Saturday, 18 July 2015
Monday, 29 June 2015
Shahzad Qais
Dil Roh Tak Udas Hai Aur Chand Rat Hai.
Ek bad Tareen Yaas Hai AurChaand Raat hai.
Woh Aakhri Train Mein Betha Howa Ho Ga.
Par Ye To Sab Qayaas Hai AurChaand Raat Hai.
Baadal Ne Tishnagi Ko is Qadaar Barrha Dia.
Upar Se Man Ki Pyaas Hai AurChaand Raat Hai.
Dil Ka Sukon, Jigar Ka Sukon, Zehen Ka Sukon.
Sab kuch To Us K Paas Hai AurChaand Raat Hai.
Thandi Hawa Ka Pehera Hai Yaadon K Shehr Mein.
Har Zakham Be Lebaas Hai AurChaand Raat Hai.
Firaaq Yakja Ho Gaye Shab-E-Khoon K Liye.
Gham Dil K Aas Paas Hai AurChaand Raat Hai.
Hasrat, Junoon, Udasi, Parishani, Siskiyaan.
Dono Ki Yaksaan Aas Hai AurChaand Raat Hai.
Kuch Laila Ko Junon Hai Taqseem Zakham Ka.
Kuch Qais Gham Shanaas Hai AurChaand raat Hai
Book Eid
Wednesday, 24 June 2015
Lash Pata Ni Kis Mazloom Ke The
Us k andaaz chaal chalan bohat haseen thay
Wo tu wo us k tavar bohat haseen thay
Main chahta tha usay dil-o-jaan se
Us ka ikhlaaq-e-guftgo bol bohat haseen thay
Koi majbori ho gi jo raste mein hi ch0r gaya
Waqat-e-haazir us k waaday bohat haseen thay
Pari thi laash raste mein kisi mazloom ki
Magar qaatil k paon k nishaan bohat haseen thay
Poet Hafiz Khurram
Baithe hai pehlo mein raat bhar
Chalo sab diye bujha kar dekhtey hain
Dukh0n se bhara baitha tha or
Wo bhi mushkura kar dekhtey hain
Aa jaye kuch taras janib ko
Aashk sab aj baha kar dekhtey hain
Koi bhi samjhta nahi tha baat ko
Un ko he chalo samjha kar dekhtey hain
Hum ne kuch khush'khat likhwa behja
Ab un ka arz-e-jawab dekhtey hain
Aa jaye ga eid k rooz Khurram
Hum bhi sab giley bhula kar dekhtey hain
Saturday, 23 May 2015
Bashir Badr
Koi lashkar hai ke barhte huye gham aate hein
Sham ke saye bahut tez qadam aate hein
Dil wo darwesh hai jo aankh uthata hi nahin
Is ke dawaze pe so ahle karam aate hein
Mujh se kya baat likhani hai ke ab mere liye
Kabhi sone kabhi chandi key qalam aate hein
Main ne do char kitabein to parhi he in lekin
Shehr key taur tariqe mujhe kam aate hein
Khubsorat sa koi hadsa aankon mein liye
Ghar ki dehleez pe darte huye ham aate hein
Rukhshand Naveed
Ao husan yaar ki baataien karey
Zulf ki rukhsar ki baataien karey
Zulf gabr baar k qise sunaien
Tarh tarar ki baataien karey
Phol barsey bastey aysh par
Roz wesle yar ki baataien karey
Naqdo' jan le kar chaley us bazm mai
Misar k bazar ki baataien karey
Un k koche mai jo guzari hai kahe
Zulf siyah dar ki baataien keran
.
Ara dehrkha rukhshand' ochanba to nahi
Shakh par panchi bhi un ko phar'pharay dekh kar
Shamin Rawish
Is se phley k chairag0n ko wo bujhta dekhay
Us se kehna k wo aye mera chehra dekhay
Us se kehna mery chehrey se yeh aankhen le jaye
Us se kehna k kahan tak koi rasta dekhay
Main ne dekha hai sumandr mein utarta suraj
Us se kehna k masheyat ka ishara dekhay
Us se kehna yeh manadi bhe kara di jaye
Koi is ihaad mein khuwaab na sacha dekhay
Aik mudaat se in aankh0n mein koi khuwaab nahi
Us se kehna wo koi khuwab na aisa dekhay
Us se kehna kabhi wo bhe to sar-e-shaam rawish
Meri palk0n pe sitaar0n ko utar'ta dekhay
Book Palk0n K Darmiyaan
Samina Siddiqui
Yaad sine se laga kar main chale aai h0n
Tery dukh dard nibaha kar main chale aai hon
Tu ne jis raah pe la kar chora tha kabhi
Laash khud apni utha kar main chale aai h0n
So0 gaya tha tu shab-e-wisl mery pass waha
Subh-e-daam tujh ko jaga kar main chale aai hon
Par gaya waqat jo mushkil to pukara to ne
Teri taqdeer bana kar main chale aai h0n
Dekh kar ghair0n k andaz teri mehfil mein
Dard ko dil mein chupa kar main chale aai hon
Wasif Ali Wasif
Phir nigah0n ko piyaas hai aajaa
Phir mera jee udaas hai aajaa
Tu haqeeqat hai yah fasana hai
Weham hai yah qiyaas hai aajaa
Sun raha h0n main aahtein teri
Tu kahein aas paas hai aajaa
Main chalo gum sahi fasan0n mein
Tu haqeeqat shanaas hai aajaa
Koi daaveey nahe talauq ka
Raham ke ilteemas hai aajaa.
Aab he'jaabaat ke zarorat kya
Tarighe ka libaas hai aajaa
Kab se hai muntazir tera wasif
Kab se milne ke aas hai aajaa
Afzaal Awan
Kuch haal aisa hijar mein howe
Jo din dhale to yeh aankh rowe
Aazab-e-jaan hum pe dekh kaisa
Na deed howe na aankh sowe
Zaban jale haal-e-dil ko kehte
Tabhi to chup mein wo sab prowe
Lab0n pe bas aik dua ruki hai
Bojh hijran na koi dhowe
Ishq jis bhi dagar se guzre
Wohi pe dardon ke jhaar bowe
Afzal Awan
Bas aik baar mujhey is darr tak le chalo
Phir chahaye akhri ghar tak le chalo
Nend ne jis aankh ko thukra diya
Deed ko is chasm-e-taar tak le chalo
Jis se banjar bhe khafa rahne lagay
Mujh ko is sokhe shajar tak le chalo
Soz-e-firak-e-yaar mein ruk na jaye sans
Intazar-e-yaar ko yaar-e-nagar tak le chalo
Furkat-e-afzaal mein aik aankh roii raat din
Aab to is afzaal ko is k shahr tak le chalo
Afzaal Awan
Dard dilan de kam kaar janda
Koii taan aa kam kaar janda
Hanjoan har porondiyan akhiyan
Na koii marhum kar janda
Dukh sare dil vich la tury0n
Kuj sanjhe tan gham kar janda
Bin tere sawaan daa musam
Ghar sade mataam kar janda
Tal jandi aa hijar balaa jo
Aa ke afzal je dam kaar janda
Fehmi Budauni
Tery h0nton se jo bhi baat nikle
Ilaaj-e-gardish haalaat nikle
Zara yunhe jo aankh0n se lagaya
Tery rumaal se barsaat nikle
Kahani ko bohat ch0ta kiya to
Teri bole hoi aik baat nikle
Guzishta shab hamarey shehr-e-dil mein
Bana dulhaa k aik baraat nikle
Najma Shaheen
Daamii hai ishq aur aik daami awaaz hai
Mery kan0n mein aab tak bas wohi awaaz hai
Sath mery raat bhar jo jagti awaaz hai
Kon jaane yeh to meri rooh ke awaaz hai
Hijar k lamh0n mein aab tak ye khabar kab ho saki
Jagti h0n main yah koi jagti awaaz hai
Hijar jaise visal mein us ko suna to yun laga
Mout jaise zindagi mein zindagi awaaz hai
Ajnabi se manzil0n ke ajnabi se raah
Aik mukamal khuwaab aur aik khuwaab se awaaz hai
Aane wale dor mein shaheen rehna hai mujhe
Sab kahen gay yeh wohi aik dukh bhari awaaz hai
Adil Hayat
Dewaar-o-dar kaha,, kaha sayebaan hai
Bas itna hai,, sar0n pe aasmaan hai
Kal tak aana ke gonj the,, jis k dimagh mein
Is ka bhe aaj haq mein tery he biyaan hai
Kasi talash thd k main khud se bichar gaya
Koi pata thekana hai,, koi nishaan hai
Tanhaiy0n se guftagoo karta h0n raat din
Tanhaiy0n mein par gai jisay k jaan hai
Adil waha bhe log hai khof-o-haras mein
Likha magar hai khat mein k aman-o-amaan hai
Book Khyal-e-Darya
Aqeel Malik
Aik dojay se ashna hona,, kya tamasha hai qafla h0na
Aaina kaise tot phot gaya,, tum batao na tum khuda h0na
Jaise title k parr khelay howe phol
Jaise mujh par tera fidaa hona
Kaise chehre dekhai daite hain
Kitna mushkil hai,, aaiina h0na
Manzile samane h0n jab to aqeel
Kya zarori hai naqs-e-paa h0na
Bo0k Zar-e-Khuwaab
Bilal Sheikh
Kabhi tujh ko khayl0n mein mile gay
Kai ujre sawal0n mein mile gay
Agar tum dhondhna chah0 naya pan
To dimpal us k gallon mein mile gay
Tumhare he liye gajrey banaye
Wohi en naram bal0n mein mile gay
Bichar jaye sabhi apna bana kar
Jafa k rang chal0n mein mile gay
Andhare ko mitaya hai hame ne
Hamen se sab ujhal0n mein mile gay
Khazan ke rut mein khushbo yunhe bikhre
Mehakte phol shal0n mein mile gay
Tery jaise kai ashiq bilal aab
Mile gay bas ghazal0n mein mile gay
Azeez Belgaumi
Muhub hamen koi aise mile,, khuda na kare
K dil pe chot to khaye,, magar gila na kare
Koi yeh kaam kabhi,, bhol kar kiya na kare
Tumhara naam zubaan par,, koi liya na kare
Zamane ke yeh rawaish hai,, hamare sath he kyun
Hamare sath jafa he kare,, wafa na kare
Yahe dua hai duaon ka,, ma'daa hai yahe
K bad'dua ko kabhe,, hath yeh utha na kare
To meri ruh ke gehraiy0n mein,, zindha hai
Tery bighair meri sans,, bhe chala na kare
Azeez ap ke gum'namiy0n ka char'cha hai
Hai ab yeh hall,, koi yaad bhe kiya na kare
Book Dil K Daman Par
Dawood Usloobi
Waqt ki gard se ata chehra,, zindagi ka laga naya chehra
Bo0rha bargadh sa mujh ko lagta hai,, zindagi ka thaka thaka chehra
Un k chehre mein deikh li so0rat,, un ka chehra hai aaina chehra
Inqlabaat ke alamat hai,, hai jo so0li pe jho0lta chehra
Misl-e-khursheed jagmagata hai,, wo ufaqh pe kabhi uga chehra
Rape murder fasad hangame,, zindagi ka ghinaona chehra
Hum ko dawo0d de raha hai sada,, hai khala mein ubharta dobta chehra
Sadia Safdar Sadi
Lamha lamha s0chne wale aankhen thien
Us ke aankhen dekhne wale aankhen thien
Mujh ko khud se dor na jane daite the
Mera rasta rokne wale aankhen thien
Us ko bholon bhe to kaise bholo main
Hanste hanste rone wale aankhen thien
Idhar udhar kab dekhne daite the mujh ko
Mujh ko har pall tokne wale aankhen thien
Kai din0n se en ko dhondh rahe h0n main
Wo jo mujh ko dhondhne wale aankhen thien
Apne aap mein aik pehale the sadi
Aur pehale bojhne wale aankhen thien
Riffat Seraj
Mene socha tha aj aap ayen ge to ro doon gi
Aap puchain ge to sab haal keh doon gi
Keh doon gi ke kitne din huye soyi nahin
Woh kon si bhool hai jo huwi nahin
Kitaab fridge mein Glass shelf mein rakha
Peer ka din tha jumeraat likha
Saheli se shikwa karna tha usey spaas likha
Tv per geet tha Azaan nahin
Mene chonk kar aanchal sar per rakha
Kya haal kar diya mera mujhe kisi kaam ka na rakha
Aur jab aap ne aakar poocha,
Kya haal hai
To mein itna hi keh saki Theek Hoon
Gulzar
Aankho ko viza nahi lagta,, sapno ke sarhad hoti nahi
Band aankhon se roz main,, sarhad paar chala jata hon
Milne mehndi hassan se,, sunta hon un ke aawaz ko chot lagi hai
Aur ghazal kham0sh sam'ne baithe hai
Kanp rahe hain hont ghazal k phir bhe un aankhon ka
Lehja badla nahi jab kahte hain
Sokh gaye hain phol kitabon mein yaar-e-faraz bhi
Bichar gaye hain shayad mile wo khuwabon mein
Band aankh0 se aksar sarhad par chala jata h0n main
Aankhon ko viza nahi lagta sapnon ke sarhad nahi hoti
Nasir Mahmod Khalid
Is say agay ki jo kahani hai,, wo tumhain bhi nahi sunani hai
Phir wohi cheez bhol baitha h0n,, jo bohat mery kaam aani hai
Khaak hun khaak k taqub main,, main ne ik umr khaak chaani hai
Dil ki zid hai k daam mein aaun,, yun to yeh chal bhi purani hai
Bhegte khuwab ghul gaey hun ge,, aaj aankh0n main sirf pani hai
Aandhiyan raat ki muheeb sahi,, aik lau hai jo phar'pharani hai
Dil kaha meri baat sunta hai,, main ne kab dil ki baat mani hai
Sach kahun dil kahe nahi lagta,, ik musalsal si be'dhiyani hai
Is samandr se dor ik dunya,, meri hamrah do0b jani hai
Wo jagah raas hi nai aai,, jis jagah zindagi bitani hai
Main zameen zaad hun zameen walo,, sirf lehja hi aasmani ha
Meri sadmat main tasalsul hai,, mery ashaar main rawani hai
Naseer Ud Din Naseer
Choriye nafrat ke baaten pyaar hona chahiye
Ho chuka inkar ab iqraar hona chahiye
Ab rukh se kyun hata daite nahi ab ye niqaab
Sabar ab h0ta nahi dee'daar hona chahiye
Khuwab mein aksar meri bah0n mein so jate hain wo
Aur haqeeqat mein bhi itna pyar hona chahiye
Mujh ko hai sachi muhabbat jaan tum yeh jaan lo
Yun mera bhe ba'wafa dil'daar h0na chahiye
Ishq mein qurbaniy0n k silsilay hain be'hisab
Dar se nikle to koy-e-yaar h0na chahiye
Roz milne ate hain wo chup k dunya se naseer
Lakh pardon mein siyah izhaar h0na chahiye
Hassan Abbas Raza
Wadi-e-jaan mein utar dil mein sama,, bismillah
Yeh tera ghar hai bare shouq se aa,, bismillah
Shehr ka shehr tujhe dekhne aa jaye ga
Har taraf se yahe aaye gi sada,, bismillah
Aan gint ishq kiya main ne magr sach yeh hai
Tujh ko dekha to mery dil ne kaha,, bismillah
Ayen mumkin hai tera pyar amar ho jaye
Bass yahe s0ch k tu hath bhara,, bismillah
Itni dori se kahan piyas bujhe gi theri
Mery paas aa mujhe honton se laga,, bismillah
Isi umeed pe baitha hon main dehleez k pas
Tu kisi roz bolaye gi k aa,, bismillah
Neend mein chalte howe jab tery ghar aao ga
Tu ne bas itna he kehna hai raza,, bismillah
Hassan Abbas Raza
Chairagh-e-jaan bohat bharke ga bujhne se zara pehle
So tum bhe lout jana mery kamre se zara pehle
Kahe aisa na ho tum chand ke nazr0n mein aa jao
Nikalna shaam k pehle sitare se zara pehle
Phir us k baad to ik moj mujh ko le gai warna
Ajab tha khof darya mein utarne se zara pehle
Takaf bar'taraf jab piyas chamke to chale aana
Main darwaza khula rakh0n ga pine se zara pehle
Kabhi milna jo chahon to pata asaan hai mera
Bohat chota sa ghar hai tery bungley se zara pehle
Main tujh tak neend mein chalte howe aajao ga lekin
Mujhe waqif to ho jane do raste se zara pehle
Kahe aisa na ho us bheer mein tum phir bhatak jaao
So khud ko sonp dena mujh ko melay se zara pehle
Hasan main is liye ghoma h0n shab bhar biye ahrie par
K wo taali baja daite the girne se zara pehle
Sagar Siddiqui
Aik wada hai kisi ka jo wafa hota nahi
Warna in taarun bhari raaton mein kia hota nahi
Ji mein ata hai ulat dein un k chehrey se naqaab
Hosla kartey hain lakin hosla hota nahi
Shama jis ki abro pe jaan de de jhoom kar
Woh patanga jal to jata hai Fana hota nahi
Ab to muddat se rah-o-rasm-e- nazara band hai
Ab to unka toor par b samna hota nahi
Har shanawar ko nahi milta talatum se kharaaj
Har safeeney ka muhafiz Nakhuda hota nahi
Har bhikaari pa nahi sakta muqaam-e-khawajgi
Har kis-o-nakis ko Tera Ghum ata hota nahi
Haye yeh begaangi apni nahi muj ko khabar
Haye yeh alam k Tu dil se juda hota nahi
Baar ha dekha hai Sagar rahguzaar e Ishq mein
Karwaan k saath aksar rehnuma hota nahi
M.Ayub Sabir
Aik surat banata raha koza gaar
Hashar kya kya utha'ta raha koza gaar
Us ke takhleq jab tukre tukre hoi
Apne anso bahata raha koza gaar
Surkh rang us k hath0n se utraa nahi
Yun laho0 mein nahata raha koza gaar
Is k andar kayi saal ke piyaas the
Aab khuray banata raha koza gaar
Us k fun ko to logo ne tukhra diya
Apni qeemat lagata raha koza gaar
Shah k samne jab wo laya gaya
Hath apne chupata raha koza gaar
Roz-e-shab guzre sabir yuhe chaak par
Apna jado0 jagata raha koza gaar
Qamat Choudhary
Kuch is tarha se umar guzari azaab mein
Janat bhe kam lagi hai mujhe aab sowaab mein
Is roz mujh ko nend na aye gi raat bhar
Jis roz mujh se milne wo aye ga khuwab mein
Aik ghont bhe galey se utara na ja saka
Us ne mila k di mujhe wehshat sharaab mein
Honton pe aik sawal utha kar main aa gaya
Us ne sawal-e-daagh diya jab jawaab mein
Aik aashk teri aankh ka tareikh ban gaya
Aur mera gham na aaya kisi bhe hisaab mein
Ayaz Ahmad Talib
Hazaar khashe the dil ki zamin pe baithe rahe
Tafakurat rukh-e-nazneen pe baithe rahe
Wo ittefaq ka izhaar mujh se karta raha
Magar gile kai us ki jabeen pe baithe rahe
Mere khayal0n ka markaz raha wo na mehram
Kahin ke the ye kabo0tar kahin pe baithe rahe
Bulandiy0n ki hawas aandhiy0n ki zad par thi
Magar jo khaak nashin the zameen pe baithe rahe
Hamari saada mizaji to dekhiye talib
Jahan bithaya tha us ne wahin pe baithe rahe
Ibrahim Ashk
Muddat0n main ye baat jaani hai
Zindagi dard ki kahani hai
Hun zameen se juda huwa lekin
Fikr jo bhi hai aasmani hai
Koi daiya hai mere pahlu main
Mauj jaisi meri rawani hai
Dekh leta hun apne maazi ko
Ghar main tasveer ik purani hai
Yun to sab ki misaal milti hai
Zakhm-e-dil ka na koi saani hai
Us ke dhun main hamesha rahte hain
Apne dil main jo baat thani hai
Sare mausam hain bewafa lekin
Ik muhabbat ki rut suhani hai
Maut kahti hai jis ko ye duniya
Wo bala koi nsgahani hai
Wo asar hai hamari ghazl0n main
Sun k pathar bhi paani paani hai
Shoaib Altaf
Khudara kuch kiya jaye ab un magro0r aankh0n ka
Howa hai chaar so0 qissa bohat mash0or aankh0n ka
In aankh0n se talauq is qadar ihsas ka niklaa
K har dukh sukh mein nam hona bana dasto0r aankh0n ka
Sabhi likhte rahe arz gulaabi naazeen0n k
Kisi ne aaj tak s0cha nahi mazdo0r aankhon ka
Tukaf bar'tarf aana pare khud use chal kar
Jise shoq-e-nizaara hai meri majbo0r aankhon ka
Yeh us ka hukam tha suraj tumhen to dobna he tha
Use ihsaas tha meri thakan se chor aankh0n ka
Book Meri Tanhaiy0n Ke Baat Na Kar
Khalid Sajjad Ahmed
Jab bhe kabhe jaanat ko tasawur mein baasaya
Aae maa meri khud ko tery qadm0n mein he paaya
Dunya k kisi perh ke chaon mein nahi hai
Jo mujh ko ataa karta hai thandak tera saaya
Is raab ka sukar bhala kyun na kar0n main
Jis ne teri surat mein he jaanat ko dikhaya
Dharti pe main ab is liye per0n pe khara h0n
Main chalte howe jab bhe gira to ne uthaya
Yun he to nahi guzra yeh jhonka mujhe cho0 kar
Khalid mujhe lagta hai meri maa ne bulayaa
Qamar Choudhary
Tera sadqa utarne k baad
Maar gaya shab guzarne k baad
Kon kham0sh ho gaya phir se
Naam mera pukarne k baad
Kitna roya wo jeet kar mujh se
Hans para jab main haarne k baad
Teri tasveer ko jaala daala
Tujh ko dil mein utaarne k baad
Wisal ka zehar jaan le ga qamar
Hijjar ka sanp maarne k baad
Khurram
Bari mushkil se nichey baith'tay hain
Jo teray sath uth'tay baith'tay hain
Akyle baithna ho ga kisi ko
Agr ham tum akhtay baith'tay hain
Ab uthna para na agle saaf se
Kaha bhe tha pichay baith'tay hain
Yahe pe silsila muwaqif kar do
Zayda tujarbe le baith'tay hain
Sark jate hai rait kinare se
Juhe khemaa laga k baith'tay hain
Nigaahen kyun na theh'ray us par khurram
Shajar par he parinde baith'tay hain
Khurram
Nataaij jab sar-e-mehshar miley gaey
Muhabbat k alag number miley gaey
Koi chaalak pani pee gaya hai
Gharey mein ab fakht kankar miley gaey
Yeh deware kisi ke muntazir hain
Yaha har simt kalander miley gaey
Hawa ke peervee karne pare gi
Yunhe thori shajar jhuk kar miley gaey
Tumhari meezbaani k bahane
Koi din ham bhe apne ghar miley gaey
Khurram
Hamare baat se naraz chahe tu ho jaye
Mamlaat pe ab khul k guftagoo ho jaye
Zayda aaiine kamre mein is garz se hain
Ham to chairagh jalaye to chaar so0 ho jaye
Kaha gine ga hamein koi ahl-e-hijar agar
Zara sa wisaal bartne se dil rafo0 ho jaye
Kisi ne pochne aana nahe sabab khurram
Yeh dasht hai yaha jitne bhe haa'ho0 ho jaye
Khurram
Jo zara thek se kardaar nigare ho jaye
Yeh kahani to haqeeqat pe bhe taari ho jaye
Tery haamii hain so uth kar bhe nahe jaa sakte
Jane kis waqat yahan raii shumari ho jaye
Is ko is waste dil se na nikala k kahen
Khale rakhne se makaan aur na bharii ho jaye
Acha ho ga agar is malbeey ke partaal se qabil
Aik fahrist dar-o-baam ke jaari ho jaye
Khuwab ko ham ne pohanch mein he rakha hai khurram
Ayen mumkin hai kabhe neend se yaarii ho jaye
Tariq Naeem
Main kayenaat se pehle jahan jahan gaya tha
Tera khayaal mery sath wahan gaya tha
Mah-o-najom ko dekhon to yaad parta hai
Yahe kahein se kabhi mera karwaan gaya tha
Urran rok k yak'dam mujhe guzarna para
Puro0n k zor se warna yeh aasman gaya tha
Tum aye the to mujh ko mil k he chale jate
Yahein zameen pe tha aur main kaha gaya tha
Palat k dekh na leta agr wo jate howe
To mera jaan se jaana bhe raiyegaan gaya tha
Ise zamana howa hadaf bane howe
Zara main aankh jhapakta to wo nishaan gaya tha
Kisi mein taab nahi the kalaam karne ke
Main aik baar sitaron k darmiyaan gaya tha
Uri hoi the hawa se makalmey ke khabar
Diya kuch aur na jalta to bad'baan gaya tha
Bo0k Diye Main Jalte Raat
Rashid Malik
Main cigret ko hatheli par ulat kar khali karta h0n
Phir us mein dal k main teri yaadien khub malta hon
Zara sa ghum malta hon hatheli ko ghomata hon
Basa kar tujhe sanso mein main phir cigret banata hon
Laga kar apne honto se muhabbat se jalata hon
Tujhe sulgah k cigret mein main tery kash lagata hon
Dhuwa jab mery honto se nikal kar raqs karata hon
Mery charo taraf kamare mein tera aks banta hai
Main is se baat karta hon wo mujh se baat karta hai
Yeh lamha baat karne ka bara anm0l hota hai
Teri yaaden teri baaten bara mahol h0ta hai
Yeh cigret jaise jaise rahkh mein tabdel h0ta hai
To wesy wesy mery jism mein takhleel h0ta hai
Nasha kab hai yeh cigret to meri jaan ik bahana hai
Teri mehfil men ane ka mata-e-dil jalane ka tujhe apna banane ka
Zubair Qaidar
Meri kahani mein kar'daar bhi us ka tha
Saha jo main ne wo azaar bhi us ka tha
Wo jis ko hone ka ihsaas bhe diya ham ne
Hamari zaat se inkaar bhi us ka tha
Wo aik waada bhe ham se wafa na kar paya
Magar yeh dil k wafa'daar bhi us ka tha
Bichar gaya hai to aab dhop bhi sata'te hai
Khul k saya-e-divar bhi us ka tha
Guzar gaye yunhe mehrom-e-mada ham log
Gali bhe us ke the bazaar bhi us ka tha
Khurram
Teri aankhon mein dabii be'rukhi
Teray pairon mein kuchle be'khudi
Tery aanchal se bandhi be'bassi
Teray gajray se giri murdaa kaalii
Kon hon main siyahe se bani tasveer
Andhery mein dobii taqdeer
Siyaah raaton mein likhi tafseer
Apne hathon ke murdaa lakeer
Kon hon main batao khurram k0n hon main
Khurram
Nashe mein behki chaal hai us ki
Mithe paniyon se bhi mithi awaz hai us ki
Lehjaye mein samaite hain rang muhabbaton k
Koyal ke kook se surile awaz hai us ki
Utar jati hai khank us ki hansi ke mery dil mein
Es qadar be'khudi mein dobi awaz hai us ki
Likhon ka qasida husan-e-taab nahe mujh mein
Hawa bhi ruk jati hai esi awaaz hai us ki
Phol jharte hai us k nazuk se honto se
Us ke adaon se bhi haseen awaz hai us ki
Hoor se hai pariyon ki rani hai wo
Dil mein saaz bajte hai aisi dil'fareb awaz hai us ki
Makhmule jism nashli aankhen shano pe bikhri zulfen
Behtay jehrno se bhe sundar awaz hai us ki
Pukarti hai jab wo mujhy kah k khurram
Sarapa geet ho jata hon aisi madhar awaz hai us ki
Abusarim Sarim
Rehbar bola ALLHA hafiz,, ab rehzan ka ALLHA hafiz
To bhi shatir mein bhi shatir,, tera mera ALLHA hafiz
Titli k par choom k us ne,, un par likha ALLHA hafiz
Jabir zalim mujrim qatil he,, un sab ka ALLHA hafiz
Mehnat karna kaam tha apna,, ab qismat ka ALLHA hafiz
Friday, 22 May 2015
Huma Khan
Dard to main ne ye bars0n se chupaya howa hai
Aasmaan sar pe magar tum ne uthaya howa hai
Dastaan ishq-0-muhabbat ke na charey koi
Jaag jaye ga koi gham jo sulaaya howa hai
Log kahte hain k aankh0n mein nazar ata hai
Main ne aik dard jo sine mein chupaya howa hai
Sath apne na zamane ko bahaa le jaye
Aankh mein meri jo selaab saa aya howa hai
Baad mudaat k wo aya hai yeh kahne mujh se
Teri ghazl0n ne huma mujh ko rulaaya howa hai
Hafiz Khurram
Ajeeb andaaz the us husan-e-jamal k
.
Ham bhi dil haar gay us mutyaar pe
.
Haar singhar kar k ghar se nikalta tha
.
Ham bhi saj dhaj k baithe hai bazar mein
.
Qatil nigaah lab par laali chal matwale
.
Kya kya kahne the sarkaar k
.
Muqadar naye he hamara sath na diya
.
Hasraat he rahe baithe gaye pheloo mein kabhi yaar k
.
Adaaye un ki ab bhe bohat khurram ham ko sata'te hai
.
Aik jaan hai wo bhi de dy gay kisi din waar k
Samina Siddiqui
Haqeeqten chali aaein gumaan ke janib
Ajab shor hai mery makaan ke janib
Zameen girte hoi pastiy0n mein lagti hai
Nazar kar0n main jo apni urran ke janib
Main phle teer se pehlay he ho gai chalne
Zara sa dehyaan gaya jab kamaan ke janib
Abhi main dard se vehshat se chup k baithe h0n
K ishq dekhy na mery machaan ke janib
Bichr k tujh se samina k roz-o-shab hain ajeeb
Gham0n k saye howe jism-o-jaan ke janib
Book Teri Awaz Atti Hai
Diya Gem
Mehfil se uth hamari wo jate hain maan se
Ham un ke is ada pe na kyun jaye jaan se
Sangat main is k lagte the ujle yeh chandni bhi
Aur chand k bhe nain chamakte the shaan se
Ab to yeh lag raha hai fizen udaas hain
Khusho0 k sare paal gaye dil k makaan se
Raah0n mein us ke chand sitare bichaye gay
Wadey kiye the ham ne bhe us be'imaan se
Roshan ho tum zameen pe diya es waqar se
Aaya ho jaise chand koi asman se
Jamshed Sadiq
Zindagi ik ajab kahani hai
Chand ka aks behta pani hai
Khud na aye to yaad atey hain
Achay logon ke yeh nishaani hai
Mout se kis liye daratey ho
Yeh to dhalti hoi jawani hai
Main h0n tum ho bahaar ka musaam
Yeh to tasveer he purani hai
Aur kya chahiye dewane ko
Waqat hai ishq hai jawani hai
Ghafer Shahzad
Pani shehr mein utra hai yah utaraa gaya hai
Apne hath se to is baar kinara gaya hai
Dara shikwa nahi ham or na bhutto the
Galiy0n bazar0n mein ham ko maara gaya hai
Darwashe the taak lagaye aik gali mein
Jitna asaasaa pas tha apne sara gaya hai
Yeh to bata bazar mein mujh ko bechne wale
Kis ka naam kharidar0n mein pukara gaya hai
Do shahon ka kheil ajab anjaam howa
Da'aoo mein jitne wale sipah ko hara gaya hai
Roi se halke the hawaon mein urte the
Soi k surakh se ham ko guzara gaya hai
Ghar ke chat chatri k jaise sar par the
Aik satown gira har ik sahara gaya hai
Sar ba'kafan nikle hain log gharon se ghafer
Jis dehleez talak is kho0n ka dhara gaya hai
Mubashir Saaeed
Jo mery sine se ho kar guzarne wale hain
Wo teer he to mery zakhm bharne wale hain
Wo shahzadi jahan phol chun'ney ati hai
Wahan pe aaj sitaare utarney wale hain
Jahan jahan pe muhabbat dhamal dalti hai
Wahan wahan se qalandar nikalne wale hain
Azan daita howa aa raha hai musam-e-ishq
So ham bhi apni safaaye thek karne wale hain
Hira Rana
Yeh dil hai yaa qalandar jagta hai
Jo har khuwaish sulaa kar jagta hai
Wo pehle aankh bhar kar dekhta hai
Phir us k baad manzar jagta hai
Ise ehsaas tak hota nahi yeh
Koi mery bara'baar jagta hai
Na'jane chand ko bhi dukh hai koi
Jo mery sath aksar jagta hai
Bhara daita hai meri wehshaten bhi
Wo jab bhi mery andar jagta hai
Mera har zakhm loo denay lage ga
Chairag0n mein wo shab bhar jagta hai
Hira main jab bhi us ko dekhti h0n
Muhabbat ka sumandar jagta hai
Ahmad Faraz
Kash tu b meri awaz kahin sunta ho
Phir pukara ha tujhe dil ki sada ne mere
Kash tu bhi kabhi ajaye maseehayi ko
Log ate hain bohat dil ko dukhane mere
Kash auron ki tarhan mein bhi kabhi keh sakta
Baat sun li ha meri aj khuda ne mere
Tu hai kis haal mein ae zor faramosh mere
Mujh ko to cheen lya ehd-e-wafa ne mere
Charagar yun to bohat hain magar ae jaan-e-Faraz
Juz tere aur koi zakhm na jane mere
Hassan Kazmi
Hasan Kazmi
Aankhon mein aa k koi dil mein sama gaya hai
Ghar mein chahel pahel hai mehmaan aa gaya hai
Bazar bagh raste itni haseen kahan the
Wo kaun tha jo sari basti saja gaya hai
Aab k baras chaman mein hain titliyan na bhawre
Sare gulaab le kar koi chala gaya hai
Dushwar hai hasan ab us k baghair jeena
Itna qareeb mere aik shakhs aa gaya hai
Hafiz Khurram
Andaz-e-wafa aisa zamane ka nahi tha
Wo badle ga yun hum ne socha nahi tha
Dukh us ke judai ka buhat hai lekin
Dil aaj bhe kehta hai wo jhota nahi tha
Meri dunya ka sabab kya hai khudaiya
Aankhon se insan ko dekha nahi tha
Aik ajnabi dunya ka musafir howa wo shaks
Jo mery beghair aik paal jeeta nahi tha
Hise mein aaya hai ghum-o-qurab zamana
Qismat mein hamari likha yahe tha
Hafiz Khurram
Mery zakhm0n pe hath mat rakhna
Aab mujhe apne sath mat rakhna
Bujh gai lo0 to kya mile ga tumhein
In chairaghon pe hath mat rakhna
Shaam hote he lout ana tum
Meri aankh0n mein raat mat rakhna
Ab koi dewaar uthaon to us mein
Koi bab-e-nijaat mat rakhna
Milne aaye jo wo to mil lena
Dil mein ab koi baat mat rakhna
Hafiz Khurram
Mujhe apne dil mein baasa lo jaana
Jo bhe chahye phir sazaa do jaana
Kaanch se bhe nazuk hai dil mera
Ise tot'ne se bacha lo jaana
Meri qismat mein bohat andhery hain
Rukh se zulfein haata lo jaana
Hazir hai yeh khon-e-jigar mera
Apne hathon pe mehndi laga lo jaana
Aaj gale se laga kar mujhe apne
Sab giley shikwe mita do jaana
Zakhm dil k khurram ko sone nahi daitey
Aa k zakham pe marham laga do jaana
Jo chaho phir sazaa do jaana
Mujhe apne dil mein basa lo jaana
Hafiz Khurram
Dard itne mile zamane se
Ashak ate hain mushkurane se
Mujh ko chupke se gham ne aa gehraa
Khuwaab aankhon mein the suhane se
Gham ka ihsaas but gaya yaaro
Dard ke dastaan suna'ne se
Pheel jati hai roshni har so0
Apne dil ka laho0 jalane se
Apne bhi jab paraye nikle to
Kya tawaqa kare zamaane se
Chian ata nahe kise bhe lamhey
Fikr-e-dunya mein sar khapane se
Arzo0 ke khaak urrti hai
Ab bhe khurram dil k aashyaane se
Bashir Shaad
Ab to aankh0n mein aanso he bharey rahte hain
Jin ko chaha wo itne he paray rahte hain
Kuch bhigar saki na khazan bhi jin ka
Zakham jo tum se mile wo haray rahte hain
Jis qadar haq-e-jafa tum ko hai hasil
Itna ham bhe raah-e-wafa mein kharay rahte hain
Mout aai bhe to kya fark pare ga
Ham to yaadon mein wesy bhe maaray rahte hain
Shaad rahna hai to gham de do hamein
Ham to har roz majmoo-e-gham banay rahte hain
Bo0k Punaam
Rehana Kanwal
Mout k samne khari hon main
Umar ke akhri ghari h0n main
Takht-e-aflak tak nahi pohanchi
Kaise aalam mein aa pari h0n main
Nachta hai wo rizaq sark0n par
Jis ke khatir bohat laarii h0n main
Khud ko taskheer kar liya main ne
Ab teri zaat mein gaa'rii h0n main
Saat-e-visal kuch to khayal kar
Tujh se to umar mein barii h0n main
Main to bargad ke thandi chah0n hon
Dho0p ke tarha kab karii h0n main
Abu Obaida Azmi
Wo ishq hon janat kare sajda mire aage
Ye qais ye farhaad hain bacha mire aage
Is dil ki tumhen pyaas ka andaza nahi hai
Ek qatre ki manind hai darya mire aage
Aa jati hai har r0z mire paaon ke neeche
Ye kaun hai rakh deta hai duniya mire aage
Main apne hi kirdaar ko ab maar raha h0n
Ab khtam hai har ishq ka qisa mire aage
Jis din se tujhe apne badan mein hai utaara
Har shakhs liye baitha hai kaasa mire aage
Ye chand hata lo ya basaarat hi bujha do
Aa jata hai ek husn-e-sarapa mire aage
Itna bhi nahi waqt ke dafna don obaida
Rakha hai mira apna janaza mire aage
Abu Obaida Azmi
Aankhon mein aanson ki rawani k ba'wajood
Pyasi rahi hai zeest ye pani k ba'wajo0d
Kuch naqsh aise hote hain rahte hain sath sath
Mitne nahi hain naql makani k ba'wajo0d
Jo bhi mujhe kholo0s se chahe khareed le
Qeemat meri barhi na geraani k ba'waj0od
Kya khaak ho naseeb unhen lutf-e-zindagi
Mahro0m-e-ishq hain jo jawaani k ba'wajo0d
Ye kya k chor aaye hain khud ko kahin pe hum
Wallha itni yaad dahaani k ba'waj0od
Parhte hain log aaj obaida ki dastaan
Farhaad-o-qais ji ki kahani k ba'wajo0d
Mannan Bijnori
Bujhaayi jaaye tahamul se aur darak se aag
Koi lagaye kaise ke agar hatak se aag
Banaaye jate hain machis ki teeliyaan jazbaat
Kahan ghar0n pe barasti hai yoon falak se aag
Guzarni chahiye do tarfa abshar0n se
Jalane bastiyan aate hai jis sarak se aag
Qaraar pyaas bujhane ka tha magar us ne
Lagayi shehr mein mashkez0n ke chalak se aag
Kise ne atishi roghan mila diya h0 ga
Bhara tha pani lage jin ghard0n mein bhak se aag
Hasan Safi Naqvi
Aana chahye to aae sahib,, jana chahaye to jaye sahib
Mery qasey mein sokhe tukre hain,, khana chahye to khaye sahib
Dehmey lehjay mein gair se baaten,, baat kya hai baataye sahib
Amaan ke fakhta urane se,, amaan aae to laye sahib
Un ko apna bana liya hai to phir,, ik fareeb aur khaye sahib
Mery daman ke fikarmat kijiye,, apna daman bachiye sahib
Dushmani ho chuki bohat ab to,, mujh ko apna banaye sahib
Ashraf Naqvi
Kuch adhore se khuwaab nachte hain
Mery ghar mein sehraab nachte hain
Ab to rang chaman hai aur he kuch
Title gaate gulaab nachte hain
Ye tera ishq hai k pagal pan
Ham jo khana'kharaab nachte hain
Mery chehre pe ghor se dekho
Ranjh aur iztaraab nachte hain
Raqs karte hai khaakh dharti par
Asmaan par sahaab nachte hain
Meri aankh0n mein ab to roz-o-shab
Raat'jaagon k azaab nachte hain
Moj masti ka m0d ho shayaad
Barish0n mein habaab nachte hain
Us ke aankh0n mein dobne wale
Misl-e-jaam-o-sharaab nachte hain
Mery shair0n ke taak par asharaf
Aab ahl-e-shabaab nachte hain
Friday, 8 May 2015
Saba Aziz
Jeet muhabbat haar muhabbat,, sarhad k us paar muhabbat
Dekho to yeh dard hamare,, ham ne ke har baar muhabbat
Hijar ke gahri kham0shi mein,, karti hai tak'rar muhabbat
Chupke se bass ho jati hai,, kaise hai fankaar muhabbat
Mery dil mein jog jaga kar,, kitni hai sar'shaar muhabbat
Kon saba se milne aaya,, kyun chunti hai khaar muhabbat
Washma Khan Washma
Washma Khan Washma
Aasmaan ke wadiy0n se aik sitara gir gaya
Meri nazron mein aa kar phir dobara gir gaya
Chalte chalte aa gaya tha soch k pindar mein
Sochti h0n phir achank kyun sahara gir gaya
Zindagi jab pyar ke tameer mein he kaat gai
Kis qadar khush hai adaao jab ghar hamara gir gaya
Pyaar ke in barishon mein sab nahaye the magar
Waqat mushkil aa para to har nazara gir gaya
K0n hai jis se shikayat kar sako aae zindagi
Aks-e-washma tha kabhi jab wo sitaara gir gaya
Bo0k Aks E Washma
Tuesday, 14 April 2015
Aneela ch
Tera le kar naam sadaon mein
Har shaam mein,, har gaa0n mein
Kabhi dhoop mein kabhi chaaon mein
Hai dhondha tujhe hawaon mein
Har'jaaii tujh ko paa liya
Chahat mein wafaaon mein
Ho gai dor udaasi meri
Khushbo0 paaii fizaa0n mein
Mujhe mile najaat hayaat mein
Tha aasaar meri duaa0n mein
Aab tera he mujhe rehnaa hai
Mera naam na aaye jaafaaon mein
Zahid Shamsi
Kheel mein ye bhi rasam dal'taa h0n
Jeetnay ke khusi mein haar'taa h0n
Aab bhe bac'pan ke yaad ati hai
Aab bhe aik shahks ko pukar'taa h0n
Tujh ko kya ilaam teri khatir main
Khud ko kis qurb se guzar'taa h0n
Meri neendein tumhara sadqa hain
Raat bhar main isey utar'taa h0n
Be'niyazi sar'shaat hai meri
Mushkuraata h0n baat taal'taa h0n
Kuch sitaarey paroo k zulmaat mein
Raat ke zulf ko sanwar'taa h0N
Choon'k main khud chairagey shamsi h0n
Is liye raat ko ujaal'taa h0n
Book Raat Hawa Aur Main
Farhad Jibreel
Lafz-0-maini k darmiyaan mein hon
Phir bhe sadiy0n se dastaan mein h0n
Mera saaya zameen pe rengtaa hai
Roz-e-awwal se main urran mein h0n
Meri hasti mery faraib mein hai
Aur main hasti k imtehaan mein h0n
Mujh ko rehna hai aik bashar aur main
Do farisht0n k darmiyaan mein h0n
Jism se kab ka main guzar bhe chuka
Mujh ko mehs0s kar main jaan mein hon
Kya ye hasil hai sari khosish ka
Ghar mein rahte howe makaan mein h0n
Gham tasalsul se meri taak mein hain
Main musalsal tumhery dehyaan mein h0n
Misl-e-shirein yeh zindagi hai mujhe
Main h0n farhad is gumaan mein h0n
Book Tum Bhi Hud Kartay Ho
Afrasiab Kamil
Banjh ho kar mujhe yaqeen aaya
Mera mosaam abhe nahi aayA
Kisi janat ko dekh kar pehlay
Zehan mein fitna-e-zameen aaya
Jo nahe tha kabhi muqaddar mein
Wo sitaara sar-e-jabeen aaya
Dhondhta hon main dost0n mein use
Khuwaab mein maar-e-aasteen aaya
Paavn rakh kar daba diya kis ne
Zalzala tha magar nahi aaya
Taab-e-joro jafa hamein mein the
Tujh sa qatil bhe phir yahen aaya
Zamzam zindagi ka wo bhe suna
Jo kisi shor k teyaan aaya
Jism par ch0t ka nishaan liye
Raqs karta howa nageen aaya
Aankh khole to sath takiya tha
Khuwaab mein jism-e-marmareen aaya
Sitr-e-zar bhe hai nazar andaaz
Aaj bhe is ka dil nahe aaya
Roz khud ko yaqeen dilata h0n
Mujh se behtaar koi nahi aaya
Book Kuwaab Ham'Safar
Saame Ijaaz
Jogan rahe na ban mein kaise ghazal likh0n
Khushboo nahe chaman mein kaise ghazal likhon
Aankh0n se khuwaab dil se khuwaish chale gai
Aik jaan bache hai taan mein kaise ghazal likh0n
Jis k liye falak se utray the istaarey
Aab wo raha maan mein kaise ghazal likon
Aik umr ka sulgnaa atish ban gaya hai
Jalte hoi aagaan mein kaise ghazal likh0n
Jazbaat mein hai hal'chal na dil he mera be'kaal
Sakht sa hai badan mein kaise ghazal likhon
Tum aa gaye ho tum par likhne to the ghazal
Mera hath hai kafan mein kaise ghazal likh0n
Saame Ijaaz
Raah-e-hiyaat k sab nizaare jh0te hain
Saharey lagte hain jo be'sahare jhote hain
Mujhe khabar na bhe us ke haseen aankh0n mein
Chamak rahe hain jitne sitaare jh0te hain
Bas aik band gali ap ka muqadar hai
Muhabbaton k dil'kash isharay jhote hain
Hamare baad tumhen phir se koi chahaye ga
Tasale dene wale bichare jhote hain
Sumandr0n se he tum dosti karo saame
Ye aas pass k sabhi kinarey jh0te hain
Saleem sagar
Ye jo sine mein liye qurb-e-darwan zinda h0n
Koi umeed se baqi hai k yun zinda hon
Shehr ka shehr tamashaii bana baitha hai
Aur main ban k tamashay-e-jan0n zinda h0n
Meri dharkn ke guwahi to meray haq main nahi
Bas yeh ihsas sa rahta hai k h0n zinda hon
Kya bataon tujhe isbaab jiye jane k
Mujh ko khud bhe nahi malom k kyun zinda hon
Apne hone ke khabar kis ko sunaoon sagar
Koi zinda ho to main us se kaho zinda h0n
Ghulam Muhammad Qasir
Bari the haryali ke,, aa gai rut pamale ke
Pyar ko mazdor na bana,, kar k baat behali ke
Ghar ghar bante phirte ho,, kyun khuwaish khushale ke
Hijar ka taara le aaya,, raaten qutab shamale ke
Hath sakhi ne r0k liya,, dekh k shakal sawale ke
Naam bhe is ka likh na sakey,, aur devaar bhe kaale ke
Baat se baat nikalte hai,, achi aankh0n wale ke
Dasht mein kal qaisar k liye,, qais ne kursi khaale ke
Book Khushboo Giraaft-e-aks mein
Ghulam Muhammad Qasir
Subh-e-tahzeeb se kar daita hai shaam aaiina
Tab kisi aks pe likhata hai dowaam aaiina
Sam'ne husaan ke tasveer koi aai hai
Yeh sunata hai mujhe tera qalaam aaiina
Tery afkaar mein so zawiye hiraane k
Band ho aankh to aata nahe kaam aaiina
Aik muddat se jo pehchan k behraan mein hain
Aise chahr0n k liye bas tera naam aaiina
Jaga'ta hai tery shair ke tabani se
Dil qaisar jise karta hai sallam aaiina
Book Athwaan (8) Aasmaan Bhe Neela Hai
Ghulam Muhammad Qasir
Wo be'dili mein kabhe hath ch0r daite hain
To ham bhe seer-o-samat chor daite hain
Jab un k gird kahani tuyaf karne lage
To darmiyan se koi baat chor daite hain
Dua karey gay magar is muqaam se aagay
Tamam lafaz jahan sath ch0r daite hain
Diye ho itne k khuwab0n ko rasta na mile
To shahr apni rawayat chor daite hain
Har aik shak pe jab sanp ka gumaan guzre
Faqeer kasf-e-karamat chor daite hain
Qaisar apne nazar0n mein kho gaya aa dil
So0 us ke meez pe sughat chor daite hain
Book Tasalsul
Abass Tabish
Mery ihsaab muhaatal nahe hone de gay
Ye parinde mujhe pagal nahe hone de gay
Tu khuda hone ke khosish to kare ga lekin
Ham tujhe aankh se ojhal nahe hone de gay
Ye jo aik bail udasi ke lagi hai ghar mein
Ham ise pehaal k jangal nahe h0ne de gay
Yaar aik baar parinde ko hakumat de do
Ye kisi shehr ko maktaal nahe h0ne de gay
Ye jo chehre hain yahan chand se chehre tabish
Ye mera ishq mukamaal nahe hone de gay
Book Shajar Tasbhi Karte Hain
Faisal Sahib
Idhar kyun nahi tha udhar kyun nahe tha
Bata ja ba'ja is qadar kyun nahi tha
Yeh main kah raha h0n zamane ka qaidi
K azad surat bashar kyun nahi tha
Zamana bazad hai jalane pe jo aab
Main phle se koi sharar kyun nahi tha
Tawaja talab hai k teri gali se
Musafir ka aagay safar kyun nahi tha
Bara dukh hai sahib chaman mein bhe raah ka
Bahar0n ka mujh pe aasar kyun nahi tha
Bedaal Hadri
Bho0k chehr0n pe liye chand se pyare bachey
Bichtey phirte hain galiy0n mein gubaarey bachey
In hawaon se to barod ke bo0 ati hai
En fiz0n mein to marr jaye gay sare bachey
Kya bhar0sa sumandar ka khuda khair kare
Sipiyan chun'ne gaye hain mery sare bachey
Ho gaya chargh-e-sitamgar ka qaleja thanda
Maar gaye piyaas se darya k kinare bachay
Yeh zarori hai naye kal ke zamant de jaye
Warna sark0n pe nikal aaye gay sare bachey
Bashir Shaad
Tum har tarha se mujhe azmaa lena
Aazma chuko to phir apna bana lena
Main tery naseeb mein h0n ya nahi
Apne hath0n ke lakeer0n ko zara dekha lena
Tasdeeq pe maaeel ba'karam ho jana
Jharokey nigaah0n k haan mein gira lena
Labadha arosi pehn k sharma k zara
Apne hath0n se jhomar saja lena
Khuwab0n ke dunya bari rangeen hai shaad
Jab dil chaha ise sam'ney bitha lena
Shouq Ansari
Jaib ke haalat se dar jata h0n
Bachey sote hain to ghar jata h0n
Chaak se khencha howa naqsha h0n
Hath lagte he utar jata h0n
Qad farast ka zara oncha kar
Main tery sar se guzar jata h0n
Daman khush'fahm bhe kaisa h0n
Honsla deny se bhar jata h0n
Ihtamaam dushmani hai kyun kar
Shouq h0n chaht se maar jata h0n
Shams DeoBandi
Kal bhi the sawadi ham to ab bhi dewane lagte hain
Thokr khane pe sunte the hosh thekane lagte hain
Andr se hain parah parah lekin dunya dari mein
Poche ham se haal koi to hans'ne hasane lagte hain
Main he pagal h0n jo ab ak raahen tak'ta rahta h0n
Bho0l chuke hain qol-o-qasam jo log siyane lagte hain
Dunya mein nadaano se ab k0n taluq rakhta hai
Doulat aa jate hai to sab ane jane lagte hain
Yaadon ke mazraab kabhe jab taar-e-nafs ch0ti leti hai
Geet ghazal parh lety hain ya gane bijane lagte hain
Monday, 13 April 2015
Anjum Saleemi
Mera rukna hai qiyamat mujhe rukhsat kiya jaye
Kuch to raah jaye salamat mujhe rukhrat kiya jaye
Dosto mery liye koi bhe afsorda na ho
Khush dile se daam-e-rukhsat mujhe rukhsat kiya jaye
Apne mehmaan ko bohat khench rahe hai dunya
Ho chuke khub-e-madarat mujhe rukhsat kiya jaye
Ye zulekhaye muhabbat ke gali hai muhtaat
Es gali se ba'hefazat mujhe rukhsat kiya jaye
Chaar kandhey he bohat hain meri rukhsat k liye
Sab ko kya deni hai zehmaat mujhe rukhsat kiya jaye
Aabd abaad zamane meri raah dekhte hain
Yun bhe ab khtam hai muhlaat mujhe rukhsat kiya jaye
Kehnay sun'ne k liye aur bacha he kya hai
So0 mery dost ijazat mujhe rukhsat kiya jaye
Syed Mubsrak Shah
Apni hadd se mawara h0ta nahi
Dard aisa hai dawa h0ta nahi
Is rawaiye ke shikayat kya kare
Roth jaye to khafa h0ta nahi
Wo jo mil kar bhe na haasil h0 saka
Kyun bichar kar bhe juda h0ta nahi
Ho khuda0n ka taslaat jis jaga
Is alakey mein khuda h0ta nahi
Bewafai ap apni maan ley
Koi itna bewafa h0ta nahi
Ihtiyaatan he saza ham ne kaat le
Jab talaak k faisla h0ta nahi
Book Hum Apni Zaat Kay Kaafir
Syed Mubarik Shah
Khal se neela khubar utra nahe abhe tak
Falak zameen k diyar utra nahe abhe tak
Paahaar badal se baraf le kar ye p0chte hain
Sumandr0n ka bukhaar utra nahe abhi tak
Abhi salamat hain hamare hosh-o-hawas mery
Mery laho0 ka khumar utra nahe abhi tak
Main aaiine k baghair khud ko na dekh paavn
Main apni aankh0n k paar utra nahe abhi tak
Tery chehre se waqat utara to kya h0wa hai
Mery nazar ka nikhar utra nahe abhi tak
Hamen sarakti zameen k uper utar kar bhe
Tumhare sine ka baar utra nahe abhi tak
Book Madaar-E-Naarasaayi Main
Syed Mubarak Shah
Ye kaise terighe hai k chubte hai aankh mein
Ab ho bhe jaye subha,, k soya nahe h0n main
Dekha nahe hai kucd ko sar-e-manzil yaqeen
Jangl0n main vehm0o k to khoya nahe hon main
Arsa howa k bojh sa sine pe hai mery
Muddat hoi k dost0n roya nahe h0n main
Mujh ko har aik shaks pe jis ka gumaan howa
Wo mujh ko yun mila hai ke goya nahe h0n main
Soya bhe h0n to aankh mein tery he khuwaab the
Yane kabhe bhe chain se soya nahe h0n main
Book Jungle Gumaan Kay
Gulam Muhammad Qasir
Har subha likh0n har shaam likh0n
Lamh0n par tera naam likh0n
Jab jaye naseem teri janib
Har jhonke par pighaam likh0n
Sab taaray dekhti ho gi tu
Kis kis par apna naam likh0n
Har sans pe hijar k musaam mein
Radod-e-dil na'kaam likh0n
Aik naam ko har bimaari mein
Taskeen kah0n aaraam likh0n
Kuch likh na sakho ab khat k siwa
Aur khat mein sirf sallam likh0n
Book Daryaa-e-Gumaan
Tuesday, 7 April 2015
Shamshaad Shaad
En parind0n ka kahen dor thekana ho ga
Jo musafir hain inhein lout k jana ho ga
Aisey he teehass kahan uth'ti hai yak'lakht kahein.
Wo jo mehka tha koi zakhm purana ho ga
Tazkiya ro0h ka karna bhe zar0ri hai magar
Nafs-e-khud sar se tumhein khud ko bachna ho ga
Gumrahi deen se le jati hai toheed se dor
Pukht kardar ko siney se lagana ho ga
Kya kaha ham se inhein milne ke furst he nahi
Choro choro yeh naya koi bahana ho ga
K0n sota hai bahalaa qabar mein khud se jaa kar
Chaar (4) kandh0n pe miyaa tum ko bhe jana ho ga
Zaib Butt
Maan bandhe daa manda howe das'dey manday loki
Dil apna jay changa howey lag'dey changey loki
Be'anm0ley bandey huwn te gaal gaal te vik jan'dey ney
Roti aaithey mehngi hoi howey sastey loki
Ikoo dar to mang'dey nahi te kisey nu kuj na kahnday
Aakha andr neer loka ka hasdey vekhay loki
Pyar diya sun gaala kar dey dilaa dey vich sun rehndey
Lab lab k main thak piyaa yaro 0o ney labhey loki
Zaib zamaney wich hun kis nuo jaa k haal sunaiye
Jis ne dard sunayaa apna es te hasdey loki
Shamshad Shaad
Jahan kyun baity0n se ho gaya bezaar aae saqi
Kare hai kookh mein bhi dukhtar0n pe waar aae saqi
Ajab yeh daur hai is mein kare koi bharay koi
Shareef0n ka yahan jeena huwa dushwaar aae saqi
Zamane bhar k ranj-o-gham hamein pay ho rahay nazil
Hamein par ho rahi har simt se yalghaar aae saqi
Karen jor-o-jafaa chahay mere sir ko qalam kar dein
Magar ho gi kahan aisay zamee gulzaar aae saqi
Satayi ja rahi meera uthaai ja rahi seeta
Utartay kyun nahi dunya mein ab autaar aae saqi
Hamein par kis liye hoti hai yeh alzam0n ki barish
Sataaye kis liye jatay hain hum har baar aae saqi
Uthaye naaz yaar0n k bithaya un ko palk0n par
Magar phir bhi nahi apna koi gham khawar aae saqi
Razia Subhan
Khuwaab dar khuwaab nishaan ch0r aaey
Barg-e-awara makaan chor aaey
Shoula dil ko bujha kar apne
Us ke aankh0n mein dhuwaa ch0r aaey
Koi takleed kare ya na karay
Ham to qadmon k nishaan chor aaey
Aik aan dekhay jahan ke khatir
Khud se wabasta jahan ch0r aaey
Rang-e-irfaan muhabbat paa kar
Khuwaish-e-ishq baataan chor aaey
Sath le aaye yaqeen ka manbaa
Pusht mein wahm-o-gumaan ch0r aaey
Paish-e-aaiina yeh ihsaas howa
Khud ko ham jane kahan ch0r aaey
Fakhir Rizvi
Zanjeer-e-qafs tor k main aaya howa h0n
Devaar mein sar ph0r k main aaya h0wa hon
Aay dunya muyasar tu mujhe phir bhe nahi hai
Tery liye sab chor k main aaya howa h0n
Aise to teri aankh mein aane nahe wala
Har khuwaab se munh moor k main aaya h0wa hon
Lagta hai koi dosraa aabad hai mujh mein
Lagta hai badan oorh k main aaya howa h0n
Pair0n se meri dushmani aab kis se chupi hai
Pair0n se jo phaal tor k main aaya h0wa hoN
Fakhir aab taqseem howa hon to khula hai
Khud ko bhi kahan jor k main aaya howa h0n
Amir Anjum
Phir se basti ko basane k liye aye koi
Dil ke dharkn ko jagane k liye aaye k0i
Dobne wale ko tinkey ka sahara hai bohat
Phir se baataon mein behlane k liye aaye koi
Jall rahe hai sare'aam dewane bhanwrey
Jalte shama ko bujhane k liye aaye k0i
Ham k tahna hain bohat aur shab-e-hijraan bhe
Umar bhar sath nibhane k liye aaye koi
Meri be'loos muhabbat k siley mein anjum
Aag nafraat mein jalane k liye aaye k0i
Ayaz Mahmood Ayaz
Meri mushkil bhi ho asaan mery aaqa jee
Meray dil'baar meray sultaan meray aaqa jee
Meri aankh0n ko miley dhol teri galiy0n ke
Nikley jab jisam se yeh jaan meray aaqa jee
Sar jhukey teri chokat pe shan'shah0n ne
Har koi tujh pe hai qurbaan meray aaqa jee
Chand taare to isharay hain teri ungli k
Kitni aalaa hai teri shaan meray aaqa jee
Apni umaat ke rahey laaj k mushkil mein hai ye
Aur hai be'sar-o-samaan meray aaqa jee
Book Arzoo-e-jaan
Wasi Shah
Wo mehndi lagey hath dekha k roi
Main kisii or ki h0n wo ye bata k roi
Main bola k0n hai wo khush naseeb
Wo mehndi se likha h0wa naam dekha k roi
Kahein gham se phat na jaye jigar mera
Wo hanste hanste mujhe hansa k roi
Dil na toote us ka gham-e-hijar mein
Main bhi roya wo bhi meri aankh se aankh mila k roi
Us n jana jab merey rone ka sabab
Apne aanso meri hathaili pe raja k roi
Jab bhi dekha usay hanste howey dekha
Waqt-e-hina har khtushi ko wo bhula k roi
Dil ne chaha usay je bhar k dekh l0n
Wo meri aankh0n ki pyas ko bujha k roi
Mujh ko kh0ne k gham mein muhaal ho kar
Wo meri tasver ko h0nton se laga k roi
Waqt-e-rukhsat mein main ne kaha roti q ho
Wo mujhe anjam-e-muhabbat batla k roi
Lag gai dil mein mere atish yaro
Jab wo meri har baat mita kar roi
Ayaz Mahmood Ayaz
Ye kon chehray mery watan ke fiza ko dasht bana rahe hain
Har aik janib lahoo ke bondey hawa k mathey pe laa rahe hain
Hain hath uthaye duaien chup hain sehr ke pheki ziyaaen chup hain
Meray watan mein ye kasey musam ye kasi aandhi chala rahe hain
Udaas bachey udaas galiyaan udaas gull hain udaas kaliyaa
Ujaar lamhe ye kiyun udaasi har aik janib saja rahe hain
Samaton par hai be'yaqeni sitam gire aur hai be'makeeni
Har aik janib khiza k musam ujaar pan ko khula rahe hain
Ayaz jitne bhi hain waderay wohi hai zalim wohi lutarey
Wohi hain hakim bane howe aur hamari qismat bana rahe hain
Book Tum Shart-e-Zindagi Ho
Ayaz Mahmood Ayaz
Suno tum yaad atey ho mujhy marey sabi
Bholy hoy shar0n k lafzon main
Khen rishtoon main apno main
Sun0 tum yaad aty ho mujhe
Mari purani sab kitabon main rakhy sary gulabon say
Sun0 tum yaad aty ho mujhy aksar
Mary uljhy sawalo main surab0n say hawal0n main
Sun0 tum lout aao na mujhy tum yaad aty ho
Book Suno Tum Lout Aao Na
Ayaz Mahmood Ayaz
Kya lutf k wo zulam bhi jari nahi rakhte
Kya dost hain kuch laaj hamari nahi rakhte
Ham lipte howe ghar se bhi rahte nahi lekin
Hijraat ka koi khouf bhi taari nahe rakhte
Ijaz-e-takhyel se pohanchte hain sar-e-arsh
Ham ihl-e-hunar koi sawari nahi rakhte
Rahne pe nahi tum he jo tiyaar to jaao
Ham koi nishaani bhe tumhari nahi rakhte
Ye yaad rahe aan pe maar mit'te hain ham loga
Mat bholna ham jaan bhe pyaari nahi rakhte
Kyun bojh par0n ka liye phirtey hain na jane
Ayaz parindey jo udaarii nahi rakhte
Book Tanhai Se Dar Lagta Hai
Ayaz Mahmood Ayaz
(Pagal Ho Kya)
Kuch to socho pagal ho kya mery parhne k lamh0n mein
Mery zehan pe chaa jate ho sare lafz mita jate ho
Aur kitaabon k saaf0n par apna aap saja jate ho
Kuch to socho pagal,, pagal ho kya
Book Tark-e-Marasm
Shamim Rawish
Iradey raste aur raste manzil banate hain
Chalon en kaghaz0n par don0 mil k dil banate hain
En aankh0n ke jaga tum ne sumandar rakh diya to phir
Jahan yeh hont hain aao wahan sahil banate hain
Main tum se ye nahi kahta k rang-o-noor barse ga
Magar es raat ko aao kisi qabil banate hain
Tumhen maloom hai ye log jo rahte hain mery sath
Ye meri zindagi ko kis qadar mushkil banate hain
Book Jab Shaam Utarti Hai
Faisal Imam Rizvi
Maar k un ko dekha diya ham ne
Phir bhe kahte hain kya kiya ham ne
Un ke raah0n mein ham rukawat the
Kar diya saaf rastaa ham ne
Rooh be'chain the kaae din se
Kar diya jaan se juda ham ne
Waqat-e-akhir maaf kar dena
Yaar jo kuch kaha suna ham ne
Shehr-e-akhyaar mein khare ho kar
Kar diya tera tazkaraa ham ne
Dast-e-qatil ne zor dikhlaayaa
Qalma-e-haq buland kiya ham ne
Rokta he raha hamein vaaiz
Qas-o-jaam utha liya ham ne
Log kahte hain teri galiy0n mein
Dekha faisal paraa howa ham ne
Book Ham Bicharne Waley Hain
Arif Bin Qadar
Dosh mat do saqi gulfaam ko
Bho0l kar main cho0 gaya tha jaam ko
Tum kaho to mushkura kar zindagi
Daan kar do gardish-e-alaam ko
Dekhiye kab khair khuwahon ke nazar
Dhondhti hai har gale gum'naam ko
Tum churana mery ghar se roshni
Main churaao ga tumhari shaam ko
Malik kon-o-makaan aik be'sakon
Phir raha hai ja'baja aaraam ko
Sochiye k phir kahan ke ashqi
Ishq mein agar sochiye anjaam ko
Main koi arif nahi h0n aam h0n
Ehmiyaat kam do tum aisey aam ko
Book Kaghaz K Ghar
Iftikhar Falak Kazmi
Fizay-e-jaan-o-dil behtar hoi hai
Meray kamrey mein gehri kham0shi hai
Bohat sada bohat masom hai wo
Use meri muhabbat jante hai
Mery paavn hari shakho se bandho
Meri aankh0n ne dunya dekh lee hai
Chairagon ke safaaye sidhe karwaon
Andhari shab abhi so kar uthi hai
Kisi tufaan ke aamad hai pyaray
Mujhe meri chati (6) hiss kah rahe hai
Qad-o-qamat qayamat hain suna hai
Mujhe marne ke jaldi ho rahe hai
Khuda auraT kitaabein zaar parindey
Meri pancho (5) se gehri dosti hai
Book Azeeyaat
Rakib Raja
Pencil kaghaz le kar sari raat banata rehta h0n
Aaj bhe us ke aankhen, laab aur hath banata rehta hon
Kesay us ko milna hai or kesay us ko paana hai
Har pall sochta rehta h0n hallaat banata rehta h0n
Tote phote jin lafzon par dhul pari ho galiy0n ke
Un lafz0n ko chun chun kar main baat banata rehta hon
Us ke baaten likh leta h0n dil k korey kaghaz par
Fursat mein un baaton se naghmaat banata rehta h0n
Book Theraa Howa Aanso0
Shamsheer Haider
Teray fareeb teri mehrbaaniy0n se alag
Main aaj kal hon khus gumaniy0n se alag
Main urr raha h0n pur0n k baghair bhe kab se
Meri kahani hai sari kahaniy0n se alag
Meri zameen mera aisa bhe juram kya hai bata
K piyaar mein bhe rah0n tery paniy0n se alag
Bane gi mujhe kundan jalla k aag yahe
Kare ga ishq he sab raighaniy0n se alag
Book Paniyon Se Aalag
Khalid Arzoo
Rote rote so gaye akhir,, tery jaise ho gaye akhir
Shehr to es ka phley se tha,, yaar bhe es k ho gaye akhir
Sabar ke had se raat guzar kar,, daman nain behgo gaye akhir
Dekh k moj-e-gham mein mujh ko,, piche ko sab ho gaye akhir
Meri aankh0n se chal kar aanso,, us se milne ko gaye akhir
Kal shab us ke yaad ko le kar,, baithe baithe kho gaye akhir
Phol0n k khuwaab dekha k,, kantey yaar chubhoo gaye akhir
Pather jaise khaak mein khaliq,, beech wafa k boo gaye akhir
Book Palkeein Bheeignay Lagtee Hain
Fahmida Fahmi
Kitni kathan hai dil ke baat,, kis ke jeet hai kis ke maat
Panche kab tak urta jaye,, shaam k saaye or hai ghatt
Kya khoya kya paya aur,, khale yahan hain sab k hath
Sapna to hai sapna aik,, sapn0n mein ye kaisa sath
Fahmi aandhar0n mein har roz,, khone lagi hai apne zaat
Book Gai Ruton Ka Hisaab Rakhna
Fahmida Fahmi
Wo apni zaat k andar duhaii daita hai
Wo khud se bichra howa kyun dekhai daita hai
Hawein chalte rahe chahye dasht-o-sehra mein
Misl-e-ghum koi ghungar0n sunai daita hai
Ye dil jo raat ke tarikiy0n mein chonk de
Naveed-e-subha talak bhe resaii daita hai
Khusi ke chaa mein itne fareeb khay hain
Aa'bas wo apni wafa ke safaii daita hai
Chalo k dair talak fahmi kuch qiyaam karo
Ye bar bar hamein ghar duhaii daita hai
Book Rut Badal Rahe Ho Gi
Rashida Maheen
(Aalbelii Shaam)
Apne aap se ke hain baatein bohat din0n k baad
Ache lagi hain apni ankhen bohat din0n k baad
Khushboo ka sandes laai ik aalbeli shaam
Chand ke ruth se utrey kirney bohat din0n k baad
Hat'te nahi the us ke nigahen mery chehrey se
Dekhien aise pagal nazrey bohat din0n k baad
Bohat din0n k baad main jaanaa itne sanwari h0n
Aaiine ne le hai baalaye bohat din0n k baad
Rashida un ka yeh khat ham ko parhna hai so (100) baar
Un se kaho aglaa likhey bohat din0n k baad
Book Shaal Mein Lipte Raat
Rashida Maheen
Phley to sab par kham0shi taarii kar0n gi main
Phir us k baad baat tumhari kar0n gi main
Baithe rahon gi baagh mein az subha taa ba shaam
Warfatgi mein phol shumari karon gi main
Manzar nikal laaon gi khuwaab-o-khyaal se
Kaghaz pe aise naqsh nigare kar0n gi main
Us gull saft ko zeest mein rakh0n gi mujzaan
Khushboo se apni saans ko jaari kar0n gi main
Main apna dil lagaon gi bas us k dehyaan mein
Kis ne kaha waqat guzari kar0n gi main
Karta rahe wo dasht narodi ka ihtamaan
Awargi ke had bhi jari kar0n gi main
Wo mujh ko mil jaye ga maheen aik din
Apne khuda se arz guzari kar0n gi main
Book Baagh
Ali Rasikh
Koi thekaana na koi ghar mera jewan dasht-e-tanhai
Mery sath chalna soch kar mera jewan dasht-e-tanhai
Umeed koi na aas koi dard koi na paas koi
Na paas koi rakht-e-safar mera jewan dasht-e-tanhai
Mera juram khuwaish-e-wisal so aaj yeh mera hall hai
Bhatak raha h0n main dar'badar mera jewan dasht-e-tanhai
Qurbat se apni nikhaar de meri zindagi sanwar de
Mery sath chal meray ham'safar mera jewan dasht-e-tanhai
Bonk Meri Zaat Adhori Hai Jaanaa
Majeed Amjad
Kaash main teray bun-e-gosh main bunda hota
Raat ko be'khabri main jo machal jata main
To teray kaan se chup chaap nikal jata main
Subh ko girtay teri zulfon se jab baasi phool
Meray kho janay pe hota tera dil kitna malool
Tu mujhe dhoondti kis shoq se ghabrahat main
Apne mehkay huay bister ki her eik silwat main
Jun hi kerti teri narm ungliaan mehsus mujhe
Milta is gosh ka gosha-e-manoos mujhe
Kaan se tu mujhe hergiz na utara kerti
Tu kabhi meri judai na gawara kerti
Yun teri qurbat-e-rangen ke nashay main madhosh
Umr bhar rehta meri jaan main tera halqa-bagosh
Kaash main teray bun-e-gosh mein bunda hota
Majeed Amjad
Aik umr dil ke ghaat se tujh par nigaah ke
Tujh par teri nigaah se chup kar nigaah ke
Roohon main jalte aag khyal0n mein khilte phol
Sari sadaqaten kisi kafir nigaah ke
Jab bhe gham zamane se aankhen hoi do chaar
Munh phair kar tabasum dil par nigaah ke
Baaghen khanche mushafatein karkeen fars ruke
Mazi ke rut se kisi ne palat kar nigaah ke
Don0 ka rabt hai teri m0j-e-kharam se
Laghzish-e-khyal ke ho k thokar nigaah ke
Poet Hafiz Khurram
Ye jo mehfil mein niqaab orhe baithe hain
Kuch roz pehlay baagh se gulaab tor baithe hain
Itraa raha tha wo shairi pe es qadar
Hath mein hamari he kitaab more baithe hain
Suna raha hai wafa k qisey bhi bohat
Na jane kitno ka dil sarkaar tore baithe hain
Hamare chehre pe to koi shikan tak na the
Aur khud wo niqaab orhe baithe hain
Ba'wafa tha khurram sab se tanha rah gaya
Bewafa tha wo pehloo mein ik or yaar liye baithe hain
Sunday, 5 April 2015
Poet Ayaz Khan
Us Ne Wafa Ke Badle Zindagi Mangi,
So Ab Mujhe Zindagi Se Piyaar Nahi,
Phir Mein Ne Us Ka Aakhri Didaar Kia,
So Ab Mujhe Kisi Ka Intizaar Nahi,
Wo Kuch Pal Ke Liye Aai Zindgi Mein,
Wo Khizaan Thi Koi Bahaar Nahi,
Mein Ne Kisi Ke Dil Par Waar Nahi Kia,
So Mera Daman Lahoo Se Daagh Daar Nahi,
Mele To Bahut Mujhe Chahne Wale AYAZ,
Magar Sab Aashna Nikle Koi Yaar Nahi......!
Tuesday, 31 March 2015
Qudsia Zahoor
Aser-e-dard muhabbat bana k lot liya
Ajeeb shaks tha nazrey mila k lot liya
Ham aise shaks ko bohley to kis tarha bholey
Wo jis ne khud ko wafa mein luta k lot liya
Lagi hai hath pe mehndi saji hai maang meri
Kisi ne pyar se maana k lot liya
Shab-e-wisal pe rakhe pyaas aankh0n mein
Milan howa to sumandar pilaa k lot liya
Nikal di meray sine se jaan bhe us ne
Wo jis ne pyar se siney laga k lot liya
Wo jis k pyar mein utre na nend aankh0 mein
Tamam raat isi ne jaga k lot liya
Nisaar is pe dil-0-jaan se hoi qudsia
Wo jis ne pyar ka sapna dekha k lot liya
Basheer Badr
Sanwaar nok palak abruon mein kham kar de
Gire parhe hue lafzon ko mohtram kar de
Ghuroor us pe bahut sajta hai magar keh do
Ise mein us ka bhala hai ghuroor kam kar de
Yahan libas ki qeemat hai admi ki nahin
Mujhe gilas bare de sharab kam kar de
Chamkne wali hay tahrir meri qismat ki
Koi chiragh ki 10 ko zara sa kam kar de
Kisi ne choom ke aankhom ko ye dua di thi
Zameen teri khuda motiyon se nam kar de
Basheer Badr
Udaas ankhon se ansu nahin nikalte hein
Ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hein
Ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hein
Tamam raat khajuron ke per jalte hein
Main shahnshah nahin raste ka pathar hun
Yahan sawar bhi pedal utar ke chalte hein
Unhe kabhi na batana main un ki aankhen hun
Wo log phool samajh kar mujhe masalte hein
Kai sitaron ko main jaanta hun bachpan se
Kahin bhi jaun mire saath saath chalte hein
Ye ik per hai aa is se mil ke ro Iein ham
Yahan se tere mere raaste badalte hein
Basheer Badr
Sun le jo khuda ne wo dua tum to nahe ho
Darwaze pe dastak ke sada tum to nahe ho
Samaite howe sharmae howe raat ke rani
Soye howe qaliy0n ke haya tum to nahe ho
Mehsos kiya tum ko to gele howe palke
Bhegay howe musam ki ada tum to nahe ho
In ajnabi rahon mein nahe koi bhe mera
Kis ne mujhe yuh apna kaha tum to nahe ho
Book Aahat
Basheer Badr
Sisakte Aab mein kis ki sada hai
Koi dariya ki tah mein ro raha hai
Sawere meri in aankhon ne dekha
Khuda charon taraf bikhra para hai
Sameto aur seene mein chupa lo
Ye sanata bahut phaila hua hai
Haqeqat surkh machli janti hai
Samundar kitna burha dewta hai
Mujhe in neeli ankho ne bataya
Tumhara naam pani pe likha hai
Basheer Badr
Wo apne ghar chalaa gayaa afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo
Insaan apne aap mein majboor hai bahut
Koi nahin hai bewafa afsos mat karo
Is baar tum ko aane mein kuch der ho gayi
Thak haar key wo so gaya afsos mat karo
Is zindagi key mujh pe kai qarz hein magar
Main jald laut aaun ga afsos mat karo
Ye dekho phir se aa gayin phoolon pe titliyan
Ek roz wo bhi aaye ga afsos mat karo
Basheer Badr
Ab kise chahen kise dhunda karen
Wo bhi akhir mil gaya ab kya karen
Halki halki barishen hoti rahen
Ham bhi pholon ki tarah bhiga karen
Aankh munde is gulabi dhoop mein
Der tak baithe use socha karen
Dil mohabbat deen duniya shairi
Har dareche se tujhe dekha karen
Ghar naya karde naye bartan naye
In purane kaghazon ka kya karen
Basheer Badr
Chal musaafir batiyan jalne lagin
Aasmani ghantiyan bajne lagin
Khil raha hai shaam ka kaala gulab
Zard sookhi patiyan jharne lagin
Surkh, dhaani, sabz, neeli, doodhiya
Shaam aayi batiyan jalne lagin
Din key saare kapre dheele ho gaye
Raat ki sab choliyan kasne lagin
Raat ek talaab key aaine mein
Jhilmilaati kashtiyan chaIne lagin
Doob jayen ge sabhi darya pahaar
Chandni ki nadiyan charhne lagin
Band kar lo dar dareche khirkiyan
Phir hawa mein seetiyan bajne lagin
Jamunon key baagh par chai ghata
Oori oori larkiyan hansne lagin
Monday, 30 March 2015
Basheer Badr
Chaand ka tukra na sooraj ka nu'mainda hun
Main na is baat pe naazan hun na sharminda hun
Dafn ho jaye ga jo saikron man miti mein
Ghaliban main bhi usi shahr ka bashinda hun
Zandagi tu mujhe pahchaan na payi lekin
Log kahte hain ke main tera numainda hun
Phool si qabr sey aksar ye sada aati hai
Koi kahta hai bachaa 10main abhi zinda hun
Tan pe kapre hain qadamat ki alaamat aur main
Sar barahna yahan aajane pe sharminda hun
Waqai is tarah mai ne kabhi socha hi nahin
Kaun hai apna yahaan kis ke liye zinda huN
Basheer Badr
Doosron ko hamari sazayen na de
Chandni raat ko bad'duaen na de
Phool se ashiqi ka hunar seekh Ie
Titliyan khud ruken gi sadayen na de
Sab gunahon ka iqrar karne Iagen
Is qadar khubsoorat sazaaen na de
Motiyon ko chupa sepiyon ki tarah
Bewafaon ko apni wafaayen na de
Main bikhar jaunga Ansuon ki tarah
Is qadar pyar se bad'duaen na de
Basheer Badr
Dil par chhaya raha umas ki tarah
Eik lamha tha sau baras ki tarah
Wo mohabbat ki tarh pighle gi
Main bhi mar jaun ga hawas ki tarah
Raat sar par liye huye jangal mein
Raaste ki kharaab bas ki tarah
Aatma be'zabaan maina hai
Aur maati ka tan qafas ki tarah
Khan'qahon mein khaak urti hai
Urdu waalon key kampus ki tarah
Maut ki wadiyon se guzrun ga
Main paharon ki eik bus ki tarah
Tuesday, 24 March 2015
Hafiz Khurram
Nigahen utha k aaise ham se sarkar milay
Badal k bhais jaise koi fankar milay
Mudaat baad khol k kitaab ko dekha
Kuch nahi ! bas sokhe howe gulaab milay
Yaad aane pe bhe jo nahe ate the ham ko yaad
Qismat hamari wohi baar baar milay
Halat-e-jaan be'hall ho gai aise
Dil-e-be'qaraar ko jaise qaraar milay
SadUllha Shah
Na hasrat-e-wisel ke koi,, na tohmat hai judai ki
Kaha tak le gai,, ham ko tamana aashnaee ki
Jafa pisha sahi dunya magar,, ye dil to apna tha
Hamare apne dil ne bhe to,, ham se bewafaee ki
Muhabbat k taqadus ne,, bechaya apne daman ko
Zamana ye samjh baitha,, k ham ne paa'rashaee ki
Ajab ihsaas tha koi,, jo lafzon tak nahi aaya
Na is ne ham se kuch pocha,, na ham ne lab kashaee ki
Ye dard-e-ashnai hai,, taman-e-shanashee
.
Kahani kya kahey,, aa saad apne be'nawaaee ki
Book Tamana ashnaee Ki
SadUllha Shah
Wo aik yaar-e-tarah'daar bhe zarori tha
Aur us ke simat se inkaar bhe zarori tha
Hamari aankh mein aye the dafatan aanso
Howa tha ishq to izhaar bhe zarori tha
Chetaan chot pe chingariyaa dikhane lagi
Magar tarashana shahkaar bhe zarori tha
Tumhare kaam k lamh0n k darmayan kahen
Ham aisa lamha be'kaar bhe zarori tha
Hamare dil mein na ate to phir kahan jate
Bhatktey khuwabon ko ghar baar bhe zarori tha
Aa saad is ko muhabbat nahe aqeedat the
Gunah'gaar h0n iqraar bhe zarori tha
Book YE Diyar-E-Ghair Ke Shaam Hai
SaadUllha Shah
Harf-e-shire hai tera shayaad labon k andar
Dil k katne ka hai ihsaas ragon k andar
Kya batao k mery pyar k din kaisey hain
Chand utarne ka saama bhe hai shabon k andar
Us ke ankhon se hain r0shan meri sochon k chairag
Aa hawa un ko chupa le tu paaruon k andar
Jo bhe likhta h0n wo shairon mein dhal ata hai
Maa'daa apna likhon kaise khaton k andar
Baat karte howe darr lagta hai us shaks se saad
Kon rakh paaye wahan khud ko hadon k andar
Book Muhabbat
Shamim Rawish
Dekh kar ham ko nazare ro0 paray
Shaam kya aai sitarey roo paray
Ghar ke dewaar pe aksar chandni
Is tarha utri k taaray ro0 paray
Kitne afsorda hain tery ishq mein
Dekh k ham ko saharey ro paray
Jane ham par aa pari uftaad kya
Dekhne waley be'charay ro0 paray
Jane kis ne khud'kusi kar le rawish
Gham se darya k kinare r0o paray
Book Rang Se Tasveer Tak
Sadia Kiran
Sharawat-e-muhabbat ke kahani khubsorat the
Wo chan'chal sharmle jawani khubsorat the
Main us k dil mein basti the,, wo mery dil mein basta tha
Muhabbat bhe wo phle aur purani khubsorat the
Sakhot-e-shab k pardon se yahe awaz ati hai
Wisl-e-yaar ke wo shab suhani khubsorat the
Kabhe anbar-e-fashan romal ka tohfa mujhe dena
Kahe chandni k chaley ke nishani khubsorat the
Kiran jaao kahe se dhondh k laao wo bitey pall
K jin be'dard lamh0n ke rawani khubsorat the
Huma Shah
Ghareeb h0n main magr mujh ko be'zameer na jaan
Mukhalfat to meri kar mujhe haqeer na jaan
Jo be'basi mein tery pas chal k aaya hai
Use to mang'ne wala koi faqeer na jaan
Main khan'daan ke izaat pe jaan de do gi
Mujhe tu pichley zamane ki koi heer na jaan
Khayal rakh k yeh dewaar ban bhe sakti hai
Jo nafrat0n ke pari hai mehz lakeer na jaan
Ham ye zehan bhe majboriy0n k qaidey hain
Faqat badan k he qadi ko to aseer na jaan
Rashid Malik
(Nikah-e-Ishq)
Sitar0n kah'kasha0n jugnon jharnon
Fizaon ko chamakte chand ko badal ko bijli ko
Ghataon ko shafaq ko shaam ko meh ko
Pirindon ki sadaon ko gul0n ko titli0n ko
Khushb0n shab ki adadon ko pahar0n aabshar0n
Bahti nadaya ko kinar0n ko khizan ko
Khushk patt0n ko baharon ko nazar0n ko
Darakht0n raast0n ko onchey nechy
Sabzazar0n ko miri janab se ja kar ah
Aise dawat do k main ne aaj ki shab
Ik an0kha kaam karna hai dil-a-sada mein
Chahat ka sajeela rang bharna hai muhabbat ki
Gawai mein nikah-a-ishq karna hai
Thursday, 19 March 2015
Ansar Jaazaib
Jise aab khuwab hate ho use tabeer kar laitey
Mery ho jate ya phir tum mujhe zanjeer kar laitey
K yun asfhat logon mein hamara naam kyun h0ta
Agr tum faisla karne mein kuch ta'kheer kar laitey
Hamara sath jaise hai dar-o-dewaar ka rishta
Bana kar chat muhabbat ke yeh ghar tameer kar laitey
Parindey sath daite kab talak jate bhar0n ka
Soo un ke k0ch se phle koi tadbeer kar laitey
Gham0n se zindagni ne hamen muhlat na de warna
Tumhein ham yaad rakhte yah kahen tehreer kar laitey
Na meri shyari ko yun ilzaam do jazaib
Ise ham raaz bhe rakhte to wo tasheer kar laitey
Zubyr Qasiar
Aik shahks hai abad mery khawab-e-nagar mein
Dekhti hai jhalak us ke mujhe shams-o-qamar mein
Aik rang-e-tabsum hai k mehki hain fazaien
Aik khuwab ke khushbo hai k rahte hai safar mein
Aik raat meri aur bhe kat jaye sakon se
A jaye tera khuwab agr pichley pehar mein
Aik shahks muhabbat mein ujalon ke tarha hai
Mushkil mujhe dar'paish nahe koi safar mein
Kuch lafz miley aur k tareef teri ho
Kuch aur azafa ho mery fan mein hunar mein
Aik shahks ke hasrat bhe mujhe khaye howe hai
Aik yaad ke kasrat hai mery shaam-o-shair mein
Ye khuwab hai yah khuwab ke tabeer hai qaisar
Aik rang ke tasveer jo rahte hai nazar mein
Shamim Rawish
Kaha tha main ne kbhe ja tujhe bhula do ga
Aur aab ye soch raha hon jawab kya do ga
Sumandron k misaale tumhein kahan malom
Main kaghazon ke tumhein kashtiyan bana do ga
Main apne dil k misale se khub waqif hon
Main us ko moom ke guriya kahein se la do ga
Maaf karna sitaron se main ne poche baghair
Ye tum se kaise kaha maang mein saja do ga
Ye aankhen aanso badalna bhe jante hain rawish
Wo kis tarha ye kis roz mein dikha do ga
Rehana Qamar
Kar-o-kari ke agr rasm utha le jate
Kisi aurt ke bhe izat na uchale jate
Jab wo is shehr mein tha, kyun na khyal aya mujhe
Ban to sakte the agr baat bana le jate
Kurb-e-tanhai se do chaar na hote main kabhe
Khud se milne ke agr raah nekale jate
Is liye bant'te rahte hon main auron se isey
Gham ke doulat nahe aab mujh se sanbhale jate
Dhyaan mein us k mera haal tha kuch aisa qamar
Rakh na daite to mery hath se piyaale jate
Rehana Qamar
Main juda bhe ho k nahe juda,, tery sath hon
K jo apne sath nahe to kya,, tery sath hon
Ye to aik umr k baad aa k kahein khula
Mujhe khud bhe is ka pata na tha,, tery sath hon
Bari mudtaye hoi,, tujh se bichre howe mujhe
Magar aaj bhe main zraa zraa,, tery sath hon
Main hon misle moj-o-bow-e-gull teri ham'safar
To jahan bhe jaye gi aye saba,, tery sath hon
Kabhe aa gaya agr imteehan ka marhal
Main kahon gi sab se ye bar'mall,, tery sath hon
Mera dil khusi se he bagh bagh howa qamar
Mujhe us ne pyar se jab kaha,, tery sath hon
Shamim Rawis
Muhabbat sab se phle aankh ko pagal banate hai
Aur is k baad maalaa zindagi ke tot jate hai
Nahi aisa k sari umr guzri jagte meri
Mujhe bhe neend ate hai magr mushkil se ate hai
Abhe to sirf aankhen he ganwe hain muhabbat mein
Muhabbat agaye agaye dekhna kya dekhate hai
Muhabbat kesi kashti hai samjh mein kuch nahe aata
Sumandr paar karte hai kanare doob jate hai
Na jane kin khyal0n mein ye larki gum hai kuch din se
K apna naam sun kar yun achanak chonk jate hai
Book Rang Se Tasveer Tak
Rehana Qamar
Aashk baha kar so jate hon
Diye jaala kar so jate hon
Thori dair mein sare dukhon se
Aankh chura kar so jate hon
Beti ke tarha aab guria ko
Galey laga kar so jate hon
Roz apne ghum ke doulat ko
Dil mein chupa kar so jate hon
Aaksar neend nahe aa paate
Gole khaa kar so jate hon
Main apne murakh mann ko qamar
Phir behlaa kar so jate hon
Hafiz Khurram
Aik nazar to daikh pyaar ki tarha
Wo shakhas tha chetan ki tarha
Bolne par aye to vallha kya kehna un ka
Dekhne mein to lag raha tha phol k guldan ki tarha
Be'baas la'char khamosh ho k baith gay hum
Azmaiya us ne teer kaman ki tarha
Arman sare apne tot k aaj rah gay
Dil bhe lag raha hai khale makaan ki tarha
Chal pari hai yeh taza hawa kaha se
Parinde urr rahe hai ajeeb uran ki tarha
Ishq ki haar par khuram log apni jaan daite hai
Sanbhal ha hum ne khud ko baag'baan ki tarha
Parveen Shakir
Nahin Darta Main Kaanton Sy
Magar Phoolon Sy Darta Hoon
Chubhan Dy Jaen Jo Dil Ko
Main Un Baaton Sy Darta Hoon
Mujhy To Neend Bhi Achi Nhin Lagti Haqeeqat Mein
Dikhaaen Khuwab Jo Jhooty, Main Un Neendon Sy Darta Hoon
Anaa Ki Main Nahi Qail, Mohabat Hy Mujhy Sab Sy
Jo Dil Mein Bughz Rakhty Hon, Main Un Apnon Sy Darta Hoon
Mujhy Ehsas Hy Sab Ka, Main Sb K Kaam Aata Hoon
Magar Jo Keena Rakhty Hoon,, Main Un Rishton Sy Darta Hoon
Main banda Hoon Khuda Ka Aur Khuda Ka Khof Hy Mujh Ko
Jo Darty Hi Nhin Rab Sy Main Un Bandon Sy Darta Hoon
Naheeda Kouser
Khuwabon k mehal tot k gir jate hain aksar
Phir un se din apne sanwar jate hain aksar
Aye bad-e-saba unko yeh pigham mera de
Kyun chup k meri raah se guzar jate hain aksar
Dunya mein hai ik shaa hai fakht teri kami hai
Naqshey teri yaado k ubhar jate hai aksar
Wo naaz uthane k to qaeel he nahe hain
Phir ham bhe khafa ho k baphar jate hain aksar
Kousar tery meh'khane mein saghar na sabuo hai
Phir kyun yahan meh'nosh the'her jate hain aksar
Monday, 9 March 2015
ZubyrQaisar
Wo haqeeqat ko chupay ga gumaan bole ga
Aaina ho k wo pather ke zubaan bole ga
Koi to zakhm mera paas-e-wafa rakhe ga
Zabat tota bhe to har dard kahan bole ga
Khof-e-qatil se gawahon ne biyaan badala
Aaiino pe mery khon ka nishaan bole ga
Aap rahne de hamayat mein meri kuch na kahen
Aap bole gay to phir sara jahan bole ga
Laakh logon mein kare baith k baatein meri
Sach mery samne aa kar wo kahan bole ga
Ham to karte hain tery haq mein duaien qaisar
Aik din tera bhi aandaze'bayaan bole ga
Shamim Rawish
Kahan rakho gay tum itne dukhon ko
Suno beh jane do in aanson ko
Palatna ho ga yeh malum kab tha
Wagarna yaad rakhte raston ko
Wohe be'chain rakha hai aur akhir
Wohe taskeen deta hai dilon ko
Bicharne ke qasam khae hai us ne
Mubarik ho hamare aanson ko
Hamare baad bhe zinda hon lekin
Kabhe tum yaad karna un dinon ko
Rawish ghar par kahan milta hai koi
Chalon sarkon pe dhondhen doston ko
Book Jab Shaam Utarte Hai
Zubyr Qaisar
Kisi gareeb ke baaton pe dehyaan jaisa hon
Mujhe yaqeen hai main tery gumaan jaisa hon
Tujhe sallam kare gi hawa sumandr ke
Main teri kashti mein aik bad'baan jaisa hon
Dhale ga din to tujhe mujh mein dobna ho ga
Tu afataab to main asmaan jaisa hon
Hazaron dard mery sath sath chalte hain
Main apne zaat mein aik karwaan jaisa hon
Kahein kahein se teri yaad bhi tapakte hai
Kisi gareeb k girtey makaan jaisa hon
Jhuk jhuk k main qaisar phir0n hawaon mein
Kisi parindey ke phle uraan jaisa hon
Arshad Sallam Butt
Jane na daita kabhe us ka dor
Qurbat ka hota mujhey jo shuwr
Jafa ke taraf se ata hai naaee
Khalish mein chupa hai wafa ka saroor
Jawani mein aksar phsalte hain sab
Khata is mein meri nahe kuch hazo0r
Inhen koi bhole se tana na de
Haseeno main hota hai thora gharor
Judai mein arshd na ho mayoos
Kisi roz us se mile ga zaroor
Book Poch Lo Sitaron Se
Waheed Asad
Aik na aik din shaam chura le jaon ga
Darya hon har cheez baha le jaon ga
Dekhti rah jaye gi dunya heraat se
Bagghi mein ik heer baitha le jaon ga
Sunte hain wo aankhen darya jese hain
Darya hain to phir darya le jaon ga
Phle aankhen chor aaon ga us k paas
Phir aankh0n mein chand chupa le jaon ga
Bhar don ga main ja kar us k daman ko
Itna sara pyar utha le jaon ga
Le jaon ga sath main apne darya paar
Aahein siske aur dua le jaon ga
Aab to itna jado karna ata hai
Sab se tera hath chura le jaon ga
Jana hai us se milne aik raat asad
Neelay pholon ka tohfa le jaon ga
Book Muhabbat K Jazery mein