi tha
.
Es tarha totay zaba k rabtay lafz0n k sath
.
Dil dharkhta he nahi hai us ko pa kar bhi Naseem
.
Kis qadar manhos hai yeh nat naye sadm0n k sath

Ejaz Faroz Ejaz

En kale lambi raat0n mein tum yaad ate ho
.
Ku mujh ko baataon baataon mein tum yaad ate ho
.
Ankain pur'naam se rahte hain har pal jaan-e-jaan
.
Jab ashk0n ki barsat0n mein tum yaad ate ho
.
Yeh hijar ki shab be'lazat se or zulam tanhai
.
En bakhshi howe sokhaton mein tum yaad ate ho
.
Har lamha aik sadi lagta hai furkat mein jana
.
Aksar jab chandni rataon mein tum yaad ate ho
.
Sahna zakhm-e-jigar hans kar ejaz yeh pehir kehna
.
Sapn0n ki en barat0n mein tum yaad ate ho

Book Phool Phool Khusbo

Ibrahim Zauq

Dariye ashak chasm se jis aan bi gaya
.
Sun lucho k arsh ka awaan bi gaya
.
Baal be gadaz-e-ishq k khawa ho k dil ke sath
.
Senay se teray teer ka pekaan bi gaya
.
Zahid sharab pene se kafir howa main k
.
Kya dahaarh chalo pani mein emaan bi gaya
.
Hai moje bahar ishq wo tufan kaha la'hafiz
.
Bechara masht-e-khak tha insan bi gaya
.
Dard'aye ashk se dam tahrer hall-e-dil
.
Kashte ke tarha mera qalam daan bi gaya
.
Tha to baha mein besh p ke tasveray banate hain
.
Ham ahle fan dil0n ko jorne wale payambar hain
.
Na dewaray uthate hain na zanjeray banate hain
.
Yaqen hye gaya tufan bi gaya
.
Tha zauq pehle dehle mein panjab ka sa husan
.
Par ab wo pani kahte hain multan bi gaya

Book Dewan-e-zauq

Mazhar Qasem Mazhar

Dil-o-nigah mein ulfat basa gaya wo shakhs
.
Meray khalus ko necha deikha gaya wo shakhs
.
Nekal k aya tha jo ajnabi darich0n se
.
Khulos-e-pyar se apna bana gaya wo shakhs
.
Jaga k jovat muhabbat ke ku meray dil mein
.
Boht he dor kedhar ko chala gaya wo shahks
.
Mila wo sham-o-sahr jab tak raha wo qareb
.
Gaya jo dor to mujh ko bhola gaya wo shahks
.
Sark gaya jo rukh-e-maah se gahna badal
.
Haseen khuwab ke tabeer paa gaya wo shahks
.
Galiy0n ke god mein kya dhondhte ho ab khushbo0
.
Harm-o-gul ka taqadus chura gaya wo shahks
.
Wo falsafe tha shaiyar tha rah'numa tha
.
Khudi ko shan-e-muslman bata gaya wo shahks
.
Boht zahen tha chalak tha magar mazhar
.
Fakiya shaher ke baat0n mein agay wo shahks

Book Asoodagi Udas Lamhon Ki

Saad Ullha Shah

Ajeeb tarah se socha hai zindagi k liye
.
K zakhm zakhm mein khilta hon har khushi k liye
.
Wo mujh ko chor gaya tu mujhe yaqeen aaya
.
Koi bhe shaks zarori nahi kisi k liye
.
Use khabr hai k us ka koi nahi apna
.
Ik ashnai bhe kafi hai ajnabi k liye
.
Khata kisi ki ho lekin saza kisi ko milay
.
Ye baar jabar ne chori hai har sadi k liye
.
Ye saadgi thi meri ya k Saad chahat thi
.
K mein ne khud ko kya paish dil-lagi k liye

Book Aik Kami Se Rah Gai

Saad Ullh Shah

Ajeeb tarah se socha hai zindagi k liye
.
K zakhm zakhm mein khilta hon har khushi k liye
.
Wo mujh ko chor gaya tu mujhe yaqeen aaya
.
Koi bhe shaks zarori nahi kisi k liye
.
Use khabr hai k us ka koi nahi apna
.
Ik ashnai bhe kafi hai ajnabi k liye
.
Khata kisi ki ho lekin saza kisi ko milay
.
Ye baar jabar ne chori hai har sadi k liye
.
Ye saadgi thi meri ya k Saad chahat thi
.
K mein ne khud ko kya paish dil-lagi k liye

Book Aik Kami Se Rah Gai

Yasmeen Habeeb

Aik dil mein tha aik samne darya use kahna
.
Mumkin tha kahan paar utarna use kahna
.
Hijraan k sumandar mein heewall tha kise ka
.
Aamkan k bhanwar se koi ubahra use kahna
.
Aik haraf ke kheriche kahe seenay mein chubhe the
.
Pehron tha koi tot k roya use kahna
.
Mudat howe khursed gaahn se nahe nekla
.
Aisa kahe taara koi tota use kahna
.
Jate the koi raah akale kise janib
.
Tanha tha safar mein koi saya use kahna
.
Har zakham mein darkan ke sada gonjh rahe the
.
Aik hashar ka tha shor sharaba use kahna

Book Tinkoan Ka Dopata

Jhon Elia

Aik Saya Mera Maseeha Tha
.
Kon Janey Wo Kon Tha, Kya Tha
.
Wo Faqat Sehen Tak Hi Aati Thi

Mein Bhi Hujrey Sey Kam Nikalta Tha
.
Tujh Ko Bhoola Nhi Wo Shakhs K Jo
.
Teri Banhon Mein Bhi Akela Tha
.
Jaan Leva Thi Khwahishein Warna
.
Wasl Sey Intzar Acha Tha
.
Baat To Dil Shikan Ki Hai Per Yaaro
.
Aqal Sachi Thi Ishq Jhoota Tha
.
Apney Myar Tak Na Pohancha Mein
.
Mujh Ko Khud Per Bara Bharosa Tha

Book Shaayaad

Shahzad Qais

Azaan-e-rubi say jaam chalta hai
.
Hashar tak ehtamam chalta hai
.
Jaam se pehle jaam chalaktey hain
.
Jaam k baad jaam chalta hai
.
Jaan choti na jaan jaanay se
.
Jisam say intaqaam chalta hai
.
Jab talak aam log marte hain
.
Tab talak qatl-e-aam chalta hai
.
Mard-e-darvaish agar teher jaaye
.
Us ki janib maqaam chalta hai
.
Heerniyan us pe naaz karti hain
.
Aaah kya khush haraam chalta hai
.
Jora bejore ho to pehir aksar
.
Umar bhar ihtataam chalta hai
.
Duniya mein aur kuch chale na chale
.
Hussan ka ihtaraam chalta hai
.
Hussan dharkan hai raaz-e-hasti ki
.
Ye chale to nezaam chalta hai
.
Ek haseena nay shair likhe hain
.
Qais ka sirf naam chalta hai

Zahid Shamsi

Wo roshni tery chehray pe jo gulaab bani
.
Hamari ro0h mein pohanche to iztaraab bani
.
Wo chand'ni jo cherag0n ko maat deti the
.
Tery jamaal ka lekin kahan jawaab bani
.
Wo sardiy0n ki kisi sard raat ki barish
.
Tumhari aankh se tapki to sharaab bani
.
Kisi ki ankh mein roshan the manzil0n k suragh
.
Kisi ki piyaas meri raah ka sahrab bani
.
Wo ik subha k the ikhtasar mein ik sans
.
Wo aik shab jo tawalaat mein be'hisaab bani
.
Teri talab ka taqaza tha so meri hasti
.
Khud apni marzi se phir khanum-e-kharaab bani
.
Khuda ka shukar gunah'gaar tha bohat zahid
.
Tumhari yaad magr baas-e-sawab bani

Arif Imam

Sidha sahda zara alag sa hai mera lehja zara alag sa hai
.
Jashn-e-didar ka tabarak hai haan yeh mehva zara alag sa hai
.
Dekhta h0n dar0d parhta h0n is ka chehra zara alag sa hai
.
Pee raha h0n wohi purani sharaab bas piyala zara alag sa hai
.
Jo ke roti bhagovi pani mein yeh nawala zara alag sa hai
.
Rehm he rehm hai karm he karm mera m0la zara alag sa hai
.
Baat karta nahi kisi se koi yeh muhala zara alag sa hai
.
Qabar meri bhi sab k jasi hai is pe saya zara alag sa hai
.
Likhta rehta hai sirf ik he baat likhne wala zara alag sa hai
.
Ik gali ka faqeer hai yeh faqeer is ka rutba zara alag sa hai

Hasan Abasi

Hamari aankh kholay kaise aftaab k sath
.
Hamari neend juri hai tumhare khuwaab k sath
.
Phir us k baad tera chehra sath sath raha
.
Main apne ghar se to nikla tha mah'taab k sath
.
Mera khayal hai khushbo mein dhal gaya wo shahks
.
K aab nazar nahi ata kisi gulaab k sath
.
Suna raha tha kahni koi muhabbat ki
.
Kisi ki aankh bhi behti rahe chaanaab k sath
.
Shkistagi ka sabab sirf tera hijar nahi
.
Azaab or bhi hain kafi is azaab k sath
.
Talluq is ka mery sath sirf itna hai
.
K aik phul ka hota hai jo kitaab k sath

Jhon Elia

Dil ne vafa ke naam par kaar-e-jafa nahin kiya
.
Khud ko halaak kar liya Khud ko fida nahin kiya
.
Kaise kahen ke tujh ko bhi hamase hai vasta koi
.
Tu ne to ham se aaj tak koi gila nahin kiya
.
Tu bhi kisi ke baab men ahad-shikan ho Gaaliban
.
Main ne bhi ek shaKhs ka qarz ada nahin kiya
.
Jo bhi ho tum pe mautariz us ko yahi javaab do
.
Aap bahot sharif hain aap ne kya nahin kiya
.
Jis ko bhi sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khuda diya qaraar
.
Ham ne nahin kiya vo kaam haan baa-Khuda nahin kiya
.
Nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziz
.
Us ne to kaar-e-jehl bhi be-ulaama nahin kiya

Jhon Elia

Kitane aish uraate hon ge kitane itaraate hon ge
.
Jaane kaise log vo hon ge jo us ko bhaate hon ge
.
Us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota ho ga
.
Yun hi mere baal hain bikhare aur bikhar jaate hon ge
.
Band rahe jin ka daravaza aise gharon ki mat pucho
.
Divaaren gir jaati hon gi aangan rah jaate hon ge
.
Meri saans ukharate hi sab bain karen ge roen ge
.
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate hon ge
.
Yaaro kuch to baat bataao us ki qayaamat baahon ki
.
Wo jo simatate hon ge in men vo to mar jaate hon ge

Jhon Elia

Khaamoshi kah rahi hai kaan men kya
.
Aa raha hai mere gumaan men kya
.
Ab mujhe koi tokata bhi nahin
.
Yahi hota hai khaanadaan men kya
.
Bolate kyon nahin mere haq men
.
Aabale par gaye zubaan men kya
.
Meri har baat be-asar hi rahi
.
Nuqs hai kuch mere bayaan men kya
.
Wo mile to ye puchana hai mujhe
.
Abhi hun main teri amaan men kya
.
Shaam hi se dukaan-e-did hai band
.
Nahin nukasan tak dukaan men kya
.
Yun jo takata hai aasaman ko tu
.
Koi rahata hai aasamaan men kya
.
Ye mujhe chain kyun nahin parata
.
Ik hi shaKhs tha jahaan men kya

Jhon Elia

Ham to jaise yahaan ke the hi nahin
.
Dhup the saayaban ke the hi nahin
.
Raste karavan ke saath rahe
.
Marhale kaaravan ke the hi nahin
.
Aab hamara makaan kis ka hai
.
Ham to apane makan ke the hi nahin
.
In ko aaNdhi men hi bikharana tha
.
Baal-o-par yahan ke the hi nahin
.
Us gali ne ye sun ke sabr kiya
.
Jaane vaale yahaan ke the hi nahin

Monday, 22 September 2014

Yousaf Misali

Main tujh ko haar baitha tha magr khud se na haaraa tha
.
Kabhi main khud'fareebi ka kabhi qismat ka maaraa tha
.
Mujhe in panchiy0n ki bad'dua jeeny nahi deti
.
K jin k ghonsalo ko main ne peer0n se utara tha
.
Wo mujh ko dekhte he phul rakh daita tha khirki mein
.
Yaqeenan yeh mujhe marh0m rakhne ka ishaara tha
.
Meri khushiy0n k sare sil'siley tujh se nikalte thay
.
Zamane bhar mein shayad tu mujhay har shaa se pyaar tha
.
Jise takra k suraj ki kiran mujh tak pohanchti thi
.
Is shishay pe sab se pehlay pathr main ne maara tha
.
Main pathar ho gaya h0n apni he dehleez par yousaf
.
Mery ghar se nikalte he mujhe kis ne pukara tha

Shozaib Kashir

Us ka hey mashgala mery jazbun sey khelna
.
Meri muhabab0n mery ashk0n sey khelna
.
Mujh ko jaga k ap wo s0ta hey sari raat
.
Mam0l us ka hey meri neendon sey khelna
.
Meri ana ko khel banaya to jaan lo
.
Mahnga parey ga tum ko bi sholun sey khelna
.
Nadaan dil bi hey kisi n0 umer ki tara
.
Is ko pasand hey tari yado0n sey khelna
.
Khush bukh-0-khush naseeb to marey rakeeb hein
.
Jin ko naseeb hey teri zulf0n sey khelna
.
Milney ki baat ki to badal di wo baat he
.
Kya baat tum pey khatam hey baton sey khelna

Bo0k Main Ne Pyaar Bech Diya

M.Ali Sarim

Raat sari jaga rahe ho tum yaad yuh ate ja rahe ho tum
.
Dhoka nazr0n ne aj phir khaya yuh laga mujh ko aa rahe ho tum
.
Main ne sare guzare ro ro k jitne din bhi juda rahe ho tum
.
Baat ati nahi samjh mein ku is qadar dil dukha rahe ho tum
.
Tum ko jana hai to chale jao ku bahane bana rahe ho tum
.
Itni oqat teri hai sarim jin se aankhen mila rahe ho tum

Jhon Elia

AKhlaaq na barten ge mudaara na karen ge
.
Ab hm kisi shaKhs ki paravaah na karen ge
.
Kuch log kai lafz galat bol rahe hain
.
ISalaah magar ham bhi ab isalaah na karen ge
.
Kam goi ke ek vasf-e-himaaqat hai bahar to.
.
Kam goi ko apanayen ge chahaka na karen ge
.
Aab sahal pasandi ko banaayen ge vatira
.
Taa der kisi baab men socha na karen ge
.
Gusa bhi hai tahazib-e-ta'lluq ka talabagaar
.
Ham chup hain bahare baiThe hain Gusa na karen ge
.
Kal raat bahut gur kiya hai so ham ai "Jaun"
.
Tay kar ke uThe hain ke tamana na karen ge

Ahmed Faraz

Rog aisy bhi gham-e-yaar say lag jatay hain
.
Daar say uth'tay hain to deewar say lag jatay hain
.
Ishq akhaz mein halki se khalish rakhta hai
.
Baad mein sankar0n aazaar se lag jatay hain
.
Pehlay pehlay hawas ik adh dukan kholti hai
.
Phir to bazaar k bazaar say lag jatay hain
.
Be'basi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai
.
Ro na paaey to galay yaar say lag jatay hain
.
Katrenay ghum ki jo galiy0n mein uri phirte hain
.
Ghar mein le aao to anbaar say lag jatay hain
.
Dhaag daman k h0 dil k ho k chehray k faraz
.
Kuch nishan umer ki raftaar say lag jatay hain

Jhon Elia

Khud se ham ik nafas hile bhi kahaan
.
Us ko dhundhen to vo mile bhi kahaan
.
Khemaa-khemaa guzaar le ye shab
.
Subah-dam ye qaafle bhi kahaan
.
Aab ta'mul na kar dil-e-khud_kaam
.
Ruth le phir ye silsile bhi kahaan
.
Aao aapas men kuch gile kar len
.
Varna yun hai ke phir gile bhi kahaan
.
Khush ho sine ki in Kharaashon par
.
Phir tanaffus ke ye sile bhi kahaan

Javeed Athar

Ye haqeqat hai aur baat nahin
.
Ek se banti kayenaat nahin
.
Zinda kirdar zindagi ka ho0n
.
Mujh mein afsanwi sifaat nahin
.
Aayena s0chta hai hairat sey
.
Mujh se karta hai koi baat nahin
.
Karch hoti guftagu mein zubaan
.
Is mein paise ki koi baat nahin
.
Ranj-o-ghum aah per zubaan boli
.
Ibn-e-adam hoon main nbaat nahin
.
Kaise ilzam dein hawao0n ko
.
Aag lagwana in ke haat nahin
.
Jete ji maar gaya hoon main javeed
.
Zinda aawaz apne sath nahin

Peerzada Ashar

Ishq jena azaab kar de ga
.
Tera khana kharab kar de ga
.
Teri qurbat ka aik bhi lamha
.
Jism-o-jaan ko gulaab kar de ga
.
Tujh ko zaray se main nikalon ga
.
To mujhe aftaab kar de ga
.
Phir wo teri judai ka lamha
.
Sare manzar kharaab kar de ga
.
Main ne gin kar tujhe nahi chaha
.
Bol kaise hisaab kar de ga
.
Teh'her kuch dard or bhi likh loun
.
Tu to pori kitaab kar de ga

Zahid Shamsi

Jaise halat hain kuch dair gawara kar le
.
Shehr aisa bhi nahi hai k kinara kar le
.
To bhi kar le hamien bardasht yahe behtar hai
.
Zindagi hum bhi tery sath guzara kar le
.
Shab-e-tarik mein thore se ujhale k liye
.
Teri aankh0n ko agr aye dost sitara kar le
.
Aik muhabbat hai so dobara nahi ho sakte
.
Phir bhi mumkin hai tu aye dost dobara kar le
.
Is se pehle k yeh selaab baha k le jaye
.
Ghar bachane k liye hum koi chara kar le
.
Koi bhi phir hamen taqsem nahi kar sakta
.
Tery mery ko agr log hamara kar le
.
Adha nukshan to waise bhi hai is mein zahid
.
Dil k sode mein khasara hai sara kar le

Munaza Rasool Amar

Roshni ka guzar na hone de
.
Aye shab-e-ghum sahir na hone de
.
Waqt thray to is tarha goya
.
Zindagi ko khabar na hone de
.
Azma le har ikhtiyar-e-wafa
.
Payaar ko dar badr na hone de
.
Aye musafir chale to tanha chal
.
Sath gird-e-safar na hone de
.
Aaj mujh se lipat kar ro le amar
.
Dosti be'samar na hone de

Thursday, 18 September 2014

Haider Hasnain Jaleesi

Kon kehta hai qalam ho to ghazal hoti hai
.
Umar mehb0b ki kam ho to ghazal hoti hai
.
Ghar mein bhegam ho to ik shair bhi h0na mushkil
.
Or khirki mein sanam ho to ghazal hoti hai
.
Aik do biwiya kafi nahi hote yaar0
.
Char janib se sitam ho to ghazal hoti hai
.
Sab ka kehna hai husan pataghay jaisa
.
Main to kahta h0n k bomb ho to ghazal hoti hai
.
Aik dam kuch nahi hota hai ghazal kya ho gi
.
Raat bhar naak mein daam ho to ghazal hoti hai
.
Bas parosi ka he dukh dard nahi hai kafi
.
Kuch parosan ka bhi ghum ho to ghazal hoti hai
.
Aab to shaiyar ki bhi nazren hain kamar k baal par
.
Aab kahan zulf jo hum ho to ghazal hoti hai

Yousaf Misali

Khud ko raste mein ch0r jaye to
.
Phir kabhi lout kar na aaye to
.
Mery andar he kho gai hoti
.
Meri sahmi hoi duaaien to
.
Kya karo ga main naram shakh0n ka
.
Jo parinde na jhol paaye to
.
Main ne mana bohat suhane hain
.
Khuwaab aankh0n ko jheel jaye to
.
Jane walo ko mat pukara karo
.
Lout kar aa gai saadaien to
.
Sokhe patt0n mein jaan hai meri
.
Tor kar le gai hawaien to

Asif Anjum

Kisi ne mujhe yeh nakl-e-maakani pe rakh diya
.
Ghar dobta howa mera pani pe rakh diya
.
Le kar chairag hath mein baitha main raat bhar
.
Nikla jo din to raakh paraani pe rakh diya
.
Selaab le gaya meri hamsheera ka jaheez
.
Ik bojh or meri jawani pe rakh diya
.
Kardar wo jo ghair zar0ri tha is qadar
.
Kardaar wo he meri kahni pe rakh diya
.
Us maa ko maa ki maamta ko hai salaam mera
.
Khud dobti the laal jhalni pe rakh diya
.
Selaab teri chasm-e-taghful se tha baaha
.
Ilzaam sab nadi ki rawani pe rakh diya
.
Anjum jo paair sabz tha dilaan mein mery
.
Girta gaya to tertay pani pe rakh diya

Haara Baig

Tujhe dekha to chup gay jugn0
.
Meri aankh0n se jhank'te jugn0
.
Bujh gay deep mery ashk0n k
.
Aab nahi hain kabhi jo thay jugn0
.
Wo jo laye the roshni k liye
.
Meri muthi mein maar gay jugn0
.
Mery sapn0 mein jagmagate hain
.
Kaash tum bhi wo dekhte jugn0
.
Shab jo angan mein urte phirte thay
.
Aab na'jane kidhar gay jugn0

Ayaz Ahmad Talib

Meri jazbaat ke pho0l0n ko jalaya na kar0
.
Bijliyan tanz ki tum dil pe giraya na kar0
.
Tum ko be'parda sar-e-bazm chale aate ho
.
Chahne wal0n se nazren bhi churaya na kar0
.
Ham hain gustaakh wahi karte hain jo kehta hai dil
.
Mehfil0n main hamain tum apni bulaya na kar0
.
Bad dua kar de agar ham to zamin kanp uthe
.
Ham hain darwaish mainsh ham ko sataya na kar0
.
Ham to pehle hi se hain sokhta jaan nadaan0
.
Dil jale logon ko tum aur jalaya na kar0
.
Wada kar lete ho phir us se mukar jate ho
.
Apne talib ki talab aur barhaya na kar0

Muslim Saleem

Raakh jazb0n ki khalaon mein bikhar jaye to
.
Dil pay jo utra tha wo dil say utar jaye to
.
Do0r tak apnay talluq ki khabar jaye to
.
Is nawisht0n pay zamaane ki nazar jaye to
.
Lazat-e-deed say taqdeer sanwar jaye to
.
Gardish-e-waqat zara der thahar jaye to
.
Meri manind hi wo lutf-e-safar paye ga
.
Koi us dasht main bay khauf-0-khatar jaye to
.
Tera muslim bari umeed liye aaya hai
.
Aur agar bazm say ba' deeda-e-tar jaye to

M.Ali Sarim

Bhol kar mery paas aa niklay
.
Ghar se jaise he dil'ruba niklay
.
Kya samjhta tha or wo kya nikla
.
Meri har s0ch se juda niklay
.
Hum ne rakha qadam chaman mein kya
.
Khaar he khaar ja'baja niklay
.
Zindagi mein jo ab talak aaey
.
Sab k sab yaar bewafa niklay
.
Loutna ab hamara mushkil hai
.
Raah aise pe ham hain jaa niklay
.
Ban k sahib jo baitha hai sarim
.
Wo mery dil se ku bahala niklay

Monday, 15 September 2014

Re: Akbar AllaBadi

Hafiz Khuram <mubashir_rg@yahoo.com> wrote:

>Duniyaa men huN duniyaa kaa talab_gaar nahin huN
>baazaar se guzaraa huN Khariidaar nahin huN
>
>zindaa huN magar ziist ki lazzat nahin baaqii
>har chand ki huN hosh men hoshiyaar nahin huN
>
>is Khaanaa-e-hasti se guzar jaauNgaa belaus
>saayaa huN faqat naqsh-e-diivaar nahin huN
>
>afasurdaa huN ibarat se davaa kii nahin haajat
>Gam kaa mujhe ye zauf hai biimaar nahin huN
>
>vo gul huN KhizaN ne jise bar_baad kiyaa hai
>uljhuN kisi daaman se main vo Khaar nahin huN
>
>yaarab mujhe mahafuus rakh us but ke sitam se
>main us kii inaayat kaa talab_gaar nahin huN
>
>afasurdagi-o-jaur ki kuch had nahin "Akbar"
>kaafir ke muqaabil men bhi din_daar nahin huN

Akbar AllaBadi

Duniyaa men huN duniyaa kaa talab_gaar nahin huN
baazaar se guzaraa huN Khariidaar nahin huN

zindaa huN magar ziist ki lazzat nahin baaqii
har chand ki huN hosh men hoshiyaar nahin huN

is Khaanaa-e-hasti se guzar jaauNgaa belaus
saayaa huN faqat naqsh-e-diivaar nahin huN

afasurdaa huN ibarat se davaa kii nahin haajat
Gam kaa mujhe ye zauf hai biimaar nahin huN

vo gul huN KhizaN ne jise bar_baad kiyaa hai
uljhuN kisi daaman se main vo Khaar nahin huN

yaarab mujhe mahafuus rakh us but ke sitam se
main us kii inaayat kaa talab_gaar nahin huN

afasurdagi-o-jaur ki kuch had nahin "Akbar"
kaafir ke muqaabil men bhi din_daar nahin huN

Sunday, 14 September 2014

Akhbar AllBadi

aaNkhen mujhe talvon se vo malane nahin dete
armaan mere dil kaa nikalane nahin dete

Khaatir se terii yaad ko Talane nahin dete
sach hai ki hamin dil ko sanbhalane nahin dete

kis naaz se kahate hain vo jhunjhalaa ke shab-e-vasl
tum to hamen karavaT bhii badalane nahin dete

paravaanon ne faanuus ko dekhaa to ye bole
kyon ham ko jalaate ho ki jalane nahiin dete

hairaan huN kis tarah karuN arz-e-tamannaa
dushman ko to pahaluu se vo Talane nahiin dete

dil vo hai ki fariyaad se lab_rez hai har vaqt
ham vo hain ki kuch muuNh se nikalane nahiin dete

garmii-e-mohabbat men vo hai aah se maane'
pankhaa nafas-e-sard kaa jhalane nahiin dete

Khushbir Singh Shaad

Koi bhi jab na shareek-e-gham-e-tanhaai hua
.
Khud hi mein apney tamashey ka tamashaai hua
.
Apney khwab0n ko sajta raha mein palk0n par
.
Yahi andaaz mira baaes-e-ruswaai hua
.
Ye kahan chorh gaye sarey shanaasa mujh ko
.
Ye kahan aa kay mein khud apni shanasaai hua
.
Zindagi mein bhi to dil rakhta h0n aur0n ki tarah
.
Kya ghalat tha jo tira mein bhi tamanaai hua
.
Tu na samjhe ga kabhi karb samandar us ka
.
Wo jazeera jo tirey wasl se sehraai hua

Rana Saeed Doshi

Koi tanhai mein milne agar aa jata hai
.
aye tink-e-zarf zamany tera kya jata hai
.
0r to kuch bhi nahi mery or us k ma'been
.
Aik taluq hai jise ishq kaha jata hai
.
Kaisa sahil hai kisi se nahi leta kuch bhi
.
R0z aata hai dua de k chala jata hai
.
Roz musam k sbab taar hain meri qabar k phol
.
K0n chup chap yahan ashk baha jata hai
.
Pee liya aab-e-baqa zehr samjh kar maine
.
Aab jiya jata hai mujh se na maara jata hai

Shamshad Shaad

Aise kaise rihaee ho gi teri
.
Aab na mujh se judaee ho gi teri
.
Paon apne zamen pe rakh pyare
.
Aasmaan tak rasaee ho gi teri
.
R0z milta rahe ga yar0n se
.
Do0r tak ham'nawaee ho gi teri
.
Aalam-e-naza tujh pe hai taari
.
Aab to jaan bhi paraee ho gi teri
.
Us ki rassi ko thaam le tu bhi
.
Qabar tak reh'numai ho gi teri
.
Shaad urta hai kyun hawa0n mein
.
Aise to jag hansaee ho gi teri

Zubyr Qaisar

Raah darmiyani hai hum ne haar maani hai
.
Ishq mein fana ho to umr jao'dani hai
.
Titliya ka tota parr hijar ki nishani hai
.
Ye safar muqadr hai zeest imtehani hai
.
Hanste hanste ro dena ghum ki shad'maani hai
.
Dil hai saltanat qaisar ghum ki shaad'maani hai

Khalid Naqash

Chand ho ga na gull khilay gay kabhi
.
Shab k bichray na phir milay gay kabhi
.
Shaam ka pehraan rafu kar lo
.
Warna din raat kab milay gay kabhi
.
Umer k pair par hain barg-e-khaza
.
Tha likha aag mein jalaay gay kabhi
.
Aa gay aainein mein baal bohat
.
Tukray chehray k kya milay gay kabhi
.
Bazm-e-arbab-e-zoq mein naqash
.
Hoi fursaat agr chalay gay kabhi

Aniila Nawaz

Jee mein aaya hai tujhe na pukara jaye
.
Jee mein aaya hai k ab je he ko maara jaye
.
Sonp kar yaadon ka tofha jo hamein chor gaya
.
Jee mein aaya hai k wo qarz utara jaye
.
Kis qadar ashk bahay thay hijraan mein
.
Jee mein aaya hai khazana phir wo waara jaye
.
Ishq ne tery mery husan ko gahnaya hai
.
Jee mein aaya hai k khud ko sanwara jaye
.
Tujh ko sar pe jo charaya tha kabhi khud hum ne
.
Jee mein aaya hai k wo bho0t utara jaye

Zia Shahzad

Agar khol jay sara bheed is zulm jawani ka
.
To qisa khtam ho jay muhabbat ki khanai ka
.
Khuda jane tula tha ku wo mera dil churane par
.
Main heeran h0n k akhir kya kare ga is nishani ka
.
Mujhe yuh he para rahne do yaaro hijar-e-jaana mein
.
Kisi surat to ho ga khtam is zindagi ka
.
Wo ata hai juhkay nazrein apni mushkurata hai
.
Bohat mamn0n hon us bewafa ki mehrbani ka
.
Wo mery dil mein rah kar bhi jaise mujh se be'gana
.
Sila kya khaak de ga mujh ko meri mezbaani ka
.
Ajab nadan tha main bhi k usi par maar gaya tha main
.
Hai ab bekar sadma apni marg-e-naghani ka
.
Magan rehta hon main shahzad kab se apni duniya mein
.
Bhar0sa karna hai bekaar is duniya dewani ka

Amjad Mir

Kabhi pari nahi apni nazar kharay par
.
Dhari hai aankh kisi or he nazaray par
.
Main khota'zaan tha kisi aag k sumandr mein
.
Bas ik m0j utha lie hai kinaray par
.
Wo mery haq mein bhi ik din dhamal dalay ga
.
Jo nachta hai abhi ghair k isharay par
.
Bujha nahi h0n fakht muntaqil howa h0n abhi
.
Main ik sitare se aik dosray sitaray par
.
Urr rahe hai tajali koi fiz0n mein
.
Main baah raha h0n kisi rushni k dahray par

Rehna Qamar

Pyaar mein pagal ho jatay hain log mukamal ho jatay hain
.
Tum ankhon par hath na rakho hum khud he ojhal ho jatay hain
.
Tanhai parr jharti hai jab khuwab muataal ho jatay hain
.
Jab bhi suraj dekhne nikloun sar par badal ho jatay hain
.
Mera is mein dosh nahi hai log hi pagal ho jatay hain
.
Dard-e-panire bonay walo ghar bhi jangal ho jatay hain

Lubna Aks

Un ka aana to khwaab jaisa hai
.
Mera ghar aab sahraab jaisa hai
.
Jis ne chaha usi ne tor diya
.
Mera dil to gulaab jaisa hai
.
Yeh zaamaane ki baat karta hai
.
Mera chehra kitaab jaisa hai
.
Mery pehlo mein baith kar un ka
.
Muskurana jawaab jaisa hai
.
Umar-e-raftan k aik saal ka aks
.
Beet jana azaab jaisa hai

Friday, 12 September 2014

Irfan Sultani

Jab kinar0n se wo niklaa darya
.
Log kahne lagay darya darya
.
Bheegi aankh0n se nikal aaya h0n
.
Main ne kya khuwaab mein dekha darya
.
Teray chehray se chamakta panii
.
Teri aankh0n sa wo gahraa darya
.
Dekh k piyaas bujha letay ham
.
Kaash wo raste mein parta darya
.
Bad'baan apny hawa apnh hai
.
Apni kashti meri apna darya
.
Dukh kanar0n ka batata us ko
.
Kaash ruk kar meri sunta darya
.
Tum agr rasta daitay us ko
.
Bastiya uoh na dobata darya

Raiza Subhan

Raat ki hathali par chaand ko sajaya hai
.
Jab yeh no0r chehre par apny aaj aaya hai
.
Hibs-e-zindagni mein dil ne jab kabhi chaha
.
Subh-o-n0 ka har jhonka qaid mein paaya hai
.
Jab se surkh'rawai ka sar pe taaj rakha hai
.
Aans0n ko nighla hai or gham0n ko khaya hai
.
Dhop mein chalay bars0n jism ki tasali ko
.
Ro0h par to waise bhi r0shni ka saaya hai
.
Faisla to rakha tha tujh se zindagi hum ne
.
Jane kon sodai teray paas laaya hai

Neelma Tasawur

Dard lamhon se ashnai hai
.
Dil ne apn0n se ch0t khai hai
.
Aab meri raakh bhi nahi baqi
.
Ishq ne aag wo lagai hai
.
Char'so0 zulam k manzar hain
.
Hakem-e-waqat ki duhai hai
.
Kar k pabind-e-rashn-0-toq mujhay
.
Kah diya yeh teri rehai hai
.
Main taswur h0n kaanch ka paikar
.
0r pathar se ashnai hai

Tuesday, 9 September 2014

Sayyad Fazal Gillani

Muhabbat to dobaara kar raha h0n

Magar aab istakhara kar raha h0n

Main apni aankh se qatraa gira kar

Gahtaon ko ishaara kar raha h0n

Mujhy yuhi khyal aya k aye dil

Tujhe kitna gawara kar raha h0n

Kabhi jo dard sa bakhsha tha tum ne

Abhi tak is ka chaaraa kar raha h0n

Faqt dil he nahi barbaad main to

Badan sare ka sara kar raha h0n

Koi bhi hal nahi hai tarighi ka

So0 aanso ko sitaara kar raha h0n

Tamana, yaas, hasraat na'tawani

Miyaasr hain guzara kar raha h0n

Hawaon ne bataya mujh ko sayyed

Main khud ko paarh paarh kar raha h0n

Hashmat Ali Ansari

Bhigi hui zulf0n ko ghumaya jo jhatak kar

Barish se use abr ne di daad matak kar

Kis darja nasheeli hai teri nargisi aankhen

Lagta hai k aaya hun main khum'khana gatak kar

Kitne ke kaleje pe churi chalti hai har gaam

Guzre hain jidhar se bhi wo zulf0n ko jhatak kar

Chehre pe khuli zulen sar-e-raah jo bikhren

Manzil ka pata bhol gaya raahi bhatak kar

Sharma gaye taaref mere munh se suni jab

Gaal0n pe khilin kalyaan kayi un ke chatak kar

Maikhane men jab shaikh ji pehchane gaye to

Kahne lage a nikla idhar raah bhatak kar

Kar de na kahin rad teri arzi wo hashmat

Zulf0n hi men rah jaye na to us ki atak kar

Sayyed Fazal Gillani

Pehlay to dil ko tor k acha nahi kiya

Pehir be'dili se jor k acha nahi kiya

Main so raha tha murda zamer0n mein chain se

Tum ne mujhy jhan'jh0r k acha nahi kiya

Is ne raah-e-hiyaat k kant0 k darmiyan

Mujh ko akyla ch0r k acha nahi kiya

Mumkin hai is mein lazt-e-iyaza na wo rahy

Es ubalay ko ph0r k acha nahi kiya

Mehfil mein be'rukhi se raqeb0n k roh'ba'r0h

Munh tum ne mujh se m0r k acha nahi kiya

Shamil tha is mein azmat-e-sadaat ka khyal

Sayyed ka kho0n nacho0r k acha nahi kiya

Sayyed Fazal Gillani

Roz ki ashk-e-fashni se nikal jata h0n

Chal muhabbat ki kahni se nikal jata h0n

Pehlay to dil mein utar'ta h0n safay ki tarha

Baad mein aankh k pani se nikal jata h0n

Waqt ki lehr pe behta h0n magar lagta hai

Jaisay lahr0n ki rawani se nikal jata h0n

Shahyad is tor-e-sak0n ki koi surat niklay

Main tery alm-e-fani se nikal jata h0n

Kis kar'daar ka jana hai zarori sayyed

Main he khud apni kahani se nikal jata h0n

Azhar Fragh

Malah0n ka to bas dana pani hai

Kashti bhi us ki hai jis ka pani hai

Es darya ko dob k suna'na parta hai

Awaz0n se milta julta pani hai

Tery mery khet0n ka yaarana hai

Or ik ham hai k apna jhagra pani hai

Bari nahi hai warna m0j sumandr se

Es ki kh0bi yeh hai k chalta pani hai

Piyaas ki pidaish to kal ka qisa hai

Es dharti ka pehla beeta pani hai

Seem zada ghar mein bhi kitna payasa h0n

Divar0n k andar kitna pani hai

Rone wale ne takheer se kaam liya

Lagta hai taalab mein pichlaa pani hai

Ansar Jaazab

Main apne pichay darya ki rawani ch0r aaya h0n

Bichrte waqt aankh0n mein tha pani ch0r aaya h0n

Mujhe lagta hai bharape mein mera sah kab de ga

Main jis k wastay apni jaawani ch0r aaya h0n

Use kah do mujhe apne gulam0n mein jaga dy do

Main apna takht apni hukmarani ch0r aaya h0n

Mujhe mal0m tha kar'daar ka anjam kya ho ga

Adhori is liye apni kahani ch0r aaya h0n

Us ki band chokht par yeh aankhen phenk de jaazab

Main dekh is k liye kasi nishaani ch0r aaya h0n

Shahzad Nayyar

Gir jaye zameen par to sambhalay nahi jatay

Bazar mein dukh dard uchalay nahi jatay

Jate nahi sehraa0n ko ham ishq-e-gerift

Jab tak dil-e-majn0n ki dua le nahi jatay

Aab mujh se un aankh0n ki hifazaat nahi h0te

Aab mujh se tery khwab sanbhalay nahi jatay

Aankh0n se nikaltay ho magr dhiyaan mein rakhna

Tum aisay bhi dil se nikalay nahi jatay

Aisa bhi nahi chor k jatay nahi khuwabaan

Jate hain magr lout'nay walay nahi jatay

Jangal k yeh poday hain inhin ch0r de Neyyar

Ghum aap jawan hotay hai paalay nahi jatay

Muslim Saleem

Jab bulaawe wafaa ke aye hain

Sar pay quraan uthaa ke aye hain

Aab say sab kay dil0n pe ho ga raaj

Dekh bande khuda ke aye hain

Keh do sahil se hoshiyaar rahe

Kashtiyaan ham jalaa ke aye hain

Wasi Shah

Aaj yuh musam ne di jashn-e-muhabbat ki khabar

Phot k rone lagay hain main muhabbat or tum

Hum ne johi kar liya mehs0s mazlil hai qareeb

Raste khonay lagte hain main muhabbat or tum

Chandni ki kirn0n ne hum ko is tarha b0sa diya

Devta hone lagay hain main muhabbat or tum

Dhar gaya ilzaam jab se apni hurmaat par koi

Barishay dhonay lagay hain main muhabbat or tum

Aaj phir mehromiyon ki dastan orh le

Khaakh mein sonay lagay hain main muhabbat or tum

Kho gay andaz bhi awaz bhi alfaz bhi

Kham0shi dhondhnay lagay hain main muhabbat or tum

Wasi Shah

Tum ne kaha tha pehli barish k parte he

Lout aao ga hum or tum mil kar bheegay gay

Dekho jaana! kitni phowa'ray beet chuki hain

Sawan phir se lout aayaa hai

Bars0n pehlay kiya tha tum ne mujh se ehaad

Nibaaha jaao na jaana lout k aa jaao na

Wasi Shah

Aankhon se meri is liye lali nahi jati

Yadoon se koi raat jo khali nahi jati

Aab umar na musam na wo rasty keh palat'tay

Is dil ki magar kham khiyali nahi jati

Mangay to agr jaan bi hans k tujhe de de

Teri koi baat bhi taale nahi jati

Aye koi aa ker yeh tere dard sambhaley

Hum say to yeh jageer sambhali nahi jati

Malum hamay bhi hain bohat se tery qisay

Par baat teri hum say uchali nahi jati

Ham'raah teray phol khelati the jo dil mein

Aab shaam wohi dard se khali nahi jati

Ham jaan se jaye gay tabhi baat banay gi

Tum se to koi raah nikale nahi jati

Ishfaq Nasir

Aks ko phol bana'ne mein guzar jate hai

Zindagi aaiina khane mein guzar jate hai

Shaam hoti hai to lagta hai koi roth gaya

Or shab us ko maana'nay mein guzar jati hai

Har muhabbat k liye dil mein alag khana hai

Har muhabbat usi khane mein guzar jati hai

Zindagi bohj batata tha bichrnay wala

Ye to bas aik bah'nay mein guzar jati hai

Jo ghari rakhte hain izhar-e-muhabbat k liye

Wo ghari baat bana'nay mein guzar jati hai

To bata aankh naya khwab kaha se dekhay

Roz-e-shab tujh ko bhulany mein guzar jati hai

Wo chala jata hai or sat-e-rukhsaat ishfaq

Jism ka bohj utha'nay mein guzar jati hai

Shehnaaz.Parveen

Harf k phol chun k laty thay roz taza ghazal sunaty thay
.
Dard ki bastiy0n mein ik ghar tha us ki viraaniya sajaty thay
.
Ik shajar tha jo us k jaisa tha us ko ham hal-e-dil sunaty thay
.
Us k lehje ki zid men ate hi kanch k khwab tot jaty thay
.
Zindagi dairi men likhty thay or phir dairi jalaty thay
.
Aab andhray men baithy rahty hain phle aksar diye jalaty thay
.
Aanson mein bhago k rakhte thay phol pat'jhar mein sokh jaty thay
.
Zindagi ki gali men bi kuch log mout k geet gun'gonaty thay
.
Apne ghum se kashda kar k hansi khud hi apna fareb khaty thay
.
Be'niyazi bi ik ne,maat thi yaad karte thay bhol jatay thay
.
Zindagi se kabi mili ho sehar kuch balaway to tum ko atay thay

Sabir

Kabhi socha na tha mein ne
Ye duniya zehar bhar de gi
Pari baatein hui aisy
Dilon ko door kar de gi

Kabhi socha na tha mein ne
Ye duniya zehar bhar de gi
Pari baatein hui aisy
Dilon ko door kar de gi


Kabhi socha na tha mein ne
Muhabbat ka jo din hoga
Muhabbat ki jo shab hogi
Wo mera din nae hogi
Wo meri shab nahi hogi
Muhabbat ab nahi hogi

Hawa hi jaan skti hai
Kisi ko dil ki narmi ko
Koi pathar kary mehsoos kiya
Saanson ki garmi ko

Main uska muntazir hon
Badgumani jab nahi hogi
Muhabbat ab nahi hogi
Muhabbat ab nahi hogi

Mohabbat ab nahi hogi...!!

Monday, 8 September 2014

Baqi Ahmed Puri

Akhir shab talak raho gay tum
.
Zalim0n kab talak raho gay tum
.
Shehr mein aaman ho nahi sakta
.
Shehr mein jab talak raho gay tum
.
Mit nahi jate jab talak basti
.
Kya yahan tab talak raho gay tum
.
Behriye janglon mein rahte hain
.
Shehr mein kab talak raho gay tum
.
Aab se agay to ja nahi sakte
.
Aab talak aab talak raho gay tum
.
Hum garib0n se kya gharz tum ko
.
Apne matlab talak raho gay tum
.
Aik isharay ki dair hai baqi
.
Janbish laab talak raho gay tum

Aniila Nawaz Khan

Ajnabi shehr mein tanhai ne gehra dala hai
.
Anjanay gham0n ko dil mein
.
Na jane ku main ne paala hai
.
Har taraf be'basi k siwa
.
Kuch nazaar nahi ata hai
.
Sare alfaz be'meani se lagte hain
.
Sari dunya bhi be'ronaq se lagti hai
.
Zindagi jaise aik sehraa hai
.
Jahan honton par piyaas hai
.
Or sine men bacha bas akhri sanas hai

Sabila Inam Siddiqui

Ghor say sun meri aahon ki sada yaad rahay
.
Aab na ujray ye gulisanay dua yaad rahay
.
Is say pahlay k koi lakhtay jigar qatal kar0
.
Tujh ko farzand tera bahray khuda yaad rahay
.
Tera kunba bhi yehi aag jala sakthy hay
.
Ab na oro k makanath jala yaad rahay
.
Shar ka shar hi aab aah-0-faghan kerta hay
.
Khail math kh0on ki holi ay qaza yaad rahay
.
Hakimay waqth na fir0n k atwar dikha
.
Tujh say ab or na ho koi khata yaad rahay
.
Meray gulshan main baharain jo nahi aathi hain
.
Sab hay gaflath ki saza baday saba yaad rahay
.
Har teraf goliyan bar0d ki barish hay yahan
.
Zinda rehna bhi sabila hay kala (means hunar) yaad rahay

Daagh Dehlvi

Kis ne kaha k daagh-e-wafa'daar maar gaya
.
Wo hath mila k kahte hain kya yaar maar gaya
.
Dam-e-bilay ishq ki wo kash'ma'kash rahe
.
Aik aik phark phark k giraftaar maar gaya
.
Aankhen kholi hoi hain pas-e-marg is liye
.
Jane koi k talb-e-deedar maar gaya
.
Jis se kiya hai aap ne iqraar jee gaya
.
Jis ne suna hai aap se inkaar maar gaya
.
Kis be'yaksi se daagh ne afs0s-e-jaan di
.
Parh kar teray firaakh k ishaar maar gaya

Munir Niyazi

Munir Niyzi
Pakistan k sare shehrao zindha raho painda raho
.
Roshniya rangon ki lehraon zindha raho painda raho
.
Aks pare jis jagha tumhare chankay zamenay in ki ziya se
.
Meray watan k chaand sitaaron zindha raho painda raho
.
Mosam aaye guzarte jaaey tum par rang barastay jaaey
.
Arz-e-khuda pe mehaktay baghon zindha raho painda raho
.
Batil se tum kabhi na darna kafar kabhi manz0r na karna
.
Azmat-0-hiyabaat ki deewar0n zindha raho painda raho
.
Haq ki raza hai sath tumharay meri wafa hai sath tumharay
.
Naye ujaal0n k sar'chas'mo0 zindha raho painda raho

Maqdaad Iqdaas

Taay kiya hai to kar he jaana hai
.
Dil ne haad se guzaar jaana hai
.
Aisa karte hain tum pe maartay hain
.
Hum ne yuh bhi to maar he jaana hai
.
Wo nashaa jis ko zeesht kahtay hain
.
Us ne ik din utaar he jaana hai
.
Sab ne jo jo samait rakha hai
.
Sab ka sab wo bikhar he jaana hai
.
Chartay qadmo0 ne saans k akhir
.
Sirhiy0n se utaar he jaana hai
.
Waqt wo bhi guzaar gaya yaaro
.
Waqt yeh bhi guzaar jaana hai
.
Baad mudaat k ho milay iqdaas
.
Thora baitho k ghar he jaana hai

Umair Yasir

Dahshat mein phol khelany k liye aaya h0n
.
Main udaasi ko mitanay k liye aaya h0n
.
Aise fursaat bhi kaha the k aab apne ghum par
.
Jshan-e-nor-0-ro0z maananay k liye aya h0n
.
Yeh koi or zamana hai meray paish-e-nazar
.
Main kisi or zamane k liye aaya h0n
.
Wo meray khwab jo tabeer se marhum rahay
.
Un ki tasveer bana'nay k liye aaya h0n
.
Ranjh-e-ifzaa-e-ghum-e-dost khabr hai k nahi
.
Main tera sath nibahnay k lixe aaya h0n
.
Or koi kaam to sounpaa nahi us ne yasir
.
Khaak h0n khaak uranay k liye aaya h0n

Qadeer Raba

Zulam ki tamseel baqi hai abhi
.
Dard ki tashkeel baqi hai abhi
.
Mujh ko ruswai mile har m0r par
.
Kya meri tazleel baqi hai abhi
.
Asimaat insaniyat lut'te rahe
.
Kya koi tahseel baqi hai abhi
.
Hum jaha milte rahay hain umr bhar
.
Gaon mein wo jheel baqi hai abhi
.
Aik he rukh se mujhay rana parhna
.
Thariye tafseel baqi hai abhi

Saleem Shahzad

Chandni raat ki zarorat he saaz maghmat ki zarorat he
.
Sakht piyaasi zamen he dil ki taiz barsaat ki zarorat he
.
Raah dushwaar he safer laazim hath men hath ki zarorat he
.
Aik do shab ka ahtmam nahi umr bher sath ki zarorat he

Sharif Faiyaz

Thay honth us k gulaab jaisay
.
Wo mujh pe itraay azaab jaisay
.
Hassen zamane mein hon gay be'hadd
.
Magar kahan hain jaanab jaisay
.
Zubaan se un ki ho na ha hai
.
Kham0shi in ki jawaab jaisay
.
Jo pur'sak0n hain hasen mukhray
.
Lagay wo hum ko shiya'maab jaisay
.
Pee'ya gharib0n ka kho0n jinho ne
.
Bane howay hain nawaab jaisay
.
Bikhr gi hain shuawey har so
.
Utha diya ho nikaab jaisay
.
Faiyaz khush wo howay to hon gay
.
Bahay jo anso0 chaanaab jaisay

Saturday, 6 September 2014

Dr Lubna Aks

Meray khuwabon ki to bana tabeer
.
Is tarha baan gai meri taqdeer
.
Teri aankho he mein dekhai de
.
Meray har fikr-o-fanka to taseer
.
Kesay raah mein paon gi bina teray
.
Waqat-e-rukhsat mujhe bata tadbeer
.
Meri pehchan hai teri suraat
.
Or teri jaan hai meri tasveer
.
De rahe hai sabot ulfaat ka
.
Mery hathon ki aik aik lakeer
.
Mery sham-o-sahir mein to shamil
.
Tujh mein mery he aks ki tasveer

Book Aks Dar Akr

Jamil Qamar

Pas rindo k a k baitho apni hasti mita k baitho
.
Baith he jao gay dilon mein gahay gahay a k baitho
.
Is mein darvish ka bharm hai asal chehra chupa k baitho
.
Taab ki tab tumhein khabr ho aag apni jala k baitho
.
Daikh be'bak hain shararay apna daman bacha k baitho
.
Baithne ki jaga bana lo mat kisi ko utha k baitho

Rashid Malik

Sun ah nazuk pyari larki itna sajh dhaj kar mat jana
.
Pachtao ge shadi jaise function mein
.
Kaie fareebi jhotey larkey tum jaise bholi larki ko
.
Pyar ka jhota khuwab dikha kar
.
Husan ka saara mehnga zever
.
Lo0t ke pal mein ley jatey hain

Dr Jawaz Jaffri

Palat ke aaun ga aur tera hadaf rahon ga
.
Main apney mansab se kab talak bar'taraf rahon ga
.
Mujhey bahar'hal us ka rasta ujalna hai
.
Bujhey ga soraj to main sitara bakaf rahon ga
.
Udhar se koi sitaara mujh ko bula raha hai
.
Main kab talak aasman ke is taraf rahon ga
.
Main fakhtaun ki fauj ka akhri alamdaar
.
So terey lashkar ke samney saf ba'saf rahon ga
.
Koi bulawa keh main zameen ki kashish se niklon
.
Yahan raha to aseer-e-shaam-0-jajaf rahon ga

Book Muhabbat Khasaara Nahen

Taiba Fardoos

Is liye deep jalaayaa na gaya
.
Howi mout koi aaya na gaya
.
Rothnay walay sada rothay rahay
.
Jane ku hum se manaya na gaya
.
Aanso aankh0n se giray umr tamam
.
Us ko nazr0n se giraaya na gaya
.
Raat ka khof tha taari aisay
.
De k aawaz bulaayaa na gaya
.
Dhop aankh0n mein hamisha he rahe
.
Or diwaar se saayaa na gaya
.
Haar kaise k na the jeet naseeb
.
Likha qismat ka mitaayaa na gaya

Dil Shaad Nasim

Aik paal mein baha diya mujh ko
.
Tum ne ans0o bana diya mujh ko
.
Tujh ko khonay k khouf ne aksaar
.
Kachi nendo0 se jaga diya mujh ko
.
Shehr ki sar'phiri hawaon ne
.
Janay kis se mila Diya mujh ko
.
Pocha yeh intazaar kab tak hai
.
Hans k us ne dekha diya mujh ko
.
Jis ka dar tha wohi howa akhir
.
Parh k qisa bana diya mujh ko
.
Misl-e-shabnam pari howi the yaha
.
Tum ne ghar bana diya mujh ko
.
Kitni masom-o-sada the dil'shaad
.
Tum ne kya kuch sikha diya mujh ko

Washma Khan

Kya sitam hai aankh ko darya diya gaya
.
Or mudaton ki piyas ko sahraa diya gaya
.
Ha roshni k naam pe dhoka diya gaya
.
Jugno dikha k bas mujhe behlaa diya gaya
.
Gurbat farib raanjh-o-aalam or be'basi
.
Nanhi si meri jaan ko kya kya diya gaya
.
Mujh se kaha gaya karo aasman ki baat
.
Lekin mujhay zameen ka takiya diya gaya
.
Us khuwab'gaar se kiya ho gila ab k washma jee
.
Jis ki taraf se phir mujhay sapna diya gaya

Book Jan-e-Mohsin

Sabila Inaam Siddiqui

Wo is ada say dua karay ga
.
Hamara ho ker raha karay ga
.
Ata karay ga agar wo malik
.
Wo dil ki dhak dhak howa karay ga
.
Hay ras dil ko udaas mousam
.
K dukh ko dil hi saha karay ga
.
Mera wo dil'daar lout aaye
.
Malol ho ker kaha karay ga
.
Uti ho siski kisi k dil say
.
Daro k wo dil sada karay ga
.
Kasak utay gi hamaray dil say
.
Kisi say gar wo mila karay ga
.
Wo khaie tokar hay ro0h gaiel
.
Hay dard koie dawa karay ga

Sabila Inam Siddiqui

Suraj ki kiran saray zamanay k liye hay
.
Jo kuch hay mera chor k janay k liye hay
.
Mazi ki tarah aj bhi rehta hay wo dil main
.
Tayar jo har iamha bhulanay k liye hay
.
Oron say tu hotay hain wo hans hans k mukhtaib
.
Ghro pay karam ham ko jalanay k liye hay
.
Tanha hay safar zeasth ka har gam yahan par
.
Or qafla ik mujh ko bulanay k liye hay
.
Shak hain meray asab tu ahsas ye jaga
.
Ye ro0h meri jaan say janay k liye hay
.
Allah tu qaqif hay meray saray amal say
.
Ye hamd sarapa tu mananay k liye hay
.
Bholi ho samajhtay nahi dunya ko sabila
.
Dunya tu faqath waqth bitanay k liye hay

Gulnazir Khan

Tum se rukne ko main nahe kehta
.
Par zara sa qiyaam or sahi
.
Us ki tekhi se nazar uthe ho gi
.
Saqiya aik jaam or sahi
.
Umer guzri hai teray wadon mein
.
Aaj ki aik shaam or sahi
.
Adao phir bhi adao he hota hai
.
Us ka maana mukaam or sahi
.
Bazm-e-ishar-o-waan saji ho gi
.
Aik mera kalaam or sahi
.
Kah chuka tum se gull khuda hafiz
.
Jate jate sallam or sahi

Jalil Ur Rehman Hashmi

Khamoshi se janab tota hai dil misl-e-habab tota hai
.
Totna teri ingrai ka jaise taza gulaab tota hai
.
Husan kisi ka bikhar gaya har so kisi ka band-e-nikaab tota hai
.
Pochtay hain teri jawani se ku dilm par itaab tota hai
.
Raiza raiza bikhar gaya hon main hasmi kaisa khuwab tota hai

Dr Jawaz Jaffri

Jigar ko kho0n kiey aankh mein rawani leay
.
Udaas phirta hon chehrey pey raigani leay
.
Jamal-e-der numa barf ho gaey merey baal
.
Kabhi main aaya tha is shehr mein jawani leay
.
Ujarney wali thi wo dastan saraey k phir
.
Pohanch gaya main wahan ik nai Kahani leay
.
Aseer-e-riqz-o-makaan baam se kabhi mujhe dekh
.
Main terey kochey mein phirta hon zindagaani k leay

Book Muhabbat Khasaara Nahen

Neelam Tasawur

Dil ko phir yaad bholay howay iyaam aye
.
Mery honton pe har ik baar tera naam aye
.
Main kahan or kahan band-e-qaba ki azmat
.
Yun to mariyum pay bhi is duniya mein ilzaam aye
.
Log kam'zarf hain gahr le gay fasanay lakho
.
Teri janib se magr koi to pigham aye
.
Naseb se hai shakiyat na koi tujh se gila
.
Tumhari bazm mein ja kar bhi tishna-e-kaam aye
.
Tery he dam se hain tasawur ki khushiya sari
.
Tujh se milne ki suhani se koi shaam aye