Thursday, 4 December 2014

Hafiz Khurram

(December)

Poet Hafiz Khuram

Sard hawa k jhonke kah rahe hai
.
Lout aya hai phir se december
.
Khil sa musam tanha suraj
.
Band kamra khuli kitaab or december
.
Aankh naam garm lehja tabiyat na'saaz
.
Thandi hawaien sard hath or be'raham december
.
Bhol baithe hai arsa daraz se jis ko
.
Aaj lout aya hai phir se december
.
Bohat hasen khuwab dekhaiye thay
.
Chor gaya tha jab khuram hum ko wo mahena tha december
.
Khulain gay aj be'wafai k hum kai qisay
.
Lout aya hay phir se wo be'dard December

Tuesday, 2 December 2014

H.Khurram

Wisl-e-yaar mein maarey howe log hai

Hum ko or jeenay ki dua na de

Bohat ana pasand hai hai ham

Aise baat kar k dil hamara jala na de

Daagah de farib de har sitam de

Par ham ko yeh bad'dua na de

Jaun Elia

Seena dehak raha ho to kyun chup rahe koi
.
Kyun cheekh cheekh kar na gala chel le koi
.
Saabat hua sakoon-e-dil-o-jaan kahin nahi
.
Rishton mein dhondhta hai to dhonda kare koi
.
Tark-e-talluqaat koi masala nahi
.
Yah to wo raasta hai k bas chal parhe koi
.
Deevaar jaanta tha jise main wo dhol thi
.
Aab mujh ko aitmaad ki daavat na de koi
.
Main khud yah chahta hon ke kalaat hon kharaab
.
Mere khilaaf zehr ugalta phire koI
.
Ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuch qabo0l hai
.
Yeh bhi qabool hai ke tujhe chen le koi
.
Hai thek hai main apni aana ka mareez hon
.
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhl de koi
.
Ik shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikar
.
Kaash is zuban daraaz ka munh noch le koi

Rashid Malik

Yeh jo aawaaraj sa phirta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Jane kis soch mein rehta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Raat afsorda sitare bhi pareshan se hain
.
Chand bhi aaj tehalta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Hai koi mera kinara na thekana koi
.
Main sumandar hon jo behta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Janta hai abhi kuch dair mein jaal jaye ga
.
Phir bhi parwana machalta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Dil k virane mein har lamha teri yaadon ka
.
Aik kangan sa khanakta hai kabhi yaha kabhi waha
.
Jis pe utar'ta hai yeh baagh wo gull bhi rashid
.
Baad khelnay k bikharta hai kabhi yaha kabhi waha

H. Khurram S

Main k sab ghum suna k sehraa ko
.
Khud bhi roya rulaa k sehraa ko
.
Qadar kam kar di main ne darya ki
.
Apne dil mein baasa k sehraa ko
.
Phir hawa kuch bhi kar guzarti hai
.
Apne sar par utha k sehraa ko
.
Is jagha gulistaan bana'na hai
.
Is jagha se haata k sehraa ko
.
Main ne aabad kar diya khurram
.
Tujh ko dil mein baasa k sehraa ko

Hassan Abbasi

Is tarha intaazar kar raha hon main
.
Bachpan se panchiyon ko raha kar raha hon main
.
Main janta hon phele zarorat hai meri kya
.
Pahiron ko apne sath bara kar raha hon main
.
Likha jo tera naam koi beel ban gai
.
Aa jaye is pe phol dua kar raha hon main
.
Jaise k pyar karna koi kaam he na ho
.
Sab pochtey hain in dinon kya kar raha hon main
.
Yeh chand raat hai k tumhara wajod hai
.
Lehron ka shor hai k sada kar raha hon main
.
Aab us k shar se bachna pare ga tamam umar
.
Aik baar phir kisi ka bahala kar raha hon main

Naseer Ud Din

Ab to yeh sanah bhi hota hai
.
Meri halat pe wo bhi rota hai
.
Tu to kahta tha k pathar hon main
.
Ab mery dil bata kiyon rota hai
.
Itna hsaas howa hon main to
.
Baat be'baat pe dil rota hai
.
Ab riya'kari labon ne sekhi
.
Mushkurate hain yeh dil rota hai
.
Din k dhalte he mera dil bhi dahaley
.
Jane kiyon be'waja yeh hota hai
.
Dil k paatay ki tarha kanpey mera
.
Ab to jhonka jo badan chota hai
.
Teri qismat bhi bahala kiyon jaagay
.
Subha hote hi jo tu sota hai
.
Dil tery hath se phisla hai naseer
.
Hath milane se kya hota hai

H.Khurram J

Naqsh aankhon mein chupa tha mujhe malum na tha
.
Aaiina mujh se khafa tha mujhe malum na tha
.
Aik maale ne kaha dukh bhare lehjay mein mujhe
.
Pahir (darakht) andar se hara tha mujhe malum na tha
.
Halt-e-ghum mein kahan hosh thekaney the mery
.
Kon kab aa k mila tha mujhe malum na tha
.
Waqat guzara to use yaad kiya main ne buhat
.
Aane wala he bura tha mujhe malum na tha

Monday, 1 December 2014

Aarsh Saddiqui

Osey kehna December aa gia hai

December ke guzarty he bars

Aik aur mazi ki ghapa mein doob jaye ga

Osey kehna December Laot aye ga

Magr jo khoon soo jaye ga jismon mein

Na jagey ga Osey kehna Hawaien sard hen

Aur zindagi ke harey ki Dewaron me Larzaan hen

Osey kehna shagofey tehnion me so rahy hein

Aur un pe barrf ki chaadr bichi hai

Osey kehna agr suraj na nikley ga
to

Kaisy barrf piglay ge Osey kehna Laot aye

Lubna Aks

Is baar december mein mulaqaat kare gaye
.
Socha hai sanam tum se har ik baat kare gaye
.
Hatho mein diye hath bohat dor chale gaye
.
Jaana teri bahon mein he ham raat kare gaye
.
Kandhe pe ho gai shall hathon mein thama cup
.
Ham shall dhale payaar ki barsaat kare gaye
.
Sanso ki hararat ho hathon ki chahe lams
.
Ham naam teray he sarey jazbaat kare gaye
.
Hum sunte aa rahe hai december udaas hai
.
Ham ab k december mein he shab-e-baraat kare gaye
.
Aankhon mein teri aks mera ter'taa rahe
.
Ham apna sarapa tumhein sughaat kare gaye

Sunday, 30 November 2014

Nezam o Deen Nezami

Kuch Log Jahan Me Aa K, Bhatak Jaty Hen.
-
Hum To Sadah Hen, Tere Nam Pe Atak Jaty Hen.
!
Kitine Sun'San Pare Hen, Ye Mihrab-O-Mimber,
-
Loog Zindah Hen To Kahan Sarak Jaty Hen.
!
Mast Nazro'n Ka Jado Idhar Bhi To Hai,
-
Log Maekhana Chor K, Ik Jam Pe Bahak Jaty Hen.
!
Raste Haq K Hen Per, Haq Tujh Men Nahi,
-
Ay Munafiq Tere Jese, Atak Matak Jaty Hen
!
Baat Matlab Ki Thi Per, Be'Faida Gayi,
-
Apne Maqsad Ki Na Ho To, Zahan Chalak Jaty Hen.
!
Aap Ulajhte Rahen, Momin-O-Muslim Men,
-
Hum To ZooQ-E-Ishq Liye Mahak Jaty Hen.
!
ILim Bazar Men Ab, Bikine Laga He Logo'n,
-
Log Bikao Chez Ki Khatir, Latak Jaty Hen.
!
'RaShid' Wesa Bana, Jesa Us Ne Chaha,
-
Be'Niyat Logo'n K DiL, Q Dehak Jaty Hen..!!

Tuesday, 25 November 2014

Abu Yah Ya Ansari

SaleeQa Deed ka Kab tha Tere De-daar se Pehle.
Zameen abaad Hi kab thi Diyar-e-yaar Se pehle.

Gulon ne Muskurana Aur hawa ne Bolna seekha.
Kisey idRaak Hasil tha Teri Guftaar se Pehle.

Chaman me es Baras yaaro Qayamat kya Ajab dekhi.
Fizaa kaanton Ne mehkai Gull-0-Gulzaar Se pehle.

Ye meri Badnaseebi hai Ya meri Khushnaseebi hai.
K mere paaon Hain Zakhmi Raah-e-purkhar Se pehle.

Yahan aa kar Milaye khaak me Naam-0-nasbb Ham ne.
Hamen Bikna Kab aata tha Tere Bazaar se Pehle.

Abbas Rizvi

Aankho se khuwab le gai dil se khayal le gai
.
Umar guzishta sab mera jaah-o-jaalal le gai
.
Ab k teri nigah se koi umed bhi na the
.
7twein asman tak par'sish haal le gai
.
Kis ko sunae roh par sanah kya guzar gaya
.
Dasht badan se arzo dil sa ghazal le gai
.
Ab na koi sada rahe or na koi sakhi raha
.
Ham se hamari ihtiyaat naqd-e-sawal le gai
.
Main to aser-e-jism tha par mujhe dil ki roshni
.
Chehro k ashdham se saaf nikal le gai

Book Khwabon Say Tarashay Huay Din

Abbas Rizvi

Wo koi or the dunya yeh hai dunya koi or
.
Ab koi or he yousaf hai zulakha koi or
.
Wohi basti wohi galiya wohi raste hain magar
.
Chasm-e-pur shoq koi or tamasha koi or
.
Daad milte hain bagalo se naart par mujh ko
.
Yuh na hota to yaha raqs mein hota koi or
.
Ham jahan shola be'jaan abal'paa rahte the
.
Nazr ata hai wohi khakh urata koi or
.
Hai wohi dil magr is dil mein makeen or koi
.
Sar wohi hai magr is sar mein hai soda koi or
.
Aankh bhar kar jise dekhey to nasha ho jaye
.
Ham ne dekha he nai aisa sarpa koi or
.
Kar liya hai dar-e-dil ko bi maqfal hum ne
.
Is kharabe mein chala aye mubada koi or
.
Hale mazi k sumandr mein utarta darya
.
Yani amroz se fard ka hai rishta koi or

Sajid Hameed

Aks maddham hai saaf kaise karun
.
Munjamid hun tawaaf kaise karun
.
Qatl hamzad ho gaya hai mera
.
Qatilon ko maaf kaise karun
.
Barf ho jati hein meri nazrein
.
Ishq ka aeteraf kaise karun
.
Sar jhukaye huwe khara hai falak
.
Husan ka ektishaf kaise karun
.
Jal chuki hein barahna khushbuein
.
Rooh per inkeshaf kaise karun
.
Sochte sohte guzari shaam
.
Zehan se ekthilaf kaise karun
.
Aahani hai zameer ki deewar
.
Is mein sajid shigaf kaise karun

Rashid Malik

Kabhi kabhi to dil karta hai is duniya ke
.
Sukh ki khatir tajreba ik aisa bhi kar lon
.
Dunya mein jitney bhi gham hain
.
Aik jagah par he un sab ki dawat rakh lon
.
Jab sarey gham aa jaain to jis se aik dafa he
.
Sab mar jaain aisa khud khush hamala kar don

Hassan Abbasi

Jab koi shahks pareshaan buhat hota hai
.
Pyaar ho jane ka imkaan buhat hota hai
.
Yeh zarori to nahi hath pakar lon dukh mein
.
Hath rakhna bhi meri jaan buhat hota hai
.
Mery dushmano ko muhabbat nahi ati warna
.
Qatal kar dena to asaan buhat hota hai
.
Chot jati hai meri gari madad karne mein
.
Dosre logo ka saman buhat hota hai
.
Aik he lehar guzar jati hai sab aankho se
.
Sur k dariyo mein tofaan buhat hota hai
.
Is liye hath milate howe darta h0n hassan
.
Dost ban jane mein nuksaan buhat hota hai

Khalid Sajjad Ahmad

Zaabt ka aise imtehaan naa ley
.
Aae meri jaan meri jaan naa ley
.
Sans rukta hai tery rukne se
.
Waqfa baaton k darmiyan naa ley
.
Tark-e-ulfaat ka kahte daarta hon
.
Wo kahen meri baat maan naa ley
.
Yeh adaalaat nahi muhabbat hai
.
To mera halfiyaa biyaan naa ley
.
Kar mukamal safar towakaal se
.
Le safina to baad'baan naa ley
.
To kaha or jaanab qais kaha
.
Naam un ka aae baad'zubaan naa ley
.
Wisal or hijar se nikal khalid
.
Koi lamha kisi se daan naa ley

Shahzad Nayyar

Shikasta to the aik dewar ghar ki
.
Magar meray dushmaan ko kis ne khabar ki
.
Abhi chand raste mein apne paara hai
.
Abhi ibtada hai hamare safar ki
.
Zarorat ne angan mein kamarey ugaaye
.
Bahala kon sunta dohaai shajaar ki
.
Na'jane hawaien kaha se urrey gi
.
Jo chadar zara dair ko sar se sarki
.
Jo dil mein the galiyon mein chalne lagi hai
.
Yeh kis ne kahani idhar se udhar ki
.
Andhery bahrey jab sitare nikle
.
Na pocho k nayyar ne kaise sehar ki

Amjad Mir

Jaaz tery kuch nahi mera sab kuch
.
Tu howa to mera howa sab kuch
.
Wo samjhta tha baat lehron ki
.
Main ne pani pe likh diya sab kuch
.
Jeet chome gi phir qadam tery
.
To muhabbat mein haar ja sab kuch
.
Is dafa ai aise taghyani
.
Hijar darya mein baah gaya sab kuch
.
Us ne hont see liye lekin
.
Behgi palkon ne kah diya sab kuch

Neelma Tasawur

Sehn-e-dil par bikharti jati hain
.
Beti yaadein pehsalti jati hain
.
Chand chone ki ik tamana mein
.
Dharkanein kuh machalti jati hain
.
Khuwab rahtey hain aik se lekin
.
Or aankhein badalti jati hain
.
Kisi ki yaadon mein doob kar har paal
.
Meri sansein sulagti jati hain
.
Mall-o-zaar ki hawas ki sab sochein
.
Adami ko nighalti jati hain
.
Qabr-e-hasrat pe ab tasawur ji
.
Sari shumay pighalti jati hain

Monday, 24 November 2014

Asif Anjum

Kisi k khuwab aankho mein saja kar hath kya aaya
.
Bata aye dil use apni suna kar hath kya aya
.
Kaha bhi tha wo suraj hai use chona nahi lekin
.
Bata yuh ungliyan apni jala kar hath kya aaya
.
Wo pathar tha jise main ne muhabbat ka khuda jana
.
Kisi ko pyar mein hadd se bahar kar hath kya aaya
.
Es k khuwab par aankhein sajai hain
.
Suno yuh nend apni he ganwa kar hath kya aaya
.
Chalo en mein is k hath ki khusbo bhi shamil the
.
Bata anjum k us k khat jala kar hath kya aaya

Sidra Meer

Dard-e-furqat k wo maarey hain udaas
.
Sun rahe hon mery pyarey hain udaas
.
Hath mein uljhe lakeery dekhiye
.
Meri qismat k sitaare hain udaas
.
Waqat rukhsat aanson ki hai jhari
.
Behgay behgay se nizarey hain udaas
.
Phir koi kacha gahra dob raha hai kya
.
Chahtaein darya kinarey hain udaas
.
Dastan-e-hijar ki mein ne raqaam
.
Lafz kaghaz par utarey hain udaas
.
Shab k damaan par kai aanso girey
.
Din tumhare bin guzarey hain udaas
.
Apne ghum par hanste hon sidra magar
.
Qehqey sare k sarey hain udaas

Tuesday, 18 November 2014

Jamal o Deen Ibraheem

Be_Sood humein Rozan-e-Diwaar sy mat deikh

Hum ujray huey Log, Humein piyaar sy mat dykh

Pasti me bhatakny Ki nidamat Na siwa Kar

Mur mur K mujhay Rafa'at-e-Kohsar sy mat Deikh

Qemat Na Laga Jazba-e-aysar-e-Tlab Ki

Her shay Ko Fqt Chashm-e-Khridar sy mat Dykh

Phir Tajrba-e-marg sy mat Kar mujhay Do-char

Me hijr zada h0n Mjhy is piyar sy mt dykh

Me aur Kahein Saaf dikhai Nhi don ga

Hat kar Mjhy aina-e-Ashar sy mt deikh

Gr dhop me chalna hai To is shehar-e-talb Ko
Kaghz py ugaey huey Ashjaar sy mat dykh

Itna To bharm zakhm-e-Shanasai Ka rakh ly

hans kr mjhay safay_a aghyaar sy mat daykh

Aa Qatal Kar Dey Mujhe Otha Khanjjar

Lekin Meri JaaN Mujhe Etny Pyaar Sey Mat Deykh

Anwar Shah Zavaari

Tamam Zakhm kabi b bhara nahi karty,
Jo bewafa hain Kabi b Wafa nahi karty.

Jo hansa sakta hai wohi rula b sakta hai,
Shikast pe yuo'n kasi k Hansa nahi karty.

Mujy dunia k sitam se koi shikwa hi nahi,
Magar ay kash k bas tum dagha nahi karty.

Kisi k sath wafa teray bas ki bat nahi,
Warna kia kam hai jo tum kiya nahi karty.

Tujy pehchan kar b chahte rahen tujh ko,
Kye gunah ko ham barha nahi karty.

Ye aur bat k yeh log na samajh paen,
Ye shairi b to ham bewaja nahi karty

jetni Bewafai tum ne ki .RaShid. Se .i.
etni bewafai to Dushman bhi kia nahe karty

Muztar Khairabadi

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Na Kisi Ke Dil Ka Qaraar Hoon


Kisi Kaam Main Jo Na Aa Sake Main Wo Ik Musht-E-Ghubaar Hoon


Main Nahi Hoon Naghma-E-Jaan-Fizaa Koi Mujh Ko Sun Ke Kare Ga Kiya


Main Barre Birog Ki Hoon Sadaa Main Barre Dukhi Ki Pukaar Hoon


Mera Bakht Mujh Say Bichar Gaya Mera Rang-Roop Bigarr Gaya


Jo Khizaan Main Baagh Ujarr Gaya Main Usi Ki Fasl-E-Bahaar Hoon


Pa-E-Faatiha Koi Aaye Kiun Koi Chaar Phool Charrhaaye Kiun


Koi Shamma Laa Ke Jalaaye Kiun Ke Main Be-Kasi Ka Mazaar Hoon


Na Main Muztar Un Ka Habeeb Hoon Na Main Muztar Un Ka Raqeeb Hoon


Jo Bigarr Gaya Wo Naseeb Hoon Jo Ujarr Gaya Wo Dayaar Hoon...;-)

Zaka Siddiqui

jiite rahane kii sazaa de zindagii ai zindagii

ab to marane kii duaa de zindagii ai zindagii

mai.n to ab uqtaa gayaa huu.N kyaa yahii hai qaayanaat

bas ye aa_iinaa haTaa de zindagii ai zindagii

Dhuu.NDane nikalaa thaa tujh ko aur Khud ko kho diyaa

tuu hii ab meraa pataa de zindagii ai zindagii

yaa mujhe ehasaas kii is qaid se kar de rihaa

varnaa diivaanaa banaa de zindagii ai zindagii

Sunday, 16 November 2014

Saaim Karnaali

Hal-E-Dil Sun Kar Faqat Do Lafz Farmaye Gaye


Be-HaqeQat The Ye Afsaane Jo Dohraye Gaye


Halat-E-Gam Main Kisi Ki Kon Leta Hai Khabar


Dard Ke Sathi Jo Hote The Wo Ham-Saaye Gaye


Rah-E-Ulfat Main Huwa Mehman Ka Kitna Ahetram


Ja-Baja Khaaro Say Mere Paon Sehlaye Gaye


Koi Bhi Saail Na Thera Waqt Ki Deleez Par


Jitne Aaye Sab Ke Sab Waado Pe Tarkhaye Gaye


Kon Basta Hai Na Jane Itne Unche Shaher Main


Zinda Laashe Jis Ki Dewro Main Chunwaye Gaye


Jis Ko Daikha Tha Kabhi Gulrang Saayo Main Magan


Dasht-E-Wehshat Main Wo Aksar Ghomte Paye Gaye


AjNaBi Kiun Aaj Lagti Hai Tumhai Ae Sathiyo


Pehle Bhi Hs Reh-Guzar Say Baarha Aaye Gaye


Laaj Rakh Leti Hai Dharti Apne Har Farzand Ki


Be-Kafan Kitne Hi Laashe The Jo Dafnaye Gaye


Ik Maqaam Aesa Bhi Aaya Tha Ke Saaim Samne


Bherriye Kuch Aa Ke Roop Main Laaye Gaye..

Sahoqat Ali Khan

Buhat ujrra hua Dil hai magar apna Aqida hai,

Jahan Mehkein teri yadein wo sehraa ho nhi Sakta,

Kisi ki yaad ab b rat ko sony nhi Dyti,

Shab-e- Tanhai se keh do mein tanha ho nhi sakta,

Kuch us ki B khataen thi wabaal-e- Zindgi k sath,

Sabhi kuch hi muqadar ka likha to ho nhi sakta,

Juda ho kr B DONO jee rahy hein ek muddat sy,

Kabhi DONO hee kehte thy k
"AISA HO NHI SAKTA...!

.

Naseer Ud Din Naseer

Wo mujhey chor k jo jaane lagey
.
Mujhe wo paal bohat rulaney lagey
.
Jis ne bachpan se apna maana tha
.
Ab kisi or ko apnaney lagey
.
Mery sine pe sar rakh k kaha
.
Hum kisi or ko he chahney lagey
.
Mery lahoo pe hath rang ley
.
Ghar kisi or ka sajaney lagey
.
Meri ungli pakar k chalte rahe
.
Dekhi manzil to jaan choraney lagey
.
Wo mera tha he nahi baat itni
.
Dil ko samjhne mein zamaney lagey
.
Us ne chora hamein chal acha howa
.
Dekho ham ko bhi shair aaney lagey

Naseer Ud Din Naseer

Phir nahi baahta haseen koi nizaara mujh ko
.
Jab tasawur mein tera aa jaye chehra mujh ko
.
Jism-o-jaan tujh pe nichawar na karo to kehna
.
Sirf aankho se kabhi kar le ishaara mujh ko
.
Mujh se bichrte howe us ko peshmani the
.
Warna q dekhta yuh murr k dobara mujh ko
.
Tera daman jo mery hath kabhi a jaye
.
Phir nahe chahey koi bhi sahara mujh ko
.
Tera jo sath na ho or fakht horeen ho
.
Phir nahi chahiye jaanat ka ajaara mujh ko
.
Sab k munh band the jab dob raha tha logo
.
Ab yeh sahil pe khare kis ne pukara mujh ko
.
Tum ko ehsaas hai yaaro to bohat shukriya
.
Main nahi chahta koi de sahara mujh ko

Naseer Ud Din Naseer

Mudat hoi hai tark-e-muhabbat kiye howe
.
Aankhein hain lekin ab tak aanso kiye howe
.
Jin ki tujhe talash hai wo kab k meri jaan
.
Hain tery intazar mein jaan se gaye howe
.
Wo teri yaad mein ho yah tujh ko bhulane mein
.
Apni to umar kaat gai aise jiye howe
.
Dil mein basa liye hain sajaye hain palkon par
.
Jitne bhi sare ghum hain tumhare diye howe
.
Ham jante nahi the k bache hamare bhi
.
Cheray gay tery mery fasane chupe howe
.
Duniya mein jo bhi ghum hain sabhi aye hain idhar
.
Hatho mein mery ghar ka paata he liye howe
.
Barish jaha bhi hoti hai bijli idhar he gire
.
Ghar ko mery falak hai nishaana kiye howe
.
Aik aah se nikalte hai munh se kabhi naseer
.
Hontho ko to zamane howe hain siye howe

Naseer Ud Din Naseer

Dil k mery jo qareeb wo nahi mera naseeb
.
Dor bhi ho pas bhi tum se rishta hai ajeeb
.
Kya howa tu dor hai yaad teri hai qareeb
.
Tu na jane tera yaar sari duniya ka raqeeb
.
Dil to mera badsha hath agr mera gareeb
.
Sab ne sath chora hai jo aai manzil qareeb
.
Ro kar duaien mang le par nahi hansi naseeb
.
Esa logo k liye sari duniya hai saleeb
.
Hon azaab mein naseer kar meri madad habeeb

Naseer Ud Din Naseer

Meri nokri ki umar kab ki gai
.
Maa samjhte mein aafasar hon
.
Ab meri jaan bhi yeh kahne lagi
.
K main be'jaan hon be'asar hon
.
Har koi songh k chor jata hai
.
Jis ki khusboo nahi wo aatr hon
.
Dost ab dekh k yuh bhagte hain
.
Jaise na'sor hon main zahir hon
.
Sari khusiyan tujhe mubarik ho
.
Main tera ghum liye he behtaar hon

Majid Jhangir

Dil-e-nadaan yaqeen kar le muhabbat aab nahi ho gi
.
Qayamaat aa chuki ham par qayamaat aab nahi ho gi
.
Jise apna banaya tha jo raag raag mein samaya
.
Bohat be'dard nikla wo soo chahat aab nahi ho gi
.
Mera be'sood hai jena jahan dard mein tanha
.
Mujhe sansoo ki aye ham'dam zaroraat aab na ho gi
.
Majaz-e-ishq mein kho kar haqeeqat kho baitha tha
.
Khudaiya dar guzar karna shakayaat aab nahi ho gi
.
Mazhab k tasadam ne khuda taqseem kar dala
.
Kahein mandair kahein girjaa ibaadaat aab nahi ho gi
.
Biyaan aise na kar zamane ki haqeeqt ko
.
Wagarna jaan ki tujh se hefaazaat aab nahe ho gi

Book Muhabbat Dard Tanhai

Mussarat Naheed

Paaindaa karbalaa hai aik be'ridaa k sadqey
.
Islaam par ridaa hai aik be'ridaa k sadqey
.
Ishaaq ko khabar hai aye khana'kaba tera
.
Parda bana howa hai aik be'ridaa k sadqey
.
Wo raah shaam jis se guzrey the kuch musafir
.
Wo jagmaga raha hai aik be'ridaa k sadqey
.
Bikhre the baal jis k yeh is ka he karam hai
.
Har sar pe aab ri'daa hai aik be'ridaa k sadqey
.
Har jabar k mukabil haq ki azaan do gi
.
Yeh hosla mila hai aik be'ridaa k sadqey
.
Jab yeh islaam likha tab yuh laga mussarat
.
Razi khuda howa hai aik be'ridaa k sadqey

Ashraf Naqvi

Us taraf hain agr jafa waley is taraf hai fakat wafa waley
.
Jo behtar chairag roshan hain roshni en se le ziyaa waley
.
Phol kuch khel rahe hain sehra mein khow-e-taslem ki ada waley
.
Shurkh roo q na hote maqtel mein raah-e-haq par the karbala waley
.
Yeh nabi se hain or nabi en se yahni shabir hain khuda waley
.
Asman bhi salam kahta hai tujh ko aye sabr or raza waley
.
Jab bhi hota hon tishna-e-lab ashraf yaad ate hain karbala waley

Naaz Butt

Howi hai haq ki aagahi hussain se
.
Chali hai rasm-e-bandagi hussain se
.
Qadam qadam pe hain balla ki zulmatien
.
Hai tarighe mein roshni hussain se
.
Yaazeedat jamod ka nishan hai
.
Rawan dawan hai zindagi hussain se
.
Luta diya raah-e-khuda mein qaflaa
.
Nahi koi bara sakhi hussain se
.
Fana ka rasta baqa mein dhaal gaya
.
Howa hai deen daa'emee hussain se

Humaira Shama Rizvi

Khuda k baad nabi pak ka kalam kehna hai
.
Hussain ibne ali par sallam kehna hai
.
Hussain sabr-o-raza ka azeem paikar hai
.
Hussain ibne ali ko shahdat ka jaam kehna hai
.
Kisi yazeed ki beyaat kabhi nahe karni
.
Faqat hussain ko apna imaam kehna hai
.
Sabaq diya hai shahedan karbala ne mujhe
.
Ziya-e-sabr mein zaleem ko shaam kehna hai
.
Sab kar diya qurban jis ne islaam ki khatir
.
Rahe zuban pe hussain he ka naam kehna hai
.
Ali ali kaho to sab ghum dor hote hain
.
Ali ka hai boht oncha mukaam kehna hai
.
Nibhaa rahe hon muhabbat hussain se shama
.
K main ne khud ko ali ka gulaam kehna hai

Aijaz Ahmad Azad

Ghume sarwar-e-do jahan raah gaya
.
Aik fasana dard-o-zubaan raah gaya
.
Rahe baagh-e-zeehra k khanche na pho0l
.
Aik ujraa howa gulistaan raah gaya
.
Kate bariyaa paaye abid ki lekin
.
Darm ban k baar-e-giraan raah gaya
.
Howe khushk tery na laab aye faaraat
.
K piyaasa tera mehmaan raah gaya
.
Hassan hain na aazad baqi hussain
.
Fakht naam wird-e-zubaan raah gaya

Friday, 14 November 2014

Aftab Khan

Sadiy0n se shar'misar hai pani hussain se
.
Jaa mang le faraat rawani hussain se
.
Naana ka deen jaan luta kar bacha liya
.
Islam ki chali hai kahani hussain se
.
Adraak kab kisi ko shahdat ka ho saka
.
Poche to koi is k maeni hussain se
.
Har aik rasta nahi janaat ka rasta
.
Is ki fukaat mile gi nishani hussain se
.
Bhola hai aftaab abhi maqsad-e-hiyyat
.
Hoti hai us ko yaad dehyani hussain se

Aftab Khan

Sadiy0n se shar'misar hai pani hussain se
.
Jaa mang le faraat rawani hussain se
.
Naana ka deen jaan luta kar bacha liya
.
Islam ki chali hai kahani hussain se
.
Adraak kab kisi ko shahdat ka ho saka
.
Poche to koi is k maeni hussain se
.
Har aik rasta nahi janaat ka rasta
.
Is ki fukaat mile gi nishani hussain se
.
Bhola hai aftaab abhi maqsad-e-hiyyat
.
Hoti hai us ko yaad dehyani hussain se

Thursday, 13 November 2014

Taslim Neyazi

Majod hon tamam wasail to kya karun
.
Main khud hun apni rah me hail to kya karun
.
Us ka hai intizar jo aata nahi kabhi
.
Shab bhar rahun na khud me hamail to kya karun
.
Jan us pe dun nisar ke dil sonp dun use
.
Wo ho kisi tarah bhi na qail to kya karun
.
Rothe to eik pal mein mana'lun sanam ko main
.
Lekin wo band kar le mobile to kya karun
.
Jo is ghazal dhan ko neyazi na ho pasand
.
Kar do main is ghazal ko na'zaaeel to kya karun

Yousaf Misaale

Chalo acha howa wo shahks bhi apna nahi niklaa
.
Mera ashk bhi mery ahsaas ka dhoka nahi niklaa
.
Masafaat ki aziyat ka hawaal paas hai mery
.
K mery paavn se ab tak chubha kantaa nahi niklaa
.
Hamesha qahar ka suraj main apne sar pe rakhta hon
.
Kabhi meri harasat se mera saaya nahi niklaa
.
Abhi se dobti nabzon k noohey mujh pe utray hain
.
Abhi to khair se wo ghar ka darwaaza nahi niklaa
.
Kareedey umar bhar main ne sharab apni tamaana k
.
Meri taqdeer aise the koi daryaa nahi niklaa

Book Use Kahna Palaat Aye

Amjad Javeed

Kuch batata bhi nahi aflaak mein kya kho gaya
.
Zard hota ja raha hai chand ko kya ho gaya
.
Aisa lagta hai k is janib koi aaseeb hai
.
Lout kar aya nahi hai is taraf jo bhi gaya
.
Yaad tha jangal mein ik jugno k kho jane ka dukh
.
Chand bhi rota howa tarikhiyon mein so gaya
.
Main k jis k waste aya tha taaye kar k safar
.
Jate jate wo mery raste mein kanta boo gaya
.
Is ne akhir aik na aik din chor jana tha mujhe
.
Phir bhala kya sochna jo ho gaya so ho gaya
.
Shehr ki dewaron pe amjad likha kuch bhi nahi
.
Aab k apna naam bhi wo barishon se dhoo gaya

Khurram Shehzad

Main ne chun chun k aazmaye they
.
Yani apne jo the paaraye they
.
Fakhtaiye baala ki shaatir thein
.
Ham ne shahbaz to uraaye they
.
Loot kar le gaye hain mujh ko bhi
.
Choor shab-e-dil gale mein aye they
.
Wo kisi toor bhi nahi maanaa
.
Main ne aashaar bhi sunaaye they

Khurram Shehzad

Yaar logon ki mehrbani say
.
Bolta hon mein aab rawani say
.
Waqat zaaya kiya abas mein nay
.
Aur kya paya khush'gumani say
.
Din dhalay aaj mein nay pani par
.
Naam likha hai us ka pani say
.
Kis qadar pur asar thi teri sada
.
Lout aaya mein la'makani say
.
Ghair aaya meri jaga khuram
.
Mein nikaala gaya kahani say

Khurram Shehzad

Aik bosa koi nishani hai aap ka pyar munh zubani hai
.
Jheel saful'malok se pocho jo mery pyar ki kahani hai
.
Aap ka ihtaram lazmi hai aap se dushmani purani hai
.
Kya kare aap jis k ashiq hain wo hamari bari dewani hai
.
Ye mery yaar ki karamat hai jo mery shair mein rawani hai
.
Yani ab zindagi nahi koi yani to meri zindagani hai

Shakib Jalali

Jis dam qafs mein musam-e-gull ki khabar gai
.
Aik baar qadiyon pe qayamat guzar gai
.
Dhondh'la gaye naqosh to saya sa ban gaya
.
Dekha kya main ne in kn jahan tak nazar gai
.
Behtar tha main jo dor se pholon ko dekhta
.
Chone se pati pati hawa mein bikhar gai
.
Kitne he log sahib ehsas ho gaye
.
Aik be'nawa ki cheikh bara kaam kar gai
.
Tanhaiyon k shehar mein kon aye ga shakib
.
So jao aab to raat bhi adhi guzar gai

Tuesday, 11 November 2014

Saghar Sadfiqui

Mein Talkhi-E- Hayaat Se Ghabra Ke Pee,

Gham Ki Siyaah Raat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Itni Daqeeq Shay Koi Kaise Samajh Sake,

Yazdan Ke Waqiyat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Chalkay Howe Tha Jaam, Parishan Thi Zulf-E-Yaar,

Kuch Aise Haadsaat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Mein Aadmi Hon Koi Farishta Nahi Huzoor,

Mein Aaj Apni Zaat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Duniaye Hadsaat Hai Ek Dardnaak Geet,

Duniaye Hadsaat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

Kaantay To Khair Kaantay Hein In Se Gila He Kia,

Pholon Ki Waardat Se Ghabra Ke Pee Gaya,

SAGHiR Wo Keh Rahe The Ke Pee Lijiye Huzoor,

Un Ki Guzarshaat Se Ghabra K Pee Gaya......!

Ahmad all Tanookhi

Mere Aansu Mere hi Dil k Armanon ko le Doobay,

Ye wo Do chaar Qatray Thay jo Tofaanon ko le Doobay.

Jo Insan Thay unhon ne Aabru rakh li Khudaai ki,

Jinhain hum ne Khuda Samjha wo Emaanon ko le doobay.

Dil-e-barbaad roney ki Hi Hasrat hai tu itna rou,

Jo sehrao'n ko Bayabanon ko Weerano'n ko le doobay.

Hazaron baar Deewanon Me Dil ka doobna dekha,

Maza aa jaye ab k Dil jo Deewanon ko le doobay.

Firaaq Gorakhpuri

Sar Mai'n Sauda Bhi Nahee'n, Dil Mai'n Tamanna Bhi Nahee'n,,,
Laikin Ess Tark E Muhabbat Ka Bharosa Bhi Nahee'n,,,

Bhool Jaatay Hai'n Kisi Ko Magar Aisa Bhi Nahee'n,,,
Yaad Kartay Hai'n Kisi Ko, Magar Etna Bhi Nahee'n,,,

Aik Muddat Say Teri Yaad Bhi Aayi Na Humai'n,,,
Aur Hum Bhool Gaye Ho'n Tujhay Aisa Bhi Nahee'n,,,

Meharbaani Ko Muhabbat Nahee'n Kehtay Ay Dost,,,
Haaye!! Ab Mujh Say Tujhay Ranjish E Bay'Jaa Bhi Nahee'n?,,,

Hum Usay Moo'nh Say Bura To Nahee'n Kehtay Kay Firaaq',,,
Dost Tera Hai, Magar Aadmi Achha Bhi Nahee'n ;)

Saim karnali

Palkon Say Ashk Tapke To Rukhsaar Jall Uthe


Aankho Main Kis Ne Bhar Diya Paani Ubaal Kar


Daikha To Saara Jism Hi Be-Jaan Sa Laga


Jaise Ke Le Gaya Ho Koi Dil Nikaal Kar...;-)

Sunday, 9 November 2014

Beeni Beenish

Subha nahi ho gi kabhi dil mein bitha le tu bhi
.
Khud ko bar'baad na kar jag'ney wale tu bhi
.
Main kaha tak teri yaadon k taqub mein raho
.
Main jo gum hon to kabhi mera pata le tu bhi
.
Aik shabestan refaqat ho zarori to nahi
.
Dasht-e-tanhai mein aa jashan mana le tu bhi
.
Main ne aik umar k khuwabon ko tery naam kiya
.
Apne ehsas ko kar mery hawale tu bhi
.
Main bhi dil mein teri tasver chupaye rakho
.
Apne honton se mera naam mita le tu bhi

Monday, 3 November 2014

Arshad Malik

Hawaa ke sath chalte ja rahe ho,
Bohat aagey nikalte ja rahe ho,
Chale jao magar yeh to bata do,
Yeh rastey kyon badalte ja rahe ho,
Khud apne hath se yeh khat jalaye,
To ab kyon hath maltey ja rahe ho,
Humain samjhaa rahe ho pyar se tum,
Suno! tum bhi badaltey ja rahe ho,
Uthaa kar bojh kandhon per jafaa ka,
Suna hai phir sambhaltey ja rahe ho,
Lagi ho koi chott dil par jaise,
Utha kar dard chalte ja rahe ho,
Barhaa kar dosti suraj se Arshad,
Ghanney saaye main chalte ja rahe ho

Arshad Malik

Koi baat aesi kiya karo, koi lafz aesa likha karo,
Miley jis se dil ko qaraar sa, koi shair aesa parhaa karo,
Sadaa dukh main hi na rakha karo, kabhi sukh bhi us ko diya karo,
Yeh udaas hai keyi roz se, mere dil main aa ke raha karo,
Jo kathan kathan se hain rastey, yeh sabhi hain kyon mere wastey,
Yeh jo jal raha hoon main aag main kabhi tum bhi is mein jala karo,
Mujhe ab bhi tumhari hi aas hai, mera dil tumhare hi paas hai,
Hai yeh jaan tere hissaar mein is se meri jaan rihaaa karo,
Mera din ho ya meri raat ho, tere hath mein mera hath ho,
Abhi jese tum mere sath ho, yunhi sath mere chalaa karo..

Arshad Malik

Sirf itna nahin dil dukhaa kar geya,
Sara jeewan woh mera sazaa kar geya,
Jis ki tu raah takta hai sham-o-sehar,
Sab hawaley woh tere bhalaa kar geya,
Phool, khushbu, chaman, chand, taarey, sabaa,
Saarey sathi woh hum se khafaa kar geya,
Tu kahan aur yeh bewafayi kahan,
Yeh zamana tujhe bewafaa kar geya,
Sab darakhton pe kuch kuch likha reh geya,
Naam aese woh mera mitaa kar geya,
Yaad meri sataaye gi shab bhar usey,
Aaj din bhar humain jo sataa kar geya,
Yeh bhi mumkin hai Arshad na lottay kabhi,
Jo humain chaar din ka bataa kar geya

Arshad Malik

Mein us ki yaad ko dil mein bahaal rakhta tha,
Khud apne aap se zeyada kheyal rakhta tha,
Zara si baat pe woh mujhse rooth jata tha,
Main us se pyar ka rishta bahaal rakhta tha,
Sambhaal rakhti thi ik khawhish-e-wisaal mujhe,
Woh hijar deta tha, mujh ko niddhaal rakhta tha,
Main kitne qurb se guzra hoon kya pata us ko,
Woh shakhs mujh ko bohat pur'malaal rakhta tha,
Mujhe to dost mere maaar gaye Arshad,
Main bach geya hoon ke himmat kamaal rakhta tha

Ahmad Kamal

ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise
rat ke pichle pahar ati hain avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise
dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
aj har ghar se janaza sa utha ho jaise
muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise
ab agar dub gaya bhi to marunga na ?Kamal?
bahte pani pe mera nam likha ho jaise

Wasi Shah

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,
Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,
Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,
Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai
Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta'alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

Wasi Shah

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi
Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi
Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?
Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say
Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi
Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain
Apni Palkon Pay Kaii Khowab Sulati Hogi
Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Lebaas
Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi
Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal
Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Hogi
Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi
Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi
Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi
Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi

Wasi Shah

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,
Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,
Kya zaroorat hai mujhe dard ke me'khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,
Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh'daam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum

Tuesday, 28 October 2014

Khalid Neqaash

Dashti hai yeh tanhai aayd chand kaha ho tum
.
Taaron ko bhi nened aai aaye chand kaha ho tum
.
Aankhon ka jahan roshan hai tery taswur se
.
Dhondhe tujhe be'naaiye aaye chand kaha ho tum
.
Samjhya bohat dil ko ik umr yaha hum me
.
Kuch bhi na samjh aai aaye chand kaha ho tum
.
Hoti hai jalan mujh ko jab log zamane k
.
Kah de tujhe har'jaai aaye chand kaha ho tum
.
Daam dene lagi hai lo ab khushk chiragon ki
.
Jugno hai na parwaai aaye chand kaha ho tum
.
Kya kya na sitam tore neqaash tabiyat par
.
Kya kya hoi ruswai aaye chand kaha ho tum

Mehmood Ahmad

Main ne kaha naseeb mera jag'maga k rakh
.
Us ne kaha k aankhon mein aanso saja k rakh
.
Main ne kaha dekhay tujhe muddatien howien
.
Us ne kaha k honsle dil mein baalaa k rakh
.
Main ne kaha k mery liye koh khaas baat
.
Us ne kaha k harf ki hurmaat bacha k rakh
.
Main ne kaha akyla hon dushman hain be'shumaar
.
Us ne kaha k sir ko hamesha utha k rakh
.
Main ne kaha k aik he ghar mein cheragh hai
.
Us ne kaha k samane jaa kar hawa k rakh
.
Main ne kaha k kholte nahi mujh pe aasmaan
.
Us ne kaha k farsh pe bistaar bichaa k rakh
.
Main ne kaha k visel ka amraat pilaa mujhe
.
Us ne kaha sharaab mein aanso mil k rakh
.
Main ne kaha k aik mulaaqaat chahiye
.
Us ne kaha zubaan pe taalaay laga k rakh
.
Main ne kaha k mashwara mahmood k liye
.
Us ne kaha k dard ko sab se chupa k rakh

Mehmood Ahmad

Peelay phol sunehri bailain gehray surkh gulaab
.
Aadhi raat november ki or ik poora mahtaab
.
Cham cham karti pehli barish sheeshay k us paar
.
Chand kitabain kaghaz pencil cigerate or sharaab
.
Sonay kay pani say us nay likh bhaji tehreer
.
Sastay sastay log na daikhain mehngay mehnay khawaab
.
Door say pehchanay jatay hain ishq nagar k log
.
Bikhray baal fasurda chehray or aankhain pur'aab
.
Achay khasay bhol gaye thay ham tujh ko mahmood
.
Aaj na'janay teray liye hai kiun yeh dil be'taab

Mahmood Ahmad

Jaagta kaise na phir mera muqadar saayen
.
Meem hain paanch miray naan kay andar saayen
.
Main nay shabir ko samjha tu samajh aaye hai
.
Fard-e-wahid bhi tu ho sakta hai lashkar saayen
.
Ab kisi awr say milnay ki zarorat hi nahin
.
Khawhishain khtam hoyen aap say mil kar saayen
.
Gadlay pani kay faqat daikhay hain jawhar main nay
.
Jaanay kis dais main hotay hain samandar saayen
.
Aap atay hain tu bemari chali jati hai
.
Aab tabiyat bhi hai mahmood ki behtar saayen

Neelam Tasawur

Mujh par uthao sang magar yaad yeh rahe
.
Itni buri nahi hon k jitni bhale hon main
.
Teri raaza k waste kya kuch nahi kiya
.
Dard-o-alam k sanchey mein aksar dhale hon main
.
Raah-e-wafa mein koi bhi apna nahi mila
.
Tanha the or aaj bhi tanha chale hon main
.
Khelna mery naseeb mein likha nahi gaya
.
Is gulshn-e-hayaat ki aisi kaale hon main
.
Shama se kam nahi hai tasawur mera wajod
.
Tanha tumhari yaad mein har paal jali hon main

Irshad Islam

Pee kar ghont bahak jana yeh bhi bad'ikhlaki hai
.
Meeh'kash ki to baat he kya behka howa khud saqi hai
.
Sach kahte hain log yeh baat wo to nashe ki bottel hai
.
Dekha tha ik bar he main ne nasha ab tak baqi hai
.
Jis ko dil ne dilbar jana pyaar hamara na pehchana
.
Phaeer k nazren yuh baitha hai jise koi na'chaaki hai
.
Kis ko apna hall sunaon kis se dil ki baat karon
.
Jis pe tan'maan waara hum ne wo ab tak shaqi hai
.
Shesha dil ko torne wale hath pakr kar chorne wale
.
Tery hath k gajrey ki mehak abhi tak baqi hai
.
Pyar muhabbat khel nahi hai pal do pal ka meel nahi hai
.
Wada tor k khush baithe hain irshad kya be'baaki hai

Ahmad Raza Raja

Aankhon mein baasa hai tera paikar mery sathi
.
Tujh bin kaha khush ate hai manzar mery sathi
.
Kar de gi teri yaad ki khushboo mujhey pagal
.
Jab lout aye ga september mery sathi
.
Waise to qayamat hai judai ka har ik din
.
Dil cheed k rakh de ga november mery sathi
.
Aabad hai mujh mein bhi aziyaat ka yeh musam
.
Girte howe patton ka december mery sathi
.
Khaa jaye ga andr se ghum-e-hijjar tujhe bhi
.
Jeenay nahi daita yeh sitam'gaar mery sathi
.
Qismat pe bahala zor kaha chalta hai ahmad
.
Kab haaraa hai isaan se muqaddar mery sathi

Basheer Badr

Bhigi hui aankhon ka ye manzar na mile ga
.
Ghar chor ke mat jao kahin ghar na mile ga
.
Phir yaad bahut aye gi zulfon ki ghani shaam
.
Jab dhoop mein saya koi sar par na mile ga
.
Aansu ko kabhi os ka qatra na samjhna
.
Aisa tumhen chahat ka samandar na mile ga
.
Is khwab ke maahol mein be'khwab hein aankhen
.
Jab neend bahut aye gi bistar na mile ga
.
Ye soch 10 ab akhiri saya hai mohabbat
.
Is dar se utho ge to koi dar na mile ga

Basheer Badr

Aansuon key saath sab kuch bah gaya
.
Dil mein sanata sa baqi rah gaya
.
Chor aaya hun zameen-o-aasman
.
Fasila ab aur kitna rah gaya
.
Rafta rafta bujh gaye saare chiragh
.
Eik chehra jhilmilata rah gaya
.
Bastiyan dhundla gayin phir kho gayin
.
Roshni ka shehr pechey rah gaya

Basheer Badr

Agar talaash karun koi mil hi jaye ga
.
Magar tumhari tarah kaun mujh ko chahe ga
.
Tumhen zaroor koi chaahaton se dekhe ga
.
Magar wo aankhen hamari kahan se laye ga
.
Na jane kab tere dil par nayi si dastak ho
.
Makaan khaali hua hai to koi aaye ga
.
Main apni raah mein deewar ban ke batha hun
.
Agar wo aaya to kis raaste se aaye ga
.
Tumhare saath ye mausam farishton jaisa hai
.
Tumhare baad ye mausam bahut sataaye ga

Basheer Badr

Aaya hi nahin ham ko aahista guzar jana
.
Sheshe ka muqadar hai takra key bikhar jana
.
Taaron ki tarah shab key seene mein utar jana
.
Aahat na ho qadmon ki is tarh guzar jana
.
Nashe mein sanbhalne ka fan yun hi nahin aata
.
In zulfon se sekha hai lahra key sanwar jana
.
Bhar jayen ge aankhon mein aanchal se bandhe badal
.
Yaad aaye ga jab gul par shabnam ka bikhar jana
.
Har mor pe se do aankhen ham se yahi kahti hain
.
Jis tarh bhi mumkin ho turn laut key ghar jana
.
Pathar ko mira saya aaina sa chamka de
.
Jana to mira sheesha yun dard se bhar jana
.
Ye chaand sitaare turn auron key liye rakh lo
.
Ham ko yahin jena hai ham ko yahin mar jana
.
Jab toot gaya rishta sar-sabz paharon se
.
Phir tez hawa jane kis ko hai kidhar jana

Basheer Badr

Ab dilon key alawa parhna kya
.
Apna kaghaz qalam se rishta kya
.
Aansuon se miri hatheli par
.
Kaun parhta ke us ne likha kya
.
Ek mahak jaise raat ki raani
.
Kya bataoun ke us ne socha kya
.
Jab bhi dekho usi taraf nazren
.
Chaand bhi hai kisi ka chehra kya
.
Turn meri zindagi ho yeh sach hai
.
Zindagi ka magar bharosa kya

Basheer Badr

Aas ho gi na aasra ho ga
.
Ane wale dinon mein kya ho ga
.
Main tujhe bhul jaun ga ek din
.
Waqt sab kuch badal chuka ho ga
.
Naam ham ne likha tha ankhon mein
.
Ansuon ne mita diya ho ga
.
Aasman bhar gaya parindon se
.
Per koi hara gira ho ga
.
Kitna dushwaar tha safar us ka
.
Wo sare'shaam so gaya ho ga

Basheer Badr

Acha tumhare shehr ka dastoor ho gaya
.
Jis ko gale laga liya woh door ho gaya
.
Kaghaz mein dab key mar gaye keerey kitab ke
.
Deewana be parhe likhe mashoor ho gaya
.
Mehlon mein ham ne kitne sitaare saja diye
.
Lekin zamin se chand bahut door ho gaya
.
Tanhaiyon ne tor di ham donon ki ana
.
Aina baat karne pe majbor ho gaya
.
Subhe wisaal punch rahi hai ajab sawaal
.
Woh paas aagaya ke bahut door ho gaya
.
Kuch phal zaroor ayen ge roti key per mein
.
Jis din mera matalba manzor ho gaya

Abdullh Hameed Chkhtai

Adaab h0n in mein to samjhdaar hain ankhain
.
Do char jo ho jaye to iqrar hain ankhain
.
Yeh kesi tamana hai k rothe he rahein wo
.
Khof ane laga hai k naam'daar hain ankhain
.
Betaab hon mehb0b ki es terche nazar se
.
Dekhe nahe to ne k ada'kaar hain ankain
.
Mufles h0n talab'gaar bhe h0n us ki gale ka
.
Pehir bhe mein yeh kehta h0n gunah'gaar hain ankhain
.
Uth jaye agr yeh haya baqi nahe rahte
.
Jhukh jaye to ekhlaq ka me'naar hain ankhain
.
Hasil kabhe palk0n mein enhe band na kerna
.
Meray liye gulzar ki mehkaar hain ankhain

Book Phul Phul Khusboo

Mirza Ghalib

Wo aake Khwab men taskin-e-iztirab to de
.
Wale mujhe tapish-e-dil majaal-e-Khwaab to de
.
Kare hai qatl lagawat men tera ro dena
.
Teri tarah koi teG-e-nigaah ko aab to de
.
Dikha ke jumbish-e-lab hi tamam kar ham ko
.
Na de jo bosa to munh se kahin jawab to de
.
Pila de oak se saaqi jo ham se nafrat hai
.
Pyala gar nahin deta na de sharaab to de
.
'Asad' Khushi se mere haath paanw phul gae
.
Kaha jo us ne zara mere paanw daab to de

Mirza Ghalib

Zikr us parivash ka aur phir bayan apana
.
Ban gaya raqib aaKhir tha jo raazadan apana
.
Mai wo kyon bahut pite bazm-e-Gair men ya'rab
.
Aaj hi hua manzur un ko imtihan apana
.
Manzar ik bulandi par aur ham bana sakate
.
Arsh se idhar hota kaash ke makan apana
.
De wo jis qadar zilat ham hansi men talen ge
.
Bare aashna nikala un ka paasaban apana
.
Dard-e-dil likhun kab tak? Jaaun un ko dikhala dun
.
Ungaliyan figaar apani Khama Khun'chakan apana
.
Ghisate ghisate mit jata aap ne abas badala
.
Nang-e-sajda se mere sang-e-aastan apana
.
Ta kare na Gamazi kar liya hai dushman ko
.
Dost ki shikayat men ham ne ham'zaban apana
.
Ham kahan ke dana the kis hunar men yakta the
.
Be'sabab hua 'Ghalib' dushman aasman apana

Mirza Ghalib

Dil se teri nigah jigar tak utar gai
.
Donon ko ik ada men raza'mand kar gai
.
Shaq ho gaya hai sina Khusha lazat-e-faraG
.
Taklef-e-parda'dari-e-zaKhm-e-jigar gai
.
Wo bada-e-shabana ki sarama'stiyan kahan
.
UThiye bas ab ke lazat-e-Khvaab-e-sahar gai
.
Urati phire hai Khak merii ku-e-yaar men
.
Bare ab ai hava havas-e-baal-o-par gai
.
Dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
.
Mauj-e-Khiram-e-yaar bhi kya gul katar gai
.
Har bulahavas ne husn parasti shiaar ki
.
Ab abaru-e-sheva-e-ahal-e- nazar gai
.
Nazare ne bhi kaam kiya waan naqaab ka
.
Masti se har nigah tere ruKh par bikhar gai
.
Farda-o-din ka tafaruqa yak baar miT gaya
.
Kal tum gae ke ham pe qayamat guzar gai
.
Mara zamane ne Asad tumhen
.
Wo walawale kahan wo javani kidhar gai

Mirza Ghalib

Dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya
.
Aatish-e-Khamosh ke manind goya jal gaya
.
Dil men zauq-e-vasl-o-yaad-e-yaar tak baaqi nahin
.
Aag is ghar men lagi aisi ki jo tha jal gaya
.
Main adam se bhi pare hun warna Gaafil! baraha
.
Meri aah-e-aatashin se baal-e-anqa jal gaya
.
Arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan
.
Kuch Khayaal aaya tha vahashat ka ki sehara jal gaya
.
Dil nahin tujh ko dikhata varna daaGon ki bahar
.
Is charaGan ka karun kya kara farma jal gaya
.
Main hun aur afsurdagi ki aarazu "Ghalib"! ke dil
.
Dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya

Mirza Ghalib

Dhota hun jab main pine ko us simatan ke paanw
.
Rakhata hai zid se khench kar baahar lagan ke paanw
.
Di sadagi se jaan parun kohakan ke paanw
.
Hai haat kyon na tut gae pirazan ke paanw
.
Bhage the ham bahut so usi ki saza hai ye
.
Ho kar asir dabate hain rahazan ke paanw
.
Maraham ki justaju men phira hun jo dur'dur
.
Tan se siva fiGaar hain is Khasta tan ke paanw
.
Allaah re zauq-e-dashtan'vardi ke ba'ade-marg
hilate hain
.
Khud-ba-Khud mere andar kafan ke paanw
.
Hai josh-e-gul bahar men yan tak ki har taraf
.
Urate hue ulajhate hain murG-e-chaman ke paanw
.
Shab ko kisi ke Khvab men aya na ho kahin
.
Dukhate hain aaj us but-e-nazuk'badan ke paanw
.
'Ghalib' mere kalaam men kyon kar maza na ho
.
Pita hun Khusro-e-shirin'suKhan ke paanw

Monday, 27 October 2014

Mirza Ghalib

Dard minat'kashe-dava na hua
.
Main na acha hua bura na hua
.
Jama karate ho kyon raqibon ko
.
Ik tamasha hua gila na hua
.
TaHam kahan qismat azamane jaayen
.
Tu hi jab Khanjar azama na hua
.
Kitane shirin hain tere lab ke raqib
.
Galiyan kha ke be'maza na hua
.
Hai Khabar garm un ke aane ki
.
Aj hi ghar men boriya na hua
.
Kya wo na'marud ki Khudai thi
.
Bandagi men mera bhala na hua
.
Jaan di di hui usi ki thi
.
Haq to yun hai ke haq ada na hua
.
ZaKhm gar dab gaya lahu na thama
.
Kaam gar ruk gaya rava na hua
.
Raha zani hai ki dil'sitane hai
.
Le ke dil dil'sitan rava na hua
.
Kuch to parhiye ki log kahate hain
.
Aaj 'Ghalib' Gazal'sara na hua

Mirza Ghalib

Dayam para hua tere dar par nahin hun main
.
Khak aisi zindagi pe ke pathar nahin hun main
.
Kyun gardish-e-mudam se ghabara na jaye dil
.
Insaan hun pyala-o-saaGar nahin hun main
.
Ya'rab! zamana mujh ko mitata hai kis liye
.
Lauh-e-jahan pe harf-e-mukarar nahin hun main
.
Had chahiye saza men uqubat ke waaste
.
AKhir gunahagar hun kaafir nahin hun main
.
Kis waste aziz nahin janate mujhe
.
Laal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahin hun main
.
Rakhate ho tum qadam meri aankhon se kyun dareg
.
Rutabe men mahr-o-maah se kamatar nahin hun main
.
Karate ho mujh ko mana-e-qadam'bos kis liye
.
Kya asman ke bhi barabar nahin hun main
.
'Ghalib' wazifa'Khwaar ho do shaah ko dua
.
Wo din gaye ki kahate the naukar nahin hun main

Mirza Ghalib

Chahiye achon ko jitana chahiye
.
Ye agar chahen to phir kya chahiye
.
Sohabat-e-rinda se wajib hai hazar
.
Ja-e-mai apane ko khencha chahiye
.
Chahane ko tere kya samajha tha dil
.
Bare ab is se bhi samajha chahiye
.
Chaak mat kar jeb be ayam-e-gul
.
Kuch udhar ka bhi ishara chahiye
.
Dosti ka parda hai beganagi
.
Munh chupana ham se chora chahiye
.
Dushmani men meri khoya Gair ko
.
Kis qadar dushman hai dekha chahiye
.
Apani rusvai men kya chalati hai sai
.
Yaar hi hangama aara chahiye
.
Munhasir marane pe ho jis ki umid
.
Na'umidi us ki dekha chahiye
.
Gaafil in mah tala'aton ke vaaste
.
Chahane wala bhi acha chahiye
.
Chahate hain Khubaruon ko Asad
.
Ap ki surat to dekha chahiye

Mirza Ghalib

Arz-e-niyaz-e-ishq ke qabil nahin raha
.
Jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha
.
Jata hun daag-e-hasarat-e-hasti liye hue
.
Hun shama-e-kushta dara'Khur-e-mahafil nahin raha
.
Marane ki ai dil aur hi tadabir kar ki main
.
Shayan-e-dast-o-baazu-e-qaatil nahin raha
.
Ba-ru-e-shash jihat dar-e-aaina baaz hai
.
Yaan imtiaz-e-na'kis-o-qaamil nahin raha
.
Wa kar diye hain shauq ne band-e-naqaab-e-husn
.
Gair az nigaah ab koi hail nahin raha
.
Go main raha rahin-e-sitam haye rozagar
.
Lekin tere Khayal se Gaafil nahin raha
.
Dil se hawa-e-kisht-e-vafa mit ke waan
.
Hasil sivaye hasrat-e-haasil nahin raha
.
Bedaad-e-ishq se nahin Darata magar 'Asad'
.
Jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahin raha

Wednesday, 22 October 2014

Mirza Ghalib

Aah ko chahiye ik umr asar hone tak
.
Kaun jita hai teri zulf ke sar hone tak
.
Daam har mauj men hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
.
Dekhen kya guzare hai qatare pe gauhar hone tak
.
Aashiqi sabr-talab aur tamana betaab
.
Dil ka kya rang karun Khun-e-jigar hone tak
.
Ham ne maana ke tagaful na karo ge lekin
.
Khaak ho jayen ge ham tum ko Khabar hone tak
.
Partaw-e-Khur se hai shabanam ko fana ki taalim
.
Main bhi hun ek inaayat ki nazar hone tak
.
Yak_nazar besh nahin fursat-e-hasti Gaafil
.
Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
.
Gam-e-hasti ka 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
.
Shama har rang men jalati hai sahar hone tak

Mirza Ghalib

Aa ki meri jaan men qaraar nahin hai
.
Taqat-e-bedaad-e-intazaar nahin hai
.
Dete hain janat hayaat-e-dahar ke badale
.
Nashsha ba'andaza-e-Khumar nahin hai
.
Giriya nikale hai teri bazm se mujh ko
.
Haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahin hai
.
Ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
.
Khaak men ushshaq ki Gubaar nahin hai
.
Dil se uTha lutf-e-jalva haaye ma'ani
.
Gair-e-gul aaina-e-bahaar nahin hai
.
Qatl ka mere kiya hai ahad to baare
.
Waaye! agar ahad ustavar nahin hai
.
Tu ne qasam mai'kashi ki khaai hai Ghalib
.
Teri qasam ka kuch aitabar nahin hai

Aniila Nawaz Khan

Hum dono ko bichre howe kitna arsaa beet chala hai
.
Magr aaj tak guzre dino ko yaad jab bhi main karte hon
.
Thandi aahe bharti hon dil mein ik hok se uthti hai
.
Ajab se ik khuwaish dil mein janaam lete hai
.
Kabhi ja kar dekho mehboob ko apne main
.
Kya wo bhi be'cheen hai meray liye
.
Jaise main be'cheen hon us k liye
.
Kya aab bhi wo sgaam ki man'dheron par
.
Mery naam k diye jalata hai kya us k dil mein
.
Aaj bhi mery liye muhabbat baqi hai yah phir
.
Naye ham'safar k sang duniya ki rangeniyon mein mast hai

Mussarat Naheed

Dard ko dil mein chupaa rakhaa hai
.
Sholaa-e-raakh mein dubaa rakhaa hai
.
Dekhna tu jhaalk na jaaye kahein
.
Jaam aankhon ne uthaa rakhaa hai
.
Guzri sadiyon k hijjar mein teray
.
Yaad ka aik deep jaalaa rakhaa hai
.
Kon chahe ga tumhein meri tarha
.
Tujh ko he dil mein basaa rakhaa hai
.
Aab to aa jaa k tery raste mein
.
Musam-e-gull main ne sajaa rakhaa hai
.
Mery ghai ki man'dheron pe dekho
.
Naheed aik nanaa sa diyaa rakhaa hai

Zahid Shamsi

Dekhna chehra dobaara mera raat chamka jo sitaara mera
.
Pee gai rait mery pani ko kha gaya shehr kinara mera
.
Aik ayaat ki tarha khaliq ne khaak par jisam utara mera
.
Mujhe tasle k aab tery baghair ho bi sakta hai guzara mera
.
Apne balon mein laga kar us ne phol kuch or nikhara mera
.
Meri hamraaz hai bas ik dua or ik ashk sahara mera
.
Jab kiya us ne muhabbat ka hisab sirf nikla tha khasara mera
.
Kitne guse mein the us waqt hawa us ne jab naqash ubhara mera
.
Yeh thakan meri hai zahid or hai dasht bhi sahara mera

Zahid Shamsi

Aaina ban k bikharne laga hon
.
Main tery dil se utaarne laga hon
.
Zindagi sare jahan ko de kar
.
Kitne tanhai mein maarne laga hon
.
Kaar-e-dushwaar tha jeena tery baad
.
Or yeh kaam main karne laga hon
.
Kha gaya waqt mery khud-o-khaal
.
Aab main aaine se darne laga hon
.
Jis se guzre they aab wajid mery
.
Usi sehraa se guzarne laga hon
.
Mujhe pe talwaar uthaon logon
.
Main abhi ik mushak ko bharne laga hon
.
Main bhegarne ki bajaye zahaid
.
Ghum-e-duniya se sanwaarne laga hon

Monday, 20 October 2014

Sajida Kazmi

Tumhare ghar mein yeh ab kis k naam ate hain
.
Gulaabi khaat mein yeh kis k piyaam ate hain
.
Wo main nahi h0n to mery raqeeb he hon gay
.
Jo roz ghar mein tery subh-o-shaam ate hain
.
Duaien visel ki karna or hijar mein rona
.
Bas aj kal mujhe yeh do he kaam ate hain
.
Khuda kare k salamaat rahey hazaar baraas
.
Wo log jin k hazaaron sallam ate hain
.
Tumhare dar se yeh kis kis ko ho gai nishbaat
.
K shehzaadey bhi ban k gulaam ate hain

Razia Subhan

Chamaan sabza kabhe sehraa hai yeh dil
.
Sumandar se bahut gehra hai yeh dil
.
Jafa-e-husan ki rangeen ada se
.
Gull-e-khon rang ka sehraa hai yeh dil
.
Kisi ki yaad mein gum ho chuke the
.
Hawa ki chaap par dharkha hai yeh dil
.
Simat k rah gaya aankhon k till mein
.
Kaie chehron ka ik chehra hai yeh dil
.
Abaas hai ab sadaye arzo bhi
.
K patthar ka howa behraa hai yeh dil
.
Sharik-e-bazme yaaran hum nahi aab
.
K jaa kar kab wahan thehra hai yeh dil

Aniila Nawaz Khan

Jee mein aya hai tujhe aab na pukaara jaaye
.
Jee mein aya hai k aab jee he ko maara jaaye
.
Sonp k yaadon ka tohfa jo hamaen chor gaya
.
Jee mein aya hai k wo qarz utara jaaye
.
Kis qadar Ashk bahaye the tery hijraan mein
.
Jee mein aya hai khazana phir wo waara jaaye
.
Ishq ne tery mery husaan ko gehnaya hai
.
Jee mein aaya hai k ab khud ko sanwaara jaaye
.
Tujhe sar pe jo charaya tha kabhi khud hum ne
.
Jee mein aaya hai k wo bhoot utaara jaaye

Raaz Noor Puri

Aae dost faqeeron ki tarha hath utha kar
.
Kis cheez ki baitha hai to umeed laga kar
.
Kuch log hain muflis to hain kuch log behkari
.
Chal chor yeh kocha to kahen or sada kar
.
Sunte the k saaeel k dua arsh hila de
.
Aisa hai to ja apne liye koi dua kar
.
Mangta hai to phir maang jahano k khuda se
.
Pathron k khudaon se takaze na kiya kar
.
Aaye raaz chalo sath mery janib masjid
.
Imaan ka takaza hai zara khouf-e-khuda kar

Irshaad Islam

Ishq ibadaat jis k andaar dil to hai ik aisa mandaar
.
Yaad ati hain mujh ko hooren dekh k tera chehra sundaar
.
Tanhai ka yeh alam hai be'ghar hain ham ghar k andaar
.
Naach raha hai insaan aise pait ki khatir jise bandaar
.
Khali hath gaye hain sare bare bare feeron sakandaar
.
Quriya quriya ghom rahe hain tuj se irshad kaie qalandaar

Book Poch Lo Sitaaron Se

M. Shakil Ansari

Aankhon mein saja sapna mitaya na jaye ga
.
Dil mein utha jo shola bujhaya na jaye ga
.
Jab se suni hai ahat qadmon ki un ki maine
.
Der se nazr ko apni hataya na jaye ga
.
Dunya ajab jagah hai bante hain sab khuda
.
Sir sam'ne kisi k jhukaya na jaye ga
.
Aankhon ka jaam jab se piya hon bahek geya
.
Koi nasha gale se utara na jaye ga
.
De ga har aik zakhm mujhe janta hon main
.
Is dil mein koi aab to basaya na jaye ga
.
Dard-e-judai se hai bahut ashna shakil
.
Nazron mein ab to koi basaya na jaye ga

M. Shakil Ansari

Gar khatawar hain hum tere bata do hum ko
.
Yunhi be'wajah to na koi saja do hum ko
.
Hum se ulfat hai to phir khouf sa kiun hai dil main
.
Samne sab ke zara apna bana do hum ko
.
Gham ki taqsem se gham halka sa ho jata hai
.
Apne dukh dard mere yaar suna do hum ko
.
Teri awaz pe aa jayen ge har mushkil main
.
Bus mere yaar zara dil se sada do hum ko
.
Aise logon se hi drna hai to phir yun hai shakil
.
Haath seene pe rakho or bhula do hum ko

Raaz Noor Puri

Wo gull'badan the koi maah'noor the sahib
.
Jabhe to mujh se bohat dor dor the sahib
.
Wo chupke chupke se nazrien hitaaye chehrey se
.
Yeh ik ada he to waj-e-gharor the sahib
.
Yeh keh k log samjhte rahe mujhe pagal
.
Wo kuch nahi mery dil ka fatoor the sahib
.
Mujhe to aj talak yaad hai parii surat
.
K baat koi to us mein zaror the sahib
.
Jise main raaz-e-ghazal mein parowey baitha hon
.
Wo ap'sara the parii the k hoor the sahib

Zara Zia Cheema

Bahala kab tak yeh gham-e-qirtaas par apne sajaon main
.
Hai gum'gasht meri hasti yeh kesy bhol jaon main
.
Main apne ap ko dhondhon to ab dhondhon bhala kesy
.
Main kya the or kasi the kisay han'han bataon main
.
Meri qismat ki rekha mein na manzil hai na rasta hai
.
Mera ghar gum gaya mujh se pata ab kya likhwaon main
.
Mera dil moj-e-ghum se ashna aisa sumandr hai
.
Kinara he nahi jis ka tu kya naqsha dikhaon main
.
Tilash-e-hasti-o-jaan kab meri anjaam paa gai
.
Koi to daar mile aisa jahan aanso bahaon main
.
Kahan khud ko chupaaon main kidhar ko lout jaaon main
.
Muqadr ka likha apna bahala kesy mitaaon main

Ameen Jaspuri

Na anchal na takiye bhagoti hain aankhen
.
Bari ihtiyaton se roti hain aankhen
.
Kabhi dil mein nashtaar chubhoti hain aankhen
.
Kabhe misl-e-marham bhi hoti hain aankhen
.
Rawan ranjisho mein to aanso hain lekin
.
Khushi mein bhi moti paroti hain aankhen
.
Taluq nahi hai koi jin ghamon se
.
Kabhi un ghamon pe roti hain aankhen
.
Yeh kya marhala zaat ka aa gaya hai
.
Khole hain palak or soti hain aankhen

Zahid Shamsi

Kitne chehrey ankh mein khuwab banate hain
.
Aur phir meri raat azaab banate hain
.
Dil ko pyar ki shidat sehra karti hai
.
Aankh mein pheley aks sehraab banate hain
.
Un ko kache ghar ku yaad nahi rahte
.
Jo dariy0n ko selaab banate hain
.
Meri dahmaley dekhne wale hoti hain
.
Pani jab paaon gardaab banate hain
.
Patta patta shakhey jhomne lagte hain
.
Qatra qatra aabr-e-sharaab banate hain
.
Duniya walo ham wo shayaar hote hain
.
Likh k dil k dard kitaab banate hain
.
Zahid shamsi raat musale par ja kar
.
Ham apni aankhein talaab banate hain

Sunday, 19 October 2014

Asif Anjum

Raat chup ho chairagh jalte hain
.
Aap bolo chairagh jalte hain
.
Teri ankhon mein daal kar ankhein
.
Dekh lon to chairagh jalte hain
.
Raat ka mojza hai panii mein
.
Phol pehnkon chairagh jalte hain
.
Tarigi ho yah chand nikla ho
.
Tum kahon to chairagh jalte hain
.
Rasta dekhte hain ankhein meri
.
Baam par do chairagh jalte hain
.
Le rahe hain wo roshni tujh se
.
Ku ba ku jo chairagh jaltd hain
.
Aab to dil mein dimagh mein anjum
.
Is ko socho chairagh jalte hain

Jahan Zaub Peerzada

Na poch kitne aziyaat utha k laya hon
.
Yeh dekh main teri haraat utha k laya hon
.
Yeh ik jazb-e-masom itna bhari tha
.
Teri qasam main qayamt utha k laya hon
.
Kabhi to tujh se akyle mein baat karne ko
.
Kahan kahan se main fursat utha k laya hon
.
Haai teri shan-e-karemi ka wasta tujh ko
.
Main zindagi se nadaamat utha k laya hon
.
Wo lab to maan'ne wale dono the siwe aankhon se
.
Main lar jhagr k ijaazat utha k laya hon
.
Aab es se agay tujhe thamna pare ga mujhe
.
Yahan talak main muhabbat utha k laya hon

Naheed Kousar

Bujh gaya jalta chirag ahl-e-sukhn ka na'gahan
.
Gohar nayaab aise ab zamane mein kaha
.
Haaye sada afsos ik lamhe mein kya se kya howa
.
Yuh kaf'afsos milta rah gaya sara jahan
.
Kab chaman mein roz khilte hain bahala aise gulaab
.
Jis ki khusbo se mehk uthey zamen-o-asmaan
.
Takhti ilm-o-hunar par naam jo likhwa gay
.
Rehte duniya tak rahey gay un ki yaadon k nishaan
.
Mudato sehra sulagte hain falak ki aag mein
.
Tab kahen ja kar khuda hota hai en par mehrban
.
Mehfilon ki ronqaye sab khaak ho kar rah gi
.
Fikr-o-fan ka ghum ki barish ne badal dala samaa
.
Aah wo lafzo k bazi'gar adam ko chal diye
.
Jo banate the sitaron se anokhi keh'kashan

Washma Khan Washma

Tum na the to meri qismat ka sitaara kon tha
.
Bin tumhare jaan-e-jaana hum ko gawara kon tha
.
Raat k pichle pehar khirkhi ka paat khole howe
.
Tum the wo shayaad k tha saaya tumhara kon tha
.
Main kisi se bhi na'waqif the nain es shehr mein
.
Naam se mery mujhe jis ne pukara kon tha
.
Kon tha jis ne mujhe dil mein basaya tha kabhi
.
Or phir jis ne mujhe dil se utara kon tha
.
Dasht-e-qudrat k siwa wo koi ho sakta na tha
.
Poch maat jis ne sar-e-sahil utara kon tha

Book Noor-o-Qamar

Khawaja Masoor

Na dil hai bas mein na ham'dam hai kya kya jane
.
Yahe kasha'kash payham hai kya kya jane
.
Wo jis se zakhm jigar or bharne lagta hai
.
Ajeeb qisam ka marham hai kya kya jane
.
Diyar-e-ghair mein ja kar bhula diya us ne
.
Umeed wisel bhi ab kam hai kya kya jane
.
Tery baghair nahe je sakey gay ham jaana
.
Yahe melaal yahe ghum hai kya kya jane
.
Na chain hai na sakun hai na khushi masro0r
.
Aziyt0n ka yeh alaam hai kya kya jane

Ashraf Naqvi

Rukhsaar ka till zulaf ki zanjeer banaaye gay
.
Hum yuh bhe tery khuwab ki tabeer banaaye gay
.
Aab jitna bhi chahey tu hamien ghair samjh le
.
Kal dekhna ham he teri taqdeer banaaye gay
.
Jo naqsh banaye hain tery ab'rawan par
.
Pathr pe wo likhe hoi tehreer banaaye gay
.
Manzr se to ham nikle gay chup chaap he lekin
.
Sadiy0n jo rahe baqi wo tasveer banaaye gay
.
Begane se jo aj nazar ate hain ashraf
.
Aik roz wafaon ki wo tasheer banaaye gay

Ashraf Naqvi

Kyun na gham ka maza liya jaaye
.
Jahn-e-whshat maana liya jaaye
.
Teri ro0h par jo chanay lagi
.
Dil ko suraj bana liya jaaye
.
Shab kisi tarha katni to hai
.
Koi qisaa suna liya jaaye
.
Yeh jo viraan koch-e-jaan hai
.
Is mein ik ghar baasa liya jaaye
.
Mujh ko ashraf chiragh ki surat
.
Hasb-e-mansha jaala liya jaaye

Aniila Nawaz Khan

Mujh ko ilam hai jaana k tum ghomey ho
.
Shehar ki galiyan sari magr tum ko to
.
Khabar na the ik hasrat mujh ko bhi the
.
Kaash k tum ne meri dehleez pe bhi
.
Rakhe hote qadam apne to is ghar ki
.
Dewaron se teri yaad ki baharon se mujhe khushbo ati

Rashid Malik

Tira khayal kuch aise mere khayal mein hai
.
Har ik gosha'jaan jis tarha dhamal mein hai
.
Thirakti yon hai mery sehn-a-jaan mein yaad teri
.
Ke ghungharon ki chanak jaise eteen taal mein hai
.
Tumhare zulm-o-sitam be to kuch aroj pe hain
.
So mera zabt be khuch in din0n kamal mein hai
.
Baja ke ishq ne har baal dil ko qaid kiya
.
Par ab k lagta hai khud ishq apne jaal mein hai
.
Nazr parey to mere paaon dagmagate hain
.
Nasha ajeb he zalim tere jamal mein hai
.
Chalo ke or kisi sheiy ka karobar karen
.
Ye karobar muhabaat to ab zawal mein hai
.
Tire marez-a-muhabbat ka keya bana rashid
.
Wo maar chuka hai ya zinda hai kaise haal mein hai

Faaiz Anwar

Jane kyun main tujh ko din raat sochta hon
.
Yeh pagal'pan hai ya pyar hai yeh kaisa mujh pe khumar hai
.
Har pal ho tujh se mulaqat sochta hon
.
Jane kyun main tujh ko din raat sochta hon
.
Tere khayalon mein khoye rehna mera kaam ab yehi hai
.
Yeh jaan le tu ki pagal dil ka paigham ab yehi hai
.
Ho jaye shayad koi karamat sochta hon
.
Jane kyun main tujh ko din raat sochta hon
.
Milne ko aksar mile tu mujh se phir bhi hain fasle kyun
.
Dil ki lagi ne banaye hain ye benaam silsile kyun
.
Badlen ge kaise ab yeh halat sochta hon
.
Jane kyun main tujh ko din raat sochta hon
.
Yeh pagal'pan hai ya pyar hai yeh kaisa mujh pe khumwar hai
.
Har pal ho tujh se meri mulaqat s0chta hon
.
Jane kyun main tujh ko din raat sochta hon

Majid Jhangir

Jamo sagar say nikal aur mulk k halat dekh
.
Ho giya tareek manzar mojab-e-afat dekh
.
Jab jawan betey ka lash tha othaya baap nain
.
Cheekh ker us nain kaha tha lout gaye baraat dekh
.
Khun muqadar ka sitara qardishon mein agaya
.
Kia howa aisa najomi dekh mera hath dekh
.
Jab khudey paak nain sab ko baraber ker dia
.
Tujhe ko kis nain haq dia insaan ki tu zaat dekh
.
Hai khabar fakiya kashi se maar gaya bacha yateem
.
Apne bangle se nikal or ashk ki barsaat dekh
.
Apney hi khadaar ban kar lout letey hain watan
.
Is liye muhaat rehna ghor kar or sath dekh
.
Is jahan be'hisan mein hain sadaien be'asaar
.
Tor de majid qalam ko hadd mein raah uqaat dekh

Shauq Ansari

Dil pe jitne bhi daagh milte hain
.
Tery ghum k sharaagh milte hain
.
Saqiya dor-e-tishna kami mein
.
Kin labon ko eyaahaag milte hain
.
Shahyaar in watan ki qabron par
.
Chund totay chairaagh milte hain
.
Dil to aapas mein miltey rehtey hain
.
Itfaqaan dimagh milte hain
.
Aab to hasrat he raah gai hai shauq
.
Kon jo baagh baagh milte hain

Washma Khan Washma

Main zindagi ki tamana mein maar nahi sakti
.
K hadsat-e-zamana se dar nahi sakti
.
Wo faisla jo mujhe ap se juda kar de
.
Wo faisla mein kisi toor kar nahi sakti
.
Tery jamal ka chaaya hai is tarha jado0
.
Meri nigaah kisi par tha'har nahi sakti
.
Najane kesay guzaron gi main usey tanha
.
Wo zindagi jo tery bin guzar nahi sakti
.
Bahara he rehta hai pani hamesha aankho mein
.
Nadi yeh ashkon ki shayaad utaar nahi sakti
.
Rahey gi yaad tumhari sada mery dil mein
.
Ghubar ban k hawa mein bikhar nahi sakti

Book Noor-o-Qamar

Sunday, 12 October 2014

Muslim Saleem

Wo door kay hon diwaane ke hon qareeb k log
.
Hain madha'khwaan usi paikar-e-ajeeb k log
.
Hain kaar'zaar kai aur bhi zamaane main
.
Hilaal hi say ulajhtay hain kyon saleeb k log
.
Saron ki ginti nay aakhir kiya use ruswa
.
Ameer-e-shehr pay bhari paray ghareeb k log
.
Jahan mein dhom hai jin ki yaraf nigaahi ki
.
Dikhaye kyon nahe detay unhen qareeb k log
.
Gul-e-kham0sh ka deta nahin hai sath koi
.
Hain sare hashiya bardaar andaleeb k log
.
Nazar bacha kay ham us dilruba say mil aaye
.
Gali mein ghomtay phirtay rahe raqeeb k log
.
Watan say aj chala hon ye soch kar muslim
.
Kahen to mujh ko milen gay meray naseeb k log

Muslim Saleem

Dil jahan lakhon paray hain itilan arz hai
.
Ham bhi us reh main kharay hain itilan arz hai
.
Ap ki maanind chaltay thay akar kar jo kabhi
.
Khaak main wo sab garay hain itilan arz hai
.
Khel bachon ka nahen hai ishq ka rasta hai yeh
.
Marhale saray karay hai itilan arz hai
.
Gudriy0n mein reh k khidmat khalq ki kartay hain jo
.
Wo sabhi insaan baray hain itilan arz hai
.
Baraha muslim kiya hai ham nay khon-e-arzo
.
Khud say ham aksar laray hain itilan arz hai

Atta Ull Hasan

Mila to aj bhi hai mujh se mushkurate howey
.
Khuda kare k juda ho na ab rulate howey
.
Sisak raha tha bhot zabt karte karte bhi
.
Wo apna hath mery hath se churate howey
.
Use halakta howa gaawon chor aya h0n
.
K le k aao ga kangan tumhare ate howey
.
Bana raha hon main title k paar maharat se
.
Gulaab-e-shoq se rango ko yuh churate howey
.
Tamam raat jagta raha hai khuwab-e-visel
.
Tarap raha h0n main bister se uth k jate howey
.
Khuli jo ankh to pehlo mein wo nahi tha hasan
.
Lagi the aankh jise loriyaa sunate howey

Maqsoad Wafa

Is ghum ko ikhtiyaar nahi kar raha h0n main
.
Yuh to nahi k pyar nahi kar raha h0n main
.
Aab dekhta h0n raah mein dunia saji hoi
.
Aab tera intazaar nahi kar raha h0n main
.
Le rakh tu apna harf-e-tasali bhi pas rakh
.
Yeh koi karobaar nahi kar raha h0n main
.
Kuch dair se hai rang-e-tamasha ruka howa
.
Aik teer dil k paar nahi kar raha h0n main
.
Yuh to rahe ho tum bhi safa-e-dushman0n mein dost
.
Lekin tumhaien shumaar nahi kar raha h0n main

Noshi Gilani

(Aurat Zadi)
Saaye mujhe dua do na dekho mery anchal mein yeh
.
Kitne cheed howe jatey hain honto par yeh piyas ka sehra
.
Ankhon mein ashk0n ki nadiya per0n mein
.
Angar0n ki pazeeb bandhi hai sans ki dhar
.
Katri jaise basti sanp patari jaise
.
Dil ki hawale phir se veraan hasti sari leraan leraan
.
Saaye teri aurt zadi sarey maan luta baithe hai
.
Tery dar pe aa baithe hai saaye mujhe dua do na
.
Kesy jeyon mein dhiyan se ojhal ishq k bhed howe jate hain
.
Dekho mera ancha dekho kitne cheed howe jatey hain

Sajid Hameed

Zara mahkar ki tajseem kar lon
.
To ehsasat mein taqseem kar lon
.
Kaseli ho gayi hai dil ki dharkan
.
Shabe hijran mein kuch tarmeem kar lon
.
Ye mausam bhi bahut acha nahin hai
.
Rahun ghar per badan tanzeem kar lon
.
Abhi pahunche kahan hain dasht mein ham
.
Abhi se sans ki taqweem kar lon
.
Batao kya karein gi yeh hawayein
.
Charaghon ko agr mein bheem kar lon
.
Bicharna chahta hai us ki marzi
.
Wo gar maane nazar do neem kar lon
.
Tumhara kuch nahin bigre ga sajid
.
Haseen lahje ki gar tazeem kar lon

Zahid Alvi

Kahein ashk chupa k tumhein eid mubarik
.
Nigahen jhuka k tumhein eid mubarik
.
Tumhari jafaiyen wo sari khataien
.
Sabhi kuch bhula k tumhein eid mubarik
.
Mubarik ho har ik ko us ka muqadar
.
Hamein gham jahan k tumhein eid mubarik
.
Sitm gar ne roka jo dast-e-jafa kuch
.
Kaha ham ne ja kar tumhein eid mubarik
.
Zara ahl-e-duniya k andaaz dekho
.
Kahein dil dukha k tumhein eid mubarik
.
Agr tum se saqi ne wada kiya hai
.
Piyaale luta k tumhein eid mubarik
.
Kaha ik panchi ne zahid se kal'shab
.
Nashemeen jala k tumhein eid mubarik

Usama Ameer

Meri kashti ko sumandar se nikale koi
.
Main muhabbat h0n muhabbat ko becha le koi
.
Main hawaon k mukabil h0n ujaley ka naqeeb
.
Samne rakh k diya mery jaala le koi
.
Teri ankho k fason ne mujhe madhosh kiya
.
Mery ancha ki zara se to hawa le koi
.
Koi to ho mery sath chale gaam ba gaam
.
Hijar ki raat meri aa k saja le koi
.
Mujh ko thukra diya arbab-e-jafa ne lekhin
.
Apni zulf0n mein mujhe aa k chupa le koi
.
Jagta rahta h0n aksar main tery gham mein ameer
.
Apne sine se laga le k sulaa le koi

Safi Hasaan

Sang bhi teer bhi kamaan bhi ham bhi
.
Wisel mein hijar bhi gumaan bhi ham bhi
.
Jane kis baat se udaas the sarey
.
Kheet bhi beech bhi kasaan bhi ham bhi
.
Aa kar sab baithe hain tumhare saaye mein
.
Gard bhi dhop bhi thakan bhi ham bhi
.
Mubtala sab the khof ki aakaaie mein
.
Khaak bhi log bhi jahan bhi ham bhi
.
Apni he raah mein ho gay they sab haail
.
Aabr bhi taiyar bhi uran bhi ham bhi
.
Kya kaho ku bujhe bujhe howe se they
.
Raat bhi chand bhi maakan bhi ham bhi
.
Ik phir bhi safi na ho sake charon
.
Raat bhi nened bhi azan bhi ham bhi

Najma Shaheen

Wo halal-e-eid ko dekh kar bhi udaas hai
.
Use yaad hai kisi eid par kahein chahaton ki naveed par
.
Koi kah gaya tha use kabhi k main chand hon teri eid ka
.
Mery bin manana na eid tu k main aao ga teray pas jab
.
Kisi ik wisel k saal mein kisi khuwab mein k khyal mein
.
Kabhi jis ghari meri deed ho wohi ik pal teri eid ho
.
Wohi ik lamha naved ho use yaad hai wo jo ik lamha tha eid ka
.
Wohi ik lamha naved ka kisi deed ka
.
Wohi lamha is ka hisar hai wohi lamha ab tak udhar hai
.
Wo jo helal-e-eid ko dekh kar jo udas hai
.
Use bas miln ki he aas hai use ab kisi se gila nahi
.
Wo jo ik lamha udhar tha wo mila nahi
.
Magr us ko ab bi yaqen hai k jo chand hai kisi baam par
.
Wo mile ga ik din use kahein kisi m0r kisi gaam par
.
Wo jo kah gaya tha use kabhi k main chand hon teri eid ka

Naz Muzafara Badi

Gile shikwe mita kar mushkurao eid ka din hai
.
Purani ranjisho ko bhol jaao eid ka din hai
.
Wo jin ko besabab thukra diya hai duniya walo ne
.
Gaale in be'sharon ko lagaon eid ka din hai
.
Akhwat bhai chara dosti ikhlas phelaao
.
Muhabbat k diye ghar ghar jaalao eid ka din hai
.
Wo jin bachon ka bachpan karkhane cheen letay hain
.
Wo bachpan phir unhin wapis dilaao eid ka din hai
.
Kisi k waste nafrat na rakho apne sine mein
.
Jo rothe hain unhein chal ka maanaao eid ka din hai
.
Kamaz kaam aj k din ho khusi har ik chehre par
.
Sabhi mil kar dua ko hath uthaao eid ka din hai

Shahbaz Nayyar

Jaan-e-jaan kaho gey naa ashk phonch lo gey na eid par milo gey na
.
En udaas ankh0n mein rang bhi bharo gey na eid par milo gey na
.
Waqt kis tarha guzra chand kis tarha utra furkaton k musam mein
.
En sabhi sawalon k tum jawab do gey na eid par milo gey na
.
Fasle jo aye hain kitne ghum uthey hain khair muskurey hain
.
Hath tham kar mera sab gile sun0 gey na eid par milo gey na
.
Tum to jante ho na ulfat0n ko rahte hai ehd-e-taza ki khuwaish
.
Phir yaqeen dilao tum mery he raho gey na eid par milo gey na
.
Tanha chand se mujh ko be'panaha muhabbat hai han miln ki hasrat hai
.
Chand raat ko nayyar chand tum bano gey na eid par milo gey na

M Zee Kanwal

Zakhmon ki chand raat sajaney k waste
.
Be'chaniyon ko miyat bananey k waste
.
Aancha mein bandh lai hon jugno ki roshni
.
Gham'khan-e-hayaat sajaney k waste
.
Aankhon ki keh'kashaon ko utarne nahi diya
.
Tanhaiy0n ki eid maanaaney k waste...*

Azeem Belgaumi

Sufaid rang k jorey yeh zirq-e-barq libaas
.
Yeh eid gaah k pur'kaif-o-mast nizarey
.
Jaben-e-shoq mein sajdon ki justaju le kar
.
Khari hai qom-e-muslman saf ba'saf tanha
.
Namaz eid ki saat talash karti hai
.
Mita-e-jazab-e-taat talash karti hai
.
Yeh apni umr mein barkat talaash karti hai
.
Khuday-e-pak ki rehmat talash karti hai
.
Badal gaya hain zamana badal gayein qadrein
.
Magr tajale eideyen ab bhi baqi hai
.
Agr dilon se hain mehrom aj k insan
.
Sarwar-e-eid mein taaseer ab bhi baqi hai
.
Khuda kare k ata ho azeez muslim ko
.
Saleqa eid ka khud yom-e-eid se barh kar

Qais Ali

Wajd-e-avaar sharaab peeta hai
.
Har qalandar sharaab peeta hai
.
Shaam lagti hai jaam ki suraat
.
Jab sumandar sharaab peeta hai
.
Jo nahi peeta zindagi mein kabhi
.
Jaa k upaar sharaab peeta hai
.
Yeh jo phirta hai par'saa ban kar
.
Ghar mein chup kar sharaab peeta hai
.
Tujh ko milte hai meeh tahajud mein
.
Qais din bhar sharaab peeta hai

Dawood Usloobi

Jab bhi tumhare haath ka pathar laga mujhe
.
Apna wajod aaina aksar laga mujhe
.
To bhi to to0t t0ot ke bihkhre gi mere sath
.
Aye zindagi ye soch ke thouker laga mujhe
.
Aab ke bahar aayi hey kaisi ye shaher mein
.
Har simath qatl-o-kho0n ka manzar laga mujhe
.
Har lafz us ka seene mein aise utar gaya
.
Laheje ka us ke phool bhi khanjer laga mujhe
.
Dawod jis ko qatra samajhta raha jahaan
.
Wo apne aap mein to samundar laga mujhe

Friday, 10 October 2014

Baqi Ahmad Puri

Jis ko milte hai koi shaan alag
.
Us k hote hain imteehan alag
.
Es zameen par yeh khush nahi rehtey
.
Ishq walon ka hai jahan alag
.
Hijar k zakhm or hain dil par
.
Teri yaadon k hain nishaan alag
.
Apni mehfil mein or he baatein
.
Or mery sam'ney biyaan alag
.
Teri aankhon se tery chehre se
.
Hum ne parh le hai dastaan alag
.
Hai faqeero ka ik hajom alag
.
Kis ne kholi hai yeh dukaan alag
.
Kesi tehzeeb hai judai ki
.
Ho gaye sarey khandaan alag
.
Zulm wo hai k aab zameen se bhi
.
Hone wala hai aasmaan alag
.
To agar hai to main bhi h0n baqi
.
Mujh se maat hona meri jaan alag

Fariyad Azer

Wo le raha tha imtehaan qisto0 mein
.
Khabar yeh thi k nekaley ga jaan qisto0 mein
.
Tamam umer bhatak'ta raha main khana'badosh
.
Kharid bhi na saka ik maakan qisto0 mein
.
Kabhi khabar nayi cheez ghar par latey hain
.
Ham aisey log bharatey hain shaan qisto0 mein
.
Tamam qarz ada kar k shenkaron ka
.
Bacha he lou ga bazurgon ki aan qisto0 mein
.
Basa raha hai har ik fard aik alag he jahan
.
Bikhar raha hai har ik khan'daan qisto0 mein
.
Yeh kya howa bharapa achank aa pohancha
.
Ham aise log howe they jawan qisto0 mein
.
Ham apne bachon ko urdu se rakh k na'wakif
.
Mita rahey hain sunahri zubaan qisto0 mein

Saleem Saghar

Wo chand abhi dil k falak par nahi aya
.
So moj mein ashkon ka sumandr nahi aya
.
Allha kare khair se ho shehr k sab log
.
Kab se meri janib koi pathr nahi aya
.
Yahan hosh ki surat koi din bhar nahi nikle
.
Yahan nend ka jhonka shab bhar nahi aya
.
Sikhlaye to sikho main tery ishq k adaab
.
Aflak se koi kabhi parh k nahi aya
.
Pathrai hoi aankh mein thera howa anso
.
Yeh kon sa lamha hai k akar nahi aya
.
Anghasht be'dandaan hai tery shehr ka har shahks
.
Kya pehlay yahan koi qalandr nahi aya
.
Tum shukar karo shehr salmat hai tumhara
.
Bhojaal mery jism se bahir nahi aya
.
Aik rashk-e-ghazlan k taqub mein gaya tha
.
Kahte hain k phir lout k saghar nahi aya

Zahid Shamsi

Jab zakhm0n se bhar jatey hain raat hawa or main
.
Kham0shi se maar jatey hain raat hawa or main
.
Jin baataon se ham ko din bhar r0kti hai duniya
.
Wo baatein bhi kar jatey hain raat hawa or main
.
Dekhne wala h0ta hai wo manzir jab thak kar
.
Apne apne ghar jatey hain raat hawa or main
.
Waqt k hath pe anso phol sitara or ik yaad
.
Jatey jatey dhar jate hain raat hawa or main
.
Teri ankh ishara karte hai or phir chaat se
.
Bas chup chap utar jatey hain raat hawa or main
.
Gonjne lagte hai kan0n mein suntay ki cheikh
.
Baithe baithe dar jatey hain raat hawa or main
.
Aik dewar se ban jati hai zahid raste mein
.
Teri simat agr jatey hain raat hawa or main

Zahid Shamsi

Aik khuwab main ne khuwab mein dekha maaraa howa
.
Khud ko jo zindha dekha to kuch hosla howa
.
Aye ankh tujh ko dil se mein kesy juda kar0n
.
Pani mein aag aag mein pani mila howa
.
Saad shukir us ko dekh liya hai phir ik baar
.
Saada shukir mera zakhm-e-tamana haaraa howa
.
Aab tak hai yaad mujh ko kisi bewafa ka naam
.
Aik ashk ab bhi hai sar-e-meshar'gaan rukaa howa
.
Aab tak meri wafa mein jan0n khizayan nahi
.
Aab tak hai mera chaak-e-girbaan silaa howa
.
Imkaan to nahi hai magr jaa k dekh lo
.
Mil jaye shehr bhar mein koi jagta howa
.
Darwaza band dekh k chakraa k gir para
.
Aya tha apne ghar ki taraf dhorta howa
.
Zahid mujhe yaqen to hai apne aap par
.
Mil jaao ga main khud ko kahien par paraa howa

Irshad Delvi

Teri har aik jafa par bhi main raha chup chaap
.
Teri judai k har ghum ko bhi saha chup chaap
.
Boht se kurb se guzra main tery jane par
.
Baha jo ankh se anso magar baha chup chaap
.
Judai k tery sadmey uthay phirta h0n
.
Har aik zakhm jigar main ne see liya chup chaap
.
Main janta h0n k majboriya bhi hain tujh ko
.
Gila hai bas yahe rukhsat to ku howa chup chaap
.
Yeh tujh se milna mera or phir bichr jana
.
Bohat he talkh-e-zehaar pee liya chup chaap
.
Aye kash mujh ko pata ho k koi mery liye
.
Teri bhi ankh se qatraa koi baha chup chaap
.
Dua yahi hai k ho zeest shad'maan teri
.
K ghum uthay ga irshaad he sada chup chaap

Irshad Dehlvi

Teri har aik jafa par bhi main raha chup chaap
.
Teri judai k har ghum ko bhi saha chup chaap
.
Boht se kurb se guzra main tery jane par
.
Baha jo ankh se anso magar baha chup chaap
.
Judai k tery sadmey uthay phirta h0n
.
Har aik zakhm jigar main ne see liya chup chaap
.
Main janta h0n k majboriya bhi hain tujh ko
.
Gila hai bas yahe rukhsat to ku howa chup chaap
.
Yeh tujh se milna mera or phir bichr jana
.
Bohat he talkh-e-zehaar pee liya chup chaap
.
Aye kash mujh ko pata ho k koi mery liye
.
Teri bhi ankh se qatraa koi baha chup chaap
.
Dua yahi hai k ho zeest shad'maan teri
.
K ghum uthay ga irshaad he sada chup chaap

Naheed Akhtar

Teri khushi k liye tera pyar chhod chale,
Nikal k tere chaman se bahar chhod chale,

Sada jo yaad hamari dilayega tujhko,
Tere liye wo dil-e-beqarar chhod chale,

Utha k lash hum apni, khud apne kandhe par,
Tadapti aarzuon ka majhar chhod chale,

Hume kuchh apni tabahi ka gham nahi lekin,
Malal ye hai tujhe so-gawar chhod chale...

Tuesday, 30 September 2014

Ahmad Raza Raja

Dherkan k zeer-o-baam ko sanwara tha or bas
.
Kaghaz pe dil ka bohj utara tha or bas
.
Bas itna janta hon k awaz us ki thi
.
Itna pata hai us ne pukara tha or bas
.
Kar-e-jan0n mein faeeda tha ishq ka magr
.
Kar-e-jahan mein sirf khasara tha or bas
.
Duniya ki fikar the na zamane ka khof tha
.
Ham ko fakat khyal tumhara tha or bas
.
Logo ne us ko meri muhabbat samjh liya
.
Ahmad wo mujh ko jaan se pyara tha or bas

Erum Zehra

Jaha eid k kapr0n ki jaga kafan kharide gaey
.
0r eid ki jagaha bach0n k janaze pe
.
Khon k anso bahaye gay ais be'basi
.
Ki fiza k dil cheir jaey or ro0h tarapne lage
.
Aise alam mein jahan eid bhi sogowar ho
.
Or ahl-e-khaza ko paras dene ai ho
.
To aisi eid ki khushi main kesy manaaon

Shafiq ull Rehman Shafaaq

Jo log kal talak thay bari aan baan mein
.
Dekha inhein ko karey imteehan mein
.
Khush ho k tu ne sharh-e-kariya barha to di
.
Baithe hain log bichne khud ko dukaan mein
.
Taqk-e-taluq pe wo bhi hai zakhm zakhm
.
Yeh baat bhi na the mery wehm0 gumaan mein
.
Dewar-0-daar chamkte rahe agahi k sath
.
Yuh din guzra zeest k roshan makaan mein
.
Kam to nahi yeh baat shafaaq mojzaat se
.
Us ne ghazal kahe bhi to meri zubaan mein

Book Rang-E-Shafaaq

Dr Kamran Khaan

Meri arz-e-tamana aasman tak na p0hnchi
.
Main bulbul hon jo gulistaan tak na p0hnchi
.
Meri dastaan-e-ghum se hai har ik aankh naaam
.
Afsos k meri aah mery raaz'daan tak na p0hnchi
.
Ahl-e-hawas ne ch0s liya akhri qatra kh0n bhi
.
Kya gareeb ki koi faryad yaazdaan tak na p0hnchi
.
Teri haqeqat ko kar0n man'kashaaf to kun'kar
.
Teri zaat kabhi mery wajdaan tak na p0hnchi
.
Main ne kisi ko awaz na di irfan haq ki khatir
.
Kya khaan ki ik pukaar bhi waha tak na p0hnchi

Book Khuwab sab sehraab

Meer Taqi Meer

Dil-e-pur'Khun ki ik gulaabi se
.
Umr bhar ham rahe sharaabi se
.
Dil dahal jaaye hai sahar se aah
.
Raat guzar gi kis Kharaabi se
.
Khilana kam kam kali ne sikha hai
.
Us ki aankhon ki nim'Khwabi se
.
Kaam the ishq men bahut se 'Meer'
.
Ham hi faarig hue shitaabi se

Wasi Shah

Be sabab to nahin teri yaaden
.
Teri yaadon se kya nahi sekha
.
Zabt ka husla barha lena ansuon ko kahin chupa lena
.
Kanpti dolti sadaon ko chipki chadar se dhanp kar rakhna
.
Jab bhi ho baat koi takhi ki mozu-e-guftagu badal dena
.
Besabab to nahi teri yaden teri yadon se kya nahin sekha

Book Aankhy Bheeg Jati Hai

Aatif Saeed

Badal gai hai yeh zindgi ab sabhi nazaray badal gay hai
.
Kahe mojay badal gai hai kahe kinaray badal gay hai
.
Badal gaya hai ab es ka lahja ab us ki aankh badal gai hai
.
Wo chand chahra hai ab bhi waisa meray sitaray badal gay hai
.
Kahe pe badla hai kahnay wala kahe pe sama badal gay hai
.
Kahe pe aankh badal gai hai kahe nazaray badal gay hai
.
Kuch es liye bhi main sar jhoka kar phir us ki nagri say chal para hon
.
K jin par muj ko tha naaz atif, wo sab saharay badal gay hai

Book Tumhay Khonay Se Derta Hoon

Vikas Nehru

Bhigi bhigi, shaam Dhaley tanha tanha, chand taley
.
Door kahin kuch saayon sey dhundhlaye si rahon sey
.
Aati hai ek aawaaz kabhi kuch jaani hui kuch ajnabi
.
Sun kar jisey na jaanein kyun hota hai kuch ehsaas yun
.
Koi kahin aisa bhi hai karta mujhe jo yaad hai

Khyal Lukhnawi

Badaltay mausam ke saath badaltay huay dekha
.
Diwanon ko bhi soch mein dobtay huay dekha
.
Manzoor hothi thi jinhay yaar ki har baat
.
Un yaaron ke bhi sar uthatay huay dekha
.
Dawa tha jin ka keh tofanon sey takra jayen gay
.
Unhay bhi uljhanon mein ulajhtay huay dekha
.
Hua karta tha kabhi qasr-e-zubaan jahaan
.
Lafzon ko bhi wahaan bikhartay huay dekha
.
Bedaam hua karta tha jo afsaana khyaal
.
Us dard-e-jigar ko bhi nelaam hotay huay dekha

Munawar Rana

Har Ik Aawaaz Urdu Ko Fariyadi Batati Hai

Ye Pagli Phir Bhi Ab Tak Khud Ko Shehzaadi Batati Hai

kaii Baate Mohabbat Sabko Buniyadi Batati Hai

Jo Pardaadi Batati Thi Wahi Daadi Batati Hai

Jahan Pichle Kaii Barson Say Kaale Naag Rehte Hain

Wahan Ik Ghosla Chirrhiyon Ka Tha Daadi Batati Hai

Abhi Tak Ye Ilaka Hai Rawadari Ke Qabze Main

Abhi Firka Parasti Kam Hai Aabaadi Batati Hai

Yahan Veraniyon Ki Ik Muddat Say Hukumat Hai

Yahan Say Nafrate Guzri Hain Barbaadi Batati Hai

Lahoo Kese Bahaya Jaye Ye Leader Batate Hain

Lahoo Ka zaika Kaisa Hai Ye Khaadi Batati Hai

Gulami Ne Abhi Tak Mulk Ka Pecha Nahi Chorra

Hame Phir Qaid Hona Hai Ye Aazaadi Batati Hai

Gareebi Kiun Hamare Shaher Say Bahar Nahi Jati

Amer-E-Shaher Ke Ghar Ki Har Ik Shaadi Batati Hai

Main Un Aankhon Ke Maikhane Main Thorri Der Betha Tha

Mujhe Duniya Nashe Ka Aaj Tak Aadi Batati Hai

Lubna Salman

Mujh ko yeh iqrar hai jaana mujh ko tum se pyar hai jaana
.
Tum bi mujh ko tot k chaho mera yeh israar hai jaana
.
Dukh sukh tery sath sahon gi har dam tery sath rahon gi
.
Haq se mera hath to mango mujh ko kab inkaar hai jaana
.
Tera mera rishta aise janat k do sathi jaise
.
Jab ham ko hai sang he rehna q phir yeh takraar hai jaana
.
Dunia ham ko dor kare gi dil ko yuh ranjhor kare gi
.
Dunia ki sunte he q ho in ka karobaar hai jaana

Khushbir Singh Shaad

Bas apni kahani mein zinda raho
.
Isi khush'gumani mein zinda raho
.
Agr tashnagi ki yahi shart hai
.
To ik gho0nt pani mein zinda raho
.
Jahaan bolney ki saza maut ho
.
Wahan be'zabani mein zinda raho
.
Gham0n ka tasalsul hai ye zindagi
.
Gham0n ki rawaani mein zinda raho
.
Inhin wusaton mein maro umr bhar
.
Isi be'karani mein zinda raho
.
Yaqeenan faram0sh hona hai shaad
.
Kisi bhi kahaani mein zinda raho

Yousaf Misali

Main hireen bahriy0n ki zid mein hon
.
Aaj phir doston ki zid mein hon
.
Kitne atish-e-fishan hain sine mein
.
Har ghari zalzalon ki zid mein hon
.
Khud ko markaz bana liya main ne
.
0r ab dairon ki zid mein hon
.
Main hamesha juda raha khud se
.
Jab se mein aain0n ki zid mein hon
.
Mujh ko yousaf banaya qudrat ne
.
Or main bahiy0n ki zid mein hon

Amjad Meraj

Is liye to tery gaaown tak nahi aye
.
K faslay he mery paaon tak nahi aye
.
Har ik darkht mery liye muqadas hai
.
So le k dho0p ko hum chaon tak nahi aye
.
Hamre qaflay mein koi qais tha he nahi
.
Tab hi to shehr se sehraon tak nahi aye
.
Hamari piyas bhi jaise koi sumandr the
.
K pani mangnay dariy0n tak nahi aye
.
To kya zamen ka koi qasor hai amjad
.
Palat k betay agr maaon tak nahi aye

Amin Shad Ghulam Rasool

Tum se pehle main is tarha to na tha
.
Yuh bhi ho ga mujhe pata to na tha
.
Le uray tum he mera sara shabaab
.
Warna aisa main bad'numa to na tha
.
Tum ne mujh ko mila diya mujh se
.
Main jo khud se kabhi mila to na tha
.
Wo jo ik jaan'nishar tha tera
.
Main he tha koi dosra to na tha
.
Roth jane ka aik bahana tha
.
Wo tera uzr-e-barmila to na tha
.
Tum kisi ko bhi chahte haq tha
.
Mera tum se koi gila to na tha
.
Waqt ka tha kiya dhara sara
.
Shaad aisa bhi bewafa to na tha

Irfan Sitar

Jagte hain teri yaad mein raat bhar
.
Aik sun'san ghar chandni or main
.
Bolta koi kuch bhi nahi hai magar
.
Aik sun'san ghar chandni or main
.
Is ko pane ki aab justajo bhi nahi
.
Justajo kya kare arzo bhi nahi
.
Shoq-e-awargi bol jaye kidhar
.
Ho gay dar'badar zindagi or main

Ahmed Shehryar

To mujh ko sharik-e-kaar karta
.
Main jabaar he ikhtiyaar karta
.
Khanjar na utarta jo dil mein
.
Titli k paron par waar karta
.
Jab tha he nahi baha'jiz to hum
.
Marta jo na itbaar karta
.
Bas aik wajod or aik adam par
.
Kab tak koi inshaar karta
.
Kirn0n ki tarha bikhar gaya hon
.
Main baraf ko abshaar karta
.
Le tujh ko guzarta h0n aye umer
.
Aaloda n0r-o-naaz karta

Monday, 29 September 2014

Amir Elahi Amer Malik

Kisay sunaon gham-e zeest kaa fasana main
.
Keh razdan to koi aj tak mila hi nahin
.
Karon main raah ki dushwari ka gila kis say
.
Main wo musaafir-e kam- kosh keh chala hi nahin
.
Kabhi milo to main sab kuch hi tum sey keh daaloon
.
Keh roz roz to milnay ka silsila hi nahin
.
Tera suraagh nahin phir bhi dhoond loon ga tujhay
.
Bajuz Khuda kay mera ki aasra hi nahin
.
Hazar baataen hain jo mujh peh log kartay hain
.
Magar yeh dil haiy keh pathar kabhi jala hi nahin
.
Aa phir aj aaina hi daikh amar
.
Keh sach to aaj tak tu nay kabhi suna hi nahin

Ali Sardar Jafri

Kaam ab koi na aye ga bas ik dil ke siva
.
Raste band hain sab kucha-e-qaatil ke siva
.
Bais-e-rashq hai tanharavi-e-rahrau-e-shauq
.
Hamsafar koi nahin duri-e-manzil ke siva
.
Ham ne duniya ki har ik shai se uThaya dil ko
.
Lekin ik shoKh ke hangama-e-mahafil ke siva
.
TeG munsif ho jahaN dar-o-rasan hon shahid
.
Be'gunah kaun hai us shahar mein qaatil ke siva
.
Jane kis rang se aai hai gul'shan mein bahar
.
Koi naGma hi nahin shor-e-silasil ke siva

Fasil Khan

Jisay dekh kar labon per hansi bikhar jati thi
.
Usi mohini surat ka intezar mujhay aaj bhi hai
.
Akhri lamha mujhay aaj bhi yaad hai hijr ki raat ka
.
Usi lamhay ka karb us waqt bhi tha aaj bhi hai
.
Himat na rahi wasal ki dastaan raqam karnay ki
.
Himat tooti the jis lamha, wohi lamha aaj bhi hai
.
Jatay samay jo bikhra tha meri mohabbat ka bharam
.
Bay'karan wajood us waqt bhi la hasil tha aaj bhi hai

Rajeev

Jis chiragh ko apney dam sey jalaya hai
.
Usi chiragh ney mera ashiyan jalaya hai
.
Bachaya tha jis ko hawa key aik jhonkey sey bhi
.
Usi ney aj mujhey tufan mein phansaya hai
.
Daron kyon nan ab chiraghon sey main keh
.
Ik jala tha merey ghar ab raqeb key ghar ujala hai
.
Jism par jalney keh nishan aur daman par kaley dagh kaie
.
Chiraghon ki sohbat mein bas mainey yahi paya hai

Aamir Jamil

Is Terhan Jhoom k kiun zindgi mein aatey ho
.
Gahrey badil ki terhan sanso dil peh chatey ho
.
Kiun bataon k waja kia hai roth janey ki
.
Khudi likhtey ho saza khud hi tum mitatey ho
.
Saza jo ho tumhein maqsood saza do hum'dum
.
Diyey jala k phir aandi ko kiun bulatey ho
.
Merey kanon mein her ghari hi gonjti hai hansi
.
Dostoon mein jo kabhi mil k muskuratey ho
.
Ager yaqeen hai meri jaan k tout jaey ga
.
Tu phir sahil peh kiun matti k ghar banatey ho

Ahmad Nadeem Qasmi

Itna dushwar nahi maut ko taley rakhna
.
Sar jo kat jaye to dastar sambhaley rakhna
.
Chot khana, magar is tarah ke lodhey uthey
.
Zulmat gham isi tarey se ujahely rakhna
.
Apne ehbaab ko seney se lagaye phira
.
Aik khanjar bhi jaib mein daley rakhna
.
Meri pehchan mere peer-e-hin zakhm se hai
.
Ab bhi aezaaz sahi shaal do shaley rakhna
.
Dasht ehsaas ki hidat bhi Qayamat hai nadeem
.
Kuch zarori to nahi paon mein chaley rakhna

Ghalib Ayaz

Ek sokha sa shajar yaad aaya
.
Aaj bhula hua ghar yaad aaya
.
Manzilen jab na muyasar aayen
.
Khush gumani ka safar yaad aaya
.
Ghar banane ki thakan yaad aayi
.
Aur phir raqs-e-sharar yaad aaya
.
Us ke hathon men kharashen dekhen
.
Tab hamen apna bhi sar yaad aaya
.
Geet gaate hue logo tum ko
.
Kya koi chaak jigar yaad aaya

Farhat Shehzad

Ek bas tu hi nahin mujh se Khafa ho baitha
.
Main ne jo sang tarasha vo Khuda ho baitha
.
Uth ke manzil hi agar aye to shaayad kuch ho
.
Shauq-e-manzil men mera abalapa ho baitha
.
Masalahat chin gai quwat-e-guftar magar
.
Kuch na kahana hi mera meri sada ho baitha
.
Shukriya ae mere qaatil ae masiha mere
.
Zahar jo tu ne diya tha vo dava ho baitha
.
Jaane Shehzaad ko minjumla-e-ada pa kar
.
Huk vo uthi ke ji tan se juda ho baitha

Kunwar Narayan

Ek saaf-suthare chau'kaur kagaz ki tarah
.
Utha kar zindagi ko pyar se sochta hoon
.
Is par kuch likhun phir use koi mor de kar
.
Kai tahon mein baant kar ek naav banata hoon
.
Aur behtay paani par chup chaap chor kar
.
Us sey alag ho jaata hoon bahaav main
.
Wah kagaz nahin ek bache ki khushi hai

Adeem Hashmi

Dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
.
Itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin
.
Dabati jati hain miti main badan ki kashtiyan
.
Dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin
.
Jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
.
Per par phal bhi nahin angan main pathar bhi nahin
.
Khushk tahani par parinda hai ki pata hai Adeem
.
Ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin
.
Jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain Adeem
.
Itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin

Ahmad Faraz

Dlat-e-Dard Ko Duniya Se Chupa Kar Rakhna
.
Aankh Me Boond Na Ho Dil Me Samandar Rakhna
.
Kal Gaye Guzre Zamano Ka Khayal Aye Ga
.
Aaj Itna Bhi Na Raaton Ko Munawar Rakhna
.
Apni Aashifta Mizaji Pe Hansi Aati Hai
.
Dushmani Sang Se Or Kaanch Ka Pekar Rakhna
.
Zikr Us ka He Sahi Bazm Me Bethe Ho Faraz
.
Dard Kesa He Uthe Hath Na Dil Par Rakhna

Book Chand Or Mein

Gabesh Buhari Tarz

Beniyaz-e-sahar ho gai sham-e-Gam moatabar ho gai
.
Ik nazar kya idhar ho gai ajanabi har nazar ho gai
.
Zindagi kya hai aur maut kya shab hui aur sahar ho gai
.
Un ki aaNkhon men ashk a gaye dastan muKhtasar ho gai
.
Chaar tinake hi rakh paye the bijaliyon ko Khabar ho gai
.
Chir gai kis ki daman ki baat
Khud'ba'Khud aaNkh tar ho gai
.
Un ki mahafil se uTh kar chale
raushani ham'safar ho gai
.
Tarz jab se chuTa karavaN zist gard-e-safar ho gai

Aamir Jamil

Bhari dunya mein hum jaisey diwaney kam hi miltey hein
.
Bouhat miltey hein hum jaisey giraney kam hi miltey hein
.
Dobara daikhna tum us jaga haseen vadi mein
.
Wahan aabad gulshan mein weeraney kam hi miltey hein
.
Jaga dondo na tum apney ghamoon mein khud hi kho jao
.
Yahan sagher mein peeney key maiKhaney kam hi miltey hein
.
Bouhat hi taggo do kertey hein hum lakin zara sun lo
.
Humein ulfat sey milney k bahaney kam hi miltey hein
.
Kiri kitaab ki her ghazal mein mahboob shamil ho
.
Yahan aisi muhabat k taraney kam hi miltey hein
.
Bouhat arsey sey hum ney sub sey rishta toor dala tha
.
Bouhat apney hoon miltey hein baiganey kam hi miltey hein

Bida Fazli

Badala na apane ap ko jo the vahi rahe
.
Milate rahe sabhi se magar ajanabi rahe
.
Duniya na jit pao to haro na Khud ko tum
.
Thori bahut to zahan men narazagi rahe
.
Aapani tarah sabhi ko kisi ki talaash thi
.
Ham jis ke bhi qarib rahe dur hi rahe
.
Guzaro jo baag se to duaa mangate chalo
.
Jis men khile hain phul vo Daali hari rahe

Jigar Mordabadi

Barabar Se Bach kar Guzar Jaane Wale
.
Ye Naale Nahin Beasar Jaane Wale
.
Mohabbat Main Ham To Jiye Hain Jiyen ge
.
Wo Hon ge Koi Aur Mar Jaane Wale
.
Mere Dil Ki Be'tabiyaan Bhi Liye Ja
.
Dabe Paaon Munh Pher Ke Jaane Wale
.
Nahin Jaante Kuch Ki Jaana Kahaan Hai
.
Chale Ja Rahe Hain Magar Jaane Wale
.
Tere Ik Ishaare Pe Saakit Khare Hain
.
Nahin Kah Ke Sab Se Guzar Jaane Wale

Sunday, 28 September 2014

Moona Sehar

Agr hum rasam to hum bhi gila nahi kartay
.
Hassain log kisi sy wafa nahi kartay
.
0o janay walay Inhay bhi samait kar lay jay
.
Bikhar k phool dubara khila nahi kartay
.
Meray tabeeb howay muj sy kis qadar mayoos
.
Dua to kartay hain lekin dawa nahi kartay
.
Yeh muj sy kahtay hain mahfil mai jal k parwanay
.
Jo ishaq kartay hain wo jiya nahi kartay

Noshi Gilani

Band kitabon mein urti hoi titliyaan daal den
.
Kis ne rasmon ki jalti hoi aag mein larkiyan daal den
.
Khouf kese hai yeh naam us ka zer-e-lab bhi nahin
.
Jis ne hath0n mein mery kanch ki ch0riyan daal den
.
Hont piyasy rahay hoslay thak gaye umar sehra hoi
.
Hum ne pani ke dhokay mein phir rait par kashtiyan daal den
.
Mausam hijar ki kesi saat hai yeh dil bhi heeran hai
.
Mery kan0n mein kis ne teri yaad ki baliyan daal den

Waqar Husain

Dukh ne kitne zehr bahray hain jewan k afsany mai
.
Ab k musam fark nahi hai gulshan aur werane mai
.
Jewan jis bin suna suna pana us ka mushkil hai
.
Kis manzel pe a puhanchay hain hum pagal anjane mai
.
Pehka pani pena to hum rindon ne sikha he nahi
.
Kuch to apna bhi raas gholo chal'kay howe pemane mai
.
Rukhsat hote waqt meri jaan ab thora sa hans do tum
.
Khushiy0n ka kuch rang to ho ga dard bharay afsane mai
.
Dil ka saaz bajao to tum parem nagar mai ao to
.
Koi lutf ajeb sa hai yeh nagmey pyar k gane mai

Rukhshanda Naveed

Ao husan yaar ki baataien karey
.
Zulf ki rukhsar ki baataien karey
.
Zulf gabr baar k qise sunaien
.
Tarh tarar ki baataien karey
.
Phol barsey bastey aysh par
.
Roz wesle yar ki baataien karey
.
Naqdo' jan le kar chaley us bazm mai
.
Misar k bazar ki baataien karey
.
Un k koche mai jo guzari hai kahe
.
Zulf siyah dar ki baataien keran

Ara dehrkha rukhshand' ochanba to nahi
.
Shakh par panchi bhi un ko phar'pharay dekh kar

Basher Badr

Subah hoti hai chupa lo ham ko
.
Raat bhar chahne walo ham ko
.
Ham haqeeqat hain nazar aate hain
.
Dastanon mein chupal lo ham ko
.
Dil na paa jaye kahin shab ka raaz
.
Subh se pahle utha lo ham ko
.
Ham zamane key sataaye hain bahut
.
Apne seene se laga lo ham ko
.
Waqt key hont hamein chu len ge
.
Ankahe bol hain ga lo ham ko
.
Kal kharedaron key pahre hon ge
.
Aaj ki raat chura lo ham ko

Basher Badr

Nikal aaye idhar janaab kahan
.
Raat key waqt aftaab kahan
.
Meri aankhen kisi key ansu hein
.
Warna in patharon mein aab kahan
.
Sab khile he in kisi key ariz par
.
Is baras baagh mein gulab kahan
.
Mere honton pe teri khushboo hai
.
Choo sake gi inhen sharaab kahan

Shahzad Qais

Shair parhte ho abhe tanha, shair likho gay tum kabhe tanha
.
Khalq hijar manzel0n ka, shurkh ho gay hum safar sabhe tanha
.
Aik shama bujhe or aise bujhe, bazm ki bazm ho gai tanha
.
Saay bardasht se bulan howe, na kare aik paal ko bhe tanha
.
Zaat k hawiye mein garm rahay, baraf ehsas par jami tanha
.
Aye farishton falak se ho aao, mujh ko rahne do 2 ghari tanha
.
Don0n mil jull kar ku nahe rahte, maarg tanha hai zindagi tanha
.
Ap k shahr mein koi na koi, karne wala hai khud'kushi tanha
.
Sath duniya k chal sake na qais, kar gai hum ko sadgi tanha

Basher Badr

Sun le jo khuda ne wo dua tum to nahe ho
.
Darwaze pe dastak ke sada tum to nahe ho
.
Samaite howe sharmae howe raat ke rani
.
Soye howe qaliy0n ke haya tum to nahe ho
.
Mehsos kiya tum ko to gele howe palke
.
Bhegay howe musam ki ada tum to nahe ho
.
In ajnabi rahon mein nahe koi bhe mera
.
Kis ne mujhe yuh apna kaha tum to nahe ho

Book Aahat